Walaikum Assalaam
Waqayi chasm-e-tasawurr insaan ko uss muqam tak poohancha daiti hay jiss ka woh srif tasawurr hi kar sakta hay....
Mujhay jaagti ankhoon kay khuwaab daikhna bohat acha lagta hay, kiyonki yehi khuwab hain jo aap apnay hosh-O-hawas main dekhtay hain, main nay chasm-e-tasawurr main Roza-e-Nabi SAW ki ziyarat aur Khana-e-Kaaba ka dedaar dekha ALLAH SWT nay mujhay 3 baar wahan jaanay ka sharf bakhsha!
Meri chasm-e-tasawurr main, main aksar poori dunia main ghoomna dekhta hoon, aur ALLAHAMDULLILAH duniya kay tamam mumalik (jitnay bhi hosaktay hain zaroor dekhoon ga)!!!
Chasm-e-tasawurr insaan main CONFIDENCE paida karti hay aur ussay apni jaagti ankhoon say dekhay khuwaaboon ki takmeel kay liye jadojehad aur lagan paida karti hay! BASHART-YE-KAY aap kay khuwaab CONSTRUCTIVE hoon aur aap ki soch POSITIVE!!!!
May ALLAH SWT light and guide our ways AMEEN
Fi amaan ALLAH
Originally posted by sarfraz_qamar
View Post
Leave a comment: