Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

**taleem-e-niswaa'n....!

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • **taleem-e-niswaa'n....!

    Asalamaalaikum

    ummid hai sub khairyat se honge :d1:

    aap ko kya lagta hai girls ko kitni taleem haasil karni chahiye....:embarasse

    10th grade
    12th grade
    Garduation
    Masters
    Ph.d (Doctor)

    ya kuch or :think:

    kya zyadah parh lene se ghooror aajaata hai??? :lpop:

    kya zyadah taleem haasil kar lein tu banda kum per itefaaq nahi karta?? :lpop:

    kya zyadah parh lene se "Tarbeeyat" per bhi asar parh jaata hai??? :lpop:

    "Tarbeeyat" ko aap kaise define kareinge...... :think:??

    P.S: baat sirf Girls ki education ki ho rahi hai so reply karte waqt larkiyo ko hi consider ker ke reply kiya jaaye tu mehrbaani hogi.... :hairdrayer:
    Last edited by ummid; 2 December 2009, 13:49.

  • #2
    Re: **taleem-e-niswaa'n....!

    humara bhai kehta hai ke larkiyo ko bus un ka naam likhne aana chahiye or kuch parhne likhne ki zaroorat nahi...372-shed ....or me us se akser kehti ho ke me ab tak apna naam likhna hi nahi seekh paai :garmi:

    Comment

    • #3
      Re: **taleem-e-niswaa'n....!

      Originally posted by ummid View Post

      waalikum asslam

      nice thread

      jitni b taleem hasil kre larrki me lachak honi chahiye adjustment ki bas har trah k halaat me dhalnay ki ,bohat mushkil hota hai yeh baaz auqaat ,apni zaat ki nafi b krna parrti hai yeh koi aasaan kaam nae ,
      aur gharoor nae aata ,me smjhti hoon mard ki nisbat aurat zayda tabdeel hojati hai taleem se ,jo shayoor wo hasil krti hai uss se apnay andar tabdeeli laati hai aur ird gird tabdeeli lana chahti hai jo k bohat mushkil kaam hota hai ,iss liye jab wo kuch galat hotay dekhti hai tou bohat mumkin hai baghawat k jazbat umdnay lagaain....jo k ird gird basnaay walo ko kuch hazam nae hotay iss liye yeh gharoor aur tarbiyat n blah blah sab batain hoti hain

      jitni b taleem ho apni shaksiat me tawazan peda krnay ki zaroorat hai bas ,wrna aurat fitna barpaa krnay ki salahiat tou bila shuba rakhti hai :lol
      شاہ حسین جیہناں سچ پچھاتا' کامل عِشق تیہناں دا جاتا

      Comment

      • #4

        yeh typical mardon ka amoomi rawwya hai koi baat nae :lol
        Last edited by saraah; 2 December 2009, 14:02.
        شاہ حسین جیہناں سچ پچھاتا' کامل عِشق تیہناں دا جاتا

        Comment

        • #5
          Re: **taleem-e-niswaa'n....!

          Asalamaalaikum
          Walekum Salam:hii:
          ummid hai sub khairyat se honge
          haan bilkul fine:)
          aap ko kya lagta hai girls ko kitni taleem haasil karni chahiye....

          10th grade
          12th grade
          Garduation
          Masters
          Ph.d (Doctor)
          jitna us ka dil kare or us k halaat ijazat den
          ya kuch or

          kya zyadah parh lene se ghooror aajaata hai???
          aa sakta he lekin jab "ilm"bhi hasil ho jaey to insan me zeada ajzi ati he
          kya zyadah taleem haasil kar lein tu banda kum per itefaaq nahi karta??
          amuman shadi k moamlaat me dekha he k larki zeada parh likh jaey to apne se kam parhe likhe larke se shadi karna pasand nahi karti,is leay bohat se waleden zeada nahi parhate k family me to larke zeada parhe likhe hen nahi to masla ho ga
          kya zyadah parh lene se "Tarbeeyat" per bhi asar parh jaata hai???
          haan achi tarbeyat mazeed nikhar jati he,etmaad barhta he
          "Tarbeeyat" ko aap kaise define kareinge...... ??
          manners,achai burai ki tameez,zindagi guzarne k asool sab tarbeyat me ate hen k ham ko kia batya gya

          Comment

          • #6
            Re: **taleem-e-niswaa'n....!

            Originally posted by ummid View Post
            humara bhai kehta hai ke larkiyo ko bus un ka naam likhne aana chahiye or kuch parhne likhne ki zaroorat nahi...372-shed ....or me us se akser kehti ho ke me ab tak apna naam likhna hi nahi seekh paai :garmi:
            kuch mardon ki ye makhsoos soch hoti he,pata nahi kiun mujhe esa lagta he k ese log larki ko insan nahi samjhte:think:

            Comment

            • #7
              Re: **taleem-e-niswaa'n....!

              Originally posted by ummid View Post
              Asalamaalaikum

              ummid hai sub khairyat se honge :d1:

              aap ko kya lagta hai girls ko kitni taleem haasil karni chahiye....:embarasse

              10th grade
              12th grade
              Garduation
              Masters
              Ph.d (Doctor)

              ya kuch or :think:

              kya zyadah parh lene se ghooror aajaata hai??? :lpop:

              kya zyadah taleem haasil kar lein tu banda kum per itefaaq nahi karta?? :lpop:

              kya zyadah parh lene se "Tarbeeyat" per bhi asar parh jaata hai??? :lpop:

              "Tarbeeyat" ko aap kaise define kareinge...... :think:??

              P.S: baat sirf Girls ki education ki ho rahi hai so reply karte waqt larkiyo ko hi consider ker ke reply kiya jaaye tu mehrbaani hogi.... :hairdrayer:

              Boht acha topic hai main khud soch raha tha k yeh topic bnao mgr koi final nahi ho raha tha k kahans ay shuru kru..

              Jhana tk mj Lagta hai k aik larki agr 12 grade tk taleem hasil kar ly to boht hai q k Maain ziada tar apny bacho ko 6th tk he teach karti hain chay wo aurat khud he teacher q na ho phir us k baad tutions lgwa di jati hain ore aaj kal to hota he esy hai. Q k females jaldi brri ho jati hai is liey 12th th achy bury ki sahi tarah tamiz aa jati hai.

              Baki raha parhny ko to Masters tk parhna cahye q k Allah na kry k agr kabhi zindgi mein wakt aay ko aurt ko khud pay dependent hona parry to us k pas achi talim honi chaye taa k Muashry say lar ske.

              lekin agr yehi taleem lay k dimagh kharab ho jay jesa aap ney likah k ghroor to phir esi parhai ney bekar rehna he behtr hai q k Aurat ka kaam ghar ko chlana hai. Sorry to say mgr esa boht hota hai k larki ziada parhh jay to dimgh aasman pay ponch jata hai. Such bolou ga mere Khandan mein esa hua hai.

              Paisa to Insaan ki bunyaadi zrurat hai or yeh esi chiz hai jitni bhi ziada ho kam he lagti hai ab chaye wo koi educated ho ya uneducated.

              Trabiat ka asr Ghrelu Mahol pay ziada hota hai aap jitny marzi parhy likhy hon ghar ka mahol he acha na ho to bchy pay bhi bura asr parhta hai jinhey aj kal hum PRAHY LIKHAY JAHIL kehty hain.

              Tarbiyat ko define karna to Pehly khud Walden ko sahi hona parry ga. Hmari gali mein aik family thi un k ghal Lrai jhagra boht hota tha to zahir hai Galam Gloch bhi hoti thi un ka bcha mehaz 6 ya 7 saal ka hoga wo galia nikalta tha. Is liey parhai to pani jgah khud ko agr sahi kia jay khas kar maa ko q k olad ka pehla institute us ki maa hoti hai maa agr Namaz wgera ka paband hai to automatically bchy bhi wohi asrat aaty hain.

              I hope it Satisfies you

              Comment

              • #8
                Re: **taleem-e-niswaa'n....!

                جتنا ہوسکے پڑھے جہاں تک ہوسکے پڑھے جہاں تک پڑھ سکتی ہے پڑھے
                رہ گئے وہ عوارض کہ جو بقول آپکے حصول علم کے بعد لاحق ہوتے ہیں تو ان میں سے کسی ایک کا بھی براہ راست تعلق نہ تو علم سے ہے اور نہ ہی عورت سے خاص ۔ ۔ ۔باقی آپ خود سمجھدار ہیں
                Last edited by aabi2cool; 2 December 2009, 15:44.
                ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا

                Comment

                • #9
                  Re: **taleem-e-niswaa'n....!

                  Originally posted by ummid View Post
                  Asalamaalaikum

                  ummid hai sub khairyat se honge :d1:

                  aap ko kya lagta hai girls ko kitni taleem haasil karni chahiye....:embarasse

                  10th grade
                  12th grade
                  Garduation
                  Masters
                  Ph.d (Doctor)

                  ya kuch or :think:

                  kya zyadah parh lene se ghooror aajaata hai??? :lpop:

                  kya zyadah taleem haasil kar lein tu banda kum per itefaaq nahi karta?? :lpop:

                  kya zyadah parh lene se "Tarbeeyat" per bhi asar parh jaata hai??? :lpop:

                  "Tarbeeyat" ko aap kaise define kareinge...... :think:??

                  P.S: baat sirf Girls ki education ki ho rahi hai so reply karte waqt larkiyo ko hi consider ker ke reply kiya jaaye tu mehrbaani hogi.... :hairdrayer:
                  Wa Alaikum Assalam

                  larkiyon ko jitna ho sakay perhna chahiey , aur parents ko bhi ye keh k unhein parhaey se hatana nhin chahiey k wo larkiyaN hain .........
                  n as saraah said k un mein lachak rehni chahiey jo k aurat ki shakhisiyt ka khasa hay.............................. aur gharoor kis cheez ka aana hay , taleem haasil ki hay shaksiyat ko sanwarnay k liey , na k shakhsiyat mein bigaar paida karnay k liey jo gharoor aajaey ......jin k dimagh mein aata hay wo shayad show marnay k liey taleem haasil karty hongi
                  sigpic

                  Comment

                  • #10
                    Re: **taleem-e-niswaa'n....!

                    Originally posted by saraah View Post
                    waalikum asslam

                    nice thread

                    jitni b taleem hasil kre larrki me lachak honi chahiye adjustment ki bas har trah k halaat me dhalnay ki ,bohat mushkil hota hai yeh baaz auqaat ,apni zaat ki nafi b krna parrti hai yeh koi aasaan kaam nae ,
                    aur gharoor nae aata ,me smjhti hoon mard ki nisbat aurat zayda tabdeel hojati hai taleem se ,jo shayoor wo hasil krti hai uss se apnay andar tabdeeli laati hai aur ird gird tabdeeli lana chahti hai jo k bohat mushkil kaam hota hai ,iss liye jab wo kuch galat hotay dekhti hai tou bohat mumkin hai baghawat k jazbat umdnay lagaain....jo k ird gird basnaay walo ko kuch hazam nae hotay iss liye yeh gharoor aur tarbiyat n blah blah sab batain hoti hain

                    jitni b taleem ho apni shaksiat me tawazan peda krnay ki zaroorat hai bas ,wrna aurat fitna barpaa krnay ki salahiat tou bila shuba rakhti hai :lol

                    agree... :D

                    per yeh compromise waali baat ki sumjh nahi aati.... :think:

                    apni zaat ki nafi kyun??

                    ager aap ko kuch bura lage tu aap chup rahein kyun... or aap kuch kahein tu log yeh kahein ke bei aap ne tu bauaht parh likh liya hai... 372-shock... yaani samaj or us ke log bus "bhair chaal" chahta hai.... .. sirf mard hi nahi sarah... hum ne tu kai aurtein bhi aisi dekhein hai jo larkiyo ki taleem ke sakht khilaaf hai.... :fight:.. or India mein kuch areas aise bhi hain jahan bachpan mein hi larki ki shaadi kar di jaati hai..... :donno:...

                    Comment

                    • #11
                      Re: **taleem-e-niswaa'n....!

                      Originally posted by unity View Post
                      Asalamaalaikum
                      Walekum Salam:hii:
                      ummid hai sub khairyat se honge
                      haan bilkul fine:)
                      aap ko kya lagta hai girls ko kitni taleem haasil karni chahiye....

                      10th grade
                      12th grade
                      Garduation
                      Masters
                      Ph.d (Doctor)
                      jitna us ka dil kare or us k halaat ijazat den
                      ya kuch or

                      kya zyadah parh lene se ghooror aajaata hai???
                      aa sakta he lekin jab "ilm"bhi hasil ho jaey to insan me zeada ajzi ati he
                      kya zyadah taleem haasil kar lein tu banda kum per itefaaq nahi karta??
                      amuman shadi k moamlaat me dekha he k larki zeada parh likh jaey to apne se kam parhe likhe larke se shadi karna pasand nahi karti,is leay bohat se waleden zeada nahi parhate k family me to larke zeada parhe likhe hen nahi to masla ho ga
                      kya zyadah parh lene se "Tarbeeyat" per bhi asar parh jaata hai???
                      haan achi tarbeyat mazeed nikhar jati he,etmaad barhta he
                      "Tarbeeyat" ko aap kaise define kareinge...... ??
                      manners,achai burai ki tameez,zindagi guzarne k asool sab tarbeyat me ate hen k ham ko kia batya gya
                      jitna dil chahe parhna chahiye... .. thanks...:d1:

                      or rahi baat zyadah parh likh lene ke baad kum parhe likhe larke se shaadi na karne ki tu I wud say ke mard bhale hi kum parha likha ho jaahil na ho bus.... 372-shed.... kai parhe likhe mard jaahalat ki inteha per hote hain or kai kum parhe likhe ba'shaor....

                      Comment

                      • #12
                        Re: **taleem-e-niswaa'n....!

                        Originally posted by saraah View Post
                        yeh typical mardon ka amoomi rawwya hai koi baat nae :lol
                        Originally posted by unity View Post
                        kuch mardon ki ye makhsoos soch hoti he,pata nahi kiun mujhe esa lagta he k ese log larki ko insan nahi samjhte:think:
                        LOl... me ka bhai aisa nahi hai... woh bus irritate hojata hai jub larkiyaan dominate karti hai... In India we have reserved seats for girls... ab us ke hisab se girls ko open category mein bhi addmission dein or reserved per bhi seat mile tu larkiyaan hi parheingi na... larke kaise parheinge is haal per... :D...

                        Comment

                        • #13
                          Re: **taleem-e-niswaa'n....!

                          Originally posted by MindFreak View Post
                          Boht acha topic hai main khud soch raha tha k yeh topic bnao mgr koi final nahi ho raha tha k kahans ay shuru kru..

                          Jhana tk mj Lagta hai k aik larki agr 12 grade tk taleem hasil kar ly to boht hai q k Maain ziada tar apny bacho ko 6th tk he teach karti hain chay wo aurat khud he teacher q na ho phir us k baad tutions lgwa di jati hain ore aaj kal to hota he esy hai. Q k females jaldi brri ho jati hai is liey 12th th achy bury ki sahi tarah tamiz aa jati hai.

                          Baki raha parhny ko to Masters tk parhna cahye q k Allah na kry k agr kabhi zindgi mein wakt aay ko aurt ko khud pay dependent hona parry to us k pas achi talim honi chaye taa k Muashry say lar ske.

                          lekin agr yehi taleem lay k dimagh kharab ho jay jesa aap ney likah k ghroor to phir esi parhai ney bekar rehna he behtr hai q k Aurat ka kaam ghar ko chlana hai. Sorry to say mgr esa boht hota hai k larki ziada parhh jay to dimgh aasman pay ponch jata hai. Such bolou ga mere Khandan mein esa hua hai.

                          Paisa to Insaan ki bunyaadi zrurat hai or yeh esi chiz hai jitni bhi ziada ho kam he lagti hai ab chaye wo koi educated ho ya uneducated.

                          Trabiat ka asr Ghrelu Mahol pay ziada hota hai aap jitny marzi parhy likhy hon ghar ka mahol he acha na ho to bchy pay bhi bura asr parhta hai jinhey aj kal hum PRAHY LIKHAY JAHIL kehty hain.

                          Tarbiyat ko define karna to Pehly khud Walden ko sahi hona parry ga. Hmari gali mein aik family thi un k ghal Lrai jhagra boht hota tha to zahir hai Galam Gloch bhi hoti thi un ka bcha mehaz 6 ya 7 saal ka hoga wo galia nikalta tha. Is liey parhai to pani jgah khud ko agr sahi kia jay khas kar maa ko q k olad ka pehla institute us ki maa hoti hai maa agr Namaz wgera ka paband hai to automatically bchy bhi wohi asrat aaty hain.

                          I hope it Satisfies you
                          dekhein bhai her cheez ke do pehlo hote hain ek accha or ek bauaht hi accha ... LOl... aap acche waale aspect ki baat kar rahe hain or me bauaht acche waale aspect ki... ::d1:

                          joke apart... agree what you have said.... balance bauaht zaroori hai.... :thmbup:

                          Comment

                          • #14
                            Re: **taleem-e-niswaa'n....!

                            Originally posted by aabi2cool View Post
                            آپ خود سمجھدار ہیں

                            bus me ne is ke illawah kuch parha hi nahi aabi bhai .... :d1:

                            Comment

                            • #15
                              Re: **taleem-e-niswaa'n....!

                              Originally posted by Eshaa Chaudhry View Post
                              Wa Alaikum Assalam

                              larkiyon ko jitna ho sakay perhna chahiey , aur parents ko bhi ye keh k unhein
                              de :hug:

                              yes... me ke nanahazoor teacher the british ke zamane mein ammi batati hai ke woh larkiyo ki taleem ko bara favor karte the....kehte the ke jub chiryaa apne baccho ko urna sikhaati hai tu koi tafreeq nahi karti or na hi madah chirya ke liye koi had rakhti hai ke tum isi area mein urna... woh bus apne baccho ko urna seekhati hai or bacche apni raahein chun lete hain .. jub woh janwar ho ker itni sumjdar hai tu hum Insaanu ko kya hojata hai... :fight:
                              or aap ki aakhri baat se me bhi agree karti ho...
                              thanks de... khush rahein:d1:

                              Comment

                              Working...
                              X