Re: My Painting
yaar yeh new way hy impress krny ka?
Originally posted by munda_Sialkoty
View Post
Wa Alaikum Aslam,
Sub se pehlay mein tumhara shukriya adaa karon ga ke tum ne painting share ki, actually I was curios to know ke tum is painting ko jub complete karo gi to yeh painting over-all kesi ho gi. Ub yeh samnay he mere. Choonke mein bhi artist type ki koi cheez reh chuka hoon aur lag bhag more than 100 line art, human faces, living n non-living objects bana chuka hoon using only lead pencil, mein ne kuch cheezein apnay dad se seeekhein cuz wo kisi zamanay mein professional artist rehe thay. To aisay mein mein thoora sa technically comment pass kerna chahoon ga.
Overall yeh aik great effort he. Tumhari effort yeh batati he ke tumharay paas ideas bhi hein aur in ideals ko utilize kerne ki ability bhi. Mujay tumhari painting bohat pasand aai lekin is ke saath saath mujay chooti mooti mistakes bhi nazar aa rahi hein. Let me highlight a couple.
Right lower corner pe jo green belt banaya he is ki shading/angle/ proper nahi tha, is liye yeh lag raha he ke yeh tree ke stem se kuch ouper aa gaya he. I think yeh tumharay notice mein thi is liye 2nd picture ko tum ne isay kaat ker is mistake ko door ker dia.
2 trees ke leaves ke dermeyaan aik choota sa round gap he jis mein aasmani colour bhara gaya he, wahan per cottage ke roof ka colour yani white hota to yeh proper lagta, cuz is tarah cottage ka roof is side se choota aur right side se bara lag raha he.
Pillers jo ke left side pe hein, in ki shading/angle mein kuch kami he, yeh choonke cottage ka part hein, aur cottage apnay aap mein bohat bari nahi, lekin pillars se concept aa raha he ke yeh bohat door hein. Pillers ko thoora sa wide kia jata aur shade ka angle bhi thoora sa change hona chahiye tha to yeh pillars cottage se competible lagtay.
Left side ke lawn mein corrosion ya water concept proper nahi lag raha. yahan per shades aur colour schemes apply kerne ki zaroorat thi, sirf light green colour se kaam banta hua dikhai nahi deta.
Door aur khirki mein ham aahangi nazar nahi aa rahi with respect to sizes. Khirki bohat bari aur door bohat choota aur door ka angle thoora sa wrong lag raha he, it should has to be little left from the upper side.
yeh small mistakes thein jo her nai tasveer bananay ke saath improve hoon gi, I know this fact. Lekin tum ne jo kam kia wo in chooti chooti mistakes se bohat bara he. Especially tum ne cottage achi banai aur is ki colour scheme bhi perfect he. Roof ke shade ke neechay tum ne light sa dark shade dia us se pata chalta he ke tum technically good ho. Cemented pathway jo ke cottage ke saagay banaya he yeh bohat pasand aaya.
Tree to bilkul original lag rahay hein, tum ne bohat achi jaan daali is mein.
Colours ka concept aur door se trees ka rusty green concept bohat aala he. Yeh sub cheezein tumhari grip aur strength show kerti hein.
Right side pe cottage ki jo dewaar khatam hoti he aur doosri dewaar jo start hoti he un ki jo alignment he wo perfectly alright lag rahi he aur tum ne do dewaaron ka colour change ker ke bhi bari maharat ka saboot diya. Is se achi feel aa rahi he. Trees ka already bata chuka, leaves itnay achay banay hein ke bilkul real walay lag rahay hein.
Accept my congratulation for your brilliant effort. Aik baat to sabit ho gai ke tum nikami nahi, kafi talented kuri ho :p

Comment