Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Insecurity...!!

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Insecurity...!!

    Assalam o Alaikum

    kabhi aap logo ko aesa lagta he ke app jo he...aik chalti phirti 5'6 Ft ki building wo kisi bhi waqt aese dhair ho gi ke kisi ko ilm bhi nahi ho ga aur app toot chuke hounge....


    app ke jo concepts thay xindagi ke..wo kisi point pe ja kar ghalat sabit hojae ge....
    app ke jo concepts thay kisi shaks k bare me...wo kisi point pe ja ka change ho jaein ge...
    app jis ground per naiki aur Achae kamo'n ki bunyad rakh rahe thay...kisi point pe ja kar wo ground hi khokla nikal aaye...


    agar aesa hua to app kia reh jaeyein ge...na idher k reh paein ge na udhar k....phir app kia karein ge...:-S

    kabhi app ko insecurity feel hoti he..k app jo kar rahe he wo ho sakta he agay ja kar pata chale k sahi nahi...??

    may be aesa feel karna lack of SELFCONFIDENCE ho ya may be aesa feel NA karna OVERCONFIDENCE ho..ya kuch aur!!


    kisi cheez ki peak par ja kar app ko pata chale k app jis raaste se yaha tuk aae he, dar haqequt wo rassta kabhi peak pe le ja hi nahi sakta...to app khud ko kesa mehsoos karein ge....kya app me itni taqat ho gi ke app kisi dosre raste pe chalna shru karsakein:donno:


    ajeeb sa topic ho gaya...shayd hi samjh aae...mjhe khud samjh nahi aya


  • #2
    Re: Insecurity...!!

    great yaar maza agia kasam sy bilkul samj nahi I

    Comment


    • #3
      Re: Insecurity...!!

      Wa Alaikum Aslam,

      Bohat achi tehreer he. Nice sharing
      :thmbup:

      Comment


      • #4
        Re: Insecurity...!!

        Oh yaad aaya Bablu ne to questions bhi kiye hein.

        Dekho bablu, halaat badaltay hein, nazriyaat badaltay hein, halanke insaan bhi badaltay hein. Aik tarah to mein yeh kahoon ga ke aap kisi se kuch bhi expect ker saktay ho, lekin aik point yeh bhi he ke aap kisi se kuch bhi expect na karo. Lekin kia he hum insaan hein to expectation wala chaker to life ke saath he khatam hota he.

        Dekho kisi bhi cheez ka, circumstances ka, relations ka, dealing ka, business ka outcome kuch bhi aaye, usay kabool kerne ka hoosla rakho. Aur ager end product aap ki requirement ke mutabik nahi to phir aap rationally soocho ke is mein kia kuch behtari aa sakti he? Ager aa sakti he to phir aap us ki behtari ke liye taq-o-do karo. Aur baki result Allah pe choor do, jo bhi result aaye huss ke kabool karo. Huh.
        :thmbup:

        Comment


        • #5
          Last edited by Z.; 1 April 2010, 20:57.
          " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

          Comment


          • #6
            Re: Insecurity...!!

            Xai yeh tum ho

            Tum ne cigarette peena choor dia kia

            Let me read ur reply :p
            :thmbup:

            Comment


            • #7
              Re: Insecurity...!!

              Originally posted by Z. View Post
              Aik baar mey aik parc sey guzr rahi thi jo asal mey aik old house sey munsalik tha wahan sabhi burhey log they, sab k sab, koi chehal qadmi ker raha tha, koi akhbaar perh raha tha, koi gappon mey masroof lekin un ki harakaat o saknaat itni ziada slow thein :$ ... wo bohot hi aged log they aur jab mey un k pass sey guzar rahi thi tau mujhey laga k her cheez jaisey tham gai ho, itni ajeeb feelings thien k pata nahi kaun si dunya mey mey aa gai hun.... jo cheez shayed sab sey pareshan ker rahi thi uss time wo ye thi k ye log apney akhri din ka intezaar ker rahey hein, Jaisey un ki zindagi mey bas ab aur kuch nahi raha kerney ka. Aur kabhi kabhi rah chaltey huye aesey burhey log bhi mil jatey hein jo gand k dibbon sey sirf aik roti ka tukra talash ker rahey hotey hein: wo her cheez sey beyganey hotey hein, mujhey tau lagta hai k jaisey un logon ko aur kuch nahi nazar aa raha hai, aur mey ye sochti hun k in logon ki zindagi mey bas ye KAAM rah gaya hai kerney ko? Kaheen Kaheen burhi khawateen sar jhkaye bethi hoti hein, kashkaol sath rakha hua hota hai, itni sardi mey bhi wo issi halaat mey bethi rahti hein... Mujhey nahi samaj ati k ye aeysa kyun ker rahey hein? Kya in k liye kamaaney wala koi bhi nahi hai? ...
              Waise xai, may I know ke yeh kis country aur kis area ki baat he?
              :thmbup:

              Comment


              • #8
                Re: Insecurity...!!

                owesome...great job

                Comment


                • #9
                  Re: Insecurity...!!

                  Originally posted by Khalil View Post
                  great yaar maza agia kasam sy bilkul samj nahi I
                  koi bat nahi...is me app ka koi qasoor nahi

                  Comment


                  • #10
                    Re: Insecurity...!!

                    Originally posted by munda_Sialkoty View Post
                    Oh yaad aaya Bablu ne to questions bhi kiye hein.

                    Dekho bablu, halaat badaltay hein, nazriyaat badaltay hein, halanke insaan bhi badaltay hein. Aik tarah to mein yeh kahoon ga ke aap kisi se kuch bhi expect ker saktay ho, lekin aik point yeh bhi he ke aap kisi se kuch bhi expect na karo. Lekin kia he hum insaan hein to expectation wala chaker to life ke saath he khatam hota he.

                    Dekho kisi bhi cheez ka, circumstances ka, relations ka, dealing ka, business ka outcome kuch bhi aaye, usay kabool kerne ka hoosla rakho. Aur ager end product aap ki requirement ke mutabik nahi to phir aap rationally soocho ke is mein kia kuch behtari aa sakti he? Ager aa sakti he to phir aap us ki behtari ke liye taq-o-do karo. Aur baki result Allah pe choor do, jo bhi result aaye huss ke kabool karo. Huh.
                    ustad yeh to common xindagi me chalta rehta he...jese is example ko dekhein...jis me aik Scientist 20 saal ka.....aik project pe kaam start karta he...wo dunya ki sari asaisho'n ko thukra'ta rehta he k bus isi project se naam kamao'n ga ajj nahi kal nahi 20'30 saal baad hi sahi...jo bhi karo ga apne project se karo ga....aur 25 saal us project pe zaya karne k baad use pata chale k wo jis cheez pe kaam kar raha tha wo possible nahi...wesa koi solution real life me exist kar hi nahi sakta....to us ki kia condition ho gi....:-S..kia wo yeh sochne k qabil ho ga k is me behtri lae jay ??..ya wo sedha sedha......kar le ga

                    Comment


                    • #11
                      Re: Insecurity...!!

                      burhape me mile ga shayd
                      Originally posted by Z. View Post
                      Mey filhaal jiss rastey per hun wo nahi khona chahti, kyun k agar kisi morh per ye rasta mujhey dead end pe ley gaya tau pata nahi mujh mey dobara itni energy ho gi bhi k nahi k mey her cheez zero sey shuru ker paoun .... Allah T'ala apney Amaan mey rakhey Ameen.
                      Ameen...mujhe bhi kuch aesai lagta he
                      Originally posted by Z. View Post
                      Jahan tak baat beliefs ki hai tau iss pe kisi confusion ki gunjaish nahi honi chahiye

                      Naiki aur achae ki jiss zameen pe bunyaad rakhi jaye wo kabhi bhi khaukli nahi ho sakti hai.... pata nahi tum ney ye baat kyun kahi?
                      - shayd ho sakti he confusion - agar app ird gird dekhne lagae - yeh sochne lage k is bunde ka belief sahi he ya mera - analysis karne lage k kis ka aqeda sahi he kis ka nahi - yeh thora mushkil kam bhi hota he - aksar log is baat ko man kar beth jate he k hame jo bataya gaya he wo hi sahi he - koi aur agar sahi beliefs bhi rakhe lekin ham us group se nahi to hum kyun chalein us rah per...

                      - Khokli in a sense - k jub app koi naik kam karein to ap ki intentions ghalat ho - lekin us kam ko karte waqt app yeh sochne se qasir ho k app ki intentions ghalat he - concepts ghalat - phir barey ho kar concepts khulein :-P

                      mujhe chote bacho ko dekh kar ajeeb sa lagta he....aur kuch logon ko dekh kar jinhe dunya ki khabar hi nahi apne ghalat track pe chalte rehte he
                      Kher ALlah hamari xindagi me asanian ataa farmae aur dosro ko asian provide karne ka moka...Ameen
                      Last edited by MeemSheenAlif; 2 April 2010, 09:30.

                      Comment


                      • #12
                        Re: Insecurity...!!

                        Originally posted by MSA View Post
                        ustad yeh to common xindagi me chalta rehta he...jese is example ko dekhein...jis me aik Scientist 20 saal ka.....aik project pe kaam start karta he...wo dunya ki sari asaisho'n ko thukra'ta rehta he k bus isi project se naam kamao'n ga ajj nahi kal nahi 20'30 saal baad hi sahi...jo bhi karo ga apne project se karo ga....aur 25 saal us project pe zaya karne k baad use pata chale k wo jis cheez pe kaam kar raha tha wo possible nahi...wesa koi solution real life me exist kar hi nahi sakta....to us ki kia condition ho gi....:-S..kia wo yeh sochne k qabil ho ga k is me behtri lae jay ??..ya wo sedha sedha......kar le ga
                        Aisay bewakoof sciencedaan ko khud'kushi ker leni chahiye :ys:
                        :thmbup:

                        Comment


                        • #13
                          Re: Insecurity...!!

                          yeh thread parh ker hi me ko acchi khasi insecurity hogai shahRukh :$

                          Comment


                          • #14
                            Re: Insecurity...!!

                            Originally posted by ummid View Post
                            yeh thread parh ker hi me ko acchi khasi insecurity hogai shahRukh :$
                            Is insecurity ko door kerne ke liye aaj ki psychology kia kehti he?
                            :thmbup:

                            Comment


                            • #15
                              Re: Insecurity...!!

                              و عليكم السلام و رحمة الله

                              xeny or MSA u dono ko itna saara lamba lamba likhney par ban bhi kiya jaa sakta hai...:admin:
                              .......................!!!!!

                              Comment

                              Working...
                              X