Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

jaldi jaldi me....

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • jaldi jaldi me....

    Aslamoalikum:hii:
    me soch rahi thi k zindagi me kitni bhaag dor lagi he ham har kaam jaldi jaldi me karne k aadi ho gaey hen,khana peena,sona jagna...even namaz bhi jaldi jaldi me ada ki jati he k next koi or kaam muntazir hota he....afratafri ka sa alaam lagta he...ap bataen k ap kitne kaam sakoon se karte hen or konse kaam bhagte dorte karte hen....ap ki zindagi me kitna thehrao he.....


  • #2
    Re: jaldi jaldi me....

    اسلام علیکم
    آج کل کی بھاگ دوڑ کی زندگی کے حوالے سے بہت عمدہ تھریڈ۔
    بے شک آپ نے صحیح کہا ایک عجیب سی افراتفری کا عالم ہے،نہ جانے انسان کو کیا جلدی ہے کہ وہ ہر کام جلدی جلدی میں نبٹانا چاہتا ہے؟
    کبھی کبھی تو میں سوچتا ہوں کہ کیا من حیث الانسان ہمیں اپنے انجام کی جلدی تو نہیں کہ دنیا اختتام پزیر ہو جائے
    ہمارے بڑے بتاتے ہیں کہ آٹا پیسنے سے لے کر لکڑیوں کے چولہوں پر ہانڈیاں پکانے تک کے سبھی کام خواتین گھروں میں خود کرتی تھیں میری ماں جی بتاتی تھیں کہ وہ بھائیوں(مطلب میرےمامووں) کے کپڑے سوئیٹر ہاتھوں سے سیتی تھیں(آج کل کی خواتین کو تو شائد سوئیٹر کی سلائیاں تک ہاتھ میں پکڑنا نہیں آتا ہوگا) اپنے دوپٹوں پر کروشئئے سے ڈیزائن وغیرہ خود تیار کرتی تھیں۔ یہ سب کچھ بغیر مشینوں کے کرنے کے باوجود رات کو مغرب کے بعد سونے چلے جاتے تھے۔
    لیکن اس دور میں ہر کام مشینوں سے اور ریڈی میڈ ہو کر بھی ہم لوگ سکون کی نیند تک نہیں لے پاتے
    جہاں تک میری زات کا تعلق ہے تو میں موقع مناسبت کے حساب سے کبھی بہت جلدی جلدی اور کبھی سکون سے کا سر انجام دیتا ہوں۔
    اس خوبصورت تھریڈ پر "ریپو پوائنٹ "حاضر ہے
    اللہ جی آپ کو شاد رکھیں آباد رکھیں آمین
    Last edited by S.Athar; 29 November 2010, 09:10.
    :star1:

    Comment


    • #3
      Re: jaldi jaldi me....

      aap nay acha point raise kiya hai.... yahan her eik ko jaldi hai.... wese mein bhi kaafi kaam jaldi jaldi karnay ki koshash karti hoon aur kuchh kaam aisay hotay hain jin ko mein ahista se ada karti hoon jese kuchh aisay kaam jis mein meri apni koi khaas interest na ho....

      wese kahtay hain jaldi ka kaam shaitaan ka hota hai.....
      sigpic

      Comment


      • #4
        Re: jaldi jaldi me....

        ap dono k reply or repu ka shukria:rose

        Comment


        • #5
          Re: jaldi jaldi me....

          و عليكم السلام

          jaldi lo ..jaldi do..jaldi aao ..jaldi jaao...jaldi khao ...jaldii piyo..jaldi uho ..jaldi baitho..

          har order k saath "jaldi" jaisey ye jaldi k baghair hmarii har baat adhoori hai...jub k kehtey hain k khushi ka raaz dheerey se kaam karney main hai..tehrao main hai..or jaldii tension or pareshaani ka ba'es banti hai..hamarey ander aik ehsaas paida karti hai of being sorry..aik nidamat ka ehsaas..aney waley se khof ka ehsaas..kyunki jaldi jaldi me humein saaf nazar nai araha hota k agey kya honey wala hai ya hosakta hai...


          Par hum jaldi kartey kyun hain???

          kyunki Insaan ki fitrat main hi ye baat Allah ne daal di hai...

          irshaad'e'Baari ta'ala hai :
          " خلق الانسان من عجل "

          Insaan A'jal se paida kiya gaya hai....yani us ki abiyat main is qadar ye baat daal di gayi hai k lagey k bus Insaan tu paida hi jaldi se kiya gaya hai..hum har cheez main jaldi kartey hain chahey koi amal ho ya us amal ka anjaam dekhna ho tu...

          Or hamarii is Jaldii ki kuch misalein..

          jaisey walidain apni aulaad ko namaaz ki pabandii ka sabaq sikhatey tu hain or phir us ka phal bhi dekhney main buhut jaldii kartey hain...bina usey namaz k waqt k baarey main us k farayiz ..us k wajibaat k baarey main kuch bataye...

          jaisey har amal or ibadat ka nateeja jaldii dekhney ki raghbat..

          so koi ajab baat na hogi agar hum kahein k yahii jaldi hi tu hai jo hamarey a'maal ka asal hai..


          So jaldii ka matlub kya hai..yani har cheez ko waqt se pehley karna ya hota dekhna..

          Kya jaldi karna theek hai..sahee hai???

          Akhirat k a'maal main jaldii karna Allah ko passand hai..balkey is ka hukam bhi hai..

          (سابقوا الى مغفرة من ربكم)

          or Tehrao k baarey main...

          Aik hadees ka mafhoom hai..."Tehrao har cheez main siwaye akhirat k a'maal k"..


          SO Tehrao k apney mawazi'e hain or Jaldi k apney..or har ma'mely ko dekh kar jaanch kar insaan ko faisla karna chahye k ab yahan jaldii ka kaam hai ya ruk kar teher kar dheerey se kaam liya jaye...


          jahan tuk rahi meri baat tu ye sub kuch jan'ney k bawajood...jitna bhi main apna time table set kar k kaam karoon kuch faida nai karta...becuz mera ye hota hai k "agar koi kaam aj hosakta hai tu kul kyun??or agar abhi hosakta hai tu baad main kyun???" sub kuch jaldi jaldi.. is k bawajood yaqeen janye din mai sirf aik waqt ka khana or do teen din mai sirf 2/3 ghantey sona...yahii mera routine bun gaya hai...bus Allah ka shukar hai k Namaaz or deegar ibadaat main jitna waqt lag sakta hai lagatii hoon...Allah (ma best friend) se baatein karna buhut acha lagta hai is liye..
          Last edited by BhaTaktii RooH; 30 November 2010, 12:55.
          .......................!!!!!

          Comment


          • #6
            Re: jaldi jaldi me....

            jaldi jaldi... saare hi kaam... jaise me ghar aai ho abhi lunch karne jaldi jaldi lunch kar ke clinic jana hai... : (

            Comment


            • #7
              Re: jaldi jaldi me....

              Originally posted by ummid View Post
              jaldi jaldi... saare hi kaam... jaise me ghar aai ho abhi lunch karne jaldi jaldi lunch kar ke clinic jana hai... : (
              Bohat umda tehreer he. Allah ji aap ko shaad rakhein aabad rakhein, jaldi jaldi mein :garmi:
              :thmbup:

              Comment


              • #8
                Re: jaldi jaldi me....

                Originally posted by AbgeenA View Post
                Aslamoalikum:hii:
                me soch rahi thi k zindagi me kitni bhaag dor lagi he ham har kaam jaldi jaldi me karne k aadi ho gaey hen,khana peena,sona jagna...even namaz bhi jaldi jaldi me ada ki jati he k next koi or kaam muntazir hota he....afratafri ka sa alaam lagta he...ap bataen k ap kitne kaam sakoon se karte hen or konse kaam bhagte dorte karte hen....ap ki zindagi me kitna thehrao he.....
                Ni kuriye gul te toon sai keeti aye, her kisay nu soor'kaal e pai hoi aye
                :thmbup:

                Comment


                • #9
                  Re: jaldi jaldi me....

                  Originally posted by munda_Sialkoty View Post
                  Ni kuriye gul te toon sai keeti aye, her kisay nu soor'kaal e pai hoi aye
                  jaldi jaldi main bus itna hi likh paye...
                  .......................!!!!!

                  Comment


                  • #10
                    Re: jaldi jaldi me....

                    Originally posted by BhaTaktii RooH View Post
                    jaldi jaldi main bus itna hi likh paye...
                    h...........................................a..... ..............................n (time nai he)
                    :thmbup:

                    Comment


                    • #11
                      Re: jaldi jaldi me....

                      Originally posted by munda_Sialkoty View Post
                      h...........................................a..... ..............................n (time nai he)
                      woow ap tu barrey bzy hain.....jaldi jaldi me...:lol
                      .......................!!!!!

                      Comment


                      • #12
                        Re: jaldi jaldi me....

                        Originally posted by BhaTaktii RooH View Post
                        و عليكم السلام

                        jaldi lo ..jaldi do..jaldi aao ..jaldi jaao...jaldi khao ...jaldii piyo..jaldi uho ..jaldi baitho..

                        har order k saath "jaldi" jaisey ye jaldi k baghair hmarii har baat adhoori hai...jub k kehtey hain k khushi ka raaz dheerey se kaam karney main hai..tehrao main hai..or jaldii tension or pareshaani ka ba'es banti hai..hamarey ander aik ehsaas paida karti hai of being sorry..aik nidamat ka ehsaas..aney waley se khof ka ehsaas..kyunki jaldi jaldi me humein saaf nazar nai araha hota k agey kya honey wala hai ya hosakta hai...


                        Par hum jaldi kartey kyun hain???

                        kyunki Insaan ki fitrat main hi ye baat Allah ne daal di hai...

                        irshaad'e'Baari ta'ala hai :
                        " خلق الانسان من عجل "

                        Insaan A'jal se paida kiya gaya hai....yani us ki abiyat main is qadar ye baat daal di gayi hai k lagey k bus Insaan tu paida hi jaldi se kiya gaya hai..hum har cheez main jaldi kartey hain chahey koi amal ho ya us amal ka anjaam dekhna ho tu...

                        Or hamarii is Jaldii ki kuch misalein..

                        jaisey walidain apni aulaad ko namaaz ki pabandii ka sabaq sikhatey tu hain or phir us ka phal bhi dekhney main buhut jaldii kartey hain...bina usey namaz k waqt k baarey main us k farayiz ..us k wajibaat k baarey main kuch bataye...

                        jaisey har amal or ibadat ka nateeja jaldii dekhney ki raghbat..

                        so koi ajab baat na hogi agar hum kahein k yahii jaldi hi tu hai jo hamarey a'maal ka asal hai..


                        So jaldii ka matlub kya hai..yani har cheez ko waqt se pehley karna ya hota dekhna..

                        Kya jaldi karna theek hai..sahee hai???

                        Akhirat k a'maal main jaldii karna Allah ko passand hai..balkey is ka hukam bhi hai..

                        (سابقوا الى مغفرة من ربكم)

                        or Tehrao k baarey main...

                        Aik hadees ka mafhoom hai..."Tehrao har cheez main siwaye akhirat k a'maal k"..


                        SO Tehrao k apney mawazi'e hain or Jaldi k apney..or har ma'mely ko dekh kar jaanch kar insaan ko faisla karna chahye k ab yahan jaldii ka kaam hai ya ruk kar teher kar dheerey se kaam liya jaye...


                        jahan tuk rahi meri baat tu ye sub kuch jan'ney k bawajood...jitna bhi main apna time table set kar k kaam karoon kuch faida nai karta...becuz mera ye hota hai k "agar koi kaam aj hosakta hai tu kul kyun??or agar abhi hosakta hai tu baad main kyun???" sub kuch jaldi jaldi.. is k bawajood yaqeen janye din mai sirf aik waqt ka khana or do teen din mai sirf 2/3 ghantey sona...yahii mera routine bun gaya hai...bus Allah ka shukar hai k Namaaz or deegar ibadaat main jitna waqt lag sakta hai lagatii hoon...Allah (ma best friend) se baatein karna buhut acha lagta hai is liye..
                        itne mukamal or tafseeli jawab k leay behad shukria:rose

                        Comment


                        • #13
                          Re: jaldi jaldi me....

                          Originally posted by ummid View Post
                          jaldi jaldi... saare hi kaam... jaise me ghar aai ho abhi lunch karne jaldi jaldi lunch kar ke clinic jana hai... : (
                          haan sab isi me to mubtila hen..jaldi jaldi or bas jaldi

                          Comment


                          • #14
                            Re: jaldi jaldi me....

                            Originally posted by munda_Sialkoty View Post
                            Ni kuriye gul te toon sai keeti aye, her kisay nu soor'kaal e pai hoi aye
                            ki pai hui hey?:think:

                            Comment


                            • #15
                              Re: jaldi jaldi me....

                              Originally posted by AbgeenA View Post
                              ki pai hui hey?:think:
                              sor'kaal
                              :thmbup:

                              Comment

                              Working...
                              X