Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

A Word Of Appreciation

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • A Word Of Appreciation

    Assalamo allaikum

    Mohtram members kaisey hain aap?

    Kehna yeh hai keh,
    main ney apney samney Pegham per hazaron members ko dekha hai. Alhamdolillah hamein bohat achhey achhey members bhi miley hain aur kuchh qadre kam achhey bhi :).

    Pegham per sainkron members ney aa ker bohat kuchh seekha hai. Aur bohat saron key dilon mein aik doosrey ko dekh ker mazeed achha karney ki aarzu pedah hui. Unki pazeeraii ki gaii to woh mazeed nikharney lagey. Unka asal talent polish honey laga..

    Main ney dekha hai keh 2 alfaaz tareef key kisi bhi insaan key dil ko woh dharas detey hain keh uskey dil mein aik naii umang pedah hoti hai. Aur neya jazbah...

    Magar aik takleef'deh baat main ney yeh bhi dekhi hai keh aksar ham log jab senior members ban jatey hain to ham members ki pazeeraii karna chhorr detey hain.

    Jab Allah Tala ney hamein aqal aur basarat di hai keh ham doosron key liyey mishal-e-raah ban sakein to ham kyun aisa nahin kartey? Agar ham kisi key kaam per two word of appreciation bol dein, to kya hamari lughat sey alfaaz muk jaein gey? Ya hamari toheen ho gi keh ham ney kisi key liyey achhaii ka lafz bola hai? Ham apni hi dhun mein magan kyun rehna shuru kar detey hain???

    Log aap ki tawajoh key muntazir hain, unhein hosla dena seekhiyey, yeh chhoti chhoti khushiyaan inkey liye bohat ahmiyat ki haamil hoti hain :)

    bas yehi kehna tha...

    Ab aap log apney apney dhandhon mein magan ho jao :)

    Admin
    مجھے تلاش نہ کر ذوقِ بیخودی سجود
    نظر کی چند شعاعوں میں گھر گیا ہوں میں


  • #2
    Re: A Word Of Appreciation

    :thmbup:

    Comment


    • #3
      Re: A Word Of Appreciation

      Walaikum salam mohtaram bhai :oldie:
      " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

      Comment


      • #4
        Re: A Word Of Appreciation

        Walekum Salam:hii:
        ji ap ne darust farmaya

        Comment


        • #5
          Re: A Word Of Appreciation

          Originally posted by unity View Post
          Walekum Salam:hii:
          ji ap ne darust farmaya
          main drust hi farmata hoon - aur ab aap jaldi sey is mood sey bahir niklein aur hansein khailein :yaay:
          مجھے تلاش نہ کر ذوقِ بیخودی سجود
          نظر کی چند شعاعوں میں گھر گیا ہوں میں

          Comment


          • #6
            Re: A Word Of Appreciation

            Originally posted by Admin View Post
            main drust hi farmata hoon - aur ab aap jaldi sey is mood sey bahir niklein aur hansein khailein :yaay:
            ji hamari to umer hi hansne khelne ki he to kiun nahi hanse khelen ge:yaay::yaay::yaay:

            Comment


            • #7
              Re: A Word Of Appreciation

              Originally posted by unity View Post
              ji hamari to umer hi hansne khelne ki he to kiun nahi hanse khelen ge:yaay::yaay::yaay:
              Bilkul yeh hui na baat - ab hamara saraah khatoon ki tarha murjhaey huwey thorey hain :yaay:
              مجھے تلاش نہ کر ذوقِ بیخودی سجود
              نظر کی چند شعاعوں میں گھر گیا ہوں میں

              Comment


              • #8
                Re: A Word Of Appreciation

                waalikum asslam

                u r right :rose
                شاہ حسین جیہناں سچ پچھاتا' کامل عِشق تیہناں دا جاتا

                Comment


                • #9
                  Re: A Word Of Appreciation

                  Wa Alaikum Assalam
                  Okk:guitar: :guitar:
                  sigpic

                  Comment


                  • #10
                    Re: A Word Of Appreciation

                    Originally posted by Admin View Post
                    Assalamo allaikum

                    Mohtram members kaisey hain aap?
                    و عليكم السلام و رحمة الله

                    hum theek thaak hain mohtaram uncool g :hairdrayer:
                    Originally posted by Admin View Post
                    bas yehi kehna tha...
                    abhi yeh bus hai...:garmi:
                    .......................!!!!!

                    Comment


                    • #11
                      Re: A Word Of Appreciation

                      Originally posted by Admin View Post
                      Assalamo allaikum

                      Mohtram members kaisey hain aap?

                      Kehna yeh hai keh,
                      main ney apney samney Pegham per hazaron members ko dekha hai. Alhamdolillah hamein bohat achhey achhey members bhi miley hain aur kuchh qadre kam achhey bhi :).

                      Pegham per sainkron members ney aa ker bohat kuchh seekha hai. Aur bohat saron key dilon mein aik doosrey ko dekh ker mazeed achha karney ki aarzu pedah hui. Unki pazeeraii ki gaii to woh mazeed nikharney lagey. Unka asal talent polish honey laga..

                      Main ney dekha hai keh 2 alfaaz tareef key kisi bhi insaan key dil ko woh dharas detey hain keh uskey dil mein aik naii umang pedah hoti hai. Aur neya jazbah...

                      Magar aik takleef'deh baat main ney yeh bhi dekhi hai keh aksar ham log jab senior members ban jatey hain to ham members ki pazeeraii karna chhorr detey hain.

                      Jab Allah Tala ney hamein aqal aur basarat di hai keh ham doosron key liyey mishal-e-raah ban sakein to ham kyun aisa nahin kartey? Agar ham kisi key kaam per two word of appreciation bol dein, to kya hamari lughat sey alfaaz muk jaein gey? Ya hamari toheen ho gi keh ham ney kisi key liyey achhaii ka lafz bola hai? Ham apni hi dhun mein magan kyun rehna shuru kar detey hain???

                      Log aap ki tawajoh key muntazir hain, unhein hosla dena seekhiyey, yeh chhoti chhoti khushiyaan inkey liye bohat ahmiyat ki haamil hoti hain :)

                      bas yehi kehna tha...

                      Ab aap log apney apney dhandhon mein magan ho jao :)

                      Admin
                      Walikum Salam chiips

                      Strongly Agree with ur Each and Every Point :THANKS:

                      Comment


                      • #12
                        Re: A Word Of Appreciation

                        Originally posted by Admin View Post
                        Bilkul yeh hui na baat - ab hamara saraah khatoon ki tarha murjhaey huwey thorey hain :yaay:
                        :lol

                        But yeah to Afsar Bandi hain :otay:

                        Comment


                        • #13
                          Re: A Word Of Appreciation

                          wasalam

                          karna kya hai bhai

                          Comment


                          • #14
                            Re: A Word Of Appreciation

                            sahi kaha aap ney
                            I aM Not a complete Idiot......Some parts are Missing........

                            Comment


                            • #15
                              Re: A Word Of Appreciation

                              Walaikum Assalaam

                              Bohat hi khoobsuart baat kahi hay aap nay, waqayi humaray chand tareefi alfaaz kisi kay kaam ko sanwarnay aur kisi ki zindagi sanwaarnay main madadgaar saabit hosaktay hain....

                              Iss kay saath saath humain iss baat ka bhi khayal rakhna chayeh kay jab hum kisi per TANQEED karain tou uss main bhi tahmul mizaaji say kaam laina chayhe, zaroori nahi kay har shaks aap ki baat ko ussi tarah samjhay jiss tareeqay say hum samjhaana chatay hain, everyone have their own mentality of seeing and understanding.... main nay iss forum per aksar note kia hay kay humaray senior members/moderator aur even ADMIN sahab ka bhi aik nukta-e-nazar hay "I DONT CARE IF YOU LEAVE!!" yeh kehnay main tou chand lafaaz hain magar inn chand alfaaz say naa srif aap aik SEEKHNAY waalay ko yahan say RUKHSAT kar saktay hain balkay ussay samaajh may aisay hi alfazoon kay nazar kardaitay hain kay woh zindagi main yeh seekhta hay kay "Main jo keh raha hoon uss per amal karo waran I DONT CARE"

                              Admin sahab and dear moderators: YOU CARE and YOU REALLY CARE thats why members like me are here and learning a lot of good things from all the members and yourselves.... magar aap hi humain yeh sikhayain kay koi HUMARI BAATON KO NAHIN SUNTA TOU I DONT CARE!!! tou kia yeh aik POSITIVE response hay......

                              Main pichlay chand dinoo say iss FORUM per regular nahi hoon, main nay ROSHNI party banayi uss ko aagay nahin chalaya.... main aisa nahin chahta tha magar main yeh seekh raha hoon yahan per jo aap sikhaana cha rahay hain I DONT CARE....

                              Zaroori nahin aap ki baatain sab ko itni asaani say samajh aajayain, kisi ko mind ko clear karna aur sahi baat ko poora karna, uss kay doubts clear karna, yehi hota hay na matlab SEEKHNAY ka....!

                              Mujhay nahin pata kay meray message ko kis nazryeh say liya jaata hay, pata nahin kahin yeh bhi ussi I DONT CARE ki nazar naa ho jayay?!

                              May ALLAH SWT light and guide our ways AMEEN

                              Fi Amaan ALLAH
                              Last edited by thefire1; 13 January 2010, 09:39.
                              sigpic

                              Comment

                              Working...
                              X