Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Aap kia kahein ge.

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Aap kia kahein ge.

    Aslam-o-Alaikum!

    Waqt guzarne ke saath mein ne observe kia he ke pyaray pakisan mein over charging ka concept bohat promote ho raha he. Price fix kerne ke bawajood loog aap se ziada expect kerte hein. Ba'hesiyat banday ko wo aik second mein jaanch lete hein aur us se jese taise paisay ainth lete hein. Aisa mostly services dene walay departments mein hota he. Kuch misaalein dena chahoon ga yahan pe....

    1. Foam Shave ka rate Sialkot mein mostly 30 Rs. he. Lekin mujay 40 Rs. suna ker loog 50 Rs. charge kerte hein. 100 ka note doon to wapis 50 Miltay hein, aik baar poochnay per us ne keh dia janab sirf 10 rupay he aap se ziada rakhay hein, ager aap kehtay hein to wapis ker deta hoon.

    2. Restaurants mein Tip ka concept bohat promote ho gaya he. Decent pant coat pehnay huay waiter aap ko booklet mein paisay wapis ker ke ser per kharay ho jatay hein yeh dekhnay ke liye ke ap unhein kitni tip dete hein. Restaurant se bahir niklo to Guard aap ko salute marnay lag jatay hein aur duaaein dene lag jatay hein, aur phir aap ko wahan pe bhi tip pay kerni perti he.

    kul khariyan ke aik mashoor restaurant se khana khaya to unhoon ne neechay kuch additional charges add kiye, aur us se pehlay kuch nahi likha tha ke yeh paisay kis cheez ke add kiye hein. Poochnay per pata laga ke 5% services charges hein. Mein ne mazeed daryaft kia chalo tip include ho gai is mein. To waiter kehnay laga janab tip to aap ne apni merzi aur khushi se deni he. Yani ke double tip dene ka concept promote ho raha he.

    Dooston ke saath khana khanay jaoo to kai baar wrong billing bhi ker dete hein restaurant walay. Unhein pata he ke yeh bina dekhay pay ker dein ge.

    Marriage hall mein bhi kuch aisa he manzir pesh aata he. Aap paisay pooray dete hein phir waiter aap se tip lene ke liye peechay per jatay hein. Unhein kitnay he paisay de do, wo aap ko yeh batane lagein ge ke hum to itnay loog hein, aur hamaray hissay to bus itnay aatay hein.

    Kul car wash kerwanay ke baad he kuch aisa observe kia. Car wash ke paisay diye to us ne tip maangi, mein heeran tha ke car wash mein bhi tip. Mein ne tip de to kehnay laga ke hum 3 loog hein. Mein ne usay sunaa dein aur de hui tip bhi wapis le li.

    It is kind of embarassing situation ke loog aap ko emotionally blackmail kerte hein. Aap kia kehtay hein is baray mein?
    :thmbup:

  • #2
    Re: Aap kia kahein ge.

    Money.....

    Comment

    • #3
      Re: Aap kia kahein ge.

      Originally posted by ummid View Post
      Money.....
      :tasali:
      :thmbup:

      Comment

      • #4
        Re: Aap kia kahein ge.

        german main mainay ajj tak car wash main koi tip nahi di..sab autmatic hi hota hain.......ha UK main zaror di coz becharay hamaray immigrant bhai 2GBP main apnay haatoon say khub rager rager kar car wash kartay hain to mujhay un par raham aajata hain aur main de deta hoon...baki restaurant main main hamesha 10% tip deta hoon
        ya Allah sab ko apney hifz-o-amaan main rakh

        Comment

        • #5
          Re: Aap kia kahein ge.

          Originally posted by D@y W@lk3r View Post

          tu to bara deyaalu he 372-haha
          :thmbup:

          Comment

          • #6
            Re: Aap kia kahein ge.

            Originally posted by munda_sialkoty View Post
            tu to bara deyaalu he 372-haha
            :laarai:
            ya Allah sab ko apney hifz-o-amaan main rakh

            Comment

            • #7
              Re: Aap kia kahein ge.

              Originally posted by D@y W@lk3r View Post
              :laarai:
              :taali:
              :thmbup:

              Comment

              • #8
                Re: Aap kia kahein ge.

                tip koi achi baat nahi hoti,pata nahi lene wale shaed dheet ho chuke hote hen jo bagher kisi sharm k foran le lete hen,ya phir ghurbat itni barh gai he k esa majburan karte hen

                Comment

                • #9
                  Re: Aap kia kahein ge.

                  Originally posted by unity View Post
                  tip koi achi baat nahi hoti,pata nahi lene wale shaed dheet ho chuke hote hen jo bagher kisi sharm k foran le lete hen,ya phir ghurbat itni barh gai he k esa majburan karte hen
                  duniya main srif aik wahid country hain Singapore jaha tip dena mana hain...500Doller jurmana hosakta hain.. ager jisko app tip day rahay ho aur wo police called karlay:esmile:
                  ya Allah sab ko apney hifz-o-amaan main rakh

                  Comment

                  • #10

                    Aap larki ho, is liye aap ko shayad itna idea na ho. Hamein to saans lene per bhi tip aur bakhshish deni perti he. We hardly find a chance to pay only the price for services offered to us.

                    Patient ko hospital se le ker niklo, Nurses aur Guard ko tip do.
                    Shadi beyaah ke mookay per atleast 10 jagah aisi tips deni perti hein.
                    Gari rent per lo, to drive aap se tip mangay ga
                    Hotels mein jaoo to aap ka luggage carry kerne walay ko tip
                    Airport se bahir aao, especially Lahore Airport se to loog aap ka bag paker lete hein aur usay gari tak choornay aatay hein. Aik baar mein ne 500 de diye, per wo kehnay laga ke sirf 20 dollar de dein, ghusay mein aa ke mein ne usay kuch bhi nahi diya.
                    Last Eid-ul-Bakar ke pehlay din meri flight thi to 2 jagah mujay Lahore Airport ke ander Eidi deni pari.

                    Yahan per aaway ka aawa he bigra hua he. Hum loogon ko aisi kia policy akhteyaar kerni chahiye ke aisay loogon ki hoosla shikni ho?
                    :thmbup:

                    Comment

                    • #11
                      Re: Aap kia kahein ge.

                      Originally posted by D@y W@lk3r View Post
                      duniya main srif aik wahid country hain Singapore jaha tip dena mana hain...500Doller jurmana hosakta hain.. ager jisko app tip day rahay ho aur wo police called karlay:esmile:
                      You are very right. I have observed the very same in Singapore. Wahan per mein ne Taxi walay ko tip de, lekin us ne refuse ker di.

                      Jub ke tum Bangkok mein yeh concept bohat ziada he. Wahan per aap koi taxi kerwaein, taxi ke meter ke ilawa drivers dheeton ki tarah tip maangtay rehtay hein.
                      :thmbup:

                      Comment

                      • #12
                        Re: Aap kia kahein ge.

                        han tu kia ya sab kahnay se u paisay daina band kar do gay logo ko ya log paisay laina band kar dain gay

                        Comment

                        • #13
                          Re: Aap kia kahein ge.

                          Originally posted by munda_sialkoty View Post
                          You are very right. I have observed the very same in Singapore. Wahan per mein ne Taxi walay ko tip de, lekin us ne refuse ker di.

                          Jub ke tum Bangkok mein yeh concept bohat ziada he. Wahan per aap koi taxi kerwaein, taxi ke meter ke ilawa drivers dheeton ki tarah tip maangtay rehtay hein.
                          mujhay pata hain kay tunay TOOK TOOK walay ko bangkok main kiyun tip di thi.....:ekek:
                          ya Allah sab ko apney hifz-o-amaan main rakh

                          Comment

                          • #14
                            Re: Aap kia kahein ge.

                            Originally posted by Faro View Post
                            han tu kia ya sab kahnay se u paisay daina band kar do gay logo ko ya log paisay laina band kar dain gay
                            I am really sick of it. Frankly saying, mein nahi chahta aisay loogon ko paisay dena. It is not that I am miser, I spent an amount on needy. But it is a horrible tendency of blackmailing. Jub mera mood na ho ziada baat kerne ka to mein paisay de ke jaan churata hoon, jub thoora time ho to mein aisay loogon per baras bhi perta hoon. Aisa nahi hona chahiye, aakhir in loogon ko apni izat-e-nafs ka kyoon khyaal nahi?
                            :thmbup:

                            Comment

                            • #15
                              Re: Aap kia kahein ge.

                              Originally posted by D@y W@lk3r View Post
                              mujhay pata hain kay tunay TOOK TOOK walay ko bangkok main kiyun tip di thi.....:ekek:
                              Yaar Took Took walay ke paas tu he jata he, mein to wahan apnay kaam se kaam rakhta hoon, tumhari tarah "Nana streets" nahi goomta rehta raat ko 372-haha
                              :thmbup:

                              Comment

                              Working...
                              X