Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Asslam o Alikum

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Asslam o Alikum

    Assalam o Alikum
    kaisey hain aap sab log?kuch samaj nahin aa raha kia likhoon...? waisey main is forum ka purana member hon laiken purana ho kar bhi neya hon...
    اردو جواب
    سوالات|جوابات|اردو زبان میں

  • #2
    Re: Asslam o Alikum

    Wa allaikum salaam Zubair bhai

    Kaisey hain aaap? Aap ko ta'aruf karwaney ki zaroorat to parrey gi, magar naey members key liyey - hamara to daman chooli ka saath hai :p

    Kaisey hain aap? Aur kahan hotey hain? Kyun hotey hain? kaisey hotey hain? Rudaad-e-Ishq biyaan ki jaey :p
    مجھے تلاش نہ کر ذوقِ بیخودی سجود
    نظر کی چند شعاعوں میں گھر گیا ہوں میں

    Comment


    • #3
      Re: Asslam o Alikum

      Aslam O alaikum
      hum theek hein
      nahi nahi aap khud ko stranger na smjhein......yeh batain kitne arsse baa daay hein......yahn boht kuch badla he aur aao ko shaed ajeeb sa lag rha he....aate rahein ge to phir se apna apna lagneun lage ga.................aur agger bhaag gaye to .........phir her waqt hi aap kud ko nya hi mehsooos karein ge!!!!!!!!!

      challein sabh ko batain aap kiyuhn chaale gaye the?

      kiya kiya iss arsse mien?

      um dinuhn mein kiss member se zyada gup shp /jaan pehchaan thi?

      aur abh aai hein to konsee members aap ghum paa rahe hein...yanni abh mojood nahi?

      shukrya


      sigpic

      Comment


      • #4
        Re: Asslam o Alikum

        وعلیکم اسلام جی
        جی آیاں نوں آپ ہی کا گھر ہے جب چاہے ائیں جب چاہے جائیں لیکن اسے سرائے نہ سمجیں کہ کبھی کبھار ہی آئیں
        :star1:

        Comment


        • #5
          Re: Asslam o Alikum

          Zubair bhai.....

          Joo dill main haii khull keh kehh dain,yahan koi b ajnabi nai,sab dost hain
          "Can you imagine what I would do if I could do all I can? "

          Comment


          • #6
            Re: Asslam o Alikum

            Originally posted by Admin View Post
            Wa allaikum salaam Zubair bhai

            Kaisey hain aaap? Aap ko ta'aruf karwaney ki zaroorat to parrey gi, magar naey members key liyey - hamara to daman chooli ka saath hai :p

            Kaisey hain aap? Aur kahan hotey hain? Kyun hotey hain? kaisey hotey hain? Rudaad-e-Ishq biyaan ki jaey :p

            Masood bhai roodad to ahista ahista hi suna paoon ga......mukhtasir ye hai k main us waqt Pakistan main job karta tha jab aap ne pegham ki bunyad rakhi awr main yahan par register hoa pher taqdeer k bhanwar main chakar khata main Pakistan sey bahir aa geya awr pichlay teen sal sey dubai main emirates airline main kam kar raha hon...abhi is umeed k sath yahan aeya hon k ab pegham sey apna rishta mazboot rakhon ga
            insha Allah mazeed batain hoti rahain gee
            اردو جواب
            سوالات|جوابات|اردو زبان میں

            Comment


            • #7
              Re: Asslam o Alikum

              yar sab theek hai magar main jo bhi post karon faoran appear nahin hoti
              اردو جواب
              سوالات|جوابات|اردو زبان میں

              Comment


              • #8
                Re: Asslam o Alikum

                Wa Alaikum Aslam,

                Welcome MOHTARMA
                :thmbup:

                Comment


                • #9
                  Re: Asslam o Alikum

                  Originally posted by zindgee View Post
                  Assalam o Alikum
                  kaisey hain aap sab log?kuch samaj nahin aa raha kia likhoon...? waisey main is forum ka purana member hon laiken purana ho kar bhi neya hon...
                  w/salam,

                  samajh to mujhay bhi nahe aa raha kay kia likhoon, aur agar likh dia to woh delete ho jaiy ga...

                  kash tum mery samnay hotay :@ banda kabhi mail he kar daita hai :@
                  That's Enough...!!

                  Comment


                  • #10
                    Re: Asslam o Alikum

                    Originally posted by munda_Sialkoty View Post
                    Wa Alaikum Aslam,

                    Welcome MOHTARMA
                    Nahi ye bat ghalat hai...
                    Main muhtarma nahin hon
                    اردو جواب
                    سوالات|جوابات|اردو زبان میں

                    Comment


                    • #11
                      Re: Asslam o Alikum

                      Masood bhai mairey account k sath kuch masla hai ya sab ki post approve honay k bad hi apear hoti hain....main pm bhi nahi kar sakta. Please is problem ko solve kar dain agar ye sirf mairey sath hi hai to...agar forum k qawaneed itnay sakht hain to pher to guzara karna hi parey ga.....chalo moderator bhai is ko jald aprove kar do
                      اردو جواب
                      سوالات|جوابات|اردو زبان میں

                      Comment


                      • #12
                        Re: Asslam o Alikum

                        Originally posted by ScorpioN_RulzZ View Post
                        w/salam,

                        samajh to mujhay bhi nahe aa raha kay kia likhoon, aur agar likh dia to woh delete ho jaiy ga...

                        kash tum mery samnay hotay :@ banda kabhi mail he kar daita hai :@
                        Walikumussalam....
                        Abhi mairi jan main jan aeye hai... Ap k sarey gilay shikway baja.....insha Allah is par tafseel sey bat karain gay...mujahy ahista ahista yahan sey manoos ho janay dain. filhal to main night duty kar k aeya hon awr aj pher night duty hai...mairye paas 6 hour bachay hain sonay k leye...pher agla hafta bhi thora bussy rahay ga q k mairee 2 char din ki training hai.
                        bass aap ka reply daikh kar jan main jan aa gaye,,,,,,,,,,,,
                        اردو جواب
                        سوالات|جوابات|اردو زبان میں

                        Comment


                        • #13
                          Re: Asslam o Alikum

                          Mujhey behad afsos hota hai keh jo qabil aur kuchh kar key dikha sakney key ahal hain, unhein fikar-e-roz'gaar hi nahin chhorrta aur woh zindagi key paich-o-khum mein jakrrey huwey hain, aur jo waqt bar'baad karney key siwa kuchh nahin karna jaantey, woh himma waqt net per bethey rehtey hain (merey jaisey :p). Zubair aap jaisey log jis mehfil mein hongey, woh mehfil sajney lagey gi :)

                          I look forward to 'old days' with u and Mazahir :)
                          مجھے تلاش نہ کر ذوقِ بیخودی سجود
                          نظر کی چند شعاعوں میں گھر گیا ہوں میں

                          Comment


                          • #14
                            Re: Asslam o Alikum

                            Originally posted by zindgee View Post
                            Masood bhai mairey account k sath kuch masla hai ya sab ki post approve honay k bad hi apear hoti hain....main pm bhi nahi kar sakta. Please is problem ko solve kar dain agar ye sirf mairey sath hi hai to...agar forum k qawaneed itnay sakht hain to pher to guzara karna hi parey ga.....chalo moderator bhai is ko jald aprove kar do
                            Zubair baat yeh hui hai keh meri adam mojoodgi mein kuchh na'soor qisam key insaan naey nicks sey register kar key fuhas posts aur threads kartey rahey hain. Ab naey membraan ki posts main moderate karta hoon, jabhi woh post hoti hain. Per don't worry aap ka masla main mintuno mein hal kiyey deta hoon, kya yaad karo gey :)
                            مجھے تلاش نہ کر ذوقِ بیخودی سجود
                            نظر کی چند شعاعوں میں گھر گیا ہوں میں

                            Comment


                            • #15
                              Re: Asslam o Alikum

                              Originally posted by Admin View Post
                              Mujhey behad afsos hota hai keh jo qabil aur kuchh kar key dikha sakney key ahal hain, unhein fikar-e-roz'gaar hi nahin chhorrta aur woh zindagi key paich-o-khum mein jakrrey huwey hain, aur jo waqt bar'baad karney key siwa kuchh nahin karna jaantey, woh himma waqt net per bethey rehtey hain (merey jaisey :p). Zubair aap jaisey log jis mehfil mein hongey, woh mehfil sajney lagey gi :)

                              I look forward to 'old days' with u and Mazahir :)
                              Masood Bhai fikre rozgar k ilawa koi chara bhi to nahin hai..Jis kisi ne bhi ye kaha hai bilkul baja kaha hai k "Yar zinda suhbat baqee" zindagee rahey to banda mil hi jata hai. Abi zindgee ki masroofeyat awr barney wali hai is oct. tak ya next year mar. tak shadi ka bhi irada hai...laiken insha Allah ab Ap k sath taluq mazboot rahay ga.
                              aik awr guzarish hai aap sey...k agar aap k leye easy hai to is forum par urdu fonts awr urdu key board support bhi add kar dain.
                              اردو جواب
                              سوالات|جوابات|اردو زبان میں

                              Comment

                              Working...