Assalamo allaikum
Mohtram members kaisey hain aap?
Kehna yeh hai keh,
Ab aap log apney apney dhandhon mein magan ho jao :)
Admin
Mohtram members kaisey hain aap?
Kehna yeh hai keh,
main ney apney samney Pegham per hazaron members ko dekha hai. Alhamdolillah hamein bohat achhey achhey members bhi miley hain aur kuchh qadre kam achhey bhi :).
Pegham per sainkron members ney aa ker bohat kuchh seekha hai. Aur bohat saron key dilon mein aik doosrey ko dekh ker mazeed achha karney ki aarzu pedah hui. Unki pazeeraii ki gaii to woh mazeed nikharney lagey. Unka asal talent polish honey laga..
Main ney dekha hai keh 2 alfaaz tareef key kisi bhi insaan key dil ko woh dharas detey hain keh uskey dil mein aik naii umang pedah hoti hai. Aur neya jazbah...
Magar aik takleef'deh baat main ney yeh bhi dekhi hai keh aksar ham log jab senior members ban jatey hain to ham members ki pazeeraii karna chhorr detey hain.
Jab Allah Tala ney hamein aqal aur basarat di hai keh ham doosron key liyey mishal-e-raah ban sakein to ham kyun aisa nahin kartey? Agar ham kisi key kaam per two word of appreciation bol dein, to kya hamari lughat sey alfaaz muk jaein gey? Ya hamari toheen ho gi keh ham ney kisi key liyey achhaii ka lafz bola hai? Ham apni hi dhun mein magan kyun rehna shuru kar detey hain???
Log aap ki tawajoh key muntazir hain, unhein hosla dena seekhiyey, yeh chhoti chhoti khushiyaan inkey liye bohat ahmiyat ki haamil hoti hain :)
bas yehi kehna tha...Pegham per sainkron members ney aa ker bohat kuchh seekha hai. Aur bohat saron key dilon mein aik doosrey ko dekh ker mazeed achha karney ki aarzu pedah hui. Unki pazeeraii ki gaii to woh mazeed nikharney lagey. Unka asal talent polish honey laga..

Comment