Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Dard E Sar

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #76
    Re: Dard E Sar

    Originally posted by munda_sialkoty View Post
    jub jub tum sim ko check karo gi tub tub wo tumhein check kerta rahay ga

    rahay giiii
    kuri aey


    chad den paai ab is topic nu.
    Aao uss ~*Ajnabi*~Ko Yaad Karen.!!

    Comment


    • #77
      Re: Dard E Sar

      Originally posted by _Dard_Aashna_ View Post
      bhiii ashi BB
      tum bari he batamez ho:fight:
      sath sath dosron ko bhi batamez bana rahi ho
      bas ab shut up kar jao372-shedwarna main bhi batamez ban jaon gi tumharay diye hoy dars k mutabiq sab say pehli batamezi tum say he kar jaongi


      thanku aur lo g batamezi hain yeh ager meri choti behn hoti to ays ehe smajhti pagal usy batamezi nhe ki hain

      bura to nahi laga ?
      agar laga ho to sorry
      magar main kia karon mujhe ajeeb laga to main nay keh dia
      meray jumlon ko cool ho k parhna:garmi:
      phir tum samj jao gi jo main kehna chah rahi hoon
      thnx for ur cool coments
      nhe muje bura nhe lgta kabi b kiisi ki baat ka tum batamezi ker k apnedil ki bhras nikal sakti hon ager tumhain koi smajye to :hairdrayer: yara main ayse he samjhti hon tum nhe samji to main kia samjhon g 372-haha372-haha372-haha chalo gusa choro aur enjoye kero life
      ab aur gerdish-e- taqdeer kiya sitaye ge lota ke ishq mai naam o nishaan bethain hei

      sigpic

      Comment


      • #78
        Re: Dard E Sar

        aur jis terhan tum me k sath bol rahi ho wayse he un logo k sath bola kero jin k samny tum majbor aur lachar ben chuki ho jo tum ko smajhty hain aysa . that realy better for u :)
        ab aur gerdish-e- taqdeer kiya sitaye ge lota ke ishq mai naam o nishaan bethain hei

        sigpic

        Comment


        • #79
          Re: Dard E Sar

          Originally posted by _Dard_Aashna_ View Post
          rahay giiii
          kuri aey


          chad den paai ab is topic nu.
          tumhara bera taray ager wo kuri he to us ka number PG pe nashar ker do, phir dekho Hamara bablu us ka kia hashar kerta :hairdrayer:
          :thmbup:

          Comment


          • #80
            Re: Dard E Sar

            Wa salaam

            Maryam, kya Pakistan mein number change karwana az-had mushkil hai? Kya neya number ley ker sirf apney husband ko dena ya sirf apni family ko dena bohat hi mushkil baat hai? Jin logon ney naap ko Cell dilwa diya hai, woh aap ko number bhi dilwa saktey hain...

            Itni lambi kahani mein baat kuchh nahin - main samjha patah nahin kya qayamat toot parri hai

            I'll change my number at first and give it ONLY TO PERSONS I TRUST!!!!
            tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
            tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

            Comment


            • #81
              Re: Dard E Sar

              Assalaam-O-Alaikum

              PM ka jawab yahan daina munasib samajh raha hoon taakay mukhtilif rayay say humain aik perfect message samajhnay ko milay!

              Apni POST ki KHUWMAKHUWA waali TAWAALAT kay liye PAISHGI MAAZRAT!!

              Meri zindagi ka sab say hasaas TOPIC raha hay AURAT KI IZZAT!! main nay bohat kuch paRha hay iss baray main, domestic voilence per barha COLUMNS bhi likhay english main Dawn main, social workers kay saath bhi kaam kia aurtoon ko domestic voilence say nijaat dilaanay kay liye!!

              Jab aap ka yeh message paRha aur PM main apni family say muta'aliq baatain aap nay likhii, woh sab main bohat see families kay saath dekh chuka hoon jahan sagay Maa Baap tak bhi iss say bura rawaiya rakhtay hain apni BETI say aur mujhay baRa ta'ajub hota hay kay BETI jissay hum REHMAT-E-ILAHEE kehtay hain uss ko iss qadar ZEHNI TORTURE dia jaata hay.

              Maryam, inn sab main kahin na kahin aurat khudh bhi zimaydaar hay, aur inn sab baatoon main baRahwa daina waala hazrat-e-MARD hay jo kay unfortunately humari society ka DOMINATED factor hay!!!

              ASHI ki post main nay appreciate iss liye kii kay uss main woh sachayii chuppi hoyee hay jo main manzar-e-aam per laana chata tha magar intizaar kar raha tha kay koi FEMALE member iss per response karay, kiyonki agar KHAWATEEN khudh hi apnay aap ko ghar ka BOJH samajhnay lagay gii tou kia kamyaab hoongi, aaj iss NUMBER per call aarahi hay, kal dosray SIM per bhi koi CALL karday ga, aakhir kab tak SIM badaltee rahay giin aap, ghar wallon kay daRR say, yaa uss banday kay daR say jo aap ko call karta hay!!!

              Yeh DARR aur khoof hi hay jiss nay auraat ko kamzoor bana rakha hay, main nay yeh saari baatain apni zaati rayay aur personal OBSERVATION kay tayhat keh raha hoon jiss say itifaq-e-rayay naa rakhnay ka aap ko poora poora haq hay aur agar chahain tou iss per mazeed DICUSSION (HEALTHY ONE WITH RESPECT) jaari rakha jaa sakta hay :)

              Khush rahyeh

              Fi amaan ALLAH
              sigpic

              Comment


              • #82
                Re: Dard E Sar

                baatein itni bhi "bari" nahi hoti jinti hum usey apne raviyo or socho se bana lete hain...

                Comment

                Working...
                X