Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Asslam o Alikum

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #16
    Re: Asslam o Alikum

    Originally posted by Admin View Post

    Zubair baat yeh hui hai keh meri adam mojoodgi mein kuchh na'soor qisam key insaan naey nicks sey register kar key fuhas posts aur threads kartey rahey hain. Ab naey membraan ki posts main moderate karta hoon, jabhi woh post hoti hain. Per don't worry aap ka masla main mintuno mein hal kiyey deta hoon, kya yaad karo gey :)
    Bahot Bahot shokreya...
    abhi sab theek ho geya....acha ye bateye wo aap ki personal website hoa karti thi shaboroz us ka kia hoa
    awr forum k ilawa kia masroofeyaat hain?
    اردو جواب
    سوالات|جوابات|اردو زبان میں

    Comment

    • #17
      Re: Asslam o Alikum

      Originally posted by zindgee View Post
      Walikumussalam....
      Abhi mairi jan main jan aeye hai... Ap k sarey gilay shikway baja.....insha Allah is par tafseel sey bat karain gay...mujahy ahista ahista yahan sey manoos ho janay dain. filhal to main night duty kar k aeya hon awr aj pher night duty hai...mairye paas 6 hour bachay hain sonay k leye...pher agla hafta bhi thora bussy rahay ga q k mairee 2 char din ki training hai.
      bass aap ka reply daikh kar jan main jan aa gaye,,,,,,,,,,,,
      That's Enough...!!

      Comment

      • #18
        Re: Asslam o Alikum

        walekum salam...:welcome:

        Comment

        • #19
          Re: Asslam o Alikum

          Originally posted by zindgee View Post
          Nahi ye bat ghalat hai...
          Main muhtarma nahin hon
          lafz "Zindgee" muzakar ki bajaye monas se associated he. Hope you don't mind it "Mohtaram"
          :thmbup:

          Comment

          • #20
            Re: Asslam o Alikum

            Mazahir bhai maira bhi urdu main likhnay ko bahot dil kar raha hai...laiken abhi mairey system main windows 7 hai awr yahan par main phonetic keyboard install nahin kar pareya. Aik awr website par likh kar jab yahan past kia to kuch harf dabbay ban gaye. Insha Allah is ka bhi soulution ho jaye ga
            Ji maira shehr Talagung sey taqreeban 25 KM k falsey par Kallar Kahar hai. Insha Allah zaroor shadi k maoqa pa mulaqat ho gee
            abhi maira dil kar raha hai k is thread sey thora bahir nikloon
            اردو جواب
            سوالات|جوابات|اردو زبان میں

            Comment

            • #21
              Re: Asslam o Alikum

              Walaikum Assalaam

              Aap ka tah-e-dil say khushamdeed, umeed hay kay aap apni busy zindagi say chand lamhay humaray liye makhsoos kar sakain gain, taakay hum jaisay log aap ki moujoodgi say kuch seekh sakain.

              Main aap ki scorpion_rulz aur admin ki baatain iss post main paRh raha tha aur soch raha tha kay kitna khoobsurat mahool hota hoga jab ahal-e-ilm iss site per apnay ilm ko share kartay hongain, kitna kuch seekhnay ko aur samajhnay ko milta hoga.....!!!

              Bas yehi dua karta hoon kay woh dour phir aajayay, roozgaar aur rozmarra ki zindagi ki justojo zindagi ka aik aham hissa hain magar yeh ZINDAGI nahin!!!

              Be blessed, ALLAH SWT aap logon ko mazeed ilm ata karay aur aap humain uss ilm say mustafeed kartay rahyeh.

              Fi amaan ALLAH
              sigpic

              Comment

              • #22

                http://urdu.ca/type online keyboard check karlaiN sarkar.
                That's Enough...!!

                Comment

                • #23
                  Re: Asslam o Alikum

                  Originally posted by thefire1 View Post
                  Walaikum Assalaam
                  آپ کے محبت بھرے پیغام کا بے حد شکریہ
                  That's Enough...!!

                  Comment

                  • #24
                    Re: Asslam o Alikum

                    Originally posted by thefire1 View Post
                    Walaikum Assalaam

                    Aap ka tah-e-dil say khushamdeed, umeed hay kay aap apni busy zindagi say chand lamhay humaray liye makhsoos kar sakain gain, taakay hum jaisay log aap ki moujoodgi say kuch seekh sakain.

                    Main aap ki scorpion_rulz aur admin ki baatain iss post main paRh raha tha aur soch raha tha kay kitna khoobsurat mahool hota hoga jab ahal-e-ilm iss site per apnay ilm ko share kartay hongain, kitna kuch seekhnay ko aur samajhnay ko milta hoga.....!!!

                    Bas yehi dua karta hoon kay woh dour phir aajayay, roozgaar aur rozmarra ki zindagi ki justojo zindagi ka aik aham hissa hain magar yeh ZINDAGI nahin!!!

                    Be blessed, ALLAH SWT aap logon ko mazeed ilm ata karay aur aap humain uss ilm say mustafeed kartay rahyeh.

                    Fi amaan ALLAH
                    Insha Allah ham sab milkar pegham k pegham ko aagay lay kar chalain gay..Filhal mairey leye dushwari ka baa'es 6 sal ki wo musafat hai jisey aap tay kar chukay hain awr main ne abhi isey tay karna hai..ab daikhna ye hai k main is musafat ko kitnay arsey main tay kar paata hon...?
                    Baqee aap k muhabbat bharey alfaz par tah e dil se aap ka mashkoor hon.
                    اردو جواب
                    سوالات|جوابات|اردو زبان میں

                    Comment

                    • #25
                      Re: Asslam o Alikum

                      Originally posted by ScorpioN_RulzZ View Post
                      http://urdu.ca/type online keyboard check karlaiN sarkar.
                      Bhai jan ye key pad bhi kam nahin kar raha...main jab system main urdu select karta hon urdu likhi jati hai laiken key board phonetic nahin hota. enlgish select kar k is online key pad pa likha nahin jata...filhal mairey pass inpage bhi nahin hai....acha ye bateye inpage ka koi neya vergion aeya hai ya wohi purana abhi tak chal raha hai
                      اردو جواب
                      سوالات|جوابات|اردو زبان میں

                      Comment

                      • #26
                        Re: Asslam o Alikum

                        و عليكم السلام

                        welcome uncle G welcome...

                        waisey tu ap ko bhaijaan kehna tha par choonkey ap Admin uncle or mazahir ammu k zamaney k hain tu ap bhi uncle howey :p

                        anywayz humein buhut khushi howi ap se mil kr....

                        waisey Shaadi mubarak ho...:wink
                        .......................!!!!!

                        Comment

                        • #27
                          Re: Asslam o Alikum

                          Originally posted by BhaTaktii RooH View Post
                          و عليكم السلام

                          welcome uncle G welcome...

                          waisey tu ap ko bhaijaan kehna tha par choonkey ap Admin uncle or mazahir ammu k zamaney k hain tu ap bhi uncle howey :p

                          anywayz humein buhut khushi howi ap se mil kr....

                          waisey Shaadi mubarak ho...:wink
                          جنس تبدیل مت کیجئے گا باقی جیسے آپ کا دل چاہے مخاطب کیجئے
                          ویسے شادی کا ارادہ اگلے مارچ تک ہے اور آپ ابھی سے مبارک ۔۔۔
                          اردو جواب
                          سوالات|جوابات|اردو زبان میں

                          Comment

                          • #28
                            Re: Asslam o Alikum

                            Walaikum Assalaam

                            Alhumdolillah we r fine, how are you?

                            Mai bhi aap ki tarah new member hun Pegham per.

                            Comment

                            • #29
                              Re: Asslam o Alikum

                              Originally posted by zindgee View Post
                              Mazahir bhai maira bhi urdu main likhnay ko bahot dil kar raha hai...laiken abhi mairey system main windows 7 hai awr yahan par main phonetic keyboard install nahin kar pareya. Aik awr website par likh kar jab yahan past kia to kuch harf dabbay ban gaye. Insha Allah is ka bhi soulution ho jaye ga
                              Ji maira shehr Talagung sey taqreeban 25 KM k falsey par Kallar Kahar hai. Insha Allah zaroor shadi k maoqa pa mulaqat ho gee
                              abhi maira dil kar raha hai k is thread sey thora bahir nikloon
                              اسلامُ علیکم
                              محترم ونڈو سیون میں اردو لکھنا کوئی مسلہ نہیںرہا آپ احمر بھائی کا یہ تھریڈ دیکھ لیں شکریہ
                              http://www.pegham.com/showthread.php?t=74054
                              :star1:

                              Comment

                              • #30
                                Re: Asslam o Alikum

                                Originally posted by zindgee View Post
                                جنس تبدیل مت کیجئے گا باقی جیسے آپ کا دل چاہے مخاطب کیجئے
                                ویسے شادی کا ارادہ اگلے مارچ تک ہے اور آپ ابھی سے مبارک ۔۔۔
                                chalye achi baat hai...:lol

                                G mera koi patta nai me rahoon bhi ya nai tub tuk is liye...:wink
                                .......................!!!!!

                                Comment

                                Working...
                                X