Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Ghazal Aur Nazam

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Ghazal Aur Nazam

    Main aik baat poochna chahta hun kay "NAZAM" aur "GHAZAL" main keya farak hota hai?
    sigpic

  • #2
    Re: Ghazal Aur Nazam

    app kiya kabhi college nahi gaye jo yeh question pooch raha ho........

    Comment


    • #3
      Re: Ghazal Aur Nazam

      Originally posted by zoya View Post
      app kiya kabhi college nahi gaye jo yeh question pooch raha ho........
      Yehi samajh lein Bibi.
      Sawal ka jawab to de dein.
      sigpic

      Comment


      • #4
        Re: Ghazal Aur Nazam

        Originally posted by Mirza Ghalib View Post
        Main aik baat poochna chahta hun kay "NAZAM" aur "GHAZAL" main keya farak hota hai?


        Ghazal aur Nazam mein bahot farq hai
        GHazal
        in 4 per mushtamil hoti hai
        (a) radeef
        (b) qaafiya
        (c) matla'
        (d) maqta'


        (a) radeef : voh lafz, tarkeeb yaa fiqra hai jo her sher ke doosre misre ke aaKhir meiN laaziman aataa hai.

        (b) qaafiya (pl: qavaafee) voh lafz, tarkeeb yaa fiqra jo radeef se foran pehle aataa hai qaafiya kehlaataa hai,

        (c) matla': matla' kaa matlab hai :tuloo' yaa shuroo' hone kee jagah:. matla' Ghazal ke pehle sher ko kehte haiN kyoN.k yaheeN se Ghazal kee ibtidaa hotee hai.

        (d) maqta'

        Jisay ye dekhen ye Ghazal hai


        Barson Ke Baad Dekha Ek Shakhs Dilruba Sa
        Ab Zehen Men Nahi Hai Par Naam Tha Bhala Sa

        Alfaaz The Ke Jugnu Aawaaz Ke Safar Men
        Ban Jaaye Jangalon Men Jis Tarah Raasta Sa

        Khwabon Men Khwaab Uske Yadon Men Yaad Uski
        Neendo Men Ghul Gaya Ho Jaise Ke Ratjaga Sa

        Pehle Bhi Log Aaye Kitne Hi Zindagi Men
        Wo Har Tarah Se Lekin Auron Se Tha Juda Sa

        Tewar The Berukhi Ke Andaaz Dosti Ka
        Wo Ajnabi Tha Lekin Lagta Tha Aashna Sa

        Kuchh Ye Ke Muddaton Se Hum Bhi Nahi The Roye
        Kuchh Zeher Men Bujha Tha Ahabaab Ka Dilasa

        Phir Yun Hua Ki Sawan Akhon Men Aa Base The
        Phir Yun Hua Ke Jaise Dil Bhi Tha Aablaa Sa

        Ab Sach Kahen To Yaron Hum Ko Khabar Nahi Thi
        Ban Jayega Qayamat Ek Waqeya Zara Sa..




        sigpic

        Comment


        • #5
          Re: Ghazal Aur Nazam

          Aur ye Ek Nazam hai Farq aap khud he dekh lijiye

          sahil, rait samaner, lehren,
          Basti, jungle, sehra, dariya,
          khushboo,mousam,phool dareche,
          Badal,suraj,cand, sitare,
          Aaj ye sab kuch naam tumhare
          khawab ki baaten yaad k qisay
          soch k pehloo,neend k lamhe,
          Dard k aansoo,chain k nagme,
          uraty waqat k behtay dhare,
          Aaj ye sab kuch naam tumhare,
          Rooh ki aahat,jisam ki junbish,
          Khoon ki gardish,saans ki larzish,
          aankh ka paani,chaht ka unwan
          ye saare, ye sab aaj naam tumhare
          sigpic

          Comment


          • #6
            Re: Ghazal Aur Nazam

            Bohat khood Wasi bhai..... Keya koyi aur bhi farak hota hai?
            sigpic

            Comment


            • #7
              Re: Ghazal Aur Nazam

              Aur Ye k Nazam Azad bhi likhi ja sakti hai mager Ghazal mein aisa nahi hai
              Ghazal mein Qafiye zaroor milna chahiyen shayed aur bhi bahot farq hain jo hamare dosre poet hazrat aaker aap ko bataingay
              sigpic

              Comment


              • #8
                Re: Ghazal Aur Nazam

                Sure, Wasi bhai. main poori tarah yeh farak samjhna chahta hun.Aaap ka bohat shukriyah.
                sigpic

                Comment


                • #9
                  Re: Ghazal Aur Nazam

                  Originally posted by Mirza Ghalib View Post
                  Main aik baat poochna chahta hun kay "NAZAM" aur "GHAZAL" main keya farak hota hai?
                  Ghazal "ghain" say aati hai aur nazam "noon" say :fight:

                  ooy chacha yeh koi section hai aisi bataiN pochnay ka

                  wesay yeh signature maiN hawai teer kioN chala rahay ho tussi :shyy:
                  That's Enough...!!

                  Comment


                  • #10
                    Re: Ghazal Aur Nazam

                    Mujhe Bhi Aaj Tak Is Ki Samajh Nahin Aayi :(

                    Comment


                    • #11
                      Re: Ghazal Aur Nazam

                      Originally posted by ScorpioN_RulzZ View Post
                      Ghazal "ghain" say aati hai aur nazam "noon" say :fight:

                      ooy chacha yeh koi section hai aisi bataiN pochnay ka

                      wesay yeh signature maiN hawai teer kioN chala rahay ho tussi :shyy:

                      Ghazal "G" se likhte hein or Nazm "N" se :shyy:

                      Comment


                      • #12
                        Re: Ghazal Aur Nazam

                        poetry main sab barh charh kay hisa letay ho magar koyi Ghazal aur Nzam ka farak nahi bata raha. Sirf Wasi Bhai nay bataya magar main aur bhi farak jan'na chahta hun
                        sigpic

                        Comment


                        • #13
                          Re: Ghazal Aur Nazam

                          Originally posted by Mirza Ghalib View Post
                          poetry main sab barh charh kay hisa letay ho magar koyi Ghazal aur Nzam ka farak nahi bata raha. Sirf Wasi Bhai nay bataya magar main aur bhi farak jan'na chahta hun

                          mujhe khud nahi pata u ko kia tellu :think: wase

                          :azadi mubarak:...... :dance5:

                          Comment


                          • #14
                            Re: Ghazal Aur Nazam

                            Originally posted by WASI ANJUM View Post
                            Aur ye Ek Nazam hai Farq aap khud he dekh lijiye



                            sahil, rait samaner, lehren,
                            Basti, jungle, sehra, dariya,
                            khushboo,mousam,phool dareche,
                            Badal,suraj,cand, sitare,
                            Aaj ye sab kuch naam tumhare
                            khawab ki baaten yaad k qisay
                            soch k pehloo,neend k lamhe,
                            Dard k aansoo,chain k nagme,
                            uraty waqat k behtay dhare,
                            Aaj ye sab kuch naam tumhare,
                            Rooh ki aahat,jisam ki junbish,
                            Khoon ki gardish,saans ki larzish,
                            aankh ka paani,chaht ka unwan
                            ye saare, ye sab aaj naam tumhare
                            :SubhanAllhaa::SubhanAllhaa::SubhanAllhaa:

                            Comment


                            • #15
                              Re: Ghazal Aur Nazam

                              Barson Ke Baad Dekha Ek Shakhs Dilruba Sa
                              Ab Zehen Men Nahi Hai Par Naam Tha Bhala Sa
                              Alfaaz The Ke Jugnu Aawaaz Ke Safar Men
                              Ban Jaaye Jangalon Men Jis Tarah Raasta Sa
                              Khwabon Men Khwaab Uske Yadon Men Yaad Uski
                              Neendo Men Ghul Gaya Ho Jaise Ke Ratjaga Sa
                              Pehle Bhi Log Aaye Kitne Hi Zindagi Men
                              Wo Har Tarah Se Lekin Auron Se Tha Juda Sa
                              Tewar The Berukhi Ke Andaaz Dosti Ka
                              Wo Ajnabi Tha Lekin Lagta Tha Aashna Sa
                              Kuchh Ye Ke Muddaton Se Hum Bhi Nahi The Roye
                              Kuchh Zeher Men Bujha Tha Ahabaab Ka Dilasa
                              Phir Yun Hua Ki Sawan Akhon Men Aa Base The
                              Phir Yun Hua Ke Jaise Dil Bhi Tha Aablaa Sa
                              Ab Sach Kahen To Yaron Hum Ko Khabar Nahi Thi
                              Ban Jayega Qayamat Ek Waqeya Zara Sa..




                              bohat hi khoooooooooooooob

                              Comment

                              Working...
                              X