Re: Charity.....................................
Aap ney wazahat talab ki thi, mey ney wazahat ker di ...Nahi??
Oh!! mey samjhi thi k jitney idarey hein like Islamic Relief etc in k jo Adz atey hein in pey aap ney thread lagaya hai...??? if yes tau phir mey reply ker sakun gi warna baki logon ko mey nahi janti :-D
aeysey hi pagal sey log hotey hein, kha makha realistic realistic REALISTIC ka raag alaptey rehtey hein... aap in logon na-samaj type category mey daal diya karein :-D
oh! ye tau boht hi ghalt baat hai. mey ney bhi Red Cross k sath volunteer kiya hai, lekin mujhey ye baat ziada achi lagi thi k jitney ham fund raising ki thi wo ham mey sey hi aik volunteer team ney ja ker uss matlooba mulk k logon ki falah (health, education) per kharch ki thi.
Originally posted by Masood
View Post
Main ney advertisement ki baat hi nahin ki.
Log realistic realistic realistic honey ka raag alaptey hain, magar jab realistic honey ka ASAL muqaam aata hai, apni aankhon aur kano ko band kyun kar letey hain????????
Zinia something for you to think about:
Koi 10 saal pehley meri kamar mein shadeed dard huwa. Mujhey physiotherpy ki zaroorat parri. Main aik clinique geya, aur jis physio ney mera elaj kiya us sey kaafi achhi baat chal parri.
Us ney mujhey aik KHUD'BEETI sunaii... Kheney lagi
"main aur mera shohar, hamein bhi shauq pedah huwa insaaniyat ki khidmat karney ka. Ham ney Red Cross Denmark join ki aur hamein mission per South Africa bheja geya. Wahan per merey shohar ki jaan pehchan high level key Red Cross key bandon sey ho gaii. Wahan per usney aisa aisa fraud dekha... keh aik danish agar 100 crown charity mein deta tha to woh South Africa keh bhookey bachon tak pohanchtey pohanchtey 5 aur max 10 ORE (aik ORE crown ka 100waan hissah hai) ban jata tha, baqi kuchh administration mein aur kuchh aapis mein batt jatey they"

Comment