Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

debate 2..."achay Rishtay kio nahi miltay?"

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #31
    Re: debate 2..."achay Rishtay kio nahi miltay?"

    Thanxx jinhoo nay panay points likhye ...:rose

    acha jaheez sub say top pay ata hai shadeoo kay mamlay main ...larkay yeh kahian gay ham jaheez leytay hi nahi ...jub leytay nahi to yeh cheez khutem hovi kio nahi ub ? batoo or amal main Tazaad..

    achay rishtoo main kami aik yeh factor bhi hai kay larkay pata nahi kio kaam kaaj , apn aghar banana in cheezoo main zaida interest nahi leytay (majority) bus ameer larki mill jaye jis ka abba sub business set kar kay daian or ham aisah karaian ....
    اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
    اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

    Comment

    • #32
      Re: debate 2..."achay Rishtay kio nahi miltay?"

      Originally posted by Aanchal View Post

      Her cheez ko black & white mein na dekha karo, kuch gray areas bhi consider ker lia karo. Mera khyaal he k aaj ki larkay jitnay zumaadaar hein apne aap ko develop kerne mein pehlay kabi nahi thay. Aur Jahaiz ka jahan tak issue he to is mein aik factor yeh bhi hay k ager larkay walay jahaiz lene se inkaar bhi ker dein to bhi larki walay jahaiz pohancha k aatay hein. Taali dono haathon se baj rahi he Aanchal Jani :hairdrayer:
      :thmbup:

      Comment

      • #33
        Re: debate 2..."achay Rishtay kio nahi miltay?"

        Munda_Sialkoty, bohat achay pehluu per aap nay humari tawajju markooz ki hay....

        Waqai aksar aisa dekha gaya hay kay LaRkay waalay jehaz lainay say inkaar kartay hain aur laRki waalay yehi israar kar rahay hotay hain kay hum zaroor dain gain... iss main bohat say andaishay hotay hain.... yaani humaray maashray main jehaz ki la'anat (I am sure I am using the right word for this) itni aam hogayi hay kay agar koi laRki jehaz lay kar naa aayay tou susuraal waalay taana kashi say kaam laitay hain, agar susural waalay nahin tou aRoosi PaRoosi yaa qareebi aur dour kay rishtay daar yeh AAG zaroor laga daitay hain jo shaadi kay tootnay ka bayis bhi bann jaati hain aur laRki ko taanay sunnay ki alag takleef!!!
        sigpic

        Comment

        • #34
          Re: debate 2..."achay Rishtay kio nahi miltay?"

          کیونکہ اپنی تشنہ کامیاں ہم دوسروں سے پوری کرنے کی اُمید میں عام رشتوں کو ٹھکراتے رہتے ہیں
          :star1:

          Comment

          • #35
            Re: debate 2..."achay Rishtay kio nahi miltay?"

            Originally posted by munda_Sialkoty View Post
            Bohat broader topic he, kafi saaray pehlu hein jin per discuss kia ja sakta he. mein apni raye kuch youn doon ga:

            Sub se pehlay to baat yeh ke Achay rishtay ka criteria different loogon ki nazar mein different he. Various elements like sharm-o-heya, pakeezgi, naiki and parallel ethical points, khoobsoorati, business, doolat, zameen jaidaad ko achay rishtay se mansoob kia jata he. Different loogon k nazdeek is achay rishtay ki description different he. Lehaza achay rishtay ki tashreeh he sub se mushkil kaam he.

            Baki baat aa jati he search pe yani Rishta dhoondne mein. Different people have different approaches. Mere khyaal mein acha larka dhoondna ya achi larki dhoondna itna mushkil nahi jitna bana dia gaya he. Most of the time parents remain idle aur wo kuch ziada baag door nahi kerte apne resources ko utilize nahi kerte aur at the end of the day wo accuse kerte hein k acha rishta he nahi mil raha. Aur jub koi acha rishta milta he to loog presume ker lete hein ke larkay ki maan aisi lagti he baap aisa lagta he or so on. Is per bhi mein yeh kahoon ga k ager aap larki k liye larka dhoond rahe hein to aap ziada focus larkay per karein aur us se baat karein k wo kis zehniyat ka malik he na ke aap larkay ko choor ker sirf us ke ghar walon ko focus karein. Isi tarah larki dhoondtay waqt ager aap ko larki pasand aa gai he to us ke ghar walay bohat ziada matter nahi kerte. Aap ko larki ki aadat-o-atwaar shakl-o-soorat se pasand ker lete hein to that should be enough. Jitni ziada peechedgiyoon mein jaein ge utna ziada uljein ge.

            Aakhir mein itna he kahoon ga ke aap kesa he rishta chahtay hoon ager aap thooray se paisay kharch ker ke 2, 3 rishtay kerwanay walon ko yeh task de dein to wo aap ke paas her 2, 3 din mein kuch options le ker hazir ho jaein ge. Baat he walidain ki management ki. Ager wo thooray se paisay bacha ke beth jaein ge to phir yeh baat waqee sahi ho jaye gi k achay rishtay nahi miltay, bulke rishtay he nahi miltay :p
            Originally posted by Aanchal View Post
            ok ..yani aap pesa kharach kar kay rishta karanay waleoo kay hathoo future ko mehfooz samjhtay hoo ..
            yeh rishta kerwane wale kabhi sach nahi batate, iss liye kabhi inn pe belief nahi kerna chahia, or na he un ki through rishta dhoondna chahia, meri nazer mian shadi hamesha kissi jaan'ne waloon mian he kerni chahia, werna boht si batain aisi hoti hian jo baad mian khulti hain, or phir mushkil decision lene perr sakte hain zindagi main

            Comment

            • #36

              sirf 2 members aye hain baki loog kaha hoo :p
              Originally posted by Masood View Post

              باقی اپنے لیے بہتر رشتہ لبھنے گئے ہوئے ہیں 372-haha
              :kr:

              Comment

              • #37
                Re: debate 2..."achay Rishtay kio nahi miltay?"

                Originally posted by Aanchal View Post
                sirf 2 members aye hain baki loog kaha hoo :p
                Originally posted by saraah View Post
                یار یہ کام بالکل مشکل نہیں اس لیے میں کیا جواب دوں :rew:
                tum kahin rishte kerwane wali maayi to nahi ho :p

                Comment

                • #38
                  Re: debate 2..."achay Rishtay kio nahi miltay?"

                  Yaar tuun te aeh v ker k vekh leya ve, per tera to banner he chori ker k le gaya lok, te aaj tak official kanwara he hai :kr:

                  Comment

                  • #39
                    Re: debate 2..."achay Rishtay kio nahi miltay?"

                    Originally posted by munda_Sialkoty View Post
                    Chalo tum rishta kerwanay walon ko rishta dhondney per laga do aur baad mein unhein paisay na dena, mujay to koi aitraz nahi is per :donno:

                    Baat aap ke mindset ki he k aap ki approach kitni positive he aur kitni negative he. Ager rishta apne khandan gali mohalay mein nahi milta, to kia aap kisi chowk pe banner lagao gay?
                    yar tuun te aeh v ker k vekh leya, tere te banner v chori ker k le gaya lokki, te to aaj v officially kanwara he betha hai, haath peela hona ka intezaar ker raha hia, halankeh munh tera peela ho gaya ve :kr

                    Comment

                    • #40
                      Re: debate 2..."achay Rishtay kio nahi miltay?"

                      Originally posted by Aanchal View Post
                      logoo yeh debate ka thread hai cricket ground nahi
                      tum ab ek side pe ho k beth jao, or chup ker k match dekho, muft match dekhne walon ko bolne ka koi haq nahi hota :D

                      Comment

                      • #41
                        Re: debate 2..."achay Rishtay kio nahi miltay?"

                        Originally posted by musaddaq View Post
                        Yaar tuun te aeh v ker k vekh leya ve, per tera to banner he chori ker k le gaya lok, te aaj tak official kanwara he hai :kr:
                        :khi: tujay mein life enjoy kerta acha nai lagta kia
                        :thmbup:

                        Comment

                        • #42
                          Re: debate 2..."achay Rishtay kio nahi miltay?"

                          Originally posted by musaddaq View Post
                          tum ab ek side pe ho k beth jao, or chup ker k match dekho, muft match dekhne walon ko bolne ka koi haq nahi hota :D
                          me to ground ki owner houn :p
                          اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                          اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                          Comment

                          • #43
                            Re: debate 2..."achay Rishtay kio nahi miltay?"

                            Originally posted by musaddaq View Post
                            yeh rishta kerwane wale kabhi sach nahi batate, iss liye kabhi inn pe belief nahi kerna chahia, or na he un ki through rishta dhoondna chahia, meri nazer mian shadi hamesha kissi jaan'ne waloon mian he kerni chahia, werna boht si batain aisi hoti hian jo baad mian khulti hain, or phir mushkil decision lene perr sakte hain zindagi main
                            un ka business hai yeh to koi ghalat cheez dekh bhi li to wo thori apni roozi pay laat maraian gay :lol:
                            اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                            اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                            Comment

                            • #44
                              Re: debate 2..."achay Rishtay kio nahi miltay?"

                              Achay Rishte hmm logo'n ki Demands barh gaye hain , Unhein parhi likhi larki bhi chahiye , lekin kam'umr ho ,Khoobsurat MUST ho , Saleeqa'sha'r bhi ho ,aur buhat sara Jahaiz bhi laey sath main ,tu jab ithni sari demands aik hi larki main dhoondhein jaein tu chargh ley kar hi jana parhey ga na , ab sab khoobiyan tu sab main nahin hotein , maghar log yeh sab bhool jatey hain , even Khud betiyo'n waley yeh baat yaad nahin rakhtey , tu kisi say kia kehnay , tu tabhi ghar baithi larkiyan burhi ho rahi hain :)

                              dosh dein bhi tu kis ko dein hum nay khud hi tu apney miyaar barha diye hain :)
                              Zindagi Thak Gaye ..!!

                              Comment

                              • #45
                                Re: debate 2..."achay Rishtay kio nahi miltay?"

                                Originally posted by La'hasil View Post
                                Achay Rishte hmm logo'n ki Demands barh gaye hain , Unhein parhi likhi larki bhi chahiye , lekin kam'umr ho ,Khoobsurat MUST ho , Saleeqa'sha'r bhi ho ,aur buhat sara Jahaiz bhi laey sath main ,tu jab ithni sari demands aik hi larki main dhoondhein jaein tu chargh ley kar hi jana parhey ga na , ab sab khoobiyan tu sab main nahin hotein , maghar log yeh sab bhool jatey hain , even Khud betiyo'n waley yeh baat yaad nahin rakhtey , tu kisi say kia kehnay , tu tabhi ghar baithi larkiyan burhi ho rahi hain :)

                                dosh dein bhi tu kis ko dein hum nay khud hi tu apney miyaar barha diye hain :)
                                well said
                                :thmbup:

                                Comment

                                Working...
                                X