Aslam-o-Alaikum!
Waqt guzarne ke saath mein ne observe kia he ke pyaray pakisan mein over charging ka concept bohat promote ho raha he. Price fix kerne ke bawajood loog aap se ziada expect kerte hein. Ba'hesiyat banday ko wo aik second mein jaanch lete hein aur us se jese taise paisay ainth lete hein. Aisa mostly services dene walay departments mein hota he. Kuch misaalein dena chahoon ga yahan pe....
1. Foam Shave ka rate Sialkot mein mostly 30 Rs. he. Lekin mujay 40 Rs. suna ker loog 50 Rs. charge kerte hein. 100 ka note doon to wapis 50 Miltay hein, aik baar poochnay per us ne keh dia janab sirf 10 rupay he aap se ziada rakhay hein, ager aap kehtay hein to wapis ker deta hoon.
2. Restaurants mein Tip ka concept bohat promote ho gaya he. Decent pant coat pehnay huay waiter aap ko booklet mein paisay wapis ker ke ser per kharay ho jatay hein yeh dekhnay ke liye ke ap unhein kitni tip dete hein. Restaurant se bahir niklo to Guard aap ko salute marnay lag jatay hein aur duaaein dene lag jatay hein, aur phir aap ko wahan pe bhi tip pay kerni perti he.
kul khariyan ke aik mashoor restaurant se khana khaya to unhoon ne neechay kuch additional charges add kiye, aur us se pehlay kuch nahi likha tha ke yeh paisay kis cheez ke add kiye hein. Poochnay per pata laga ke 5% services charges hein. Mein ne mazeed daryaft kia chalo tip include ho gai is mein. To waiter kehnay laga janab tip to aap ne apni merzi aur khushi se deni he. Yani ke double tip dene ka concept promote ho raha he.
Dooston ke saath khana khanay jaoo to kai baar wrong billing bhi ker dete hein restaurant walay. Unhein pata he ke yeh bina dekhay pay ker dein ge.
Marriage hall mein bhi kuch aisa he manzir pesh aata he. Aap paisay pooray dete hein phir waiter aap se tip lene ke liye peechay per jatay hein. Unhein kitnay he paisay de do, wo aap ko yeh batane lagein ge ke hum to itnay loog hein, aur hamaray hissay to bus itnay aatay hein.
Kul car wash kerwanay ke baad he kuch aisa observe kia. Car wash ke paisay diye to us ne tip maangi, mein heeran tha ke car wash mein bhi tip. Mein ne tip de to kehnay laga ke hum 3 loog hein. Mein ne usay sunaa dein aur de hui tip bhi wapis le li.
It is kind of embarassing situation ke loog aap ko emotionally blackmail kerte hein. Aap kia kehtay hein is baray mein?

Comment