Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Kis Ki Qismat?

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #31
    Re: Kis Ki Qismat?

    :khi:
    :oldie:
    S T I L L W A I T I N G
    sigpic

    Comment


    • #32
      Re: Kis Ki Qismat?

      Originally posted by aabi2cool View Post

      faqat shukria hi ya khuch pally bhi para
      jo pally para wo ye k koi shaks kisi khas qismat ka malik nahi hota,Allah hi har cheez par Qadir he,har faeda or har nuqsan Allah k hukam k bina nahi ho sakta

      Comment


      • #33
        Re: Kis Ki Qismat?

        Originally posted by BANJARAH View Post
        :khi:
        apko kiun hansi arahi he

        Comment


        • #34
          Re: Kis Ki Qismat?

          Originally posted by unity View Post
          jo pally para wo ye k koi shaks kisi khas qismat ka malik nahi hota,Allah hi har cheez par Qadir he,har faeda or har nuqsan Allah k hukam k bina nahi ho sakta
          barian samjhan aagayan nay taynoon waiiii
          ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا

          Comment


          • #35
            Re: Kis Ki Qismat?

            Originally posted by ScorpioN_RulzZ View Post
            bujh gai tashnagi :garmi:
            Yani tujay nafs-e-masla samaj aa gaya 372-haha
            :thmbup:

            Comment


            • #36
              Re: Kis Ki Qismat?

              Dekho Unity, in sub se mein ziada seyaana hoon na, mein ne baat ko aadhi line mein mukaa diya :blush:
              :thmbup:

              Comment


              • #37
                Re: Kis Ki Qismat?

                Originally posted by munda_sialkoty View Post
                Yani tujay nafs-e-masla samaj aa gaya 372-haha
                372-haha
                That's Enough...!!

                Comment


                • #38
                  Re: Kis Ki Qismat?

                  Assalaam-O-Alaikum

                  ScorpioN_RullZ, humaray maashray main bohat see aisi baatain aur tareeqay hain jinn ka humaray mazhab main kahin nam-O-nishan nahin iss ka mushahida main nay khudh apni ankhoon say kia jab main nay Saudi, Bahrain, Dubai waghaira visit kia, humara aur unka culture aik bilkul mukhtalif tareeqa lagta hay..!

                  Iss ka main nay yehi tajziya nikala kay choonkay hum converted musalman hain yaani humara taaluq Hindustan ki sarzameen say raha hay aur hum sadiyon say unkay saath uthay baithay hain isi liye unkay culture aur humaray culture ka aik hona koi taajub ki baat nahin.... aap koi bhi rasm lain, shaadi main baat pakki, mangni, choti mangni, bari mangni, mehfil, mehndi.... waghaira aaj humaray culture ka hissa hay magar ISLAM main yeh shamil nahin, magar aaj inkay baghair humari shadiyan mukammal nahin!

                  Mujhay Sayanoo ki har baat per aankh bandh kar kay amal karnay ki zaroorat nahin jab meray paas Nabi-e-Karim SAW ki AHDTITH mishal-e-raah ban kar moujood hain, baatain tou hum bohat see kartay hain magar inka sahi hona ya na hona humain Quran-o-Sunnat ki roshni main milta hay.

                  Aap ki baat say itifaaq karta hoon kay har cheese ka mutalaya zaroori hay aur main nay personally jiss kitaab ka hawaala dia hay woh kitaab hindu mazhab ki Bible samajh lain jiss ka paRha har politician aur policy maker kay liye zaroori hay, yehi wajah hay kay aksar baatain aaj humaray ird gird mojood hain.... isi per SONIA GANDHI nay chand dinoo pehlay aik baat quote ki thi kay "Humain Pakistan say jang karnay ki kia zaroorat hay, hum nay nay Pakistan ki culture aur saqaafat ko itna kamzoor kardia hay kay aaj woh unka culutre aur unkay log baghair jang kay hi tabah hochukay hain!!!"

                  Aaj humari QISMAT koi aur likh raha hay apni hikmat-e-amli say aur hum jahalat kay andhairay qunway main doobtay chalay jaa rahay hain yeh sochtay huway kay yehi ROSHNI hay!!!!

                  May ALLAH SWT light and guide our ways AMEEN

                  FI Amaan ALLAH


                  Originally posted by ScorpioN_RulzZ View Post
                  :garmi:

                  sigpic

                  Comment


                  • #39
                    Re: Kis Ki Qismat?

                    Originally posted by aabi2cool View Post
                    barian samjhan aagayan nay taynoon waiiii
                    to kia nahi ani chaheay thi menu ye samjhan

                    Comment


                    • #40
                      Re: Kis Ki Qismat?

                      Originally posted by unity View Post
                      apko kiun hansi arahi he
                      Ham Karain baat Daleelon Ki to Radd Hoti Hay!
                      Unkay Honton Ki Hansi Bhi Sanadd Hoti Hay!!!!
                      :oldie:
                      S T I L L W A I T I N G
                      sigpic

                      Comment


                      • #41
                        Re: Kis Ki Qismat?

                        Originally posted by thefire1 View Post
                        Assalaam-O-Alaikum

                        ScorpioN_RullZ, humaray maashray main bohat see aisi baatain aur tareeqay hain jinn ka humaray mazhab main kahin nam-O-nishan nahin iss ka mushahida main nay khudh apni ankhoon say kia jab main nay Saudi, Bahrain, Dubai waghaira visit kia, humara aur unka culture aik bilkul mukhtalif tareeqa lagta hay..!
                        w/salam,
                        tum nay 2,3 chizaiN aapas maiN mila deeN :fight:
                        is par mazeed baat break kay baad :hphp:
                        That's Enough...!!

                        Comment


                        • #42
                          Re: Kis Ki Qismat?

                          Originally posted by thefire1 View Post
                          bohat see aisi baatain aur tareeqay hain jinn ka humaray mazhab main kahin nam-O-nishan nahin iss ka mushahida main nay khudh apni ankhoon say kia jab main nay Saudi, Bahrain, Dubai waghaira visit kia, humara aur unka culture aik bilkul mukhtalif tareeqa lagta hay..!
                          :)

                          Ali aap ney Saudia, Baharin, Dubaii ya chalein ham Arab Countries hi kah letey hain, unka mushahida kin pehluoun sey kiya hai? Kyun keh main ney wahan NA jaa ker jo unka mushahida kiya hai, woh bhi Islam sey bohat door hai :) Halankeh woh Islam ka headquarter hai....

                          Zara Dubaii ki halat per aik gehri nazar daaliyey ga keh wahan kya kya hurafaat hain :)

                          Main ney arbon ki jo halaat apni aankhon sey dekhi hai, aur jo apni family key through un logon ki zubani suni hai jo 18 saal ki umer mein dubaii mein kaam karney gaey they aur jin logon ney 25-30 saal saudia mein mulazmatein ki hain, unkey alfaaz suneney key baad jo nateeja main ney akhz kiya hai us key mutabiq agar Islam sey arbon ko nikaal diya jaey, to Islam bach sakta hai!!!
                          Last edited by Masood; 28 January 2010, 01:31.
                          tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                          tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                          Comment


                          • #43
                            Re: Kis Ki Qismat?

                            @topic.

                            Mujhey nahin maloom keh paisa kiskey naseeb sey aata hai - main sirf yeh janta hoon keh har shay Allah ki daein hai - aurat agar kisi mard ki zindagi mein aati hai, zoja ban ker to woh apna naseeb apney saath laati hai, kyun keh Allah Tala ney har jaandaar ko uskey naseeb ka rizq pohnchaney ka wadah farmaya hai - chahey woh apney waldein key ghar mein beth ker ley ya phir apney shohar key ghar...

                            Yeh baat qatan bayiid-ul-fiker nahin keh aksar kisi key aaney sey halaat badal jatey hain. Main aik baat ka qayiil hoon: HARKAT MEIN BARKAT HAI. Agar aik bandah sari umer haath per haath dharey betha rahey ga, kuchh nahin karey ga to uskey haal mein barkat kahan sey aa jaey? Jaisey hi uski shadi karein, uskey sar per parrey aur jab karna parrey to barkat bhi aati hai...
                            tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                            tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                            Comment


                            • #44
                              Re: Kis Ki Qismat?

                              Originally posted by Masood View Post
                              @topic.

                              Mujhey nahin maloom keh paisa kiskey naseeb sey aata hai - main sirf yeh janta hoon keh har shay Allah ki daein hai - aurat agar kisi mard ki zindagi mein aati hai, zoja ban ker to woh apna naseeb apney saath laati hai, kyun keh Allah Tala ney har jaandaar ko uskey naseeb ka rizq pohnchaney ka wadah farmaya hai - chahey woh apney waldein key ghar mein beth ker ley ya phir apney shohar key ghar...

                              Yeh baat qatan bayiid-ul-fiker nahin keh aksar kisi key aaney sey halaat badal jatey hain. Main aik baat ka qayiil hoon: HARKAT MEIN BARKAT HAI. Agar aik bandah sari umer haath per haath dharey betha rahey ga, kuchh nahin karey ga to uskey haal mein barkat kahan sey aa jaey? Jaisey hi uski shadi karein, uskey sar per parrey aur jab karna parrey to barkat bhi aati hai...

                              Comment


                              • #45
                                Re: Kis Ki Qismat?

                                :lol

                                Haan mujhay bhi andaaza hogaya hay 2,3 batoon waala aap kay 4,5 ka intizaar rahay ga :)


                                Originally posted by ScorpioN_RulzZ View Post
                                w/salam,
                                tum nay 2,3 chizaiN aapas maiN mila deeN :fight:
                                is par mazeed baat break kay baad :hphp:
                                sigpic

                                Comment

                                Working...
                                X