Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Soag.................................

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Soag.................................

    Assalamo allaikum

    Aap ka koi bohat hi aziz wa'fat paa jata hai, jaisa keh Waldein mein sey koi aik. Aap SOAG manatey hain? Agar manatey hain to kaisey? Kitney din? Aap key nazdeek soag manana jaiiz hai? Khud ko peetna, khud ko marna, khud ko nochna waghera, yeh sab aap ki nazar mein kaisa hai?

    Jawab soch samajh ker dijiyey ga.
    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

  • #2
    Re: Soag.................................

    Originally posted by Masood View Post
    Assalamo allaikum

    Aap ka koi bohat hi aziz wa'fat paa jata hai, jaisa keh Waldein mein sey koi aik. Aap SOAG manatey hain? Agar manatey hain to kaisey? Kitney din? Aap key nazdeek soag manana jaiiz hai? Khud ko peetna, khud ko marna, khud ko nochna waghera, yeh sab aap ki nazar mein kaisa hai?

    Jawab soch samajh ker dijiyey ga.

    Nahi... jitna ilm hum ne haasil kiya hai us hisaab se nahi... Islam mein bhi sirf teen din ke sog ki ijazat hai kisi azeez ki wafat per sirf biwi ko shohar ki wafat ke baad ek particular time tak 4 maah 10 din ki id'dat hai...
    or kisi bhi tareeke ke sog ka kahein ziker nahi aaya....
    close attachment ho tu dukh tu hota hi hai kisi ke InteQaal per... lakeen yeh chila chila ker rona seena kobi karna khud ko marna and all is not good... is se accha hai ke marne waale ke haq mein dua kare... :rose..

    me ke nanjaan ke InteQaal ke baad me bauaht upset hogai thi coz I was really very attach to him...Itefaaq se aaj un ki barsi hai 3 muharaam... Allah unhe jant ul firdos mein jagah de aameen... :rose

    Comment

    • #3
      Re: Soag.................................

      hazrat zainab RA bayan farmaati hain ke: "main Nabi Kareem (PBUH) ki ehliyaa Hazart umm-e-Habibah (RA) ke pass us waqt gai jub un ke waalid hazrat abu sufiyaan bin harab (RA)ka InteQaal howa tha
      Hazart umm-e-Habibah (RA) ne khushboo mangaai jis mein kahlooq ya kisi or cheez ki milwat ki wajah se zardi thi, is mein se kuch khusbhu londi ko lagai phir isey apne Rukhsaaro per mal liya. Is ke baad farmaya: "Allah ki Qasam! mujhe khusbu ke Istemaal ki koi zaroorat na thi baat sirf yeh hai ke main ne Rasool (PBUH) se suna hai ke jo aurat Allah or aakherat ke din per Imaan rakhti ho us ke liye jaiz nahi ke woh teen din se zyadah kisi ka sog manaye siwaaye shohar ke (4 maah 10 din)

      - Bukhaari shareef:rose

      Comment

      • #4

        Originally posted by ummid View Post

        :jazak:
        " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

        Comment

        • #5
          Re: Soag.................................

          Originally posted by Masood View Post
          Assalamo allaikum

          Aap ka koi bohat hi aziz wa'fat paa jata hai, jaisa keh Waldein mein sey koi aik. Aap SOAG manatey hain? Agar manatey hain to kaisey? Kitney din? Aap key nazdeek soag manana jaiiz hai? Khud ko peetna, khud ko marna, khud ko nochna waghera, yeh sab aap ki nazar mein kaisa hai?

          Jawab soch samajh ker dijiyey ga.
          w/salam

          (٨٣) وَتَوَلَّىٰ عَنۡہُمۡ وَقَالَ يَـٰٓأَسَفَىٰ عَلَىٰ يُوسُفَ وَٱبۡيَضَّتۡ عَيۡنَاهُ مِنَ ٱلۡحُزۡنِ فَهُوَ كَظِيمٌ۬ (٨٤) قَالُواْ تَٱللَّهِ تَفۡتَؤُاْ تَذۡڪُرُ يُوسُفَ حَتَّىٰ تَكُونَ حَرَضًا أَوۡ تَكُونَ مِنَ ٱلۡهَـٰلِكِينَ (٨٥) قَالَ إِنَّمَآ أَشۡكُواْ بَثِّى وَحُزۡنِىٓ إِلَى ٱللَّهِ وَأَعۡلَمُ مِنَ ٱللَّهِ مَا لَا تَعۡلَمُونَ

          (۸۳) اور اس نے ان سے منہ پھیر لیا اور کہا ہائے یوسف! اور غم سے اس کی آنکھیں سفید ہو گئیں پس وہ سخت غمگین ہوا (۸۴) انہوں نے کہا الله کی قسم تو یوسف کی یاد کو نہیں چھوڑے گا یہاں تک کہ نکما ہو جائے یا ہلاک ہوجائے (۸۵) کہا میں تو اپنی پریشانی اور غم کا اظہار الله ہی کے سامنے کرتا ہوں اور الله کی طرف سے میں وہ جانتا ہوں جو تم نہیں جانتے

          apni aqeedat aur cha'hat ki baat hai, warna loog to apnay baap ko dafna kar keh dayta haiN "mar gaiy mardood, na fateha na durood"

          baqi in'sha'Allah tafseeli jawab bhi donga...

          aap ki tashfee kay leay nahe.... apni raiy bayan karnay kay leay...

          -----------------
          Attached Files
          Last edited by RulzZ; 10 January 2010, 00:52.
          That's Enough...!!

          Comment

          • #6
            Re: Soag.................................

            Originally posted by Masood View Post
            Assalamo allaikum

            Aap ka koi bohat hi aziz wa'fat paa jata hai, jaisa keh Waldein mein sey koi aik. Aap SOAG manatey hain? Agar manatey hain to kaisey? Kitney din? Aap key nazdeek soag manana jaiiz hai? Khud ko peetna, khud ko marna, khud ko nochna waghera, yeh sab aap ki nazar mein kaisa hai?

            Jawab soch samajh ker dijiyey ga.
            Walekum Salam:hii:
            mere qareeb tareen azizon me se mere father ki death hui jo achanak thi or shocked bhi.itne piyare baap ka yun achanak chale jane ka sadma lafzon me biyan nahi kia ja sakta.lekin khud ko marna peetna to door ki baat me oonchi awaz me roi bhi nahi.kiun k me ne apne piyare nabi ka ese mokon par react karne ka tareeka janti hun.or jab ham Allah or us k Nabi (SAW) se mohabat ka dawa karte hen to hamen apne emaal me zeada se zeada un k kareeb hone ki koshish karni chaey,Allah k rasool (SAW)ka is bare me 3 din k soag ka hukam he to phir ham kese barha sakte hen.or Allah ko sabar karna bhi behad pasand he.baki me ne apne father ki death par logon k ajeeb o ghareeb raweye bhi dekhe,gaon k jahil log khas kar khwateen zor zor se bain karti hen,khud ko thapar marti hen,seena kobi karti hen,me ghusa bohat control karne wali bandi hun lekin us waqt mujhe itne gham ki halat me bhi ye sab itna bura laga k jab mere father ki kuch cozinz ne un par gir gir kar rona shiru kia to me ne agey barh kar un ko bazoo se pakra or ghuse se kaha k mere baap ko hath bhi mat lagao,kia tum ko mujh se zeada gham he mere bap ka.ap namehram khawateen ho,mere father sunat e rasool par amal karne wale kiun un ko takleef deti ho ap log.lekin is qadar jahalat k sab ne mujhe samjhana bujhana shiru kar dia k choro is moke par esa nahi karte.
            me to bas ye janti hun k dukh or gham show karne se nahi pata chalta k kitna he,khas kar gaon ki khawateen k dramaz dekh kar.lekin hamara mazhab hamen gham n khushi dono me decent rehne ki talqeen karta he to rehna chaey.ansoo par band nahi bandha ja sakta lekin baki jo drama bazi hoti he ese mokon par Allah us se mehfooz rakhe.ameen.

            Comment

            • #7

              :mm:
              :mm:
              :mm:
              :mm:
              :mm:
              :mm:
              :mm:
              inni lambi tehreer main nahi likh sakti ji...
              thora sochne ka time do......................

              Comment

              • #8
                Re: Soag.................................

                Originally posted by unity View Post

                Quite decent reply. Like it
                :thmbup:

                Comment

                • #9
                  Re: Soag.................................

                  Originally posted by Masood View Post
                  Assalamo allaikum

                  Aap ka koi bohat hi aziz wa'fat paa jata hai, jaisa keh Waldein mein sey koi aik. Aap SOAG manatey hain? Agar manatey hain to kaisey? Kitney din? Aap key nazdeek soag manana jaiiz hai? Khud ko peetna, khud ko marna, khud ko nochna waghera, yeh sab aap ki nazar mein kaisa hai?

                  Jawab soch samajh ker dijiyey ga.

                  Wa Alaikum Aslam,

                  Meri raye bhi doosray akhbaab se ziada mukhtalif nahi. Mere father ki death hui, Rasmun hum ne 3 din ka soo'g kia. Aur yeh baat to mere father apni wafat se pehlay keh gaye thay ke meri wafaat pe teen din se ziada soo'g na kerna. Lehaza rasoomaat ki had tak to teen din tak he soo'g kia.

                  Lekin jesa ke Scorpion_rulez ne kaha ke apni akeedat aur chahat ki baat bhi hay. Mere father ki death ke baad hum loog chah ker bhi koi hassi khushi wala kaam nahi ker patay thay aur hamaray ghar 4 ya 5 months tak TV on nahi hua, bus sabi loog chup ker ke bethay rehtay thay, ghar mein khamooshi aur sanatay ka door doora raha.

                  Baki seena koobi kerna, apnay aap ko peetna yeh hum loogon mein na hota he aur na pasand kia jata he. Meri ammi aur meri sisters mein se even kisi ke ronay ki awaz tak nahi aai. Dukh to hota he, lekin jese Senorita ne beyaan kia ke aisay waqt ko bhi decent way se guzara ja sakta he.
                  :thmbup:

                  Comment

                  • #10
                    Re: Soag.................................

                    to be honest abi tak muje roonay walo k styles dekh k itne hasni ati hain tubaaaaaaaaaaaaaaa khas tor per ourtain to inteha he ker deti hain
                    me ko yaad hain k jeb meri daadi ama foth hoi the to un ki cozen ki beti roi ja rahi kehti hiiiiiiiiiiiiii hiiiiiiiiiiiiiiiiii baji main kiyon na chali gai ap ki jaga hi mainu chuk lainda ALLAH aur qulon per wo tea kabi kuch kabi kuch mangwa rahi teh apne liya ( aur main sourh rahi k jsi time wo bain ker rahi the hi hi ker k usi time daadi ager zind aho k us ka hath paker leti aur kehti k theakh hain abtum itna force ker he raho to tum chali jao maza he ajata

                    isi terhan jeb meri nani ama foth hoi to khair humri ama ki family drama nhe lagti ayse na he kisi ny bain kia na he cheekhain mari na he shor machay seb kuch bohat he khamoshi sy howa tha aur aj kal to masood bhai kia baat kerty hain ap can u believe it shadi sy zayda log moth per tiyar ho ker atay hain zaver pehen ker wo kahty hain k shadi main to seb ny penhny hoty hain merye py to koi koi pehnta seb dekhty hain

                    ( in the topic jahan tak main ny suna hain 3 din ka soag hain main ap ka ishara samjh gai hon k ap ki baat ka asel maqsed kai tha lakin kia kerain na hum seena qoobi ker walo ko rok sakty na kuch aur keh sakty hain quran pak main ayet pari the muje sahe terhan ab yaad to nhe dobra perhon g to bata don g detail k ( seena qoobi kery walay hum main sy nhe hain)
                    ab aur gerdish-e- taqdeer kiya sitaye ge lota ke ishq mai naam o nishaan bethain hei

                    sigpic

                    Comment

                    • #11
                      Re: Soag.................................

                      Originally posted by Masood View Post
                      Assalamo allaikum

                      Aap ka koi bohat hi aziz wa'fat paa jata hai, jaisa keh Waldein mein sey koi aik. Aap SOAG manatey hain? Agar manatey hain to kaisey? Kitney din? Aap key nazdeek soag manana jaiiz hai? Khud ko peetna, khud ko marna, khud ko nochna waghera, yeh sab aap ki nazar mein kaisa hai?

                      Jawab soch samajh ker dijiyey ga.
                      dukh to hota hai or yeh sari zindagi reh jata hai..us banday say jurri sari yadaian .. or soag to kuch din manaya jata hai or baki cheezian nahi hoti ...
                      اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                      اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                      Comment

                      • #12
                        Re: Soag.................................

                        Walaikum Assalaam

                        Kehtay hain insaan ka sab say aziz rishta uss ki MAA ka hota hay aur koi bhi aik MAA say ziyada pyar nahin kar sakta.

                        Meri MAA iss duniya main nahin, unki achaanak intiqaal ki khabar nay mujhay bohat dil bardaashta kia tha, meri behnain, meray waalid, meray bhai sab hi iss achanak mout kay sadmay ko bardasht nahin kar paayay, main apnay ansooyon ko rokay unsab ko himmat dilaata raha, humari khala nay seena peetna shuroo kia tou unhain bhi main nay rouka kay yeh sahi tareeqa nahin hay aur ALHAMDULLILAH sab nay himmat say kaam lia, kiyonki ALLAH SWT ki marzi kay aagay kisi ki nahin chalti aur iss haqeqat say sab hi waaqif hain.

                        Ghar main 3 din tak soug raha, magar walida ki yaad aaj bhi humaray dilon main naqshband hay unki baatain unki nasihatain aaj bhi humari zindagi main shamil-e-haal hain aur hum unhain apni zindagi ka sarmaya-e-hayaat samajhtay hain.

                        May ALLAH SWT rest her soul in peace and light & guide our ways AMEEN

                        Fi Amaan ALLAH

                        Originally posted by Masood View Post
                        Assalamo allaikum

                        Aap ka koi bohat hi aziz wa'fat paa jata hai, jaisa keh Waldein mein sey koi aik. Aap SOAG manatey hain? Agar manatey hain to kaisey? Kitney din? Aap key nazdeek soag manana jaiiz hai? Khud ko peetna, khud ko marna, khud ko nochna waghera, yeh sab aap ki nazar mein kaisa hai?

                        Jawab soch samajh ker dijiyey ga.
                        sigpic

                        Comment

                        • #13
                          Re: Soag.................................

                          Originally posted by thefire1 View Post

                          Ameen

                          Comment

                          • #14
                            Re: Soag.................................

                            Originally posted by ScorpioN_RulzZ View Post
                            w/salam

                            (٨٣) وَتَوَلَّىٰ عَنۡہُمۡ وَقَالَ يَـٰٓأَسَفَىٰ عَلَىٰ يُوسُفَ وَٱبۡيَضَّتۡ عَيۡنَاهُ مِنَ ٱلۡحُزۡنِ فَهُوَ كَظِيمٌ۬ (٨٤) قَالُواْ تَٱللَّهِ تَفۡتَؤُاْ تَذۡڪُرُ يُوسُفَ حَتَّىٰ تَكُونَ حَرَضًا أَوۡ تَكُونَ مِنَ ٱلۡهَـٰلِكِينَ (٨٥) قَالَ إِنَّمَآ أَشۡكُواْ بَثِّى وَحُزۡنِىٓ إِلَى ٱللَّهِ وَأَعۡلَمُ مِنَ ٱللَّهِ مَا لَا تَعۡلَمُونَ

                            (۸۳) اور اس نے ان سے منہ پھیر لیا اور کہا ہائے یوسف! اور غم سے اس کی آنکھیں سفید ہو گئیں پس وہ سخت غمگین ہوا (۸۴) انہوں نے کہا الله کی قسم تو یوسف کی یاد کو نہیں چھوڑے گا یہاں تک کہ نکما ہو جائے یا ہلاک ہوجائے (۸۵) کہا میں تو اپنی پریشانی اور غم کا اظہار الله ہی کے سامنے کرتا ہوں اور الله کی طرف سے میں وہ جانتا ہوں جو تم نہیں جانتے

                            apni aqeedat aur cha'hat ki baat hai, warna loog to apnay baap ko dafna kar keh dayta haiN "mar gaiy mardood, na fateha na durood"

                            baqi in'sha'Allah tafseeli jawab bhi donga...

                            aap ki tashfee kay leay nahe.... apni raiy bayan karnay kay leay...

                            Comment

                            • #15
                              Re: Soag.................................

                              Originally posted by Masood View Post
                              Assalamo allaikum

                              Aap ka koi bohat hi aziz wa'fat paa jata hai, jaisa keh Waldein mein sey koi aik. Aap SOAG manatey hain? Agar manatey hain to kaisey? Kitney din? Aap key nazdeek soag manana jaiiz hai? Khud ko peetna, khud ko marna, khud ko nochna waghera, yeh sab aap ki nazar mein kaisa hai?

                              Jawab soch samajh ker dijiyey ga.
                              SOAG apnay app ko mar peet kr nahi manaya jata..
                              bus jo dhook mila ho us ko bus khamoshi say bardasht kao...
                              fotagi ka soag 3 din say ziyada nahi hona chahiye....

                              I Have Green Blood In My Veins Because I Am a Pakistani

                              Comment

                              Working...
                              X