Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Situation Control Kijiyey: Qatal

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Situation Control Kijiyey: Qatal

    Assalamo allaikum

    Aap key samney aik situation create kar raha hoon, aap ney is situation mein khud ko rakhna hai, aur phir decide karna hai keh aap kya kartey hain.

    Aap aur aap ki bivi/shohar ki bohat shadeed khawahish hai keh aap key haan aik beta pedah ho.

    Allah Tala aap ko musalsal 5 betiyon sey nawaztey hain.

    Uskey koi 10 saal baad Rab-ul-Aalmeen aap ki khawahish poori kartey hain aur aap key haan aik beta janam leta hai - aklota beta.

    Aap apni bachiyon ko behtar tareeqey sey parvarish kar key unki shadiyaan kar detey hain jabkeh beta aap ki aankhon ka noor aur aap key liyey sab kuchh hota hai. Aap usko bohat ladon sey paaltey hain.

    Uski 18'veen saalgirah per jab ussey driving license milta hai, ussey garri ley ker detey hain aur woh aap ko shoq aur josh sey pehla pehla safar karaney ley jata hai...

    Uski garri ki speed qadrey tez hoti hai magar aap ussey khush khush dekh rahey hotey hain keh achanak garri key samney aik aurat aur uska kamsin bacha aa jata hai, jo marey jatey hain...

    Is qatal ka chasm-deed gawah aap dono (yani waldein) key siwa koi doosra nahin hota...

    Police inquiry key doran tumaam logon sey jo jantey hon, un sey maddad mangti hai - ab aap kya karein gey? :ekek:
    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

  • #2
    Re: Situation Control Kijiyey: Qatal

    Aur haan, mujhey yahan per sirf un logon ka jawab chahiyey jo tafseel sey aur sanjeedgi sey jawab dein, har fazool post jo main samjhoon keh is sey related nahin, I'll delete it :admin:
    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

    Comment

    • #3
      Re: Situation Control Kijiyey: Qatal

      Originally posted by Masood View Post
      Assalamo allaikum

      Aap key samney aik situation create kar raha hoon, aap ney is situation mein khud ko rakhna hai, aur phir decide karna hai keh aap kya kartey hain.

      Aap aur aap ki bivi/shohar ki bohat shadeed khawahish hai keh aap key haan aik beta pedah ho.

      Allah Tala aap ko musalsal 5 betiyon sey nawaztey hain.

      Uskey koi 10 saal baad Rab-ul-Aalmeen aap ki khawahish poori kartey hain aur aap key haan aik beta janam leta hai - aklota beta.

      Aap apni bachiyon ko behtar tareeqey sey parvarish kar key unki shadiyaan kar detey hain jabkeh beta aap ki aankhon ka noor aur aap key liyey sab kuchh hota hai. Aap usko bohat ladon sey paaltey hain.

      Uski 18'veen saalgirah per jab ussey driving license milta hai, ussey garri ley ker detey hain aur woh aap ko shoq aur josh sey pehla pehla safar karaney ley jata hai...

      Uski garri ki speed qadrey tez hoti hai magar aap ussey khush khush dekh rahey hotey hain keh achanak garri key samney aik aurat aur uska kamsin bacha aa jata hai, jo marey jatey hain...

      Is qatal ka chasm-deed gawah aap dono (yani waldein) key siwa koi doosra nahin hota...

      Police inquiry key doran tumaam logon sey jo jantey hon, un sey maddad mangti hai - ab aap kya karein gey? :ekek:
      W sallam.........
      its v difficult decsion..real life main iss type kay cases main Waldain apnnay Bachhay koo hii bacchannay kii Koshish karrain gayyyy...kiounkeh Apni aoollad Sabb Kooo Azizz hoottii haiiiii
      "Can you imagine what I would do if I could do all I can? "

      Comment

      • #4
        Re: Situation Control Kijiyey: Qatal

        qASOOR dekha jaey ga pehlay aya k aurat ka tha ya lerkay ka. App nay jo situation create kee ha iss mein aurat ka kasoor lagta ha. Jab koi bara sath ho tou banda aur ahtiat se driving kerta ha.

        Comment

        • #5
          Re: Situation Control Kijiyey: Qatal

          wasalam
          options tu diye hi nahi aap ne...
          :think:

          Comment

          • #6

            Mein taker ka ilzam apnay sir le loon ga, kooshish karon ga ke moaamla rafa dafa ho jaye chahay ghalti kisi ki bhi ho. Will try to compensate with the victims family
            :thmbup:

            Comment

            • #7
              Re: Situation Control Kijiyey: Qatal

              Walaikum Assalaam

              Chashdeed gawaah honay ki hesiyat say jo kuch bhi dekhain gain uss ka sach sach jawaab dain gain kiyonki baad aulaad ki hoo ya kisi aur ki sachayi ka saath daina bohat zaroori hota hay.... Traffic hadsaat main kisi ka achanak samnay aajaana aur halak hojaana aik serious offence zaroor hay magar uski aik saz muqarar hay, agar baitay nay Over speeding ki hay tou ussko usski saza zaroor milni chayeh kiyonki agar aaj saza nahin milay gi tou woh ainda bhi aisi baywaqoofi kar sakta hay, main yeh baat aik baap ki hesiyat say kar raha hoon, iss waqt jawaani hay naa jaanay uss waqt jab main aik matured insaan hoonga tou hoskta hay kay shiddat-e-jazbaat ko mad-e-nazar rakhtay huway mera faisla kuch aur hoo, magar jo bhi hay INSHA-ALLAH sach ka daman haath say kabhi nahin chootnay doonga, meri biwi ya meray betay ki Maa ki thinking alag hosakti hay, magar ussay bhi convince karoonga.... baaqi marhoom kay lawahiqeen ki jiss qadar hosakay maali imdaad karoonga kiyonki humaray mulk ka qanoon tou aap sab kay samnay hay woh pata nahin kia karain unkay saath!

              Fi Amaan ALLAH

              sigpic

              Comment

              • #8
                Re: Situation Control Kijiyey: Qatal

                Walekum Salam:hii:
                yakinan aik mushkil fesla ho ga...lekin ager us larke ki ghalti ho gi to us k parents ko zarur sach bolna chaey kiun k yahan to bach jaey ga next life jo hamesha ki he wahan kia ho ga?wahan to sach jhoot samne ajaey ga..to Allah se madad mangni chaey har situtaion me...yahan k few years guzar jate hen....next k billion n trillion years of galaxies kese guzare ge jhoot bol kar:think:baki Allah istkamat de sach baat kehne ki,k ham kamzor eeman k log hen,Allah hamen hamari ista't se barh kar kisi azmaish me na dale.ameen:dua

                Comment

                • #9
                  Re: Situation Control Kijiyey: Qatal

                  Originally posted by sarfraz_qamar View Post
                  W sallam.........
                  its v difficult decsion..real life main iss type kay cases main Waldain apnnay Bachhay koo hii bacchannay kii Koshish karrain gayyyy...kiounkeh Apni aoollad Sabb Kooo Azizz hoottii haiiiii
                  Aur woh aurat jiska aik hi aklota bacha aur woh maan jo qatal hui hai, uski koi wuqqat nahin?

                  Originally posted by Max_ View Post
                  qASOOR dekha jaey ga pehlay aya k aurat ka tha ya lerkay ka. App nay jo situation create kee ha iss mein aurat ka kasoor lagta ha. Jab koi bara sath ho tou banda aur ahtiat se driving kerta ha.
                  aap ko situation key mutabiq jawab dena chahiyey - overspeed mein honey waley haadsat ka qasoor driver per jata hai hamesha...

                  Originally posted by ummid View Post
                  wasalam
                  options tu diye hi nahi aap ne... :think:
                  main Z thora hon jo har baat per poll laga dey :lol

                  Originally posted by munda_sialkoty View Post
                  Mein taker ka ilzam apnay sir le loon ga, kooshish karon ga ke moaamla rafa dafa ho jaye chahay ghalti kisi ki bhi ho. Will try to compensate with the victims family
                  yani asal mujrim ki pusht'panahi? muamla rafa dafa? Hahahaha kitni aasani sey insaani jaan sey khail ker ham log muamley rafa dafa karwatey hain. Kya ham apney mulk, apney muashrey apney mazhab sey fair hain??????

                  Originally posted by thefire1 View Post
                  Walaikum Assalaam

                  Chashdeed gawaah honay ki hesiyat say jo kuch bhi dekhain gain uss ka sach sach jawaab dain gain kiyonki baad aulaad ki hoo ya kisi aur ki sachayi ka saath daina bohat zaroori hota hay.... Traffic hadsaat main kisi ka achanak samnay aajaana aur halak hojaana aik serious offence zaroor hay magar uski aik saz muqarar hay, agar baitay nay Over speeding ki hay tou ussko usski saza zaroor milni chayeh kiyonki agar aaj saza nahin milay gi tou woh ainda bhi aisi baywaqoofi kar sakta hay, main yeh baat aik baap ki hesiyat say kar raha hoon, iss waqt jawaani hay naa jaanay uss waqt jab main aik matured insaan hoonga tou hoskta hay kay shiddat-e-jazbaat ko mad-e-nazar rakhtay huway mera faisla kuch aur hoo, magar jo bhi hay INSHA-ALLAH sach ka daman haath say kabhi nahin chootnay doonga, meri biwi ya meray betay ki Maa ki thinking alag hosakti hay, magar ussay bhi convince karoonga.... baaqi marhoom kay lawahiqeen ki jiss qadar hosakay maali imdaad karoonga kiyonki humaray mulk ka qanoon tou aap sab kay samnay hay woh pata nahin kia karain unkay saath!

                  Fi Amaan ALLAH
                  mujhey aap ki is baat sey 100 feesad itifaq hai keh mujrim ko uskey jurm ki saza har haal mein milni chahiyey chahey woh aap ka aklota aur naazon sey pala huwa beta hi kyun na ho - magar maujhey is baat sey itifaq nahin keh aap KHUD marney walon ko paisey do - is tarha aap ki aik naiki doosri naiki ko khatam karti hai... madad karo unki magar is tarha keh asal mujrim ko saza key katehrey tak lao...

                  Originally posted by unity View Post
                  Walekum Salam:hii:
                  yakinan aik mushkil fesla ho ga...lekin ager us larke ki ghalti ho gi to us k parents ko zarur sach bolna chaey kiun k yahan to bach jaey ga next life jo hamesha ki he wahan kia ho ga?wahan to sach jhoot samne ajaey ga..to Allah se madad mangni chaey har situtaion me...yahan k few years guzar jate hen....next k billion n trillion years of galaxies kese guzare ge jhoot bol kar:think:baki Allah istkamat de sach baat kehne ki,k ham kamzor eeman k log hen,Allah hamen hamari ista't se barh kar kisi azmaish me na dale.ameen:dua
                  Agree.
                  tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                  tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                  Comment

                  • #10
                    Re: Situation Control Kijiyey: Qatal

                    و عليكم السلام و رحمة الله

                    mera khud ka tu pata nai...par aisii aik situation dekhii hai mai ne...not xactly d same...but baitey k gunaah ka eyewitness baap khud gaya court main apney baitey k khilaaf gawahii dii...or saza honey hii walii thii k maqtool k ghar waaloon ne case wapas le kar mamla khatam kar diya...so yeh possible hai...
                    .......................!!!!!

                    Comment

                    • #11
                      Re: Situation Control Kijiyey: Qatal

                      Originally posted by bhataktii rooh View Post
                      و عليكم السلام و رحمة الله

                      mera khud ka tu pata nai...par aisii aik situation dekhii hai mai ne...not xactly d same...but baitey k gunaah ka eyewitness baap khud gaya court main apney baitey k khilaaf gawahii dii...or saza honey hii walii thii k maqtool k ghar waaloon ne case wapas le kar mamla khatam kar diya...so yeh possible hai...
                      aur aisa hi hona chahiyey - waldein ko sirf haq aur sach ka saath dena chahiyey baqi jo Allah ki marzi
                      tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                      tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                      Comment

                      • #12
                        Re: Situation Control Kijiyey: Qatal

                        waise is case mein ager ek lota beta hota or paanch betiyaan na hoti tub bhi situation same hi hoti... aap ne khaw m khaw hi 5 betiyo ko le aaye.... :hehe:

                        Comment

                        • #13
                          Re: Situation Control Kijiyey: Qatal

                          Originally posted by ummid View Post
                          waise is case mein ager ek lota beta hota or paanch betiyaan na hoti tub bhi situation same hi hoti... aap ne khaw m khaw hi 5 betiyo ko le aaye.... :hehe:
                          thori jazbati maar bhi martey hain na :dance5:
                          tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                          tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                          Comment

                          • #14
                            Re: Situation Control Kijiyey: Qatal

                            Originally posted by Masood View Post
                            Aur woh aurat jiska aik hi aklota bacha aur woh maan jo qatal hui hai, uski koi wuqqat nahin?
                            Baat yehh hai Massood bhai.....
                            jahan tak 2nd bachhay kaa talqq haii ..uss ki wooqqat apnii jagahhh.... Reality yehhi haii kehh Walldain kay liey unn kaa bachaa sabb sayy important hootaa haii...aab wohh iss accedent kay bbaad apnnay bachay koo
                            phansiii charrhhata to nahii dekh sakttayyy...
                            "Can you imagine what I would do if I could do all I can? "

                            Comment

                            • #15
                              Re: Situation Control Kijiyey: Qatal

                              Masood Bhai, main nay apni post main yehi likha hay kay saza dilwaanay kay ILAWA main marhoom kay lawaheqeen ki madad bhi karoonga, magar ALLAH SWT aisay halat say mehfooz rakhay aur humari aulaad ko aik rehamdil aur acha shehri aur aik acha musalmaan bannay ki toufeeq ata karay AMEEN
                              sigpic

                              Comment

                              Working...
                              X