Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Charity.....................................

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #16
    Re: Charity.....................................

    Originally posted by ScorpioN_RulzZ View Post
    kal likhonga insha'Allah :shyy:
    main intizaar karon ga:hii:
    ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا

    Comment

    • #17
      Re: Charity.....................................

      Originally posted by aabi2cool View Post
      main intizaar karon ga:hii:
      okz
      That's Enough...!!

      Comment

      • #18
        Re: Charity.....................................

        Originally posted by Masood View Post
        Assalamo allaikum

        Hamarey yahan Denmark mein koi 15-16 Pakistani nazad television network broadcasting kartey hain, jin mein GEO, ARY, PTV, DM Digital, Venus waghera.....

        Ramazan ki pehli tareekh sey hi charity maangney walon ki bhar'maar lag jati hai aur koi bhi TV channel on karein, aagey maangney waley bethey hotey hain...

        Main ney is per aaj sey koi 3-4 saal pehley bhi likha tha, aaj phir baat karna chahta hoon...

        Dukhi insaniyat ki tasweerein dikha ker, tooti aur kati taangein, aankhon sey andhey log, khoon mein lat'pat zindah laashein dikha ker aur Qurani aayat suna ker musalmano ko "harasaan" kar key jo log maangtey hain, aap kya samajhtey hain keh yeh mangtey theek kartey hain?

        Kya TV per apney hissah ka chanda dey ker ham log apney farz sey insaaf kartey hain????

        Kya yeh mangtey yeh chandah asal haqdaron ko detey hain???

        Wa Alaikum Aslam,

        yaar paisa to tum ne aik bhi nahi diya bechaaron ko aur ouper se unhein "Mangton" ka title bhi de diya
        :thmbup:

        Comment

        • #19
          Re: Charity.....................................

          Originally posted by munda_sialkoty View Post
          Wa Alaikum Aslam,

          yaar paisa to tum ne aik bhi nahi diya bechaaron ko aur ouper se unhein "Mangton" ka title bhi de diya
          na karya kar ya naaaaaaaaa:khi:
          ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا

          Comment

          • #20
            Re: Charity.....................................

            Originally posted by aabi2cool View Post
            na karya kar ya naaaaaaaaa:khi:
            Yaar aa tu mujay na rook, aaj yeh masood ka bucha mere haathon se nahi buchay ga :shyy:
            :thmbup:

            Comment

            • #21
              Re: Charity.....................................

              Originally posted by munda_sialkoty View Post
              Yaar aa tu mujay na rook, aaj yeh masood ka bucha mere haathon se nahi buchay ga :shyy:
              wekh laien fair nus na jaien jay oh agaya tay:shyy:
              ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا

              Comment

              • #22
                Re: Charity.....................................

                Zinia....

                Main ney jo poochha hai, aap ney uska jawab nahin nawaza... chalein us per hi baat shuru kar letey hain jo aap ney farmaya....

                Originally posted by Xai View Post
                Agar kuch organisations charity work kerti hein aur un ko advertise kerti hein tau iss mey koi burai nahi hai.
                Main ney advertisement ki baat hi nahin ki. Har tanzeem ko haq hasil hai keh woh apni advertisement karey... Magar behna, advertisement to ziyada tar commercial idarey kartey hain... fii-sabii-lillah kaam karney waley idaron ko advertisement ki kya zaroorat?

                Chalein ham aik lamhey ko maan lein keh inhein bhi zaroorat hai fund raising ki, aur yeh TV per har shab aa ker maangtey hain.... yahan per kuchh sawalaat uth'tey hain:

                1) TV Channels key aik aik second ki nashriyat bohat expensive hoti hai, agar TV Channels in khairati idaron ko apni PRIME TIMING detey hain to kya MUFT detey hain? Kya TV Channels apna hissah nahin maangtey????

                2) Yeh khairati idarey jin celebraties ko TV per bulatey hain, kya woh log fii-sabii-lillah apney waqt mein sey kaii kaii ghantey in logon key naam kar detey hain? Misaal key taur per Shahid Afridi - jo superstar hai aur jo Swat key liyey appeal bhi kar raha hota hai to FULL hero style mein, kya Afridi yeh sab MUFT - fii-sabii-lillah karta hai??? Mind you keh Afridi log woh log hain jo apney mulk key liyey us waqt tak khailtey bhi nahin jab tak in ki marzi key contracts na likhey jaein...

                3) Kya ADMINISTRATION muft hoti hai? Unka kharcha kahan sey chalta hai???

                Originally posted by Xai View Post
                Mey ney khud kai aik baar fund raising ki hai aur mey janti hun k its not easy, sab sey ziada mushkil kam logo ko ye REALISE karana hota hai k un ka diya hua aik cent, kisi doosrey ki zindagi mey tabdeeli la sakta hai.
                Logon ki convince karna aur phir unhein fund raising per amadah karna kitna mushkil kaam hai, yah main bhi janta hoon keh Pegham per ham ney aik charity ka silsala shuru kiya tha agar aap ko yaad ho to :) Ussey kitney logon ney support kiya tha, yeh bhi aap janti hongi.....

                Originally posted by Xai View Post
                In Organisations pe kisi pe aap ka bharosa nahi tau wo alag baat hai. ya tau ye k aap khud haqdaron ka un ka haq phonchaien agar aap k apas itna waqt, aur stamina hai ye kaam kerney ka, ya phir inhi organisations mey sey kiis ko sadqa de ker aap reports talab ker saktey hein k aap ki raqm kahan gayi kaisey kharch hui etc.
                Bharosa kaisey ho? TV per add chalta hai keh: BASHEER KI AANKHEIN NAHIN - WOH DEKH NAHIN SAKTA - 2-3 saal sey yehi add chal raha hai, aaj tak Basheer ki aankhein theek nahin huin, ya to woh Basheer jo add mein dikhaya jata hai, woh fake hai, ya phir ussey sirf ibrat key taur per pesh kiya jata hai aur uskey baad yeh log ussey bhool jatey hain...

                Darj-e-bala sawalaat ka jawab dijiyey aur phir khud sochiyey keh 100 rupee key sadqey mein sey kitney paisey asal haqdar tak pohanchtey hongey?????

                Ham log TAN'AASAN hotey jaa rahey hain. Apney hathon sey karney ki bjaey yeh aasan tareeqa nikaltey hain keh saanp bhi mar jaey aur laathi bhi na tootey... Main sirf aik sadqey ko maanta hoon - JO AAP APNEY HATHON SEY DEIN - aur is tarha dein keh aik haath sey detey waqt doosrey haath ko patah na chaley... TVs per aa ker yun paisey dena, merey nazdeek numaish hai, aur kuchh nahin!

                :::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::: ::::::::::::::

                Log realistic realistic realistic honey ka raag alaptey hain, magar jab realistic honey ka ASAL muqaam aata hai, apni aankhon aur kano ko band kyun kar letey hain????????

                Zinia something for you to think about:

                Koi 10 saal pehley meri kamar mein shadeed dard huwa. Mujhey physiotherpy ki zaroorat parri. Main aik clinique geya, aur jis physio ney mera elaj kiya us sey kaafi achhi baat chal parri.

                Us ney mujhey aik KHUD'BEETI sunaii... Kheney lagi

                "main aur mera shohar, hamein bhi shauq pedah huwa insaaniyat ki khidmat karney ka. Ham ney Red Cross Denmark join ki aur hamein mission per South Africa bheja geya. Wahan per merey shohar ki jaan pehchan high level key Red Cross key bandon sey ho gaii. Wahan per usney aisa aisa fraud dekha... keh aik danish agar 100 crown charity mein deta tha to woh South Africa keh bhookey bachon tak pohanchtey pohanchtey 5 aur max 10 ORE (aik ORE crown ka 100waan hissah hai) ban jata tha, baqi kuchh administration mein aur kuchh aapis mein batt jatey they"
                tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                Comment

                • #23
                  Re: Charity.....................................

                  Originally posted by Xai View Post
                  Zoni!! bheek mangney walon ki baat nahi ho rahi hai yahan :rose
                  xai fark just itna sa hain k wo log road py mangty hain aur yeh log t.v py just ek t.v ka farak hain ager raod waly logo ko t.v per lay ayo na u to yeh log in international bheegmango sy kahin zayda ascha mang saktain hain aur yeh baat main keh chuki hon k seb sy zayda mustaheq u k bahen bhai mahelay daar aur rishty daar hon gy for example

                  jeb swaat sy log aye apne gheron sy koi shak nhe k bura howa meri ama ny kaha k wo kuch dena chahti hain main ny ami sy kaha k ager ap ny kisi mustaheq ki help kerni hain to us ka seb sy zayda haq daar humri samny wali baji hain jo k abi 3 mah howay bewah hoi hain aur bohat young hain 28 ki ho g i think lakin unpher hain kuch ker neh sakti aur koi nhe us ka main ny ap seb sy pehly us ki help kerain then kisi aur ki t.v per jo log mangty hain ya koi aker phone py keh deta hain main itne lakh doon ga main itne hazar don ga i iam shure un logo ko yeh b neh pata ho ga k un k humsahe ya sath waly gher main koi bhooka to nhe soya hum apne ferz sy kayse farig ho skaty hain just t.v per emotional ho ker cherity ker deny sy how? jeb k humain wo log kiyo nhe nazer aty ho humre asss pass hoty haoin koi biwah koi yateem koi lachaar koi bybuss seb sy pehly hum un ko to pora ker lain per in t.v wal o k pass jain
                  ab aur gerdish-e- taqdeer kiya sitaye ge lota ke ishq mai naam o nishaan bethain hei

                  sigpic

                  Comment

                  • #24
                    Re: Charity.....................................

                    aaj kul ki bhagti dorti zindagi mein jahana banda 8 to 8 job karta hai woh kahan personal level per jaa ker chairty kare... so aise log in NGOs ko donation dete hain... or apne zameer ke bojh ko kum karte hain ke hum ne "fisabillilah" de diya hai.... ab aage NGO waalo ka imaan jaane or khuda.... or me ke gher mein bhi yahi hota raha hai ek waqt tak....

                    dekhein bhai.... woh bande apna kaam kar rahe hain... ghalat hi sahi.... jub woh apna ghalat kaam jaari rakhe hoye hain tu hume bhi chahiye ke hum apna sahi wala kaam jaari rakhein...

                    aap ko lagta hai ke woh sahi nahi kar rahe... me ko bhi lagta hai (me ko lagta hi nahi me ka aankho dekha haal hai... ) ke woh sahi nahi karte... or woh paisa un logo tak nahi pohanchta jo haqdaar hai... tu aap khud un areas mein jaa ker releif ka kaam karein personal level per jahan zaroorat hai.... :hairdrayer:

                    blaming other and pointing out other never gives solution to any problem.. but creating a new way does...

                    Comment

                    • #25
                      Re: Charity.....................................

                      Originally posted by ummid View Post

                      Nahin Ummid, is mein na hi to blamming ki baat aur na hi kisi key kaam per ungli uthaney ki - mera nuqta bilkul alag hai..

                      Koi yeh nahin kehta keh aap RELIEFE key kamon mein hissah lein, RELIEFE sarkaar ka kaam hai! Ham log Pakistan jaatey hain, wahan jaa ker lakhon rupiya aisey hi baha detey hain to kya ham apney hathon sey 100 pound kisi mustahiq ko nahin dey saktey????? Aisey mustahiq ko jo ASAL haqdar hai??? Wahan jaa ker ham ayyashi kartey hain, show shaa kartey hain magar kya hamein wahan woh log nazar nahin aatey jo asal haqdaar hain? NGO's waley haqdaar nahin!!! Insaan ghaflat mein doob chuka hai, aur apni zindagiyon mein aik lamha bhar nikaal ker kuchh donation apney hathon sey nahin kar sakta??????
                      tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                      tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                      Comment

                      • #26
                        Re: Charity.....................................

                        Mind you Ummid 100 pound agar aap apney haath sey AIK ghareeb ko dein, to uskey liyey kaii maah ka kharcha banta hai bjaey iskey keh uskey hissey mein ba'qismat NGO's walon ki tarf sey 5 penney aaein!!!
                        tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                        tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                        Comment

                        • #27
                          Re: Charity.....................................

                          bhai.......

                          ab aisa bhi koi nahi dooba Insaan... there are many people jo personal level per relief ke kaam karte hain.... me Insaanu ko ghaafil and all kehne ki bilkul Qaayal nahi... coz is mein woh log bhi aajaate hain jo bauaht acche hote hain... aap yeh keh sakte hain ke Insaanu ka ek Tabqa... Lol... per saare aise nahi hote... :hairdrayer:

                          or bhai... her kisi ka apna belief hota hai... like earlier and now also many people think ke jo jis ka haq hai usey mil hi jaayega... so they never bother about all these issues.... people consider NGOs as bridge between them and poor people... so they trust them... or jaisa me ne pehle kaha ke apne zameer ka bojh kum karne ke liye log aisa karte hain.... phir ager woh kahein jaa ker showoff bhi karein tu unhe is mein koi hurj nahi lagta... its all about what you believe and how you behave... 372-shock

                          khair.... aise bauaht se issues hai is waqt jin per bauaht buniyaad se kaam karna parega.... InshAllah.... :rose

                          Comment

                          • #28

                            Phir sey kahoon ga keh main ney RELIEFE ki baat NAHIN ki!!! Reliefe barrey paimaney per ki jati hai aur aisey log mojood hain jo kar rahey hain - Edhi, Burney, Shehzad Roy.. and I appriciate them...

                            Main aik AAM insaan ki baat kar raha hoon - AAM insaan jinhein ham MAZHAB key naam per loot'tey hain, jinhein dukhi insaan ki shaklein dikha ker loota jaa raha hai, jinhein Qurani aayat suna ker loota jaa raha hai, main us AAM insaan ki baat kar raha hoon...

                            Magar mujhey lagta hai keh I am in in wrong world - hamarey haan jo hai jaisa hai behtar hai per hi zindagi guzarni chahiyey - koi sar-e-aam loot maar karey, ussey karney dein - ham siraf apna zameer mutmaiin kar key beth jaein, bas!!!!

                            I am in wrong world............................................. ..................
                            tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                            tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                            Comment

                            • #29
                              Re: Charity.....................................

                              Insaan koi aam nahi saare hi khas hai...
                              or yeh ek la'haasil behas hai ke kaun kya karta hai or woh sahi karta hai ya nahi...:think:

                              aap ko lagta hai ke koi NGO fraud hai.. launch complaint against them... use media.. prove them fraud with proof and all... and shut them down...372-shed
                              ager aap yeh nahi kar sakte tu un logo ko jaa ker taleem dein ke woh sahi nahi kar rahe hain aisa kar ke... so woh aisa na kare....372-shock

                              or ager yeh bhi na ho tu dil mein bura jaan lein us kaam ko...:donno:

                              I think Imaan ki sub se last stage yahi hoti hai... kisi bure ya ghalat kaam ko dil mein bura janna...

                              khair....me sirf yeh kehna chahti ho ke aap ke kandho per kisi or ke aamal ki zimedari nahi daali gai hai... so khaw m khaw mein yeh boojh uthaayen bhi nahi....aap bus apni sahi raah per chalte rahein... aap ka sahi amal kaafi hota hai masha-le-raah banne ke liye...
                              aap logo ko pakar pakar kar sahi rasta dikhaayen tu koi nahi chalega us per.... do something right in a way that people will notice you.... and than follow you...
                              khud ko wrong world mein consider kar ke apna daman jhaar lena bhi sahi nahi hota bhai..... :hairdrayer:
                              Last edited by ummid; 12 September 2009, 04:50.

                              Comment

                              • #30
                                Re: Charity.....................................

                                University level per "Cherity and Fund Raising science" ke naam per bhi aik subject hona chahiye
                                :thmbup:

                                Comment

                                Working...
                                X