Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Mehngai

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #16
    Re: Mehngai

    Originally posted by Tanha Hassan View Post

    Aamir Bahi yaha sirf ek zardari nahi hai hamrey ander be ek ek zardari chupa hua hai........petrol barhey ga tu Fruit mehnga ker dia jaey ga reason pocho tu jawab ata hai jeeee petrol mehnga ho gaia hai........ek ek fruit shop per 5,5 rate hain jo behas ker laey us k laey aur,jo car sey utrey us k laey aur,jo chup ker k saman laey jaey us k laey aur.......Price control ka nizam tu tab aeye jab hamrey ander koi shaaoor ho.....hum sab ka haal yeh hai k "jotey marney waley barha do line mein time buht lagta hai".....
    nice comments. muje yeh samjh nahi lagta kay petrol ki prices barhti hain tu awam kyun cheekhti hai jab kay 90% vehicles CNG perr chall rahi hain aur aam banda tu petrol wese hee nahi khareedta .. baaki barri ghariyan vo wese hee diesel per hoti hain.. aaj kal tu GLI car walay bhi CNG dalwanay kaylie line mein lagay rahtay hain tu phir yeh petrol kon dalwa raha hai aur hum kese in ki prices barhnay se muttasir ho rahe hain... :donno:
    sigpic

    Comment

    • #17
      Re: Mehngai

      Originally posted by Tanha Hassan View Post
      PPPP K tamam Advaar mein Mehngaai ka Jin bottel sey bahir he raha hai.....Jitna Merit ka bura hal PPPP govt mein hota hai utna kisi aur Govt k dour mein nahi hua kabi..............OGDCL mein intrview daney gaia tha mein tu waha asey log be tahey jin k pass PM sahib ka personl signature shuda Letter tha bas hum ko tu janey key he takleef uthna apari theee :lol

      Khair yeh bat be apni jaga haqeeqat hai k PPPP ka vote bank buht mazboot hai jo Log PPPP lover hain wo buht he katar hain wo vote kisi aur ko daney ka tasuwar be nahi kartey..........aur ab key bar haalat shayed kuch change hun lekin kuch areas asey hain jaha ab key bar be PPPP win karey gaey
      dost PM signature walay letter kisi ko nahi detay vo agar kisi ko job deni hoti hai tu vo in ka PS chairman ogdcl ko list behj detay hain aur vo inkaar nahi karsakta. rahi baat jo PM kay letter lay kay phir rahe hotay hain vo fake hotay hain...
      sigpic

      Comment

      • #18
        Re: Mehngai

        Originally posted by Mr. Sialkoty View Post
        alaa
        yeh alaa kiya he????

        sigpic

        Comment

        • #19
          Re: Mehngai

          Originally posted by Tanha Hassan View Post

          Aamir Bahi yaha sirf ek zardari nahi hai hamrey ander be ek ek zardari chupa hua hai........petrol barhey ga tu Fruit mehnga ker dia jaey ga reason pocho tu jawab ata hai jeeee petrol mehnga ho gaia hai........ek ek fruit shop per 5,5 rate hain jo behas ker laey us k laey aur,jo car sey utrey us k laey aur,jo chup ker k saman laey jaey us k laey aur.......Price control ka nizam tu tab aeye jab hamrey ander koi shaaoor ho.....hum sab ka haal yeh hai k "jotey marney waley barha do line mein time buht lagta hai".....
          Thanks Hassan for your valued comments. PPP ka vote bank sindh ka unperh tabqa he. Hamara almiya yeh hay ke Pakistan mein perhay likhay loogon ki kismat ka bhi faisla wo unperh tabqa ker jata he jisay na to shaoor he aur na he samaj. Hitler ne kaha tha ke jahan 50% se ziada literacy rate kum ho ga wahan per election zehar hein. End mein misaal bohat perfect di jo is koom per bilkul fit aati he.

          Is baar bhi unperh tabqa perhay likhoon ki kismat per khoob asar andaz ho ga. Halanke asool yahi hona chahiye ke aisay faislay perha likha tabka karay, kum az kum vote ke liye middle pass honay ki shart zaroor honi chahiye. Warna butto Pakistan ki tareeh mein kabi nahi maray ga.
          :thmbup:

          Comment

          • #20
            Re: Mehngai

            Originally posted by crystal_thinking View Post
            Hahaha bohat khoob
            :thmbup:

            Comment

            • #21
              Re: Mehngai

              Originally posted by azeem-ahmed View Post
              dost muje nahi lagta zardari bug'daur mein mara jai balkay yeh poori qaum ko bagudur mein marwa day ga.. mein iss martaba imran khan ko vote doon ga issliye ab thori change ho aur muje pata hai yeh imran khan government chalanay mein nakaam hee hoga lakin phir bhi azmanay mein haraj nahi ziyada se ziyada imran kiya karey ga petrol 200 ruppay ka kar day ga aur kiya karsakta hai.... :lol
              Aray miyaan ub pata chal gaya he ke tum petrol ke daam berhnay per itnay satisfied kese rehtay ho, lekin is election mein tum ne apna nahi soochna meri jesi ghareeb awaam ka soochna he :lol
              :thmbup:

              Comment

              • #22
                Re: Mehngai

                Wa'Alikum Asalam Mr ..

                Pehli baat Mehnagi Par Control ya Kharchay par Control ki jahaan tak baat hai .. Ameer ki baat karein tu un ko tu koi farq nahin parhta Jaise Pehlay Gosht Ya jo cheezein khatey thay Ya letay thay abhi bhi waise hi sab chal raha hai .. aur Ghareeb Awaam ki jahaan tak baat hai tu Ghareeb tu pehlay bhi daal roti hi khati the .. Pehlay aik khati the tu ab adhi kha ley gi ya Daal bhi nahin banaey gi tu Chatni bana ley gi .. Main Aik Interview dekh rahi the aik Mazdoor ke kehna tha Pehlay do rotiyan aur daal ki Plate 15 , 20 rupay main kha letay thay lekin ab Yahi 2 rotiyan aur aik plate daal 60 rupay ki ho gaye hai tu wo bhi kam Yani us say bhi pait nahin barhta tu Phis kaun raha hai GHAREEB ... aur jahaan tak control karney ki baat hai tu Na hi kisi Ghareeb kay pass ithna time hia kay wo protest kartey . Yeh bhi sab Chonchalay Ameero'n kay hi hotay hain hunh Jis kay pass karney ko kuch nahin ...

                Aur Jahaan Vote ki baat hai tu Last time Jab Election howay tu main Pak main the Tu Alhumdulillah main nay tab bhi in ZALEEL logo'n ko Vote nahin kia .. balkey kisi ko bhi nahin kia aur ab tu khair koi Chance hi nahin hain aur Jo Log Dobara PPP Ya Nawaz ko Vote karein Gay tu main kehti hoon Intehi JAHIL aur Be'his Qoam ho gi .. Azmaey howay ko kia Azmana . Yeh log kin Mohjzo'n kay Intezar main hain .. Kay koi Wali aey ga aur in kay halaat theek ho jaein gay .. Nahin Jo Apna Aap khud Sawarna nahin chahta Un ka kuch nahin ho Sakhta ..

                Shukriya
                Zindagi Thak Gaye ..!!

                Comment

                • #23
                  Re: Mehngai

                  Originally posted by azeem-ahmed View Post
                  nice comments. muje yeh samjh nahi lagta kay petrol ki prices barhti hain tu awam kyun cheekhti hai jab kay 90% vehicles CNG perr chall rahi hain aur aam banda tu petrol wese hee nahi khareedta .. baaki barri ghariyan vo wese hee diesel per hoti hain.. aaj kal tu GLI car walay bhi CNG dalwanay kaylie line mein lagay rahtay hain tu phir yeh petrol kon dalwa raha hai aur hum kese in ki prices barhnay se muttasir ho rahe hain... :donno:
                  Meri jaan CNG milti he kahan he. Mere paas CNG ki kit / cylinder para hua he complete lekin mein nahi lagwa raha. Aik to CNG available nahi hoti, aur doosra koon itna veela he jo aadha aadha ghanta line mein lag ke cylinder full kerwaye.

                  Aur miyan aap ki information ghalat he ke sirf 10% gariyan petrol per chal rahi hein. Mujay to aisa lagta he ke sirf 10% gariyan he CNG per chal rahi hein. Week mein 3 din to CNG hoti nahi, aur 4 din mein load shedding, low pressure rehta he. Mere ghar mein 3 bikes aur 2 gariyan hein aur yakeen karo ke aik bhi CNG se nahi chalti
                  :thmbup:

                  Comment

                  • #24
                    Re: Mehngai

                    Originally posted by Mr. Sialkoty View Post
                    Thanks Hassan for your valued comments. PPP ka vote bank sindh ka unperh tabqa he. Hamara almiya yeh hay ke Pakistan mein perhay likhay loogon ki kismat ka bhi faisla wo unperh tabqa ker jata he jisay na to shaoor he aur na he samaj. Hitler ne kaha tha ke jahan 50% se ziada literacy rate kum ho ga wahan per election zehar hein. End mein misaal bohat perfect di jo is koom per bilkul fit aati he.

                    Is baar bhi unperh tabqa perhay likhoon ki kismat per khoob asar andaz ho ga. Halanke asool yahi hona chahiye ke aisay faislay perha likha tabka karay, kum az kum vote ke liye middle pass honay ki shart zaroor honi chahiye. Warna butto Pakistan ki tareeh mein kabi nahi maray ga.
                    yeh aap ki baat theek hai kay sindh mein ppp kay elawa koi aur party muskhkal jeet sakti hai aur ppp ka vote bank vahan pakka hai. aur issi tarah punjab kay siraiki belt mein bhi ppp aur Q league ka vote bank hai.. agar middle class wali condition lagai jati hai tu phir sindh aur siraiki belt se tu 90% khawateen vote denay se mehroom hojain gi. aur iss time sindh ka literacy rate bhi 59% hain jis mein agar middle pass wlay nikaal dein tu vo hardly 10-20% vote denay kay ahil bachay gay jo eik naya issue janam lay ga kay sindh kay logon ko vote se mehroom kiya ja raha hai... such tu yeh hai kay na sindh mein honest leaders hain na punjab mein naaa hee aur provinces mein tu iss tarah pakistan eik mushkal tareen daur se guzar raha hai.. meri samjh mein wakai kuch nahi ata. kiya kiya jai agar khamosh hotay hain tu yeh hee log dobara aa jain gay jinhon nay loot maar laga rakhi hai aur merit ka tu satiya naas kar diya hai.. ppp ki hakumat mein jis ki laathi uss ki bhens wali hikmat amli chal rahi hai.. naa-ahil loog ahil logon per hakumat kar rahe hain... dil tu khoon kay aanso rota hai lakin ab kiya karein..
                    sigpic

                    Comment

                    • #25

                      Mere bhai kuch ground realities ko samajna bohat zaroori he. Hum aik koom he na. Aur hum as a koom he zaleel ho rahay hein. Aur phir bhi hamari koom aik nahi ho rahi. Yahan pe positive energies ko neutralize kerne k liye bohat sari negative energies moojood hoti hein jo koom ke ander he say he. Kuch ba'shaoor loog uth ker nazam badalnay ki baat kerte hein to wahan un jeyaalon ko jo din raat aik kerte hein change lanay k liye un ko bhi aik vote dene ka haq he aur jo kuch nahi kerta, khara ho ke khambay pe lagtay huay bulb dekhne ke liye jo 30 minute ziah ker deta he badkismati se usay bhi utna he haq dia gaya he ke wo aik jeyaalay ki saari mehnat ko neutralize ker de.

                      Revolution koom ki sooch mein aana he. Jub koom aik ho gai, jub koom ki apni rassa kashi ka kheel khatam ho gaya tub hum is mulk ki takdeer badlne ke baray mein kuch sooch sakein ge. Next election ka mujay be'taabi se intzaar rahay ga. Ager agli baar bhi PPP aagay aai to mein to yeh mulk choor jaoon ga.
                      :thmbup:

                      Comment

                      • #26
                        Re: Mehngai

                        petrol mehnga ho gya to kiya..yeh India ki pic he....bandhe to 4/5 bitaahte h aaye hein..abh kutuhn ko bhi sawaari mil gaye...

                        Click image for larger version

Name:	article-2126052-127D87D8000005DC-817_636x374.jpg
Views:	1
Size:	42.0 KB
ID:	2423056

                        sigpic

                        Comment

                        • #27
                          Re: Mehngai

                          Pic ka shukriya, lekin kuch serious comment bhi ho jaein
                          :thmbup:

                          Comment

                          • #28
                            Re: Mehngai

                            Originally posted by Mr. Sialkoty View Post
                            Pic ka shukriya, lekin kuch serious comment bhi ho jaein
                            pehle mood tha , veli nahi thi...abh mood hi mukk chukka:think:

                            sigpic

                            Comment

                            • #29
                              Re: Mehngai

                              Originally posted by u_r View Post
                              pehle mood tha , veli nahi thi...abh mood hi mukk chukka:think:
                              chalo mood sai ker lo apna
                              :thmbup:

                              Comment

                              • #30
                                Re: Mehngai

                                Originally posted by Mr. Sialkoty View Post
                                chalo mood sai ker lo apna
                                sahi tha...aik bache ko abhi abhi chnggi ghllahn sunaihn hein...abhi aur theek hogya372-haha

                                sigpic

                                Comment

                                Working...
                                X