Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

jaldi jaldi me....

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #31
    Re: jaldi jaldi me....

    Originally posted by ummid View Post
    Thanks :P
    Aap to mujay sharminda he ker rahi hein thanks keh ke ;)
    :thmbup:

    Comment

    • #32
      Re: jaldi jaldi me....

      Originally posted by ummid View Post
      dahi daal lo :wink
      Originally posted by GumShuda View Post

      Ap eik kaam kerein , os mein milk cream daal Lein aur thora sa bhoon lein inshAllah mild ho jayein gein mirchein.

      theek

      Comment

      • #33
        Re: jaldi jaldi me....

        Originally posted by GumShuda View Post

        @ topic
        Bohat acha point raise Kia hai apne. Humein awareness ki zaroorat hai, I will reply in detail inshAllah. Ajkal thori masroofiat hai aur time nai milta ghar Baith key type keron coz mostly mein mobile se visit karta hoon aur wo bhi tab jab train mein travel ker raha hoota hoon, es liye detail mein reply nahi ker pata aur short post kerta hoon.

        ap k detail me reply ka intezar rahe ga

        Comment

        • #34
          Re: jaldi jaldi me....

          Originally posted by munda_Sialkoty View Post
          Tum ko sor'kaal pendi hundi to tum ko pata hota na
          :think:

          Comment

          • #35
            Re: jaldi jaldi me....

            Originally posted by munda_Sialkoty View Post
            Aata sahi se goondh ke us ka bara sa peera nehaari mein daal do, wo khafi saari mirchein kha le ga. Phir tum ke nehari mein mirchein kum ho jaein gi. Thoora sa doodh ya dahi bhi add ker lo.

            Ager phir bhi mirchein kum hoon to khana khatay waqt juice ka glass saath rakho sip le le ke khana khao ;)
            ap yakinan achi nihari bnate hon ge:lol

            Comment

            • #36
              Re: jaldi jaldi me....

              Originally posted by AbgeenA View Post
              ahista ahista kaam kia karo:tasali:
              :shyy:kya batau susral ka maamla hai to pir:garmi:

              Comment

              • #37
                Re: jaldi jaldi me....

                Originally posted by mehreen View Post
                :shyy:kya batau susral ka maamla hai to pir:garmi:
                oohh acha...phir theek he susral k moamle me jaiz he ..tez tez kaam kia karo:lol

                Comment

                • #38
                  Re: jaldi jaldi me....

                  Originally posted by AbgeenA View Post
                  ap yakinan achi nihari bnate hon ge:lol
                  Ji mein her tarah ki nehaari bohat achay tareekay se kha leta hoon :wink
                  :thmbup:

                  Comment

                  • #39
                    Re: jaldi jaldi me....

                    Originally posted by AbgeenA View Post
                    Aslamoalikum:hii:
                    me soch rahi thi k zindagi me kitni bhaag dor lagi he ham har kaam jaldi jaldi me karne k aadi ho gaey hen,khana peena,sona jagna...even namaz bhi jaldi jaldi me ada ki jati he k next koi or kaam muntazir hota he....afratafri ka sa alaam lagta he...ap bataen k ap kitne kaam sakoon se karte hen or konse kaam bhagte dorte karte hen....ap ki zindagi me kitna thehrao he.....
                    Walaikumsalam

                    Darasal, mein aksar compare kerta hoon apnay culture ko aur taraqi yafta mulkoon ke culture se.
                    Humaray culture mein yeh baat hai keh hum kehtay kuch hai aur kertay kuch aur hain a simple example, Ek baap apnay betay ko samjha raha hota hai aur Baap apnay betay ko kehta hai keh beta jhoot boolna buri baat hai aur esi darmyaan darwazay pe dastak hoti hai aur Baap apnay betay ko bhaijta hai keh beta dekho bahir kaun hai agar WO insaan ho tu kehna mein ghar pe nahi hoon.
                    Hum sab kehtay hain keh hum muslmaan hain lekin ap majority ko dekhein amli taur per koi bhi follow nahi ker raha ho ga.

                    Aisay hi humein bachpan se kaha jata hai keh beta Sunnat hai keh har kaam araam se kerna chahiye, lekin jab kaam ki baari aati hai tu har koi kehta hai jaldi jaldi kaam khatam kero phir jo marzi ker laina. Bachpan se humain amli taur per jaldi kerna sikhaya jata hai.

                    Humaray culture mein patience bilkul nahi hai hum sab loog mostly bay-sabri ka muzahira kartay hain ap kisi bi public gathering ko dekh laina ap ko bohat kam loog tolerant nazar ayein gey.

                    I think, ek reason awareness bhi hai, education ki zaroorat bhi hai lekin bohat se educated loog apko ajeeb ajeeb harkatein kertay nazar ayein gey. Es ka yahi matlab hai keh Loog poori tarah aware hi nahi hain. Jaisay Ashfaq Ahmad sahib kehtay hain keh humari awaam qatar tu bana letay hain lekin bohat jaldi osko toor detay hain aur bilkul bhi intezar nahi kertay.

                    Ek aur important cheez hai wo hai planning, hum loog planning bilkul nahi kertay aur es liye humaray paas koi Plan B ya Plan C nahi hota if things go wrong, aur jaldi jaldi mein kaam kharab ker detay hain ya ulajh jatay hain.

                    Aur haan courtesy ko bhi nahi bhoolna chahiye, yeh bohat aham cheez hai. Hamaisha doosroon ko importance dein unless koi emergency na ho. For example, traffic ko hi le lein, humaray haan bohat zayada disorganised hai. Har kisi ko office/ghar pohnchanay ki jaldi hoti hai aur traffic block ho jati hai esi mein. Koi kisi ko rasta nahi deta koi kisi ke liye wait nahi kerta. Agar hum sab doosron ko rasta dein unkay liye wait kerein tu mera khayal hai keh hum har jagah sakoon se pohanch saktay hain Aur Agar late honay ka dar bhi ho tu ghar/office se 10 minute pehlay niklein.

                    Personally, mein zayada taur pe bohat laid back hoon aur bohat araam se kaam kerta hoon pehlay ki nisbat aur apnay apko hamaisha break deta hoon. Kisi bhi task ko apnay sar per sawar nahi kerta eska yeh matlab nahi keh mehnat nahi kerta. Aur esi liye mujhe kabhi mayoosi nahi hoti, Alhamdulillah. Chothi chothi baat pe ghusa nahi kerta. Ghar walay dant rahay hotay hain aur mein hanas raha hota hoon. Mera maan'na hai keh,Har kaam ho hi jata hai agar thora sa late bhi ho jaye ga tu koi masla nahi aur Khuda na khawasta agar nahi bhi hota tu os mein koi na koi behtri hoti hai apkay liye.

                    I think, Humain koshish kerni chahiye keh jo chezein humain pata hain aur dosray nahi jantay ya waisa nahi kertay tu unko encourage kerna chahiye takay unko bhi achi chezon ki adat ho jaye. mera khayal hai thora zayada ho gaya nahi? :$
                    Wasalam
                    Kis nooN haal sunawaN dil daa ....Koi mehram raaz nai mildaaa!
                    Sadly, common sense is not very common..!!

                    Comment

                    • #40
                      Re: jaldi jaldi me....

                      Originally posted by munda_Sialkoty View Post
                      Ji mein her tarah ki nehaari bohat achay tareekay se kha leta hoon :wink
                      tabhi hazma kharab rehta he:lol

                      Comment

                      • #41

                        haan thora zeada ho gya:lol
                        lekin ap k khiyalaat jan kar acha laga....shurkia

                        Comment

                        • #42
                          Re: jaldi jaldi me....

                          Originally posted by AbgeenA View Post
                          oohh acha...phir theek he susral k moamle me jaiz he ..tez tez kaam kia karo:lol
                          na un k liye kyu jaez hai

                          Comment

                          • #43
                            Re: jaldi jaldi me....

                            aaj jaldi jaldi mein me se gar bar hogai.... train fast thi me ne dekha nahi... or charh gai... me ko slow train leni thi.... OMG... me ko kai station peeche aana para.... 7 baje ki appointment 8:30 tak delay hogai :s

                            Comment

                            • #44
                              Re: jaldi jaldi me....

                              Originally posted by AbgeenA View Post
                              tabhi hazma kharab rehta he:lol
                              Aik na aik din to khai hui cheez hazam ho he jati he
                              :thmbup:

                              Comment

                              • #45
                                Re: jaldi jaldi me....

                                hey Lost:P

                                ap k comments buhut achey lagey...really liked dem...:thmbup:

                                Originally posted by GumShuda View Post

                                Aur haan courtesy ko bhi nahi bhoolna chahiye, yeh bohat aham cheez hai. Hamaisha doosroon ko importance dein unless koi emergency na ho. For example, traffic ko hi le lein, humaray haan bohat zayada disorganised hai. Har kisi ko office/ghar pohnchanay ki jaldi hoti hai aur traffic block ho jati hai esi mein. Koi kisi ko rasta nahi deta koi kisi ke liye wait nahi kerta. Agar hum sab doosron ko rasta dein unkay liye wait kerein tu mera khayal hai keh hum har jagah sakoon se pohanch saktay hain Aur Agar late honay ka dar bhi ho tu ghar/office se 10 minute pehlay niklein.
                                or ye baat mai humesha bhai se kehtii hoon....10 min pehley nikla karo ghar se or dheerey se drive karo....par waq'ee aj kul sub k zehnoon par shaitaan inna sawaar hai k bus har kaam mai jaldii even driving bhi...
                                .......................!!!!!

                                Comment

                                Working...
                                X