Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

~~~PG khabarnama ~~~

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: ~~~PG khabarnama ~~~

    Originally posted by thefire1 View Post
    August ki :)
    Acha theekk..aap nay pehlay month mention nahi kia tha na :p

    14 Aug say shuruwaat ho ge : )

    chalian ham phir mubarak day daian gay :lol:
    اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
    اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

    Comment

    • Re: ~~~PG khabarnama ~~~

      Aanchal polling ki khabar break ki aap nay....:D:
      For New Designers
      وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

      Comment

      • Re: ~~~PG khabarnama ~~~

        Originally posted by *Rida* View Post
        Aanchal polling ki khabar break ki aap nay....:D:
        logoo jo competitions Rida nay start keye they un ki pollings shuru hoo chuki hian : )

        jali jaldi aian or apnay votes dalian ..: d koi vote jali dala to na 372-shed me nay bhi abhi tuk 3 votes dalye hian asli :shyy:
        اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
        اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

        Comment

        • Re: ~~~PG khabarnama ~~~

          Originally posted by Aanchal View Post
          Taza khabar
          amir snoker main jeetay jeetay buch gaya :rew:
          Is mein konsa bari baat he, last time bhi maar pari thi aur second time bhi maar he pari thi. Ub mein tum ko koi 2, 3 maheenay baad he update doon ga
          :thmbup:

          Comment

          • Re: ~~~PG khabarnama ~~~

            Originally posted by Mr. Sialkoty View Post

            Is mein konsa bari baat he, last time bhi maar pari thi aur second time bhi maar he pari thi. Ub mein tum ko koi 2, 3 maheenay baad he update doon ga
            chaloo summer main school ki chutteoo main seekh leena

            372-haha
            اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
            اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

            Comment

            • Re: ~~~PG khabarnama ~~~

              Originally posted by azeem-ahmed View Post
              diary likhna meri adat hai aaj mein apni diary kay bajai iss thread mein likh raha hoon... janta hoon yahan sirf khabrain deni hain... :lol

              insaan jub apni post per yaa job mein rahta hai tu uss ki ezat log kar rehe hotay hain... saleem sahib jab meri posting lahore mein thi vo hamaray country manager hotay thay aur meri abhi wali lady boss Madam Shagufta regional manager hoti thein.. saleem saahib itna sakht hotay thay jo koi bhi office ka shaks begair ejazat kay uss office mein nahi jata tha... pehlay uss ki secretary se milnay ka time letay thay phir kabhi tu foran mil leta tha tu kabhi ghanto baad bulata tha aur jab bhi milay kabhi iss shaks nay kaam ki tareef nahi karni hoti thi sirf keeray nikalana janta tha... phri yeh shaks asian manager bana phir tu iss shaks ki aankhain sarr per goya lag gayi thein... kisi ko tu kuch samajhta hee nahi tha.. kaam karo yaa kaam na karo phir bhi bezat kar detay thay... yeh iss ki fitrat mein thi....hamari lady boss uss waqt saleem sahib kay office mein bethi sara din gupain maarti thi aur uss ko sub se ziyada lift karwati thi.. hum phir saleeem se kam boss se ziyada dartay thay... :lol office ki her report ja kay saleem sahib ko bata deti thein... :lol iss shaks nay kisi ka faida nahi kiya aur hamesha sub ka nuqsaan he karta raha aur office ki jitnay resources hotay thay vo sub saleem sahib kay ghar per use hoti thein aur hum kabhi kabhaar tu buson kay dhakay khatay office puhanchtay thay aur survey yaa tour per jana hota tha tu gaari tak lena museebat bani hoti thi...

              saleem sahib jab retire ho rahe thay tu hum sub office walay khush thay aur aaj vo lady boss country manger jis post perr kabhi saleem sahib hotay thay hain... aaj Jumay ko jab saleem sahib pehlay baar apni retirment kay baad hamari office aye tu koi bhi shaks uss ko salam tak karnay ko tayyar na tha koi uss ko respect denay ko tayyar na tha... chuprasi se laykar eik manager tak sub ka mood off tha aur office kay logon kay maun per gussa wazih nazar aa raha tha... jab vo madam ko milnay gaye tu madam nay do minutes se bhi kam time diya aur uss nay meri taraf behej diya... aur muje phone kiya kay salim sahib jo kaam kahey kar dena .... yeh madam hai jab saleem sahib country manager hotay thay tu sara din iss ki khushamad karti thi aur sara din ulti seedhi baatein kar kay apnay numbers banati thein aaj vo madam hain jo uss ko chai ka eik cup pilana guwara nahi kiya....

              saleem sahib jab meray pass aae tu muje aisa lag raha tha jese vo hamari office mein aa kay sharminda sharminda ho... meinay chai aur biscuit foran mangwa liye aur meinay poocha saleem sahb aaj kal kiya ho raha hai ab tu retirement kay baad mojain kar rehe hoongay.... khud kahta hai do betay thay jo vo canada chalay gaye un ki shaadi bhi kar di aaj kal vo bachay canada mein rahtay hain eik beti thi uss ki bhi shaadi kar di aur eik mein hoon aur meri wife jo lahore mein Allama iqbal town mein rahtay hain aur tabiyat bhi kaafi kharab rahti hai by pass karwaya hai aur bus time pass ho raha hai... mein iss ki shakal dekh raha tha kay aaj kitna masoomiyat se betha apni life bata raha hai... wakai insan kay pass jub post yaa achi job hoti hai tu yeh hee insaan se faroon ban jata hai jub post se hut jata hai tu uss ki saari akkar khatam hojati hai...

              meray kuch aisay bhi colleagues hain jo acha waqt pass kar gaye hain aur jub un se mulaqat hoti hai tu hum khush hotay hain un kay saath beth kar maza ata hai aur kuch aisay bhi officer thay jo firoon ki tarah rah kay gaye hain jub miltay hain tu salam karnay ko dil nahi karta.... aaj kay daur mein kursi barri hai lakin kursi per bethnay walay log chotay hain kami type kay log hain jub kursi per hotay hain kuch hotay hain aur kursi se hut-tay hain tu kuch hotay hain aur loog bhi jo kursi per betha hota hai uss ki ezat kartay hain jub kursi se hut jatay hain ezat karna chor detay hain... akhlaqiyat kay aqdaar bhi ab change hogaye hain :lol
              Mere bhai ehlaqiyaat ke akdaar change nahi huay bulke change kiye jatay hein. Might is right ka concept aap promote karo gay then you will be vulnerable to be responded accordingly. Yeh aik concept he jo human psyche ke saath jurra hua he. Yeh aik aisa he concept he jo aaj se kuch saal pehlay tak Govt. schools ka khaasa tha. Teachers andha dhund bachoon ko maartay thay aur phir wohi bachay jub teacher bantay thay to wo bhi bilkul usi tarah aglay bachoon ko treat kerte thay.

              Aik masoom bacha jis jo 10 saal ki umer mein motor mechanic ka kaam seekhnay chala jata he, us ka ustaad usay gaali bhi deta he aur usay jismani tashadud ka nishana bhi banata he. Dard-e-dil rakhne walon ki saari hamdardiyan us masoom ki taraf hoti hein. Lekin yahi masoom bara ho ke jub apni workshop open kerta he to wo bhi phir aisay masoomon se puranay badlay leta he.

              Yeh to hui baat masoomon ki. Aap loog to mashaAllah perhay likhay aur ba'shaoor thay. Phir kese koi aap ko is tarah inhumanly dictate kerta raha. Hota youn he ke jis organization mein awaz uthanay wala koi nahi hota wahan bosses ka aisa behaviour dekhne ko milna koi nai baat nahi. Bosses mein yeh concept by default hota he aur us concept ko aap junior loog promote kerte ho "Yes Boss" ker k. Mein ne 9 saal se ziada aik organization mein job ki, wahan per yes boss ka concept tha aur mein wahid tha jo apna aik asooli mookaf rakhta tha. Sirf aik baar boss muj se ouncha bola to mein ne resign ker dia lekin boss ne moaafi maang li to baat rafa daffa ho gai.

              Singapore ke aik expo mein mujay aik American company se meeting thi. Wo brand hamaray liye bohat important bhi tha. Mein company se milnay gaya, apna visiting card dia. Company ki managing director moojod thi aur apne he aik colleague se hisaab kitaab ker rahi thi. Us ne mera card lia, aur kehti he please wait for 2 mintues. Mein beth gaya, kabi wo kisi ko phone kerti, kabi apne bag mein kuch dhoondne lag jati, kabi uth ke booth se bahir jati. wapis aa ke smile deti aur kehti sorry wait for 2 minutes. Us ki aaniyan jaaniyoon mein mere 10 se 15 minute ziah ho gaye. Mein utha aur usay kaha give me my business card. Wo kehti he ke oh I am sorry I am free to talk to you. Mein ne kaha mam give me my business card, I am not free for you now. Us ne doobara sorry kia to mein ne usay kaha ke Ok, if you want to make some collaboration do write me an email where we can see the possiblity of our cooporation. Us company ki baad mein email aai aur us larki ne appologize kia. Actually wo muj se milna chahtay thay aur unhoon ne mujay bulaya tha. Ub aisi efficienciyan muj se bardaasht nahi hotein ke koi mujay bitha ker idher udhar time ziah kerta rahay. Chand din pehlay aik doctor se appointment li aur mein wahan pohanch gaya. Fee jama kerwai aur doctor sahib apne clinic ke bahir kharay ho ke kisi se baatein kerne lagay. Mein ne is dooran us ke cashier se kaha ke doctor se kaho ke baatein baad mein karay pehlay patient ko check karay. Usay 2, 3 baar bola lekin wo dar ke doctor ke paas nahi ja raha tha. Mein ne usay kaha ke fees wapis karo, doctor itnay mein free ho ke wapis aa gaya. Us din sunday tha aur mein akeela he patient tha. Mein ne kaha ke bhai mein to free mein bhi check na kerwaon ub is doctor ko fees wapis karo. thoora ouncha bola to doctor poochne aaya ke kia moaamla he. Itnay mein fee wapis le chuka tha mein aur doctor se kaha ke doctor sb sub loogon ke paas aap jitna free time nahi hota. 2, 4 aur baatein sunaein phir aaya.

              Loog apne haq ko pehchan jaein to bhai yeh negative tendency khatam ho jaye. Aik boss ki aisi ki tesi k wo aisa attitude dikhaye.
              :thmbup:

              Comment

              • Re: ~~~PG khabarnama ~~~

                Originally posted by Aanchal View Post
                chaloo summer main school ki chutteoo main seekh leena

                372-haha
                ub itna b kaka nai anchal
                :thmbup:

                Comment

                • Re: ~~~PG khabarnama ~~~

                  logo mein bht hi bizeee huhn...........jiss jis ne meri help kerni he.....aa jai....shukran

                  sigpic

                  Comment

                  • Re: ~~~PG khabarnama ~~~

                    Originally posted by u_r View Post
                    logo mein bht hi bizeee huhn...........jiss jis ne meri help kerni he.....aa jai....shukran
                    Tum kanak ki waadiyaan ker rahi ho kia :p
                    :thmbup:

                    Comment

                    • Re: ~~~PG khabarnama ~~~

                      nhi................per kamm ne lakh te hazaar..te kalli meri jindh ae........dasso mein ki karrahn

                        aksar auqaat is malmlaat ulat bhi to jo jatay hain ..us waqat jub aap k paas jub aik hi apportunity bachi hoo ..or kisi ko sunannay say aap us say bhi hath dhoo bethay hoo
                        اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                        اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                        Comment

                        • Re: ~~~PG khabarnama ~~~

                          Originally posted by u_r View Post
                          nhi................per kamm ne lakh te hazaar..te kalli meri jindh ae........dasso mein ki karrahn
                          sunday ko kia kaam hain ..
                          koi guest aye hian kia : d
                          اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                          اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                          Comment

                          • Re: ~~~PG khabarnama ~~~

                            MILKMAN :lol ab mera MAN hay... aaj say woh TANHA nahin :lol

                            Originally posted by Mr. Sialkoty View Post
                            @ THEFIRE

                            Acha kia doost jo ghar basa liya tanha milkman k sath :lol

                            @Azeem
                            Will comment shortly
                            sigpic

                            Comment

                            • Re: ~~~PG khabarnama ~~~

                              Nahin agli waali nahin :lol

                              Originally posted by Aanchal View Post
                              Acha theekk..aap nay pehlay month mention nahi kia tha na :p

                              14 Aug say shuruwaat ho ge : )

                              chalian ham phir mubarak day daian gay :lol:
                              sigpic

                              Comment

                              • Re: ~~~PG khabarnama ~~~

                                GUP SHUP mein ....Activities of May ..... thread mein sab polling threads kay links mojoud hain .. chahay aap nay hissa nahin lia ho vote tu dalain.. phir apni favourite entry kay jeetnay ki khushi tu milay gi naa..:lol
                                For New Designers
                                وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

                                Comment

                                Working...
                                X