Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Soag.................................

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #16
    Re: Soag.................................

    Originally posted by ScorpioN_RulzZ View Post
    w/salam

    (٨٣) وَتَوَلَّىٰ عَنۡہُمۡ وَقَالَ يَـٰٓأَسَفَىٰ عَلَىٰ يُوسُفَ وَٱبۡيَضَّتۡ عَيۡنَاهُ مِنَ ٱلۡحُزۡنِ فَهُوَ كَظِيمٌ۬ (٨٤) قَالُواْ تَٱللَّهِ تَفۡتَؤُاْ تَذۡڪُرُ يُوسُفَ حَتَّىٰ تَكُونَ حَرَضًا أَوۡ تَكُونَ مِنَ ٱلۡهَـٰلِكِينَ (٨٥) قَالَ إِنَّمَآ أَشۡكُواْ بَثِّى وَحُزۡنِىٓ إِلَى ٱللَّهِ وَأَعۡلَمُ مِنَ ٱللَّهِ مَا لَا تَعۡلَمُونَ

    (۸۳) اور اس نے ان سے منہ پھیر لیا اور کہا ہائے یوسف! اور غم سے اس کی آنکھیں سفید ہو گئیں پس وہ سخت غمگین ہوا (۸۴) انہوں نے کہا الله کی قسم تو یوسف کی یاد کو نہیں چھوڑے گا یہاں تک کہ نکما ہو جائے یا ہلاک ہوجائے (۸۵) کہا میں تو اپنی پریشانی اور غم کا اظہار الله ہی کے سامنے کرتا ہوں اور الله کی طرف سے میں وہ جانتا ہوں جو تم نہیں جانتے


    apni aqeedat aur cha'hat ki baat hai, warna loog to apnay baap ko dafna kar keh dayta haiN "mar gaiy mardood, na fateha na durood"

    baqi in'sha'Allah tafseeli jawab bhi donga...

    aap ki tashfee kay leay nahe.... apni raiy bayan karnay kay leay...
    :salam: Sir G Gustakhi Maff Farmaiy Gaa (Mujhay Apni kamilmi Ka Ahsas Hay) Yahodi & Isaie yah Karty Thay K Apni Marzi Ki Chizin Apni ILHAMI Kitabon Main Sahmil Kardayty Thay.Ham Main Faraq Yah hay K ALLAH G K Waday K Mutabiq ham Is Kitab ko Tabdeel to Nahin kar sakty Laykin Is Main Say Chizin Sirf Who Layty Hain Jis ki Hamin Zarort Hoti Hay Baqi sab ko PashayPusht Daldayty Hain.
    Jis Aiat Ka hawal app day rahay Hian Wahan Hazrat YOUSAF Ke "Shahadat" k bad Sog Nahin Manaya Ja raha Balqy Khojany K Dukh hay.
    Marny Ka Sabar or Khorjany Ka Dokh Alyhda Alyhda Chizin Hian.
    Soge K Hawalay say 1 Ghair waziah "Aiat"ka hawala Dayty howay App "Sheedon" K baray Main 1 Waziah "Aiat"nazar andaz Kar baythay Jis Ka mafohm yah hay K
    ALLAH G framaty hain.ALLAH ki Rah Main Sheed Hony Walon Ko tum mara hwoa mat kaho.Who Zinda Hian Bus tumHian Ous ka Shour Nahin.
    ALLAH G Hamin Apni "Main" say nikla kar Sachaie ko man,nay ki Tofiq Att Farmain Amen :dua
    Last edited by S.Athar; 27 December 2009, 20:59.
    :star1:

    Comment


    • #17
      Re: Soag.................................

      Assalaam-O-Alaikum

      Choonkay sawaal zaati noyat ka tha issi liye main nay srif apni zaat ko mad-e-nazar rakhtay huway apnay khayaalaat ka izhaar kia...

      Umooman hum nay dekha hay kay humaray mashray main aik bohat hi aam riwaayat balkay yeh humaray culture (saqaafat) ka hissa banta jaa raha hay kay log 10waan, beeswaan, teeswaa aur chaleeswaa kartay hain aur phir har saal khandaan main baqaida tour per salaana barsi ka ehtimaam hota hay jiss main Quran khuwaani, niyaz ka ehtimam waghaira hota hay jis ka kahin bhi islaami taareekh main na hi tazkara hay aur naa hi aisi baatoon ka koi hukm.

      Meray nazdeek jitna Quran-e-Pak ki tilaawat insaan ki apni aulaad, jaisay meri waalida kay liye main Quran-e-Pak ki tilaawat kar kay unkay liye bakhshish-o-maghfirat ki dua karoon uss say behtar koi fayl nahin, aur isi tarah ghareeboon main khana taqseem kar kay unkay liye dua-e-maghfirat karoon, unki qabar per jaa kar fatiha paRhoon, waghaira ziyada behtar hain na kaay ijtimaayi tour per quran khuwaani munaqid karwayoon!!

      SOAG karna yeh tou nahin na kay har saal ghar ko aik maatamkada bana dain, ALLAH SWT insaan main fitratan SABR paida kia hay warna yeh zindagi dushwaar hojaati, fout honay waaloon kay saath mara nahin jaata balkay unkay liye dua-e-maghfirat ki dua karni chayeh aur apnay liye sabr ki!!!

      May ALLAH SWT light and guide our ways AMEEN

      FI Amaan ALLAH
      sigpic

      Comment


      • #18
        Re: Soag.................................

        Originally posted by MSA View Post
        tumhaiN pata hai maiN apnay waday ka kitna pakka hoon pehlay wali post maiN he attach kardi haiN files

        Originally posted by SAZ View Post
        ALLAH G Hamin Apni "Main" say nikla kar Sachaie ko man,nay ki Tofiq Att Farmain Amen :dua
        Ameen :rose

        baqi meri pichli post paRh laiN maiN nay update kardi hai
        That's Enough...!!

        Comment


        • #19
          Re: Soag.................................

          Originally posted by ScorpioN_RulzZ View Post
          tumhaiN pata hai maiN apnay waday ka kitna pakka hoon pehlay wali post maiN he attach kardi haiN files
          pakay ho ya kachay sanu ki

          Comment


          • #20
            Re: Soag.................................

            Originally posted by SAZ View Post
            :salam: Sir G Gustakhi Maff Farmaiy Gaa (Mujhay Apni kamilmi Ka Ahsas Hay) Yahodi & Isaie yah Karty Thay K Apni Marzi Ki Chizin Apni ILHAMI Kitabon Main Sahmil Kardayty Thay.Ham Main Faraq Yah hay K ALLAH G K Waday K Mutabiq ham Is Kitab ko Tabdeel to Nahin kar sakty Laykin Is Main Say Chizin Sirf Who Layty Hain Jis ki Hamin Zarort Hoti Hay Baqi sab ko PashayPusht Daldayty Hain.
            Jis Aiat Ka hawal app day rahay Hian Wahan Hazrat YOUSAF Ke "Shahadat" k bad Sog Nahin Manaya Ja raha Balqy Khojany K Dukh hay.
            Marny Ka Sabar or Khorjany Ka Dokh Alyhda Alyhda Chizin Hian.
            Soge K Hawalay say 1 Ghair waziah "Aiat"ka hawala Dayty howay App "Sheedon" K baray Main 1 Waziah "Aiat"nazar andaz Kar baythay Jis Ka mafohm yah hay K
            ALLAH G framaty hain.ALLAH ki Rah Main Sheed Hony Walon Ko tum mara hwoa mat kaho.Who Zinda Hian Bus tumHian Ous ka Shour Nahin.
            ALLAH G Hamin Apni "Main" say nikla kar Sachaie ko man,nay ki Tofiq Att Farmain Amen :dua

            Jab jang-e-auhat main jang k doran app (Saw) k daat mubarak shaheed ho gayee thay too app (saw) ka paigam laiker log muqtalif mulk gayee in main say aik mulk meesir(egypt) bhi tha wahan jab yeh logoon ko bataya k app (saw) k daat mubarak shaheed ho gayee hain too aik sahab jin ka naam Hazarat owais-e-Karni tha unhoon nay jab yeh suna k allah kay rasool (saw) k daat mubarak shaheed ho gayee hain too app bhut royee aur mara peta aur aik aik ker kay apnay saray daat toort liya loogoon nay kaha k app ko pata nahi apnay app ko marna haram hay... lakin jab kuch sahbi rasool (saw) k pass phuachay aur bataya k app ka aik chahanay wala tha jis nay jab yeh suna k app ka daat mubarak shaheed ho gayee hain too is nay bhi apnay saray daat toort liya aur mara peeta apnay app...kya ajj say woo islam say kharij ho gaya.... farmaya nahi ajj say wo meraa sahabi hay .. bhai sahbi too wo hota hay jo rassool ki sohabat main behtay ya kabhi is nay rasool ko dekha ho ya rassool nay kabhi is ko dekha hoo...laikn rasool allah nay isay sirf is liya sahabi banaya k is nay rassool per roya aur rasool ki khater apnay daat toort liya......

            Comment


            • #21
              Re: Soag.................................

              Rasool e Khuda(SAWW) ka Girya:
              "Ans bin malik se rivayat hai k Nabi kareem SAWW ne Hazrat jafar aur Hazrat Zaid ki khabar aane se pehle inn ki shahadat k barey mein bata dia aur aap ki aankhon se aansu jari thay ..."
              Sahih Bukhari, jild 2, baab 378 , hadees 832, safha 368


              ss rivayat se sabit hai k Nabi ne jafar aur zaid ki shahadat se pehle inn ki shahadat ki khabr de di thi (Jese imam hussain ki shahadat ki khabar hazrat umme salma ko di thi) jo k iss bat ki daleel hai k nabi k pas ilm e ghaib tha , aur mazeed ye k aankhon se aansu jari hona b iss bat par dalalat karta hai k jab shahadat se pehle Rasool ro rahey hein aur rona jaiez hai tou hazrat hussain ki shahadat k baad rona haram aur biddat kese ho sakta hai

              Comment


              • #22
                Re: Soag.................................

                Originally posted by Masood View Post
                Assalamo allaikum

                Aap ka koi bohat hi aziz wa'fat paa jata hai, jaisa keh Waldein mein sey koi aik. Aap SOAG manatey hain? Agar manatey hain to kaisey? Kitney din? Aap key nazdeek soag manana jaiiz hai? Khud ko peetna, khud ko marna, khud ko nochna waghera, yeh sab aap ki nazar mein kaisa hai?

                Jawab soch samajh ker dijiyey ga.
                Rasool (SAWW) khud Roye b aur noha b parha :

                "Ans bin malik (RA) rivayat karte hein ham Rasool Allah k hamraah Abu Yusuf lohar k ghar gaye jo janab Ibraheem (farzand e rasool) ki anna ka shohar tha Rasool(SAWW) ne Ibraheem ko lekar pyar nahi kia inhein soongha baad aza'n Abu Yusuf lohar k pas gaye aur Ibraheem dam tor rahey thay, Rasool ki aankhon se aansu ravan ho gaye , Abd ul Rehman ibn e Aof boley Allah k Rasool aur ro rahey hein ?? , farmaya aey aof k betey ye tou rehmat o shafqat hai , phir aaye tou Rasool ne faryamaya aankh ashkbar aur dil ghamzada hai magar zuban se wahi kahein ge jis se hamara rab razi hai aur aey ibraheem ! tumhareu hijr mein ham ghamgeen hein "
                sahih Bukhari Jild 1 kitaab al janaiez baab 826 , hadees 1219 , safha 499

                Iss hadees mein mazeed k rasool farmatey hein "aey ibraheem tumharey hijr mein ham ghamgeen hein" yani apne farzand ko pukar kar gham ka muzahira kia "issi ko tou noha kehte hein"!!!!!!

                Comment


                • #23
                  Re: Soag.................................

                  Originally posted by ummid View Post
                  Nahi... jitna ilm hum ne haasil kiya hai us hisaab se nahi... Islam mein bhi sirf teen din ke sog ki ijazat hai kisi azeez ki wafat per sirf biwi ko shohar ki wafat ke baad ek particular time tak 4 maah 10 din ki id'dat hai...
                  or kisi bhi tareeke ke sog ka kahein ziker nahi aaya....
                  close attachment ho tu dukh tu hota hi hai kisi ke InteQaal per... lakeen yeh chila chila ker rona seena kobi karna khud ko marna and all is not good... is se accha hai ke marne waale ke haq mein dua kare... :rose..

                  me ke nanjaan ke InteQaal ke baad me bauaht upset hogai thi coz I was really very attach to him...Itefaaq se aaj un ki barsi hai 3 muharaam... Allah unhe jant ul firdos mein jagah de aameen... :rose
                  "Umme Atya se Rivayat hai k Nabi kareem ne farmaya k kisi aurat k liye halal nahi hai jo Allah aur qayamat par iman rakhti ho k teen din se ziada kisi ka sog karey sivaye khawand k , pas na wo surma lagaye , na rangdar kapre pehne , magar jo pehle se ranga hua ho ..."
                  ///kam se kam iss rivayat se ye tou sabit ho sakta hai k sog manaya jaa sakta hai , aurat apne shohar ka 3 din se ziada sogh mana sakti hai aur ye b sabit hai k gham , muzahira e gham k liye khushbu ka tark karna , rangeen kapron ka tark karna , surmey ka tark karna mutabiq e hadees e Rasool hai

                  Comment


                  • #24
                    Re: Soag.................................

                    Originally posted by Mumtaz zaidi View Post
                    Rasool e Khuda(SAWW) ka Girya:
                    "Ans bin malik se rivayat hai k Nabi kareem SAWW ne Hazrat jafar aur Hazrat Zaid ki khabar aane se pehle inn ki shahadat k barey mein bata dia aur aap ki aankhon se aansu jari thay ..."
                    Sahih Bukhari, jild 2, baab 378 , hadees 832, safha 368

                    ss rivayat se sabit hai k Nabi ne jafar aur zaid ki shahadat se pehle inn ki shahadat ki khabr de di thi (Jese imam hussain ki shahadat ki khabar hazrat umme salma ko di thi) jo k iss bat ki daleel hai k nabi k pas ilm e ghaib tha , aur mazeed ye k aankhon se aansu jari hona b iss bat par dalalat karta hai k jab shahadat se pehle Rasool ro rahey hein aur rona jaiez hai tou hazrat hussain ki shahadat k baad rona haram aur biddat kese ho sakta hai
                    :salam: ALLAH G Hamin Is bat ko laykar TAQSEEM Honay say Bachain.App (SAWW) Ki Chashmay Mubarik Say Ansoo Jari Hona Gair Fitri Amal hay & Khod ko petna 1 Fitri Amal hay.oumed hay Choti C Bat Dill Main Jagha Karay gee.
                    Last edited by S.Athar; 11 January 2010, 08:32.
                    :star1:

                    Comment


                    • #25
                      Re: Soag.................................

                      Originally posted by Masood View Post
                      Assalamo allaikum

                      Aap ka koi bohat hi aziz wa'fat paa jata hai, jaisa keh Waldein mein sey koi aik. Aap SOAG manatey hain? Agar manatey hain to kaisey? Kitney din? Aap key nazdeek soag manana jaiiz hai? Khud ko peetna, khud ko marna, khud ko nochna waghera, yeh sab aap ki nazar mein kaisa hai?

                      Jawab soch samajh ker dijiyey ga.
                      Chest beating (MATAM) is the Sunnah of the Sahaba

                      1. Musnad Abu Awana Volume 2 page 141
                      2. Sunan Nasai Volume 3 page 12
                      3. Sunan Abu Daud Volume 1 page 244



                      Proof of head beating from the Qur'an

                      In Surah adh-Dhaariyaat we read that Hadrath Sara (as) struck her face when she was told that she would conceive a baby.

                      "Then came forward his wife in grief, she smote her face and said (what! I) An old barren woman?"
                      Quran 51:29
                      Attached Files

                      Comment


                      • #26
                        Re: Soag.................................

                        Originally posted by SAZ View Post
                        :salam: ALLAH G Hamin Is bat ko laykar TAQSEEM Honay say Bachain.App (SAWW) Ki Chamay Mubarik Say Ansoo Jari Hona Gair Fitri Amal hay & Khod ko petna 1 Fitri Amal hay.oumed hay Choti C Bat Dill Main Jagha Karay gee.


                        Last post parhain app ko "Gair Fitri Amal" (App keh mutabiq) ki detail bhi bata dein hain
                        Last edited by Mumtaz zaidi; 10 January 2010, 09:57.

                        Comment


                        • #27
                          Re: Soag.................................

                          ........
                          Attached Files

                          Comment


                          • #28
                            Re: Soag.................................

                            Originally posted by ScorpioN_RulzZ View Post
                            w/salam

                            (٨٣) وَتَوَلَّىٰ عَنۡہُمۡ وَقَالَ يَـٰٓأَسَفَىٰ عَلَىٰ يُوسُفَ وَٱبۡيَضَّتۡ عَيۡنَاهُ مِنَ ٱلۡحُزۡنِ فَهُوَ كَظِيمٌ۬ (٨٤) قَالُواْ تَٱللَّهِ تَفۡتَؤُاْ تَذۡڪُرُ يُوسُفَ حَتَّىٰ تَكُونَ حَرَضًا أَوۡ تَكُونَ مِنَ ٱلۡهَـٰلِكِينَ (٨٥) قَالَ إِنَّمَآ أَشۡكُواْ بَثِّى وَحُزۡنِىٓ إِلَى ٱللَّهِ وَأَعۡلَمُ مِنَ ٱللَّهِ مَا لَا تَعۡلَمُونَ

                            (۸۳) اور اس نے ان سے منہ پھیر لیا اور کہا ہائے یوسف! اور غم سے اس کی آنکھیں سفید ہو گئیں پس وہ سخت غمگین ہوا (۸۴) انہوں نے کہا الله کی قسم تو یوسف کی یاد کو نہیں چھوڑے گا یہاں تک کہ نکما ہو جائے یا ہلاک ہوجائے (۸۵) کہا میں تو اپنی پریشانی اور غم کا اظہار الله ہی کے سامنے کرتا ہوں اور الله کی طرف سے میں وہ جانتا ہوں جو تم نہیں جانتے


                            apni aqeedat aur cha'hat ki baat hai, warna loog to apnay baap ko dafna kar keh dayta haiN "mar gaiy mardood, na fateha na durood"

                            baqi in'sha'Allah tafseeli jawab bhi donga...

                            aap ki tashfee kay leay nahe.... apni raiy bayan karnay kay leay...

                            -----------------
                            :salam: Scorpion Sb! ALLAH G App K ILM main Mazedd Izafa Farmain. Ameen.App nay jis wazahat k sath sari bat open ki hay ALLAH G ap ko is ki Jaza Dain.App ki wazahat k Bad Main Ahlay Tasheh Bahion K Tairqy Kar ko to nahin apnaon ga Albata ab in ko ous nazar say Nahin Daykhon gaa jaysa k abtaq.:roseMain Bayhas Bary Bayhas Ka Qail Nahin
                            Last edited by S.Athar; 10 January 2010, 10:09.
                            :star1:

                            Comment


                            • #29
                              Re: Soag.................................

                              Originally posted by Mumtaz zaidi View Post
                              Chest beating (MATAM) is the Sunnah of the Sahaba
                              Sahaba ki sunnat? Aur jo Nabi Kareem SAW ney KHUD farmaya hai, woh??? Nabi Kareem SAW ki koi aik hadees mubarka laein jis mein unhon ney farmaya ho keh aey Musalmano merey baad meri yaad mein ya merey baad aaney walon ki yaad mein chest peeta karo yeh tumharey liyey behtar hai?? Aisi koi hadees pesh kijiyey...
                              tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                              tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                              Comment


                              • #30
                                Re: Soag.................................

                                W sallam............

                                Mujha y Bohhat Hairanii hoii h aii kehh yehh Thread massod bhai nayy start kiaa haiiiiii,,,,,,,,,,,,,
                                Main koi Mustand aallam nahii hoo aaor naa hii Gehhraii main janna chahhta hoooooooo
                                just
                                I request to all PG memberzz

                                Aaj Hamaraa Mulkk kinn hallat sayy guzzar rahaa haiii,,yehh joo aaj kal aikk doosrray kayy Masslak parr Tanqeed kaa silsalllaa sms kay zarieyy aoor different formzz parr shooroo hoo chukka haii...
                                Khudarraaaa..

                                Iss koo band karroo aoor dushmanoo koomooqqa naa doo kehh wohh hamain aapass main larraa sakain....Dushman too chahtta hii yehhi hain kehh hamm aapas main larrttay rahainnnnn......

                                Beshak
                                hamarray Masalk Juda juda hain..magar ham mannanny wallay to aik he religion(Islam) kay hain......eik Khudaa Eik Rasool(PBUH) koo mannttay hainnnnnnnnn......
                                "Can you imagine what I would do if I could do all I can? "

                                Comment

                                Working...
                                X