Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

~~~PG khabarnama ~~~

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: ~~~PG khabarnama ~~~

    Originally posted by thefire1 View Post
    Nahin agli waali nahin :lol
    to kia pechlay saal k aug wali :think:
    اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
    اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

    Comment


    • Re: ~~~PG khabarnama ~~~

      Originally posted by Mr. Sialkoty View Post


      Mere bhai ehlaqiyaat ke akdaar change nahi huay bulke change kiye jatay hein. Might is right ka concept aap promote karo gay then you will be vulnerable to be responded accordingly. Yeh aik concept he jo human psyche ke saath jurra hua he. Yeh aik aisa he concept he jo aaj se kuch saal pehlay tak Govt. schools ka khaasa tha. Teachers andha dhund bachoon ko maartay thay aur phir wohi bachay jub teacher bantay thay to wo bhi bilkul usi tarah aglay bachoon ko treat kerte thay.

      Aik masoom bacha jis jo 10 saal ki umer mein motor mechanic ka kaam seekhnay chala jata he, us ka ustaad usay gaali bhi deta he aur usay jismani tashadud ka nishana bhi banata he. Dard-e-dil rakhne walon ki saari hamdardiyan us masoom ki taraf hoti hein. Lekin yahi masoom bara ho ke jub apni workshop open kerta he to wo bhi phir aisay masoomon se puranay badlay leta he.

      Yeh to hui baat masoomon ki. Aap loog to mashaAllah perhay likhay aur ba'shaoor thay. Phir kese koi aap ko is tarah inhumanly dictate kerta raha. Hota youn he ke jis organization mein awaz uthanay wala koi nahi hota wahan bosses ka aisa behaviour dekhne ko milna koi nai baat nahi. Bosses mein yeh concept by default hota he aur us concept ko aap junior loog promote kerte ho "Yes Boss" ker k. Mein ne 9 saal se ziada aik organization mein job ki, wahan per yes boss ka concept tha aur mein wahid tha jo apna aik asooli mookaf rakhta tha. Sirf aik baar boss muj se ouncha bola to mein ne resign ker dia lekin boss ne moaafi maang li to baat rafa daffa ho gai.

      Singapore ke aik expo mein mujay aik American company se meeting thi. Wo brand hamaray liye bohat important bhi tha. Mein company se milnay gaya, apna visiting card dia. Company ki managing director moojod thi aur apne he aik colleague se hisaab kitaab ker rahi thi. Us ne mera card lia, aur kehti he please wait for 2 mintues. Mein beth gaya, kabi wo kisi ko phone kerti, kabi apne bag mein kuch dhoondne lag jati, kabi uth ke booth se bahir jati. wapis aa ke smile deti aur kehti sorry wait for 2 minutes. Us ki aaniyan jaaniyoon mein mere 10 se 15 minute ziah ho gaye. Mein utha aur usay kaha give me my business card. Wo kehti he ke oh I am sorry I am free to talk to you. Mein ne kaha mam give me my business card, I am not free for you now. Us ne doobara sorry kia to mein ne usay kaha ke Ok, if you want to make some collaboration do write me an email where we can see the possiblity of our cooporation. Us company ki baad mein email aai aur us larki ne appologize kia. Actually wo muj se milna chahtay thay aur unhoon ne mujay bulaya tha. Ub aisi efficienciyan muj se bardaasht nahi hotein ke koi mujay bitha ker idher udhar time ziah kerta rahay. Chand din pehlay aik doctor se appointment li aur mein wahan pohanch gaya. Fee jama kerwai aur doctor sahib apne clinic ke bahir kharay ho ke kisi se baatein kerne lagay. Mein ne is dooran us ke cashier se kaha ke doctor se kaho ke baatein baad mein karay pehlay patient ko check karay. Usay 2, 3 baar bola lekin wo dar ke doctor ke paas nahi ja raha tha. Mein ne usay kaha ke fees wapis karo, doctor itnay mein free ho ke wapis aa gaya. Us din sunday tha aur mein akeela he patient tha. Mein ne kaha ke bhai mein to free mein bhi check na kerwaon ub is doctor ko fees wapis karo. thoora ouncha bola to doctor poochne aaya ke kia moaamla he. Itnay mein fee wapis le chuka tha mein aur doctor se kaha ke doctor sb sub loogon ke paas aap jitna free time nahi hota. 2, 4 aur baatein sunaein phir aaya.

      Loog apne haq ko pehchan jaein to bhai yeh negative tendency khatam ho jaye. Aik boss ki aisi ki tesi k wo aisa attitude dikhaye.
      mein aap ki her baat se itefaaq karta hoon aur bilkul sahi kah rahe hain aap... meray kuch dost jo aap ki tarah usool parast hain aur vo bhi her cheez ko as per rule or law hotay dekhna chahtay hain aur vo rule yaa law yaa usoolon per amal nahi ho raha hota tu vo bhi aap ki tarah emotional bhi hojatay hain.... aur even vo larai jhagray per bhi utar atay hain... vo kahtay hain jub yeh aisay hona tha aur iss nay aisa kyun nahi kiya... her cheez ko emotionally deal karna insaan khud bhi disrtub hojata hai.... khaas kar pakistan mein jitna burrai se yaa beyussoli kay khilaaf lartay raho log qanoon aur rule ko phir bhi follow nahi kartay.... ein ajeeb nafsiyat ban chuki hai... :lol meinay iss ka yeh hal nikala hai soft attitude mein raho agar koi burrai kar raha hai yaa qanoon ki khilaaf verzi kar raha hai uss ko batao thenday tareekay se manay tu theek varna mein tension nahi leta... kyun kay muje bahut kaam karnay hotay hain issliye khud ko cool rakhta hoon.... :lol

      saleem sahib kay waqt hamaray officers kay darmiyan aksal larai jhagray hotay thay mein naya tha aur hum top management kay darmiyan pistay rahtay thay... :lol jub hamari job confirm hoi tu hum log bhi apnay parr nikalna shuru kiye.... lakin meinay soft attitude ko tarjeeh deta raha hoon aur yeh cheez meinay kuch foreigners kay saath kaam kar kay seekhi hai...
      sigpic

      Comment


      • Re: ~~~PG khabarnama ~~~

        Originally posted by Aanchal View Post
        sunday ko kia kaam hain ..
        koi guest aye hian kia : d
        ammahn ghar per nhi sab kaam mere zumme.....kal job per bhi, shadi ke lye zarori shopping bhi aur gher ka kaam bhi........din mein 24 ghnte kum hein iss k lye,72 ti huhn na!!!!


        sigpic

        Comment


        • Re: ~~~PG khabarnama ~~~

          Originally posted by u_r View Post
          ammahn ghar per nhi sab kaam mere zumme.....kal job per bhi, shadi ke lye zarori shopping bhi aur gher ka kaam bhi........din mein 24 ghnte kum hein iss k lye,72 ti huhn na!!!!
          issiliye tu mein larki ki job kay khilaaf hoon naa... :lol larki ko ghar mein rahna chahiye... ghar kay kaam larki ko hee achay lagtay hain.... nokri marad ko achi lagti hai..... :lol agar aap job nahi karti hoti tu aap ko aaj kaam ka tension na hota.... :ys:
          sigpic

          Comment


          • Re: ~~~PG khabarnama ~~~

            aaj bhi kafi germi hai Lahore main

            Comment


            • Re: ~~~PG khabarnama ~~~

              Originally posted by Tanha Hassan View Post



              Thefire1 key shadi mein hakiam saifullah ka hath hai ..........white house


              Pagal 1 makeup na karey tu hamra chand he lagey west indies k wazir e azam ka press ko intrview

              Ahsaas ney Burger mein saag daal ker pehli dafa patoki aur new yark ko ek ker diya hai...........UNO

              U_r key juraabo ko gandi treen honey ka izaz hasil ho gaia hai pata chala hai k unho ney 1 saal aur 15 dinoo sey apni jurabiyn nahi dhoiyin......27/7

              Breaking............27/7 News

              I.B. key report key mutabiq is saal mulk mein sab sey ziada Death sarrah key batey hoey khaney bana'ney sey hoey hain......is azeem karnam per hakoomat e pakistan ney sarrah ko zardari ke spech writer laga diya hai...27/7



              Originally posted by Mr. Sialkoty View Post
              Aaj aabid ne mujay call kr k mujay khatri sabit krne ki nakaam kooshish ki.

              Saraah pr chenone walon ne sue kr dia. Unka kehna he k yeh hamari catalogue ko bagair ijazat net pr nashar kr rhi he.

              Tanha hassan bachpan main gum ho gaya tha, pait pr bhook k nishan ki waja se isay ba aasani dhond lia gya

              Aanchal soch rhi he k kia thread lagaon, agar isay koi idea na aaya to bila anwan k naam se thread laga de gi
              Originally posted by Mr. Sialkoty View Post
              Saraah ne aik aur world record laga dia. Dunia ka sub se choot thread jo sirf 8 nuktoon per mustamil he :fr:
              Originally posted by Aanchal View Post
              sara nay kujan jambalia banaya hai ....yeh kia cheez hai kesi hai or kio hai yeh jannay k leye visit kejeye khawateen section :lol: :lol: :lol:
              Originally posted by u_r View Post
              Saraah ke paas summer drinks ki recipes wholesale ke hissab se aa chukki hein.......faida utha lein aap bhi!!!!!

              سارہ تو ہر وقت کچن میں پائی گئی ہے یہ کوئی اچھی علامت نہیں :mm:
              شاہ حسین جیہناں سچ پچھاتا' کامل عِشق تیہناں دا جاتا

              Comment


              • Re: ~~~PG khabarnama ~~~

                me ko bhi "news" mein aana hai :D

                Comment


                • Re: ~~~PG khabarnama ~~~

                  Originally posted by ummid View Post
                  me ko bhi "news" mein aana hai :D
                  Pehlay sahi se PG pe to aa jao :p
                  :thmbup:

                  Comment


                  • Re: ~~~PG khabarnama ~~~

                    Originally posted by Aanchal View Post
                    aksar auqaat is malmlaat ulat bhi to jo jatay hain ..us waqat jub aap k paas jub aik hi apportunity bachi hoo ..or kisi ko sunannay say aap us say bhi hath dhoo bethay hoo

                    Self belief bhi koi cheez hoti he. Mera nazriya he ke jo khonay se darta he wo paata bhi kuch khas nahi. Wo insaan kia jis ka koi nukta-e-nazar he koi nahi aur jo chahay jese chahay usay operate ker le. Ager ka asooli mookaf aap ko pehchan dilwata he. Loog aap ko jananay lagtay hein. Warna aap bheer mein ja ker bheer ka hissa ban ker us mein gum jo jaein ge koi aap ko pehchanay ga nahi. Apni identity create kerna seekho. Dictation le ker aap kia identity banaein ge apni. Aap ke ander kuch special b hona chahiye jo bahir loogon ko bhi dikhay :p
                    :thmbup:

                    Comment


                    • Re: ~~~PG khabarnama ~~~

                      Originally posted by Mr. Sialkoty View Post


                      Pehlay sahi se PG pe to aa jao :p
                      me aa tu rahi ho ab roz PG per... tumhare hi thikaane nahi hai... huh

                      Comment


                      • Re: ~~~PG khabarnama ~~~

                        Originally posted by azeem-ahmed View Post
                        mein aap ki her baat se itefaaq karta hoon aur bilkul sahi kah rahe hain aap... meray kuch dost jo aap ki tarah usool parast hain aur vo bhi her cheez ko as per rule or law hotay dekhna chahtay hain aur vo rule yaa law yaa usoolon per amal nahi ho raha hota tu vo bhi aap ki tarah emotional bhi hojatay hain.... aur even vo larai jhagray per bhi utar atay hain... vo kahtay hain jub yeh aisay hona tha aur iss nay aisa kyun nahi kiya... her cheez ko emotionally deal karna insaan khud bhi disrtub hojata hai.... khaas kar pakistan mein jitna burrai se yaa beyussoli kay khilaaf lartay raho log qanoon aur rule ko phir bhi follow nahi kartay.... ein ajeeb nafsiyat ban chuki hai... :lol meinay iss ka yeh hal nikala hai soft attitude mein raho agar koi burrai kar raha hai yaa qanoon ki khilaaf verzi kar raha hai uss ko batao thenday tareekay se manay tu theek varna mein tension nahi leta... kyun kay muje bahut kaam karnay hotay hain issliye khud ko cool rakhta hoon.... :lol

                        saleem sahib kay waqt hamaray officers kay darmiyan aksal larai jhagray hotay thay mein naya tha aur hum top management kay darmiyan pistay rahtay thay... :lol jub hamari job confirm hoi tu hum log bhi apnay parr nikalna shuru kiye.... lakin meinay soft attitude ko tarjeeh deta raha hoon aur yeh cheez meinay kuch foreigners kay saath kaam kar kay seekhi hai...
                        Yaar seedhi si baat he hum loog apne bosses ke saath jese hein hamaray hukmaran bhi apne American bosses ke saath waise he hein. Hukmarano ne bhi to hum loogon mein se he nikalna he nay. Jub hum hukmarano se takaza kerte hein ke wo daring ho ker america ki aankh mein aankh daal ker apne haq k liye baat karein aur apne level per hum apne bosses se baat na ker sakein to bei hamein kia haq hasil he ke hukmarano se aisi ummidein bandhein. Aakhir wo bhi to hamaray moaashray ka hissa hein. Ager hum kisi najaiz baat ko ignore ker ke yeh soochtay hein ke hamein apne aap ko khush rakhna he to hamaray hukmaran bhi to aisa he kerte hein. Un se phir narazgi kyoon?
                        :thmbup:

                        Comment


                        • Re: ~~~PG khabarnama ~~~

                          Originally posted by ummid View Post
                          me aa tu rahi ho ab roz PG per... tumhare hi thikaane nahi hai... huh
                          Oh aaj kul muj per koi aur he bhoot sawaar hua he :p

                          Tum per aaj kul konsa bhoot sawar he?
                          :thmbup:

                          Comment


                          • Re: ~~~PG khabarnama ~~~

                            Originally posted by Mr. Sialkoty View Post


                            Oh aaj kul muj per koi aur he bhoot sawaar hua he :p

                            Tum per aaj kul konsa bhoot sawar he?
                            me kisi bhi cheez ko khud per sawar nahi karti... isi liye maze se rehti ho

                            Comment


                            • Re: ~~~PG khabarnama ~~~

                              Originally posted by ummid View Post
                              me kisi bhi cheez ko khud per sawar nahi karti... isi liye maze se rehti ho
                              Hum kitna he khud pe artificial coating ker lein pretend karein lekin hamari kuch basic needs kabi nahi badaltein. We will remain vulnerable to many a things :p
                              :thmbup:

                              Comment


                              • Re: ~~~PG khabarnama ~~~

                                Originally posted by Mr. Sialkoty View Post


                                Hum kitna he khud pe artificial coating ker lein pretend karein lekin hamari kuch basic needs kabi nahi badaltein. We will remain vulnerable to many a things :p
                                Chal rehn de... huh

                                Comment

                                Working...
                                X