Announcement
Collapse
No announcement yet.
Unconfigured Ad Widget
Collapse
Pardais ke Dukh.
Collapse
X
-
Re: Pardais ke Dukh.
Originally posted by AbgeenA View Postmera bhai pehle ese hi udas rehta tha..abhi bhabi bache chale gaey to mashAllah abhi khush to zeada miss insan apne piyare logon ko karta he...wese achi sharing he
Originally posted by S.A.Z View Postاسلام علیکم
انتہائی کڑوا سچ
میں یہاں جن لوگوں کے ساتھ رہ رہا ہوں اُن میں سے اکثر کی آپ بیتیاں اتنی تلخ ہیں کہ بسس
Walaikumsalam, haan ji, jo loog Predes mein rahtay hain unki stories ek dosray se milti julti hi hoti hain normally.Kis nooN haal sunawaN dil daa ....Koi mehram raaz nai mildaaa!
Sadly, common sense is not very common..!!
Comment
-
Re: Pardais ke Dukh.
Assalaam-O-alaikum Gumshuda
Bohat khoob janab, bohat hi khoobsurti say shaayer nay dastaan-e-musaafir ko inn khoobsurat nasar main dhaala hay, aisa lagta hay kay karb-e-dil alfaaz ki shakaal main manzar-e-aam per aagaya hooo!
Waqayi pardes main reh kar insaan ko apnoo ki ehmiyat ka ehsaas hota hay, jab watan say door hota hay tou yehi watan jisay hum pathroon aur aag ka nishaana banatay hain bohat piyara lagta hay, watan kay log jinn say baat baat per laR martay hain woh apnay apnay say lagnay lagtay hain...... Watan say dooor reh kar hi asal main WATAN SAY ASHNAYEE hoti hay...... Baybas hokar hi pata chalta hay kay kiya kuch bas main hay!
Waisay main Ummid jee ki baat say mutafiq hoon kay FAMILY waqayi ahmiyat rakhti hay, family kay saath reh kar watan ki yaad kuch aisay nahin aati jiss tareeqay say yahan bayan hay magar har koi tou family rakhna afford nahin kar sakta, aksar-o-paishtar log aisay hi halaat say do-chaar hotay hain...... PARDES main reh kar insaan KHUDH SHANAAS hojaata hay kiyonki uss kay andaar BAY LOOS MOHABBAT ka jazba paida hojaata hay, aisi MOHABBAT jo kisi LAALACH ka shikaar nahin hoti, aisi MOHABBAT jo kisi BADLAY ki mohtaaj nahin hoti.....!
Aaik baar phir aap ka shukriya Gumshuda sahab, aisi hi khoobsurat sharing kartay rahyeh, jazbaat-e-dil khudh ba khudh ungliyoon kay zaryeh iss keyboard say iss screen per bikhartay rehtay hain :)
fi amaan ALLAHsigpic
Comment
Comment