Announcement
Collapse
No announcement yet.
Unconfigured Ad Widget
Collapse
چار بہترین اعمال
Collapse
X
-
Re: چار بہترین اعمال
Haatim Tai ka taaluq qabeela al-Tai say tha aur aap ka intiqaal Nabi-e-karim SAW kay nabaoowat kay aiylaan say pehlay hi hogaya tha, woh zaat kay Christian thay... albatta unki baiti SAFANA BINT TAII nay ISLAM qubool kar kay apnay bhai ADI BIN HAATIM ko ISLAM ka pegham dia aur aap SAW say milnay ka kaha, ADI BIN HAATIM nay aap SAW kay IKHLAAQ say mutaasir hokar ISLAM qubool kia aur SHAB-e-RASOOL SAW main shumaar huway..... yeh riwaayat bohat mashoor hay kay jab jab Hazrat Adi bin Haatim Al-Tai Nabi-e-Karim SAW kay saamnay aatay aap SAW kay chehray per muskuraahat bikhar jaati!
Originally posted by azeem-ahmed View Posthatam tai kitni khoobsurat baat ki hai ... wese hatam tai hazrat Muhammad saw se pehlay guzray hain yaa baad mein?Last edited by thefire1; 28 April 2012, 14:13.sigpic
Comment
-
Re: چار بہترین اعمال
Aik baat mein yahan pe kehna chahoon ga ke ub loog kisi bhi famous personality ke saath baatein joor ker aagay phela dete hein. Jese aaj kul Hazrat Ali (RA) ke naam ko bhi use kia jata he. Pyaaray buchoon ki pyaari baatein aaj kul saari ki saari Hazrat Ali (RA) ke naam se joor ker forward ker di jati hein. Loogon ne assume ker lia he ke is baat mein hikmat he to isay Hazrat Ali se relate ker ke forward ker di jaye.:thmbup:
Comment
-
Re: چار بہترین اعمال
Bilkul sahi kaha aap nay, humain chahye kay kisi bhi baat ko karnay say pehlay yaa kisi kay saath mansoob karnay say pehlay usska achi tarah mutala'a karain aur phir aagay phelayain kiyonki agar aap nay ghalat baat mansoob kii tou iss say fitnay phelnay ka andessha hota hay aur aap per usski zimaydaari hogi....
issi liye buzurg humesha kehtay hain kay "pehlay touloo, phir bolo" toulnay ka matlab literally toulna nahin balkay mutala'a karna, mushaida karna hay!!
Originally posted by Mr. Sialkoty View PostAik baat mein yahan pe kehna chahoon ga ke ub loog kisi bhi famous personality ke saath baatein joor ker aagay phela dete hein. Jese aaj kul Hazrat Ali (RA) ke naam ko bhi use kia jata he. Pyaaray buchoon ki pyaari baatein aaj kul saari ki saari Hazrat Ali (RA) ke naam se joor ker forward ker di jati hein. Loogon ne assume ker lia he ke is baat mein hikmat he to isay Hazrat Ali se relate ker ke forward ker di jaye.sigpic
Comment
Comment