Main aik baat poochna chahta hun kay "NAZAM" aur "GHAZAL" main keya farak hota hai?
Announcement
Collapse
No announcement yet.
Unconfigured Ad Widget
Collapse
Ghazal Aur Nazam
Collapse
X
-
Re: Ghazal Aur Nazam
Originally posted by Mirza Ghalib View PostMain aik baat poochna chahta hun kay "NAZAM" aur "GHAZAL" main keya farak hota hai?
Ghazal aur Nazam mein bahot farq hai
GHazal
in 4 per mushtamil hoti hai
(a) radeef
(b) qaafiya
(c) matla'
(d) maqta'
(a) radeef : voh lafz, tarkeeb yaa fiqra hai jo her sher ke doosre misre ke aaKhir meiN laaziman aataa hai.
(b) qaafiya (pl: qavaafee) voh lafz, tarkeeb yaa fiqra jo radeef se foran pehle aataa hai qaafiya kehlaataa hai,
(c) matla': matla' kaa matlab hai :tuloo' yaa shuroo' hone kee jagah:. matla' Ghazal ke pehle sher ko kehte haiN kyoN.k yaheeN se Ghazal kee ibtidaa hotee hai.
(d) maqta'
Jisay ye dekhen ye Ghazal hai
Barson Ke Baad Dekha Ek Shakhs Dilruba Sa
Ab Zehen Men Nahi Hai Par Naam Tha Bhala Sa
Alfaaz The Ke Jugnu Aawaaz Ke Safar Men
Ban Jaaye Jangalon Men Jis Tarah Raasta Sa
Khwabon Men Khwaab Uske Yadon Men Yaad Uski
Neendo Men Ghul Gaya Ho Jaise Ke Ratjaga Sa
Pehle Bhi Log Aaye Kitne Hi Zindagi Men
Wo Har Tarah Se Lekin Auron Se Tha Juda Sa
Tewar The Berukhi Ke Andaaz Dosti Ka
Wo Ajnabi Tha Lekin Lagta Tha Aashna Sa
Kuchh Ye Ke Muddaton Se Hum Bhi Nahi The Roye
Kuchh Zeher Men Bujha Tha Ahabaab Ka Dilasa
Phir Yun Hua Ki Sawan Akhon Men Aa Base The
Phir Yun Hua Ke Jaise Dil Bhi Tha Aablaa Sa
Ab Sach Kahen To Yaron Hum Ko Khabar Nahi Thi
Ban Jayega Qayamat Ek Waqeya Zara Sa..
sigpic
Comment
-
Re: Ghazal Aur Nazam
Aur ye Ek Nazam hai Farq aap khud he dekh lijiye
sahil, rait samaner, lehren,
Basti, jungle, sehra, dariya,
khushboo,mousam,phool dareche,
Badal,suraj,cand, sitare,
Aaj ye sab kuch naam tumhare
khawab ki baaten yaad k qisay
soch k pehloo,neend k lamhe,
Dard k aansoo,chain k nagme,
uraty waqat k behtay dhare,
Aaj ye sab kuch naam tumhare,
Rooh ki aahat,jisam ki junbish,
Khoon ki gardish,saans ki larzish,
aankh ka paani,chaht ka unwan
ye saare, ye sab aaj naam tumharesigpic
Comment
-
Re: Ghazal Aur Nazam
Originally posted by Mirza Ghalib View PostMain aik baat poochna chahta hun kay "NAZAM" aur "GHAZAL" main keya farak hota hai?
ooy chacha yeh koi section hai aisi bataiN pochnay ka
wesay yeh signature maiN hawai teer kioN chala rahay ho tussi :shyy:That's Enough...!!
Comment
-
Re: Ghazal Aur Nazam
Originally posted by ScorpioN_RulzZ View PostGhazal "ghain" say aati hai aur nazam "noon" say :fight:
ooy chacha yeh koi section hai aisi bataiN pochnay ka
wesay yeh signature maiN hawai teer kioN chala rahay ho tussi :shyy:
Ghazal "G" se likhte hein or Nazm "N" se :shyy:
Comment
-
Re: Ghazal Aur Nazam
Originally posted by Mirza Ghalib View Postpoetry main sab barh charh kay hisa letay ho magar koyi Ghazal aur Nzam ka farak nahi bata raha. Sirf Wasi Bhai nay bataya magar main aur bhi farak jan'na chahta hun
mujhe khud nahi pata u ko kia tellu :think: wase
:azadi mubarak:...... :dance5:
Comment
-
Re: Ghazal Aur Nazam
Originally posted by WASI ANJUM View PostAur ye Ek Nazam hai Farq aap khud he dekh lijiye
sahil, rait samaner, lehren,
Basti, jungle, sehra, dariya,
khushboo,mousam,phool dareche,
Badal,suraj,cand, sitare,
Aaj ye sab kuch naam tumhare
khawab ki baaten yaad k qisay
soch k pehloo,neend k lamhe,
Dard k aansoo,chain k nagme,
uraty waqat k behtay dhare,
Aaj ye sab kuch naam tumhare,
Rooh ki aahat,jisam ki junbish,
Khoon ki gardish,saans ki larzish,
aankh ka paani,chaht ka unwan
ye saare, ye sab aaj naam tumhare
Comment
-
Re: Ghazal Aur Nazam
Barson Ke Baad Dekha Ek Shakhs Dilruba Sa
Ab Zehen Men Nahi Hai Par Naam Tha Bhala Sa
Alfaaz The Ke Jugnu Aawaaz Ke Safar Men
Ban Jaaye Jangalon Men Jis Tarah Raasta Sa
Khwabon Men Khwaab Uske Yadon Men Yaad Uski
Neendo Men Ghul Gaya Ho Jaise Ke Ratjaga Sa
Pehle Bhi Log Aaye Kitne Hi Zindagi Men
Wo Har Tarah Se Lekin Auron Se Tha Juda Sa
Tewar The Berukhi Ke Andaaz Dosti Ka
Wo Ajnabi Tha Lekin Lagta Tha Aashna Sa
Kuchh Ye Ke Muddaton Se Hum Bhi Nahi The Roye
Kuchh Zeher Men Bujha Tha Ahabaab Ka Dilasa
Phir Yun Hua Ki Sawan Akhon Men Aa Base The
Phir Yun Hua Ke Jaise Dil Bhi Tha Aablaa Sa
Ab Sach Kahen To Yaron Hum Ko Khabar Nahi Thi
Ban Jayega Qayamat Ek Waqeya Zara Sa..
bohat hi khoooooooooooooob
Comment
Comment