Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

*میری طرف سے بھی آزادی مبارک*

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #16
    Re: *میری طرف سے بھی آزادی مبارک*

    thanks dear humari soch ko alfaaz k roop mein dhaalnay k liey :rose

    honestly speaking aik do baar hum nay kuch members ko point out kiya to us k baad humaray mutalliq yehee mash'hoor ho gya k humein siwaey tanqeed k kuch nhin aata............ ..so jo me kehna chahty thi wo aap nayt keh diya thanks
    sigpic

    Comment


    • #17
      Re: *میری طرف سے بھی آزادی مبارک*

      Originally posted by saraah View Post
      kiyon k dono ka shumar insano me nahi hota... insaan..jo wider perspectiver me sochta aur amal krta hai :tasali:
      insaan maiN insaniyat ho yeh bhi to lazim nahe na, jesay kay pictures maiN hai??

      kuch threads kay links day raha hooN, jin par at the time tum nay 2 lafz nahe kahay magar aaj un he waqeyat ki picturez share ki haiN.... :shyy:

      http://www.pegham.com/behas-o-mubahi...2-dehmake.html

      http://www.pegham.com/behas-o-mubahi...deka-haal.html

      http://www.pegham.com/behas-o-mubahi...azatareen.html

      http://www.pegham.com/behas-o-mubahi...e-station.html

      http://www.pegham.com/behas-o-mubahi...say-tabah.html

      http://www.pegham.com/behas-o-mubahi...at-e-haal.html

      http://www.pegham.com/behas-o-mubahi...n-zalzala.html

      http://www.pegham.com/behas-o-mubahi...islamabad.html
      That's Enough...!!

      Comment


      • #18
        Re: *میری طرف سے بھی آزادی مبارک*

        Originally posted by MSA View Post
        hum bhi apni galtion ko kabhi na kabhi to sahi kurein ge hi...

        abhi in tasweeron ko share kurne se acha he dua kurein...
        Kabhi na kabhi - yeh baat tum ney hansi mein kahi hai to main bhi hans deta hoon :kr:

        Dua, dua aur dua .... pichhley 63 saalon sey duaein hi ho rahi hain, aur duaoun per hi mulk chal raha hai, warna ham,tum key amlon per hota to kab ka tabah ho chuka hota - yaar kabhi yeh bhi sabaq dey diya karo keh ab ZARB-e-KAARI ka waqt hai, utho aur watan key dushmano ko muka do - us tarf tum nahin aatey

        Originally posted by Xai View Post
        tau tum kisi aur tareekey sey sabhi ye kaam ho sakta tha, aik dua sey, kuch lafz, kuch phool...barauqaat kuch haroof sey baney huye chand sada sey alfaaz sab sey barha marham sabit hotey hein
        :) Zinia behan wake-up, khatrey ki ghantiyaan baj rahi hai - duaein to jaisa main ney pehley kaha pichhley 63 saal sey maang rahey hain...kya ham ney sirf duaoun per hi iktifa karna hai?????

        Behna DUKH us waqt mehsoos hota hai, jab us mein insaan khud guzrey - doosron ko lagi hui goli bhi us waqt tak kareegar sabit nahin hoti jab tak woh apna seena chhalni na karey.... yeh zara un sey poochhein jaa ker keh unhein lafzi hamdardiyaan chahein keh amli marham, jinhon ney zakham apney seeney per khaey hain... unhein phoolon ki zaroorat nahin, woh to qabron per bhi charhaey jatey hain, unhein marham ki zaroorat hai...

        Insaan ka dukh janena ho to unhein qareeb sey parhna chahiyey - door sey beth ker hamdardi key bol unkey liyey kaafi nahi

        Originally posted by Xai View Post
        Aur agar tum ney ye thread iss qaum k logon ki beybassi pe hassney k liye lagaya hai
        this was not expected from you behna :). You must be wise enough to know keh koi bhi dard-e-dil rakhney wala insaan, kabhi insaan ki bebasi dekh ker hansta nahin - jo DEKHTA HAI TO AURON KO DIKHANEY key liyey, ibrat dilaney key liyey - main Allah Tala ka laakh laakh shuker ada karta hoon keh usney mujhey aik aisey mulk mein settle kiya hai jahan insaan key saath aisa holnaak khail nahin khela jata jaisey in picture mein hai ya jo main apni aankhon sey dekh ker aaya hoon - aap bhi shuker ada kijiyey - kyun keh just for one second tasweer number 2 mein jo auratein bain kar rahi hain, agar unki jaggah AAP hotin, agar aap ko sari raat khuley aasman taley aik road per apney nanney nanney bachon key saath sona parrey ya aap key samney aap ki beti ko koi utha ker ley jaey (khaakum'badahan) - to aap key kya ta'asruat hongey? Behna u r a wise girl - yeh ibrat ka muqaam hai - ibrat hasil karein...

        :khi: Allah hi karey ga, Amerika ya Russia nahin karey ga :khi:
        tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
        tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

        Comment


        • #19
          Re: *میری طرف سے بھی آزادی مبارک*

          Wa salaam Saraah

          Aap key thread mein aik picture khaas ker aisi hai jo Pegham key rules sey tazaad karti hai - woh, woh picture hai jis mein laashein dikhaii gaii hain, us picture ko main delete kar raha hoon...

          Admin
          مجھے تلاش نہ کر ذوقِ بیخودی سجود
          نظر کی چند شعاعوں میں گھر گیا ہوں میں

          Comment


          • #20
            Re: *میری طرف سے بھی آزادی مبارک*

            walaikum asalam sharaah apee

            abhi to khushion ka time he...jahan itna gham he wahan inhi logon ko haq bhee he chand khushi ke lamhaat celebrate karne ka :aug: kuch dayr ko hi sahi agar ghum bhulaya ja sake to... :think:


            Let us celebrate :dance5:

            Comment


            • #21
              Re: *میری طرف سے بھی آزادی مبارک*

              Originally posted by Xai View Post
              Dearest Sarah,

              Ye jitney log hien, in sab k sath zulm, ziadti, nainsafi, ham sab mehsoos kertey hein. lekin iss ka ye matlab nahi k inhi

              Agar tum ney ye thread in sab logon k dukh mehssoss karanay k liye lagya hai tau tum kisi aur tareekey sey sabhi ye kaam ho sakta tha, aik dua sey, kuch lafz, kuch phool...barauqaat kuch haroof sey baney huye chand sada sey alfaaz sab sey barha marham sabit hotey hein.
              xeny.....idhar GS me beshumaar threads lagay hue hai....jahan hum jashan mana rahay hain..... tou me ne 1 thread esa laga diya jo ''haqeeqat'' hi pesh kr raha hai...tou kya bura kiya :)

              aur tamasha kesa.... ????
              haqeeqat ko chupana ....gulab lafzon k so called labadon me...yeh gunah hai ya haeeqat ka saamna krna gunah hai???

              aur baqi wohi baat k agr ALLAH NA kray ALLAH na kray .... K IN TASWEERON ME AAP KA koi pyara hota tou kya tab b aap k khaylaat yehi hotay?????????

              me uss section me nae jati .. simple

              Originally posted by Masood View Post


              Behna DUKH us waqt mehsoos hota hai, jab us mein insaan khud guzrey - doosron ko lagi hui goli bhi us waqt tak kareegar sabit nahin hoti jab tak woh apna seena chhalni na karey.... yeh zara un sey poochhein jaa ker keh unhein lafzi hamdardiyaan chahein keh amli marham, jinhon ney zakham apney seeney per khaey hain... unhein phoolon ki zaroorat nahin, woh to qabron per bhi charhaey jatey hain, unhein marham ki zaroorat hai...

              Insaan ka dukh janena ho to unhein qareeb sey parhna chahiyey - door sey beth ker hamdardi key bol unkey liyey kaafi nahi



              this was not expected from you behna :). You must be wise enough to know keh koi bhi dard-e-dil rakhney wala insaan, kabhi insaan ki bebasi dekh ker hansta nahin - jo DEKHTA HAI TO AURON KO DIKHANEY key liyey, ibrat dilaney key liyey - main Allah Tala ka laakh laakh shuker ada karta hoon keh usney mujhey aik aisey mulk mein settle kiya hai jahan insaan key saath aisa holnaak khail nahin khela jata jaisey in picture mein hai ya jo main apni aankhon sey dekh ker aaya hoon - aap bhi shuker ada kijiyey - kyun keh just for one second tasweer number 2 mein jo auratein bain kar rahi hain, agar unki jaggah AAP hotin, agar aap ko sari raat khuley aasman taley aik road per apney nanney nanney bachon key saath sona parrey ya aap key samney aap ki beti ko koi utha ker ley jaey (khaakum'badahan) - to aap key kya ta'asruat hongey? Behna u r a wise girl - yeh ibrat ka muqaam hai - ibrat hasil karein...
              yehi kehna thaa muje b xai :rose
              شاہ حسین جیہناں سچ پچھاتا' کامل عِشق تیہناں دا جاتا

              Comment


              • #22
                Re: *میری طرف سے بھی آزادی مبارک*

                Aik saal qabal - main ney 14. august key liyey yeh mazmoon likha tha...

                http://www.pegham.com/behas-o-mubahi...ni-zameer.html

                kya is saal bhi aisey hi alfaaz nahin kahey jaein gey jo har saal kahey jatey rahey hain? Kya tabdeeli aaii hai mulk mein? Kya ham sirf jashan mananey key liyey rah gaey hain?
                tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                Comment


                • #23
                  Re: *میری طرف سے بھی آزادی مبارک*

                  Originally posted by Masood View Post
                  Aik saal qabal - main ney 14. august key liyey yeh mazmoon likha tha...

                  http://www.pegham.com/behas-o-mubahi...ni-zameer.html

                  kya is saal bhi aisey hi alfaaz nahin kahey jaein gey jo har saal kahey jatey rahey hain? Kya tabdeeli aaii hai mulk mein? Kya ham sirf jashan mananey key liyey rah gaey hain?

                  :fight:ap to niklein bahir humein jhandiyan lagane dein :aug:

                  Comment


                  • #24
                    Re: *میری طرف سے بھی آزادی مبارک*

                    Originally posted by mano_billi View Post
                    :fight:ap to niklein bahir humein jhandiyan lagane dein :aug:
                    lagaein lagaein - main bhi lagaoun ga - aur phir ham jhandi jhandhi khalein gey :p
                    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                    Comment


                    • #25
                      Re: *میری طرف سے بھی آزادی مبارک*

                      Originally posted by Masood View Post
                      Kabhi na kabhi - yeh baat tum ney hansi mein kahi hai to main bhi hans deta hoon :kr:

                      Dua, dua aur dua .... pichhley 63 saalon sey duaein hi ho rahi hain, aur duaoun per hi mulk chal raha hai, warna ham,tum key amlon per hota to kab ka tabah ho chuka hota - yaar kabhi yeh bhi sabaq dey diya karo keh ab ZARB-e-KAARI ka waqt hai, utho aur watan key dushmano ko muka do - us tarf tum nahin aatey
                      uncil mere sath chalein ge...govt k higher official jo corruption kurte he unhe golion se bhunne k lie...bus me aur app :donno:

                      waisi itne saal dua se bacha hua he kuch saal aur buch jay ga...phri "kabhi na kabhi " aajay ga

                      pewasta reh shajr se ummid'e'bahar rakh

                      Comment


                      • #26
                        Re: *میری طرف سے بھی آزادی مبارک*

                        Originally posted by MSA View Post
                        uncil mere sath chalein ge...govt k higher official jo corruption kurte he unhe golion se bhunne k lie...bus me aur app :donno:

                        waisi itne saal dua se bacha hua he kuch saal aur buch jay ga...phri "kabhi na kabhi " aajay ga

                        pewasta reh shajr se ummid'e'bahar rakh
                        Haan chaloon ga - per kya tum goli chalao gey ya tamasha dekho gey? inqilaab aik do bandey ko marney sey nahin aatey bacha - yeh sara-sar bewaqoofi hai keh aap ikka duka bandey ko uth ker bhoon do - aqal key nakhun bhi liya karo....

                        372-haha pewasta is tarha nahin raha jata bacha - hanooz aap ko bohat kuchh seekhna hai ;)
                        tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                        tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                        Comment


                        • #27
                          Re: *میری طرف سے بھی آزادی مبارک*

                          Originally posted by Masood View Post
                          Haan chaloon ga - per kya tum goli chalao gey ya tamasha dekho gey? inqilaab aik do bandey ko marney sey nahin aatey bacha - yeh sara-sar bewaqoofi hai keh aap ikka duka bandey ko uth ker bhoon do - aqal key nakhun bhi liya karo....

                          372-haha pewasta is tarha nahin raha jata bacha - hanooz aap ko bohat kuchh seekhna hai ;)
                          hum dono chalien ge na :D
                          true....me bhi yahi keh raha ho k inqilab aik 2 bundo k uthne ya aik 2 bundo k marne se nahi ata...ijtimai mehnut chahie hoti he...kia meri ,apki, hamari credibility itni he k agur hum aik nara lagaein inqilab ka to hamare piche 100 log bhi jama ho jaein ge:donno: nahi he na???
                          to phir pehle "apni" credibility banani behter nahi hui???

                          Comment


                          • #28
                            Re: *میری طرف سے بھی آزادی مبارک*

                            Originally posted by MSA View Post
                            hum dono chalien ge na :D
                            true....me bhi yahi keh raha ho k inqilab aik 2 bundo k uthne ya aik 2 bundo k marne se nahi ata...ijtimai mehnut chahie hoti he...kia meri ,apki, hamari credibility itni he k agur hum aik nara lagaein inqilab ka to hamare piche 100 log bhi jama ho jaein ge:donno: nahi he na???
                            to phir pehle "apni" credibility banani behter nahi hui???
                            mera bacha mera kaka - main ney apney teen hafton key Pakistan key daurey mein 5 bandon ko is baat ka ham'khiyaal bnaya hai keh Pakistan ka wahid hal Inqilab rah geya hai - agar koi himmat buland karey to kya nahin ho sakta????
                            tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                            tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                            Comment


                            • #29
                              Re: *میری طرف سے بھی آزادی مبارک*

                              Thanx 4 sharing Sara Sis
                              kuch loog haqeeqat se mon perana chahte hai aur haqeeqat dekna hi nahi chahte. har shakhas ki apni soch apni raye hai.

                              in waqia ka hum sab ko duk hai lekin is baat ki khushi bhi hai k aaj hum aik azad qoom hai.
                              chahe america k isharo par hi q na chalte ho lekin bazahir to hum azad hi hai
                              Last edited by sohail khan; 7 August 2009, 15:21.

                              Comment


                              • #30
                                Re: *میری طرف سے بھی آزادی مبارک*

                                Originally posted by Masood View Post
                                mera bacha mera kaka - main ney apney teen hafton key Pakistan key daurey mein 5 bandon ko is baat ka ham'khiyaal bnaya hai keh Pakistan ka wahid hal Inqilab rah geya hai - agar koi himmat buland karey to kya nahin ho sakta????
                                uncil mera bhi yahi manna he k abb sirf khooni inqilab hi hul he...lekin is ka mutlub yeh to nahi na k app sirf crticise hi kurein....aik aise mouke pe jub qoum ko khushi k chund din mile he...jhoote hi sahi...to un k samne dark side rakhna....yeh to sahi nahi na....:donno:

                                Comment

                                Working...
                                X