Announcement
Collapse
No announcement yet.
Unconfigured Ad Widget
Collapse
**Raasta......!
Collapse
X
-
Re: **Raasta......!
Walaikum Asalam ummid de :d1:
kia khub kaha he kisi shayir (junaid jamshed) ne :think:
" Hum kyu chalein us raah par jis raah par sab hein chale
kyu na chunein woh raasta jis par nahi koi gaya "
wase me zig zag chalti hu :hphp: mama kehti hein mjhe lagta he tumhari tangon me koi masla he tum straight walk kyu nahi kar sakti :fight:
or jab sunsan rasta ho matlab aas paas koi na ho to ganay bhe gati hu :yaay:
iska serious answer exams ke baad mulahiza farmayay :fly:Last edited by mano_billi; 13 January 2010, 09:20.
Comment
-
Re: **Raasta......!
Originally posted by mano_billi View PostWalaikum Asalam ummid de :d1:
kia khub kaha he kisi shayir (junaid jamshed) ne :think:
" Hum kyu chalein us raah par jis raah par sab hein chale
kyu na chunein woh raasta jis par nahi koi gaya "
wase me zig zag chalti hu :hphp: mama kehti hein mjhe lagta he tumhari tangon me koi masla he tum straight walk kyu nahi kar sakti :fight:
or jab sunsan rasta ho matlab aas paas koi na ho to ganay bhe gati hu :yaay:
iska serious answer exams ke baad mulahiza farmayay :fly:sigpic
Comment
-
Re: **Raasta......!
Originally posted by mano_billi View PostWalaikum Asalam ummid de :d1:
kia khub kaha he kisi shayir (junaid jamshed) ne :think:
" Hum kyu chalein us raah par jis raah par sab hein chale
kyu na chunein woh raasta jis par nahi koi gaya "
wase me zig zag chalti hu :hphp: mama kehti hein mjhe lagta he tumhari tangon me koi masla he tum straight walk kyu nahi kar sakti :fight:
or jab sunsan rasta ho matlab aas paas koi na ho to ganay bhe gati hu :yaay:
iska serious answer exams ke baad mulahiza farmayay :fly:
Is larki sey aisey hi jawab ki UMMID thi :yaay:tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujheytumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey
Comment
-
Re: **Raasta......!
Asalmaalaikum
Walaikum Assalaam Ummid
ummid hai aap sub khairyat se honge
Main ALHAMDULLILAH bilkul kheriyat say hoon aur aap ki khayriat Khudawand-e-Karim say khair matloob hoon :)
aap kis Qism ke Rasto per chalna pasnd karte hain apni zindagi ke liye aasaan ya Mushkil ?
Insaan fitratan humesha asaani chahta hay isi liye aksar aap nay apnay qareebi basnay waloon jinn main ghar waalay bhi shamil hay sab ko yeh kehtay suna hoga kay yaar koi SHORT CUT apnayo itna lamba raasta kiyon ikhtiyaar kartay hoo, tou fitratan main bhi Asaan raastay hi ko awaleen tarjeeh daita hoon!
tay kaise karte hain ke koi Rasta Mushkil hai ya aasan?
Jiss kaam ko aap nay kia ho aur uss per tajurba haasil hoo tou woh umooman asaan hi lagta hay aisay kaam jinhain aap nay pehlay kabhi na kia hoo aur aap say pehli baar aisa karnay ka kaha jaa raha hoon tou hosakta hay woh aap asaani say bhi kar lain magar meray khayal main jiss kaam knowledge na hoo aur usay kia jayay woh pehli baar mushkil hi lagta hay aap koi bhi field main lay lain, khana banana, driving karna, koi khel khailna, office main pehli baar koi letter draft karna waghaira waghaira!
Mushil rasto ko or asan rasto ko aap kaise define kareinge?
Har woh kaam jissay aap nat kisi aur ko kartay dekha hay magar khudh karnay say khabraatay hain... yaani jo shaks aap kay saamnay woh kaam kar raha hay uss kay liye tou woh asaan hay magar aap dekh kar khudh hi apni capability ko judge kar laitay hain kay meray liye yeh mushkil hay yaa asaan (yeh itna mushkil kaam nahin:))
From Mother's womb humari jurney of Life start hojaati hai... one year two year three year.....till the end hum chalte hi rehte hain.... chahe kuch na bhi kar rahe ho per waqt hume saath le ker chalta hi rehta hai.... aap ko kabhi laga ke aap thak gaye hain??
Yehi zindagi hay ummid, bachpan say bhuRapay ka safar isi tarah tay karna hota hay, rah main muskilan aati hain unhain hal karta hua insaan apnay safar gamzan rehta hay, iss duniya main apnay imtihan per kharay utartay hain tou aakhirat main uss ka sila milta hay, bas chaltay rehna chayher aur apnay safar main apnay ALLAH SWT ki har naimatoon ka shukarada karna chayeh kay uss nay aap ko iss qaabil banaya kay aap apnay pairoon per chal rahay hain kisi baysaakhi yaa kisi ki hamdardi kay MOHTAAJ nahin!!!
Quraan mein bhi siraat e MustaQeem ka ziker aaya hai... yaani seedha Rasta.... un logo ko Rasta jin per Allah ka fazal raha.... aap ne life ki kisi bhi stage per ghor kiya ke aap kis raste per hai??
Iss ka kia jawab doon Ummid... aik shair kehta hoon
Kuch rahoon main kati, kuch aahoon main kati
Baaqi jo bachi, woh gunahoon main kati
Ek raah per chalnay waalay, apni manzil paa gayay
Hum raah bhooloon ki tou, rahoon mai kati!!!!
or hum kabhi bhatak jaaye tu hume kaise ilm ho???
Wohi pre-fixed programmed device i.e. ZAMEER... woh khudh aap ko batayay ga kay sahi raah hay aur yeh ghalat...
Raste mein aane waali Rukawato hum kaise door kar sakte hain?? or ager na kare tu kya hum aage barh sakeinge??
Himmat-e-mardaan madad-e-Khuda... insaan kia nahin karsakta bas iradoon main pukhtagi ki zaroorat hay, har raah asaan hojaati hay bas himmat ki baat hay!!!!
may ALLAH SWT light and guide our ways AMEEN
Khush rahyeh
Fi Amaan ALLAH
Originally posted by ummid View Post
:d1:
sigpic
Comment
-
Re: **Raasta......!
Originally posted by mano_billi View PostHum kyu chalein us raah par jis raah par sab hein chale
kyu na chunein woh raasta jis par nahi koi gayatumharey bas mein agar ho to bhool jao mujheytumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey
Comment
Comment