Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

parveen shakir ki 58th birth day

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #16
    Re: parveen shakir ki 58th birth day

    One of my Fav. Ghazal of Parveen Shaki..


    Chehra mera tha nighaein us ki,

    Khamoshi mein bhi woh baatein us ki,

    Mere chehre per Ghazal likhti gayein,

    Shair kehti hui ankhien us ki,

    Shokh lamhon ka pata dene lagi,

    Tez hoti hui saansein us ki,

    Aise mosam bhi guzara hum ne,

    Subahain jab apni thi shaamein us ki,

    Dehaan me us ke ye aalam tha kabhie,

    Aankh mehtaab ki yaadein us ki,

    Faisla mauj-e-hawa ne likha,

    Aandhiyan meri baharein us ki,

    Neend iss soch se tuti akser,

    Kis tarah kat'ti hein raatein us ki,

    Door reh ke bhi sada rehti hein,

    Mujh ko thaame hue baahein us ki...!



    Allah-o-Akbar Kabeera, Wal Hamdulillaah-e-Kaseera, Subhan Allah-e-Bukratan-wa-Aseela

    Comment


    • #17
      Re: parveen shakir ki 58th birth day

      achi shaira thi.....kuch poems un ki wakai zabardast hen

      Comment


      • #18
        Re: parveen shakir ki 58th birth day

        Originally posted by ambreen_shaam View Post
        parveen shakir by the way eik heeee shakhsiyat hain..... jese munda sialkoty eik hain vese vo bhi eik hain
        Hum sub aik he ;)
        :thmbup:

        Comment

        Working...
        X