Announcement
Collapse
No announcement yet.
Unconfigured Ad Widget
Collapse
Narazgi
Collapse
X
-
Re: Narazgi
Originally posted by Z. View PostAsalam u alaikum again,
Kabhi aap logon ka dil chaha hai k saari dunya sey naraz ho jayein?
Mera to buchpan se hi chahta he k naraz ho k....paharo pe chala jao
per shair kehta he...
Zeher milta raha Zeher pitay rahe
Rooz Martey rahe rooz jeetey rahe
hum bhi goya kisi taar k saaz he
choot khatey rahey gungunate rahe
Comment
-
Re: Narazgi
Originally posted by MSA View Postaik aur bat yad aae
Tujh se naraz nahi zindagi heraan ho mein
tere masoom sawalo se pareshan ho mein
Jiine ke liye sochaa hii nahi, dard sambhaalane ho'nge
Muskuraauu'n to, muskuraane ke karz uthaane ho'nge
Muskuraauu'n kabhii to lagataa hai
Jaise ho'nthon pe karz rakhaa hai
Comment
-
Re: Narazgi
Walaikum Assalaam
Jahan tak meri baat hay, mera aisa dil kabhi nahin kia...
magar aap kay sawaal main chuppay uss possheeda sawaal ko talash karnay ki koshish kar raha hoon jo aap dabby lafzoon poochna cha rahi hain..
jo sawal aap nay poocha nahi main nay mehsoos kia main uss ka jawaab kuch iss tareeqay say doon ga!!
Zindagi ups and downs ka naam hay, humain har baar humari tawaquaat kay mutaabiq sila milay mumkin nahin... baaz auqaat aisa hota hay kay hum din raat mehnat kartay hain kisi cheese ko paanay kay liye magar finally woh cheese humaray haath say nikal jaati hay aur humaray paas siwayay afsoos kay aur koi chara nahin rehta, uss waqt kisi say baat karna, kisi ko apnay dukh main share karna kuch bhi acha nahin lagta aur dil chata hay kay sab say naraaz hojayoo aur kisi say kuch baat na karoon... magar zindagi tou jeeni paRti hi hay, koi bhi cheese ya koi bhi shakhs dunia main itna aham ho hi nahin sakta jiss kay baghair zindagi na jee jayay!!!! isi liye THINK POSITIVE and BE OPTIMISTIC .. apni baat ka ikhtitaam sahyeri kay chand alfaaz say karna chahoon ga kay
Wo apnay ghar chala gaya afsos mat karo
Itna hi us ka saath tha afsos mat karo
Insan apnay aap mein majboor hay bohat
Koi nahi hay bewafa afsos mat karo
Ye dekho phir se aagaein phoolon pay titliyan
Ek roz woh bhi ayay ga afsos mat karo
Bekar G pay bojh liye phir rahay ho tum
dil hay tumhara phool sa afsos mat karo
Khush rahyeh
may ALLAH SWT light and guide our ways AMEEN
Fi Amaan ALLAH
Originally posted by Z. View PostAsalam u alaikum again,
Kabhi aap logon ka dil chaha hai k saari dunya sey naraz ho jayein?sigpic
Comment
Comment