Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

kis say inspire hain

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • kis say inspire hain

    Assalamalikum
    TV,radio ya daily life main bhi aisay loog mill jatay hian ..tadad ti kam hoti hai in ki lekan aap in ki batoo or souch say buhat inspire hotay hian ..or apni amli zindagi main wo sub karnay ki kushish kartay hian jo unhoo nay bataya hota hai ...

    jesay Qasim ali shaha hai students ko achay lectures deytay hian ..k un pay amal kar k wo apnay aap ko kafi improve kar saktay hian ....Doctor sadaqat hussain hain jo Atv pay atay they wo aam gharello zindagi guzranay k leye achay rules n tips batatay hian ..

    aap batian aap kis say Mutasar hian..TV ,radio kahi bhi ..kon si personality zaida eham role play kar rahi hai logoo ki z indagi ko badlanay main ..
    اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
    اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

  • #2
    Re: kis say inspire hain

    Wa Alaikum Aslam,

    Mera biggest source of inspiration mere Marhoom Walid sahib hein Allah unhein apni rehmatoon ke saye mein rakhay. Mein un se is liye impress nahi ke wo mere baap thay bulke jis tarah unhoon ne apni chooti si zindagi mein (jo sirf 42 saalon tak muheet thi) her tarah ki bahaarein dekhein. Wo shakas jisay koi sahoolat bhi muyasar na thi lekin wo apni determination ke bais khud he kamata aur khud he perhta raha aur apne gaoom mein pehla shaks bana jis ne Master level tak taleem hasil ki. Mere baap ne kabi mehnat mein aar nahi mehsoos ki, zamana taalib ilmi mein rang-o-roogan ker ke, part time rickshaw chala ke, apni he class ke larkon ko tuition perha k, Khataati ker ke, cinema ki paintings ker ke guzara kia. Taleem mukamal ki to house building finance mein job mili phir usi ke Manager banay. uske baad aik bari organization mein GM huay. Phir England mein achi offer aai wahan chalay gaye, Wahan business establish

    Wo aik behtareen writer / poet thay, behtareen artist thay, Sacred scriptures per un ki study bohat aala thi, aur her tarah ki community mein yaksaan makbool thay. Christian loog mere abbu ko apni takreebat mein Church mein as a chief guest ke toor per bulatay thay aur wo church mein bhi Muslim Christian itehaad per jandaar takreer kerte k Christian loog bhi unhein bohat akeedat se dekhtay. Hamaray neighbour christian hua kertay thay, mere abbu jub Pakistan aatay to un ke parents ko lecture dete, un ke moaamlat solve kerte, cherity kerte aur kabi kabi to khud un ke ganday bachoon ko paker ker nehlaa dete. Mein ne kabi bhi koi aisa banda nahi dekha jis ne itni versatility ke saath apni zindagi guzari ho. wo Khudadaad salahiyatoon se bharpoor aik model thay.

    Is ke ilawa mein Dr. Zakir Naik, Javed Ahmad Ghamdi se mein bohat impress hoon. Dr. Shahid Masood, Mubashar Luqman, Haroon Rasheed, Imran Khan aur Shehbaz shareef bohat pasand hein
    :thmbup:

    Comment

    • #3
      Re: kis say inspire hain

      Originally posted by Mr. Sialkoty View Post

      ok theek.khud say mehnat kar kay bagheer kisi saharay k oper tuk jana bari baat hai :rose

      baki to sub theek hai yeh shehbaaz shareef say mutasar honay ki khas waja kia hai?

      • #4

        such poocho tu muje aap kay walid kay baray mein parh kar bahut khushi hoi Allah tala un ko magfrat farmay aur janatul firdus atta farmay... aap kay walid ki tarah bahut kam log hotay hain jo apnay paon perr kharray hotay hain aur zameen se uth ka aasman ko chhotay hain... aur Allah tala bbhi aisay mehnti logon ki ghaibi madad kartay rahtay hain...

        javed ahmded gamdi, zakir naik aur mufti shafi muhammad sahib, modoodi sahib, moulana abdul samad haleji shareef walay, maulana abdul kareem sahib, abdul majeed nadeem muje yeh sub pasand hain...

        akhar mein eik aap se sawal kay aap tv anchors aur politicans se bhi impress hotay hain??? in mein aisi kia khoobiyan hoti hain jo aap impress hojatay hain... ?
        Last edited by azeem-ahmed; 27 May 2012, 17:39.
        sigpic

        Comment

        • #5
          Re: kis say inspire hain

          Originally posted by Aanchal View Post
          Assalamalikum
          TV,radio ya daily life main bhi aisay loog mill jatay hian ..tadad ti kam hoti hai in ki lekan aap in ki batoo or souch say buhat inspire hotay hian ..or apni amli zindagi main wo sub karnay ki kushish kartay hian jo unhoo nay bataya hota hai ...

          jesay Qasim ali shaha hai students ko achay lectures deytay hian ..k un pay amal kar k wo apnay aap ko kafi improve kar saktay hian ....Doctor sadaqat hussain hain jo Atv pay atay they wo aam gharello zindagi guzranay k leye achay rules n tips batatay hian ..

          aap batian aap kis say Mutasar hian..TV ,radio kahi bhi ..kon si personality zaida eham role play kar rahi hai logoo ki z indagi ko badlanay main ..
          javed ahmded gamdi, zakir naik aur mufti shafi muhammad sahib, modoodi sahib, moulana abdul samad haleji shareef walay, maulana abdul kareem sahib, abdul majeed nadeem muje yeh sub pasand hain...
          sigpic

          Comment

          • #6
            Re: kis say inspire hain

            wasalam

            Aanchal di - yeh thread me kul parhti tu accha hota ... aaj me free ho pura din or ab bus : )

            @ topic
            'Inspiration' ya 'inspire' hona ek badi responsibility hai - jis se aap inspire hote hain aap us jaise bannna chahte ho consciously ya unconsciously - yeh natural hai...

            Me khud ko dekho tu me me koi aisa nahi lagta jis ki tarah me banna chahti ho... Narcissistic logo ka yahi bara masalah hai... Per kuch references khud b khud aap se jur jaate hain - jis insaan ko me bachpan se 'perfect' man ki tarah dekhti aai ho woh me ke nanajaan the

            Me ke nanajaan the, 'self made man' - he was my first idol and last also I guess... Us ke baad me ne kabhi kisi ko 'perfect' ki nazar se nahi dekha -

            woh subha ki chai se le ker raat ke sone tak ka apna sub kaam khud karte the or me ke bhi dhairon kaam wahi karte the - me unhi ke pass pali badi hoi ho.. Woh ek extraordinary insaan the...ek aisa insaan jis ke janaze mein pura gaon aaya tha...gaon ka koi aisa ghar nahi tha jis ka koi fard bhi na aaya ho....ek hoojom tha - me ke baba batate hain : )

            Unhe apne gaon se bara lagao tha.. Shahr ki zindagi pasnd nahi thi unhe - me se bauaht muhabbat karte the isi liye shahr rehte the... Unhe her kaam aata tha - gaon ke log unhe 'wali' mante the ke dua padh dein tu mareez theek hojaaye - Allah ne shifa di thi un ki zubaan mein... Me 15 saal ki thi jub un ka inteqaal howa or me un ke janaze mein nahi jaa paai coz un ka inteqaal gaon mein howa - woh 'mutaqi' insaan the, naik, saache or imandar - woh shairy karte, govt. School mein principal ke auhde se retire hoye...me ko lagne waali mamoli chot bhi unhe takleef deti thi... Me ne un ke saath apni zindagi ke behtreen saal guzare hain... Unhe her kaam aata tha.. Un ki zindagi me ke ird gird ghoomti rahi hai... Jahan jaate me ko saath le jaate... Bade fakher se sub se milaate... Ek doar tak me 'subhan saheb ki nawasi' ke naam se jaani gai ho... Itni izat me ne kabhi kisi ki nahi dekhi apni zindagi mein jitni log unhe dete the- unhe skin cancer hogaya tha ... Halat yeh the ke woh kisi ko apne pass nahi aane dete... Me un ke pass hi rehti thi.. Phir jub severity barhne lagi tu gaon chale gaye me ko bina bataye ... Me apne parents se bauaht ladi thi tub ke me ko bataya kyun nahi - phir woh loat kar nahi aaye....

            Me ki zindgai un jaisi ban jaaye 1% bhi tu bauhat hai... Woh kaha karte 'ilm or shifa bant'na nabiyon waliyon ka kaam hai - tum inhi mein se kuch karna ..' Ya tu doctor banna ya teacher - me un ki dua se dono ban gai... Allhamadullilah

            He was real idol for me... he used to believe in good deeds and "karma"... un ka Allah per yaqeen bauaht pukhta tha... woh roz subha quraan ki tilawat karte the me ke sirhaane... me ki subha un ki tilawat ki awaz se howa karti thi... kai surah me ko un ki wajah se yaad hoye hain...

            Me ki ammi ki or me ki soch nahi milti aksar baato'n mein ab, lakeen unhe jub bhi koi baat manwani ho mme se tu woh me ko me ke nanajaan ka reference deti hain or me maan jaati ho lolz... Or aaj bhi after 11 years ager koi me ko dekh ker kahe 'tum subha saheb ki nawasi ho na' tu me ko lagta hai me mein nai jaan aagai... Un ke inteqaal ke baad me un ke dosto se milne chali jaya karti... Ab ek ek kar ke un ka bhi inteqaal hogaya... Haan kabhi gaon jana ho tu koi keh deta hai 'subhan saheb ki nawasi' aai hai - or jub train se utar kar ghar jaane ke liye rickshaw stand pe jaao or kaho 'subhan saheb ki kothi' chaloge? tu rickshaw waale aaj bhi paise nahi lete :wink

            me ko aaj kaafi arse baad yeh sub phir yaad aa raha hai or ek scene ki tarah dimagh mein chal raha hai...

            Thanks for your thread : )
            Last edited by ummid; 27 May 2012, 17:43.

            Comment

            • #7
              Re: kis say inspire hain

              Originally posted by ummid View Post

              aap kay nanajaan uss waqt wafat pai jab aap 15 saal ki thein aur ab uss ko 11 saal hogaye hain... iss ka matlab aap ki age 26 yaa 27 saal hai....
              Allah tala aap kay nanajaan ko jannat ul firdus atta karay aur darjaat buland karey... muje jese aamir nay apnay walid sahib ka bataya vo acha laga aur aap kay nanajaan ka parh kar acha laga kay yeh log mehnti aur jafa kash thay... achay daur mein acha waqt guzaar gaye jo aaj hum in logon ko yaad kar rahe hain.... share karnay ka shukriya....
              sigpic

              Comment

              • #8
                Re: kis say inspire hain

                Originally posted by ummid View Post
                wasalam

                Aanchal di - yeh thread me kul parhti tu accha hota ... aaj me free ho pura din or ab bus : )

                @ topic
                'Inspiration' ya 'inspire' hona ek badi responsibility hai - jis se aap inspire hote hain aap us jaise bannna chahte ho consciously ya unconsciously - yeh natural hai...

                Me khud ko dekho tu me me koi aisa nahi lagta jis ki tarah me banna chahti ho... Narcissistic logo ka yahi bara masalah hai... Per kuch references khud b khud aap se jur jaate hain - jis insaan ko me bachpan se 'perfect' man ki tarah dekhti aai ho woh me ke nanajaan the

                Me ke nanajaan the, 'self made man' - he was my first idol and last also I guess... Us ke baad me ne kabhi kisi ko 'perfect' ki nazar se nahi dekha -

                woh subha ki chai se le ker raat ke sone tak ka apna sub kaam khud karte the or me ke bhi dhairon kaam wahi karte the - me unhi ke pass pali badi hoi ho.. Woh ek extraordinary insaan the...ek aisa insaan jis ke janaze mein pura gaon aaya tha...gaon ka koi aisa ghar nahi tha jis ka koi fard bhi na aaya ho....ek hoojom tha - me ke baba batate hain : )

                Unhe apne gaon se bara lagao tha.. Shahr ki zindagi pasnd nahi thi unhe - me se bauaht muhabbat karte the isi liye shahr rehte the... Unhe her kaam aata tha - gaon ke log unhe 'wali' mante the ke dua padh dein tu mareez theek hojaaye - Allah ne shifa di thi un ki zubaan mein... Me 15 saal ki thi jub un ka inteqaal howa or me un ke janaze mein nahi jaa paai coz un ka inteqaal gaon mein howa - woh 'mutaqi' insaan the, naik, saache or imandar - woh shairy karte, govt. School mein principal ke auhde se retire hoye...me ko lagne waali mamoli chot bhi unhe takleef deti thi... Me ne un ke saath apni zindagi ke behtreen saal guzare hain... Unhe her kaam aata tha.. Un ki zindagi me ke ird gird ghoomti rahi hai... Jahan jaate me ko saath le jaate... Bade fakher se sub se milaate... Ek doar tak me 'subhan saheb ki nawasi' ke naam se jaani gai ho... Itni izat me ne kabhi kisi ki nahi dekhi apni zindagi mein jitni log unhe dete the- unhe skin cancer hogaya tha ... Halat yeh the ke woh kisi ko apne pass nahi aane dete... Me un ke pass hi rehti thi.. Phir jub severity barhne lagi tu gaon chale gaye me ko bina bataye ... Me apne parents se bauaht ladi thi tub ke me ko bataya kyun nahi - phir woh loat kar nahi aaye....

                Me ki zindgai un jaisi ban jaaye 1% bhi tu bauhat hai... Woh kaha karte 'ilm or shifa bant'na nabiyon waliyon ka kaam hai - tum inhi mein se kuch karna ..' Ya tu doctor banna ya teacher - me un ki dua se dono ban gai... Allhamadullilah

                He was real idol for me... he used to believe in good deeds and "karma"... un ka Allah per yaqeen bauaht pukhta tha... woh roz subha quraan ki tilawat karte the me ke sirhaane... me ki subha un ki tilawat ki awaz se howa karti thi... kai surah me ko un ki wajah se yaad hoye hain...

                Me ki ammi ki or me ki soch nahi milti aksar baato'n mein ab, lakeen unhe jub bhi koi baat manwani ho mme se tu woh me ko me ke nanajaan ka reference deti hain or me maan jaati ho lolz... Or aaj bhi after 11 years ager koi me ko dekh ker kahe 'tum subha saheb ki nawasi ho na' tu me ko lagta hai me mein nai jaan aagai... Un ke inteqaal ke baad me un ke dosto se milne chali jaya karti... Ab ek ek kar ke un ka bhi inteqaal hogaya... Haan kabhi gaon jana ho tu koi keh deta hai 'subhan saheb ki nawasi' aai hai - or jub train se utar kar ghar jaane ke liye rickshaw stand pe jaao or kaho 'subhan saheb ki kothi' chaloge? tu rickshaw waale aaj bhi paise nahi lete :wink

                me ko aaj kaafi arse baad yeh sub phir yaad aa raha hai or ek scene ki tarah dimagh mein chal raha hai...

                Thanks for your thread : )
                wow tum nay to itna achay say beyan kia apnay nana jaan ka k me to sun k hi un say inspire ho gai : )
                اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                Comment

                • #9
                  Re: kis say inspire hain

                  @ Aanchal di:

                  yeah he was super hero... me ne kul amma se baat ki un ki dhair saari... : )

                  Comment

                  • #10
                    Re: kis say inspire hain

                    Originally posted by azeem-ahmed View Post
                    such poocho tu muje aap kay walid kay baray mein parh kar bahut khushi hoi Allah tala un ko magfrat farmay aur janatul firdus atta farmay... aap kay walid ki tarah bahut kam log hotay hain jo apnay paon perr kharray hotay hain aur zameen se uth ka aasman ko chhotay hain... aur Allah tala bbhi aisay mehnti logon ki ghaibi madad kartay rahtay hain...

                    javed ahmded gamdi, zakir naik aur mufti shafi muhammad sahib, modoodi sahib, moulana abdul samad haleji shareef walay, maulana abdul kareem sahib, abdul majeed nadeem muje yeh sub pasand hain...

                    akhar mein eik aap se sawal kay aap tv anchors aur politicans se bhi impress hotay hain??? in mein aisi kia khoobiyan hoti hain jo aap impress hojatay hain... ?
                    Thanx Azeem.

                    Anchors aur politicians bhi to bhai insaan hotay hein. Jahan hamein tankeed kerne ka beja haq hota he wahan tareef kerne ka hosla bhi hona chahiye. Mere nazdeek jin Anchors politicians ko mein ne highlight kia he in mein aik kamaal he ke yeh daring hein, such boltay hein aur insaaniyat ka dard rakhne walay hein. Haroon Rasheed bahadur tajziya nigaar hein aur Mubashar Luqman to most daring anchor hein is liye yeh mujay pasand hein. Daring analyst mein Hassan Nisaar ka naam bhi ata he lekin yeh aksar aukat biased bhi ho jata he. Yeh apni prototypical polarized mentality rakhta he is liye meri list mein nahi he.
                    :thmbup:

                    Comment

                    • #11
                      Re: kis say inspire hain

                      Originally posted by Aanchal View Post
                      ok theek.khud say mehnat kar kay bagheer kisi saharay k oper tuk jana bari baat hai :rose

                      baki to sub theek hai yeh shehbaaz shareef say mutasar honay ki khas waja kia hai?
                      Mein ne apne fav mein Shehbaz Shareef aur Imran Khan dono ko quote kia he. Mere nazdeek dono he behtareen insaan hein. Shehbaz Shareef aik saaf suthra politician he. Sub se achi baat mujay is ki yeh lagti he ke kahin per bhi koi katal / rape / istehsaal ki koi waardaat ho wahan khud pohanch jata he. Mutasreen ke saath bethta he, un ko tasali deta he aur un ko fori insaaf dilanay ki saee kerta he. Punjab mein Gunda Raaj is ne khatam kerwaya. Punjab mein gags ko khatam kerwanay mein Shehbaz shareef ka bohat bara haath he. Apne limited resources ko use ker ke jis kadar bhi yeh awam ki falah k liye kuch ker sakta he zaroor kerta he.
                      :thmbup:

                      Comment

                      • #12
                        Re: kis say inspire hain

                        main nay kafi kuch likha tha Aanchal ... ALLAH bhala karay KESC waloon ka....
                        mairi zindgi mein qareeb tareen jo hasti thien inspiratuion kay liye woh mairi nani thien.... aur sirf mairay liye hi nahin balkay apnay tamam ahbab ki nazar mein... ab main zyada nahin likh rahi ... lakin aik baat jis ki waja say sab ab tak preshan hotay hain aur pehla naam preshani mein unhi ka laitay hain woh yeh hai keh ... khandan mein aas paas jannay waloon mein ... ksi ka ksi say bhi larai jhagra hota tu solah kar wanay kay liye sab mairi nani kay paas aatay thay ...aur mairi nani aisa hal paish karti thein jo donon fareeqain kay liye qabil qobool hota tha...aur bakhushi woh sulah per razi ho jatay thay ..... mairi nani kehti thein kabhi bhi ghussay main bhi aisi koi baat nahin kehna keh tumhain dobara kehtay hoye sharam aaye... un kay intiqal per khuda janay kahan kahan say loag aaye thay ... ham jantay hi nahin thay buht say loagon ko...aur ab bhi loag rotay hain kheh woh chali gaien ab hamaray mamlat kon suljhaye ga....
                        main hamesha apni frnds mein kehti mairi nani mairi ideal hain....
                        main apnay kai teachers say bhi inspire hoon aur tv per mujhay dr. faouzia ki batain achi lagti hainn.. aur Dr. khurram Musheer ki honesty .. aur Aamir Liaqaut Hussain ka sari dunya kay samnay maafi mangna mujhay acha laga... aur Allama Kokab Norani ka baat karnay ka porasar andaz ...
                        mujhay aik actress Tamar younus pasand hai.... woh ab nahin aati tv per...buht gracefull hai ...us ka grace mujhay inspire karta hai...
                        aur yaad aya tu likhon gi.....
                        For New Designers
                        وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

                        Comment

                        • #13
                          Re: kis say inspire hain

                          Yeh rahi meri doosri post

                          Comment

                          • #14
                            Re: kis say inspire hain

                            Originally posted by Mr. Sialkoty View Post

                            Thanx Azeem.

                            Anchors aur politicians bhi to bhai insaan hotay hein. Jahan hamein tankeed kerne ka beja haq hota he wahan tareef kerne ka hosla bhi hona chahiye. Mere nazdeek jin Anchors politicians ko mein ne highlight kia he in mein aik kamaal he ke yeh daring hein, such boltay hein aur insaaniyat ka dard rakhne walay hein. Haroon Rasheed bahadur tajziya nigaar hein aur Mubashar Luqman to most daring anchor hein is liye yeh mujay pasand hein. Daring analyst mein Hassan Nisaar ka naam bhi ata he lekin yeh aksar aukat biased bhi ho jata he. Yeh apni prototypical polarized mentality rakhta he is liye meri list mein nahi he.
                            mein media kay logon ko aur politicians ko ziyada under se janta hoon... hum jahan bhi koi acha kaam karnay nikaltay hain tu pehlay yeh do tabqay achay kaam ki rukawat bantay hain... media aur alaikay ko politicians ko bribe na karo tu aap eik azeem kaam takmeel nahi karsaktay... isliye media kay logon mein ziyada pasand nahi karta... lakin jin anchors kay naam liye hain yeh in ki credibility yakeenan sachi hai..
                            Last edited by azeem-ahmed; 29 May 2012, 17:32.
                            sigpic

                            Comment

                            • #15
                              Re: kis say inspire hain

                              Originally posted by *Rida* View Post
                              main nay kafi kuch likha tha Aanchal ... ALLAH bhala karay KESC waloon ka....
                              mairi zindgi mein qareeb tareen jo hasti thien inspiratuion kay liye woh mairi nani thien.... aur sirf mairay liye hi nahin balkay apnay tamam ahbab ki nazar mein... ab main zyada nahin likh rahi ... lakin aik baat jis ki waja say sab ab tak preshan hotay hain aur pehla naam preshani mein unhi ka laitay hain woh yeh hai keh ... khandan mein aas paas jannay waloon mein ... ksi ka ksi say bhi larai jhagra hota tu solah kar wanay kay liye sab mairi nani kay paas aatay thay ...aur mairi nani aisa hal paish karti thein jo donon fareeqain kay liye qabil qobool hota tha...aur bakhushi woh sulah per razi ho jatay thay ..... mairi nani kehti thein kabhi bhi ghussay main bhi aisi koi baat nahin kehna keh tumhain dobara kehtay hoye sharam aaye... un kay intiqal per khuda janay kahan kahan say loag aaye thay ... ham jantay hi nahin thay buht say loagon ko...aur ab bhi loag rotay hain kheh woh chali gaien ab hamaray mamlat kon suljhaye ga....
                              main hamesha apni frnds mein kehti mairi nani mairi ideal hain....
                              main apnay kai teachers say bhi inspire hoon aur tv per mujhay dr. faouzia ki batain achi lagti hainn.. aur Dr. khurram Musheer ki honesty .. aur Aamir Liaqaut Hussain ka sari dunya kay samnay maafi mangna mujhay acha laga... aur Allama Kokab Norani ka baat karnay ka porasar andaz ...
                              mujhay aik actress Tamar younus pasand hai.... woh ab nahin aati tv per...buht gracefull hai ...us ka grace mujhay inspire karta hai...
                              aur yaad aya tu likhon gi.....
                              aaj kal aap khandan se kin se inspiration letay hain?? aap ki nani ki batein sun kar khushi hoi... halankay hamari society mein aurat ziyada biradari kay jhagron mein bahut kam parti hain warna biradari kay maslay masaail male hazrat kartay hain.... yeh eik pehlu jo aik aurat ki nisbat batai vo achi lagi kay hamari khawateen bhi chotay motay maslay masaail ko hal karti thein...
                              sigpic

                              Comment

                              Working...
                              X