Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Kis Ki Qismat?

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #46
    Re: Kis Ki Qismat?

    Assalaam-O-Alaikum

    Masood Bhai, aap ki baat say inkaar kar kay main sachi baat ko pas-e-parda nahin rakh sakta, magar Arab thay tou ISLAM tha aur ARAB hain tou ISLAM rahay ga INSHA-ALLAH...... sab kay sab aik jaisay nahin aur yaqeen karain humari bhi bad-qismati yehi hay kay agar aksariyat kharab hotou hum poori qoum ko kharab honay ka dawaa kar daitay hain, mathematics tou yehi kehta hay 50-60% bhi pass hojaatay hain iss magar baaqi 40% nazarandaaz tou nahin kiye jaasaktay.... mera DIL tah-e-dil say un sab Arab ki izzat karta hay jinn say main mila hoon Masjid-e-Nabwi SAW main aur Khana-e-Kaaba main.... aur aisay hi log hain jinn kay aba-o-ajdad Nabi-e-Karim SAW kay sahaba-e-Karam RZ thay.

    Humara cluture aur humara tareeqa-e-zindagi srif aur srif ISLAMIC hona chayeh kiyonki yehi humain aik MUKHTALIF qoum banata hay jiss kay naam per yeh MULK qayim hua, magar aaj hum un sab baatoon say meeloon dour hain, yehi waja hay kay Unity jaisay kayi student aisi baatoon ko lay kar confusion ka shikaar rahtay hain.

    May ALLAH SWT light and guide our ways AMEEN

    Originally posted by Masood View Post
    :)

    Ali aap ney Saudia, Baharin, Dubaii ya chalein ham Arab Countries hi kah letey hain, unka mushahida kin pehluoun sey kiya hai? Kyun keh main ney wahan NA jaa ker jo unka mushahida kiya hai, woh bhi Islam sey bohat door hai :) Halankeh woh Islam ka headquarter hai....

    Zara Dubaii ki halat per aik gehri nazar daaliyey ga keh wahan kya kya hurafaat hain :)

    Main ney arbon ki jo halaat apni aankhon sey dekhi hai, aur jo apni family key through un logon ki zubani suni hai jo 18 saal ki umer mein dubaii mein kaam karney gaey they aur jin logon ney 25-30 saal saudia mein mulazmatein ki hain, unkey alfaaz suneney key baad jo nateeja main ney akhz kiya hai us key mutabiq agar Islam sey arbon ko nikaal diya jaey, to Islam bach sakta hai!!!
    sigpic

    Comment


    • #47
      Re: Kis Ki Qismat?

      Mujhey bohat ma'azrat key saath kehna parr raha hai Ali keh mujhey aap ki is justification sey bilkul bhi itifaq nahin.

      Originally posted by thefire1 View Post
      magar Arab thay tou ISLAM tha aur ARAB hain tou ISLAM rahay ga INSHA-ALLAH......
      Arab they to Islam tha? Is sey aap key kehney ki kya muraad hai?

      Originally posted by thefire1 View Post
      mathematics tou yehi kehta hay 50-60% bhi pass hojaatay hain iss magar baaqi 40% nazarandaaz tou nahin kiye jaasaktay
      Yeh baat bhi tafseel maang rahi hai keh aap kehna kya chah rahey hain?

      Originally posted by thefire1 View Post
      mera DIL tah-e-dil say un sab Arab ki izzat karta hay jinn say main mila hoon Masjid-e-Nabwi SAW main aur Khana-e-Kaaba main.... aur aisay hi log hain jinn kay aba-o-ajdad Nabi-e-Karim SAW kay sahaba-e-Karam RZ thay.
      Islam sirf Masjid-e-Nabvi SAW ya Khana Ka'aba tak mehdood nahin Ali. Islam sari duniya mein phail chuka hai. Masjidein chahey Saudia ki hon ya Amerika mein, masajid mein beth ker taleem deney waley qabil-e-izzat hotey hain.

      Zara aap Masjid-e-Nabvi aur Khana Ka'aba sey bahir nikal ker dekhein, aur bhi jaggah per arab aabad hain. Merey aik uncle ney 40 saal tak Saudi hakoomat ki mulazmat ki hai. Aur woh haseen aur khoobsurat roads bnaey hain. Phir jab unki hadiyaan jawab dey gaein to unhein Pakistan depot kar diya geya keh ab tum kaam karney key qabil nahin. Aik dirham pension ka nahin diya. Agar yeh musalman hain, to mujhey aisey musalmano sey door rehn hai.

      Sari umer aap kisi bhi arab country mein guzar do, wahan per pedah huwey ho, wahan per sari umer guzari ho phir bhi aap ko wahan ki nationality nahin di jati. Main ney Pakistani Passport per Dubaii ka safar karna chaha to mujhey wahan ka visa tak nahin mila keh wahan per koi ho jo sponser karey to visa miley - jabkeh Danish Passport per main wahan Airport per kharrey ho ker visa ley sakta hoon, kya yehi arab hain jin per aap ko fakhar hai?

      Chalein baqi batein chhorrein, aap sirf yeh btaa dijiyey keh aaj tak arabon ney Islam key liyey kya kiya hai? Koi aik aisa kaam btaa dijiyey jis per aap yeh dawa karein keh "arab rahein gey to Islam rahey ga?". Iskey bar'aks main ney yeh suna hai keh koi Hadees-e-Mubarika hai keh Imaam Mehdi ki maddad key liyey jo fauj aaey gi, woh arbon ki nahin ho gi, balkeh woh mashriq sey aaey gi. Ab aap khud soch lijiyey keh is sey kya akhaz kiya jaa sakta hai.

      Originally posted by thefire1 View Post
      Humara cluture aur humara tareeqa-e-zindagi srif aur srif ISLAMIC hona chayeh kiyonki yehi humain aik MUKHTALIF qoum banata hay jiss kay naam per yeh MULK qayim hua, magar aaj hum un sab baatoon say meeloon dour hain, yehi waja hay kay Unity jaisay kayi student aisi baatoon ko lay kar confusion ka shikaar rahtay hain.
      Dekhiyey Ali jahan tak confusion ki baat hai to confusion is liyey hai keh hamarey mulk ka nisaab-e-taleem farsudah hai. Hamarey haan JHOOT parhaya jata hai! Tareekh ka aik pehlu dikhaya jata hai, aur doosra chhupa liya jata hai. Jiski hakoomat hoti hai, uski tareekh hoti hai. Yehi wajah hai keh confusion pedah ki jati hai. Zia-ul-Haq daur mein Zulifqar Ali Bhutto ghadar-e-watan tha, aaj wohi Bhutto khandan shaheedon ka khandaan hai. Benazir jaisi bad'kumaash aurat ko agar aap shahadat ka rang dey saktey hain to aap ki nau'jawan nasal confusion ka shikaar to ho gi. Hamarey mulk key misaaiil woh hargiz nahin jo ham ney samajh liyey hain keh hain. Hamara sirf aik masla hai: sarmaya'darana nizaam.
      tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
      tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

      Comment


      • #48
        Re: Kis Ki Qismat?

        ... aur Ali agar aap ko 2 minutes milein na to mera yeh mazmoon zaroor parhiyey ga, yeh main ney un logon key alfaaz samney rakh ker likha hai, jinhon ney in mumaalik mein apni umrein gunwaein hain...

        http://www.pegham.com/behas-o-mubahi...a-luterey.html
        tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
        tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

        Comment


        • #49
          Re: Kis Ki Qismat?

          Assalaam-O-Alaikum

          Masood Bhai, main nay aap kay comments aur aap ki behas-o-mubahisa main post ki gayi tehreer bhi ghour say paRhee, aur main bhi kuch kehnay ki jasarat kar raha hoon, jaisa kay kayi members nay aap ki post paRh kar jawab dia tha... SACH KaRwa hota hay aur waqayi iss haqeqaat say koi inkaar nahin kay aaj ARAB hi nahin balkay tamam muslim ummah per jo zawaal hay uss kay zimaydaar srif aur srif HUM hain (Yaani hum khudh), srif ARAB ko ilzaam tehraana thik nahi hoga, humain apnay GIRABAAN main bhi jhakna hoga kay aakhir hum khudh kis qadar ISLAM ko mannay waalay aur uss per chalnay waalay hain!!!

          Arabic main aik bohat hi mashoor kahwat hay "Kil Deera Fe ha Maqbara" jisay hum Urdu main kehtay hain "Tamam ungliyan aik barabar nahin hoti", yehi waja hay kay hukumti satah per yeh Arab balkay koi bhi Islamic mulk duniya main Muslamanoon kay khilaaf honay waali na-insaafi kay khilaaf nahin bolta!

          Aap nay apnay chacha ki 40 saal noukri kay baad milnay waali GRADUITY ki baat ki hay, umooman jahan tak main nay Arab mamalik ko local firm dekhi hain yaa Governemt idaaray wahan PENSION nahin balkay graduity dee jaati hay agar naa bhi mili tab bhi kitnay hi khandaan aisay hain jinn kay ghar main sukoon say choola jal raha hay, roti mil rahi hay, jab kay humaray mulk main tou ROZGAAR hi nahin aur log saRkoon per maaray maaray phir rahay hain, ZA Bhutto nay Arab hukumat say muhaida kar kay LABOUR FORCE UAE aur dosray Arab mumalik main bhijwayi aaj woh log KHUSH-HAALI ki zindagi basar kar rahay hain, unkay gharoon main ALLAH SWT kay fazal say ARAB COUNTRY main reh kar RIZQ farahim ho raha hay!

          Aap kehtay hain kay aap DANISH passport per UAE safar karsaktay hain kiyonki yehi kanoon raij hay GCC countries main kay woh European, America, Canada aur Australia say aanay waalay logon ko Entry allow kartay hain aur Pakistan, India, Bagladesh, Afghanistan, African countries, Egpyt, Lebenon, etc ko VISA lagwa kar hi entry milti hay, yeh unkay qanoon hain jaisa kay humaray mulk main hay kay har kisi say visa entry fee lay kar on arrival visa dia jaata hay hatta kay Doctors say bhi jo ZALZALA kay mutasreen ki madad ki khuwahish lay kar voluntery kaam karnay aatay hain, what a shame!!!

          Humaray mulk main chahay Sialaab ho, Zalzala hoo yaa koi afaat, Arab mumalik ki imdaad bohat hi mainay rakhti hay aur woh kabhi iss say peechay nahin hat-tay, jab kay humaray mulk main aaj tak bhi Zalzalay kay mutasreen afraad ko diye gayay cheques bounce horahay hain!!!

          Kahan MASHRIQ ki baatain kar rahain hain aap Sir, hum sab iss kay zimayadaar hain aur chahay koi MUSALMAAN kitna hi bura kaam na kar lay main ussay SUWAAR jaisay alfazoon say kabhi nahin pukaar sakta aur na hi sunna ya paRhna acha lagta hay!

          Main nay bhi bohat qareeb say zindagi ko dekha hay, Dubai, Bahrain, Saudi kay aisay aisay gayoo dekhay hain jinn ka naam bhi aap logon nay kabhi nahin sunna hoga aur main daaaway say keh sakta hoon kay Aaaj bhi ISLAM qayim hay aur INSHA-ALLAH humesha qayim-o-dayim rahay ga, ARAB main bhi aur poori duniya main bhi!!!!!

          May ALLAH SWT light and guide our ways AMEEN

          Fi Amaan ALLAH
          Last edited by thefire1; 29 January 2010, 09:13.
          sigpic

          Comment


          • #50
            Re: Kis Ki Qismat?

            :) Ali aap baat ko bilkul mukhtalif rang dey rahey hain aur baat ko samajh nahin rahey.

            Aap ney farmaya keh ARAB Mumalik ki wajah sey lakhon khandono ka chulha jal raha hai - to merey bhaii phir to aap ko Europe ka, Amerika ka bhi isi tarha mamnoon hona chahiyey keh wahan per lakhon ki ta'adad mein Pakistan aabad hain - kya yeh aap ko nazar nahin aatey???? Alone in Briton - 1 lakh sey ziyada Pakistani khandaan aabad hain!!!! In key bhi marhoon-e-minnat hon na aap log :)

            Yeh baat to bilkul alag thi. Magar karni parr rahi hai. Agar aisa muqablila hi karna hai to phir rhi Europe aur Amerika waley Arab countries sey behtar hongey gey keh yahan per aap ko 40 saal mazdoori leney key baad kam sey kam pension to milti hai jo aap ki burhapey ki zindagi ka sahara ban sakti hai.
            tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
            tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

            Comment


            • #51
              Re: Kis Ki Qismat?

              Masood Bhai, hum nay Europe aur America ka zikar hi nahin kia, main tou srif itna kehna cha raha hoon kay ARAB mumalik MUSLIM mumalik kay saath saath MUSLAMAN MAZHAB ka aghaaz hain, jaisay aaj hum Pakistan kay log hukumat ki policies kay khilaf baat kartay hain ussi tarah inn mumalik kay SHEHRI bhi aisay hain jo aaj bhi IMAAN ki quwaat rakhtay hain, srif Ruling families kay ghalat honay ki waja say poori qoum ko ghalat kehna thik nahin, bas yehi tha mera kehna aur kuch nahin! :)
              sigpic

              Comment


              • #52
                Re: Kis Ki Qismat?

                Originally posted by thefire1 View Post
                Masood Bhai, hum nay Europe aur America ka zikar hi nahin kia, main tou srif itna kehna cha raha hoon kay ARAB mumalik MUSLIM mumalik kay saath saath MUSLAMAN MAZHAB ka aghaaz hain, jaisay aaj hum Pakistan kay log hukumat ki policies kay khilaf baat kartay hain ussi tarah inn mumalik kay SHEHRI bhi aisay hain jo aaj bhi IMAAN ki quwaat rakhtay hain, srif Ruling families kay ghalat honay ki waja say poori qoum ko ghalat kehna thik nahin, bas yehi tha mera kehna aur kuch nahin! :)

                Aur main samajhta hoon keh main ney kisi aik muqaam per ruling bodies ki baat hi nahin ki - balkeh AKSARIYAT ki baat ki hai. Aap chand aik logon ki baat kar rahey hain. Majority ki baat nahin kar rahey :)
                tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                Comment


                • #53
                  Re: Kis Ki Qismat?

                  Assalaam-O-Alaikum

                  Tou phir mujhay aap ki baat bilkul samajh aagayi, kaRwi haqeqat ka samna kartay huway dhuk tou hota hay, magar samna kar lainay main hi afiyat hay, woh aik shair hay nay kay

                  Yeh tou aaina hay, yeh tou sach hi kahay ga
                  Kiyon apni HAQEQAT say katra rahay hooo..!


                  Aap nay bakhoobi ainaa tou dikha diya, Bas aap say aik hi guzarish hay kay bara-e-meharbaani kisi bhi muslamaan ko kisi bhi janwar kay naam say tashbeeh na dain, aur meri iss baat ko musbat lijyey ga, hum aksar jazbaati hojaatay hain magar jazbaat per jo insaan apnay aap per qaboo rakhay uusay hi mazboot quwat-e-iraadi ka maalik kehtay hain :)

                  Fi Amaan ALLAH
                  sigpic

                  Comment

                  Working...
                  X