Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Situation Control Kijiyey: Qatal

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #16
    Re: Situation Control Kijiyey: Qatal

    Originally posted by sarfraz_qamar View Post
    Baat yehh hai Massood bhai.....
    jahan tak 2nd bachhay kaa talqq haii ..uss ki wooqqat apnii jagahhh.... Reality yehhi haii kehh Walldain kay liey unn kaa bachaa sabb sayy important hootaa haii...aab wohh iss accedent kay bbaad apnnay bachay koo
    phansiii charrhhata to nahii dekh sakttayyy...
    To aap key nazdeek agar aap key bachey ney qatal kiya hai, ya aisa koi jurm kiya hai, jiski saza maut hai, to aap qanoon khareed kar key apney bachey ko bachao gey????????
    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

    Comment


    • #17
      Re: Situation Control Kijiyey: Qatal

      میرے خیال میں یہ قتل خطاء ہے اور قتل خطاء کی اسلامی سزا تو مقتول کے ورثاء کو دیت دینا ہے جبکہ پاکستان کے قانون میں قتل خطاء پر ڈرائیور کو 5 سال قید اور دیت دونوں ادا کرنے پڑتے ہیں
      ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا

      Comment


      • #18
        Re: Situation Control Kijiyey: Qatal

        jeb chori k waqiye main hazoor pak PBUM ny yeh fermaya tha k ager is ouret ki jaga meri apni beti b hoti teb b main ye faysela he kerta hath latny ka
        ALLAH tala ny hazret ibrahem A.S sy un k betay ki qurbani mangi to unho ny qabol ki aur qurban ker diya yeh seb misalain humry samnay hain ager main is jaga per ho to seb sy pehla qasoorwar main kud hon g jis ny apne betay ko roka nhe is liya saza b milni chaye muje aur mery liya seb sy bheri saza mery beyaty ko us k jurm per saza dena he ho g aur ALLAH k han main sherminda nhe ho g is baats y k main ny son ki laluch main insaaf nhe kia hain is liya mian gawahai zaror doon g kiyon k main janti hon muej takleef dokh to byinteha ho ga mager ALLAH k haan main surkhoron ho g jo seb sy bher ker hain ALLAH k naik bandon per jo azmaishain utari gai wo humary liye he hain insaaf sy bher ker kuch b nhe lakin haan doseri tarf main yeh try zaror keron g k us ouret aur bachy k lawaheeqeen mery son ko maaf ker dain ager nhe to yakenen mera faysela insaf ki taraf he ho ga aur apne son k qasor ki gawahai zaror doon g
        ab aur gerdish-e- taqdeer kiya sitaye ge lota ke ishq mai naam o nishaan bethain hei

        sigpic

        Comment


        • #19
          Re: Situation Control Kijiyey: Qatal

          Originally posted by Masood View Post
          yani asal mujrim ki pusht'panahi? muamla rafa dafa? Hahahaha kitni aasani sey insaani jaan sey khail ker ham log muamley rafa dafa karwatey hain. Kya ham apney mulk, apney muashrey apney mazhab sey fair hain??????
          Miyaan mujay jo acha laga mein ne wo likh dia. Mujram to mein usay tub maanu jub us ne jaan bhooj ker katal kia ho. Haadsa kisi ke saath bhi pesh aa sakta he unintentionally. Ub koi bhi baap apnay betay ko mujram bana ker usay saza dilwanay se to raha. Compensation is the best way to deal with the situation.

          Jazbaatiyaat her jagah achi nahi hoti :tasali:
          :thmbup:

          Comment


          • #20
            Re: Situation Control Kijiyey: Qatal

            sab sy pehli bat to yeh hy k betay k aklotay honay ki wajha sy men usy lad to karon ge per itna nai k usk shok or wish ko is andaz men pora karn k wo khud k ya ksi ko harm kry ... or agr bilfarz ap mjko yeh ijazat nai dyty k men is situation ko change krn to.. men sedhi c bat hy usk against gawahi dy dyti chahiy isk liya mjko koi b price pay karna parti.. its not emotional decision dis is wot i want to learn n teach my boy because agr men usy us tym bacha ln ge to usk liya dosron ko harm karna aik choti c bat ho jy ge or bhot mumkin hy k wo mere takleef ko na samjh sakay.. han yeh b ho sakta hy k wo mery decision py bilkul he change ho jy jo men usy learn karwana chati hn wo learn na kry balkay usy bilkul opposite react kry ... possibilities r there but wots going to satisfy me is dat jo saza mily ge wo usy bhot kam ho ge jo jhoot bol k mily ge....


            میں نعرہ مستانہ، میں شوخی رندانہ

            Comment


            • #21
              Re: Situation Control Kijiyey: Qatal

              Originally posted by Masood View Post
              To aap key nazdeek agar aap key bachey ney qatal kiya hai, ya aisa koi jurm kiya hai, jiski saza maut hai, to aap qanoon khareed kar key apney bachey ko bachao gey????????
              Real Life main konssay aissay Waldain Hoo gayy Joo apnnay Bachhay koo Phansii charrhhtaa daikh sakkttay hainnn..........

              iss kay liey Chahhay Qanoon koo khariidnaa parray yaa kuch aoor sabb kuch kiaa jaa saktaa haiii.....

              Baqii sab Kittabii battaiin hootii haii....
              "Can you imagine what I would do if I could do all I can? "

              Comment


              • #22
                Re: Situation Control Kijiyey: Qatal

                w.salam
                insani fitrat hay bhi zahir hay apnay aap ko apni family ko apnay bachay ko he bachain gay .. jo jurm hona tha wo to ho gia .. saza dilwanay say kon sa dead bodies main jaan par jaye gi.. or accednt bhi to na danstgi main he hoa , danista bhi hota to bhi main agar maan baap ki jaga hoti to chasham deed gawah ki hesyat say bhi apnay bachay ko protct karti,. bachay ko saza dilwa kar kon sa mujhe medal mil jatay dunia bhar say, farz shanasi k ye kuch or, bal keh saqi ul qalb maan ya baap ka khitaab zaror mil jata ,
                Aao uss ~*Ajnabi*~Ko Yaad Karen.!!

                Comment


                • #23
                  Re: Situation Control Kijiyey: Qatal

                  or agar koi kehta hay k wo is situation main khud ko rakh kar apnay bachay ko qanon k hawalay kar day ga ... to ye abnormal attitude hay.
                  Aao uss ~*Ajnabi*~Ko Yaad Karen.!!

                  Comment


                  • #24
                    Re: Situation Control Kijiyey: Qatal

                    Originally posted by _Dard_Aashna_ View Post
                    or agar koi kehta hay k wo is situation main khud ko rakh kar apnay bachay ko qanon k hawalay kar day ga ... to ye abnormal attitude hay.
                    yehii point Masood bhaii koo samjhh nahhii aa rahhaaa
                    "Can you imagine what I would do if I could do all I can? "

                    Comment


                    • #25
                      Re: Situation Control Kijiyey: Qatal

                      Originally posted by _Dard_Aashna_ View Post
                      insani fitrat

                      Yeh insaani fitrat SIRF Pakistan tak mehdood kyun hai, duniya key doosrey elaqon mein INSAAN nahin bastey??? Europe mein kya log be'hiss hain? Yeh yeh log insaani qadron sey waqif nahin? Yeh INSAANI fitrat sirf aap hi logon tak mehdood kyun hai?????

                      Hazrat Umer-e-Farooq RA ka insaaf shayid insaani fitrat ka taqaza nahin tha jab unhon ney apney saggey betey ko sharab key jurm mein korrey lagwaey they??????

                      Yeh insaani fitrat aik aisey mulk tak mehdood kyun hai jahan per insaan ka qatal sab sey aasan aur apni zaat ko tahaffuz chahey woh kitney hi mujrimana andaaz mein kyun na ho, woh haq hai?????

                      Batein sirf Pakistani qaum ko samajh aati hain Sarfraz Sahib baqi sari duniya jahilon sey bhari parri hai :)
                      tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                      tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                      Comment


                      • #26
                        Re: Situation Control Kijiyey: Qatal

                        Meri janib sey conclusion:

                        Insaano sey muashrey bantey hain. Muashron mein tarah tarah key insaan bastey hain. Insaano ki FITRAT hai keh ham jald ghalt kamon ki taraf mutwajah hotey hain.

                        Muashron ko jaraiim sey paak rakhney key liyey qawaneen bnaey jatey hain. Sehat'mand muashrey woh hotey hain, jahan har insaan ko aik jaisa tahaffuz mohayya ho. Beemar muashron mein qanoon insaan apney haath mein ley ker uski dhajiyaan bakhairtey hain - wahan per hamesha jaraiim ka bol bala hota hai.

                        Overspeed sey kisi bhi insaan ka qatal, bohat serious baat hai jo duniya bhar ka koi bhi muhazzab muashra qabool nahin karta aur iski sakht saza hai.

                        Jo situation biyaan ki gaii hai, us mein farz kijiyey keh waldein qanoon ko kuchh nahin btatey, to woh ba'zaat-e-khud mujrim hain! Maghribi muashron mein qanoon ko sach na btana bohat serious jurm hai.

                        Jo marey hain, woh BHI insaan hi they. Unka khoon kis khatey mein jaey ga? Aik lamha bhar ko farz kijiyey keh sarrak per chalney waley yehi waldein ussi betey key saath hotey aur koi aa ker unkey betey ko maarta to waldein kya kartey??? Qanoon ka darwaza na kharrkatey????

                        Jab aap ki dum per paoun aata hai to aap kyun bilbila uth'tey hain? Kya woh log insaan nahin jo AAP KI GHALTIYON sey qatal hotey hain?????? Apney zameeron ko zara jhanjhorriyey!!

                        Qanoon ko khareedney aur apni marzi key mutabiq chalaney wala insaan, kabhi kisi muashrey mein achha shehri nahin ho sakta!
                        Last edited by Masood; 17 January 2010, 23:34.
                        tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                        tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                        Comment


                        • #27
                          Re: Situation Control Kijiyey: Qatal

                          Assalaam-O-Alaikum

                          Bohat hi khoobusrat CONLUSION nikaala hay aap nay Masood Bhai, humain jab apni takleef ka ehsaas hota hay tou auroon ki takleef ka bhi hona chayhe, May ALLAH SWT light and guide our ways AMEEN

                          Fi Amaan ALLAH

                          Originally posted by Masood View Post
                          Meri janib sey conclusion:

                          Insaano sey muashrey bantey hain. Muashron mein tarah tarah key insaan bastey hain. Insaano ki FITRAT hai keh ham jald ghalt kamon ki taraf mutwajah hotey hain.

                          Muashron ko jaraiim sey paak rakhney key liyey qawaneen bnaey jatey hain. Sehat'mand muashrey woh hotey hain, jahan har insaan ko aik jaisa tahaffuz mohayya ho. Beemar muashron mein qanoon insaan apney haath mein ley ker uski dhajiyaan bakhairtey hain - wahan per hamesha jaraiim ka bol bala hota hai.

                          Overspeed sey kisi bhi insaan ka qatal, bohat serious baat hai jo duniya bhar ka koi bhi muhazzab muashra qabool nahin karta aur iski sakht saza hai.

                          Jo situation biyaan ki gaii hai, us mein farz kijiyey keh waldein qanoon ko kuchh nahin btatey, to woh ba'zaat-e-khud mujrim hain! Maghribi muashron mein qanoon ko sach na btana bohat serious jurm hai.

                          Jo marey hain, woh BHI insaan hi they. Unka khoon kis khatey mein jaey ga? Aik lamha bhar ko farz kijiyey keh sarrak per chalney waley yehi waldein ussi betey key saath hotey aur koi aa ker unkey betey ko maarta to waldein kya kartey??? Qanoon ka darwaza na kharrkatey????

                          Jab aap ki dum per paoun aata hai to aap kyun bilbila uth'tey hain? Kya woh log insaan nahin jo AAP KI GHALTIYON sey qatal hotey hain?????? Apney zameeron ko zara jhanjhorriyey!!

                          Qanoon ko khareedney aur apni marzi key mutabiq chalaney wala insaan, kabhi kisi muashrey mein achha shehri nahin ho sakta!
                          sigpic

                          Comment


                          • #28
                            Re: Situation Control Kijiyey: Qatal

                            :salam: yah 1 Jan bojh Kar kia Gia Qatal Hay jo K over speding ki wajha say howa hay.Liahaza is Par Saza Na sahie Harjana zaror Hona chaheay. Agar Main Ous Jagha Hon to Sach bata kar Achay say Achcha Waqeel Karon Or Marny Walon K Ghar walon say iltija Karon K Jo Bhe Harjana (jo mayre Dastras Main Ho) Lay lain Kion K Maryry Baytay K Marjanay say App ki Janin to Wapis Nahin Ainge Laykin Aik 18 sala Larky K samnay Pori Zindage pare Hay So Main Oun say Raham Ki Darkhowast Karonga.:rose
                            Last edited by S.Athar; 19 January 2010, 20:34.
                            :star1:

                            Comment

                            Working...
                            X