Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

ek masherwa chaye

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • ek masherwa chaye

    salam pegham g aj sari antiyon k dermiyan apna ek masoomana thread laga rahi hon kiyon k abi abi me ko me k bhai nybola hain k thread lagao to main laga diya per yeh ek bohat he sanjeeeda thread hain me life ka swal hain to me ko desian k me k ama ny kaha hain me B.ED ker lon to ap logo ka kia kiyal hain ker lon sahe hain ya neh aur jinho ny b.ed kai how ahain wo me ko zera yaha aker detail desain .zayda nhe bolti main :embarasse
    ab aur gerdish-e- taqdeer kiya sitaye ge lota ke ishq mai naam o nishaan bethain hei

    sigpic

  • #2
    Re: ek masherwa chaye

    Originally posted by zoniash View Post

    w/salam
    pehlay to mujhay yeh batao kay panjab maiN sub laRkiyaaN B.ed karti haiN kia tum logoN ko bachoN kay mustaqbil ka koi aihsaas e nai :embarasse
    That's Enough...!!

    Comment

    • #3
      Re: ek masherwa chaye

      wa lekum salam...

      mere khayal sey aap ko mashwra leney sey pehley khud sey poochna chaye or apney interest, apney scope ki roshni me koi faisla karna chaye...

      jitney ziada aap mashwra len gi utna confuse hongi...:tasali:
      taleem ka maqsad shaoor hasil karna hota hia... agar aap k zehn me koi khas maqsad nahi hia to phir b ye ek maqsad zehn me zaroor rakhen...

      Comment

      • #4
        Re: ek masherwa chaye

        waalikum asslam

        yar tum ne kaha thaa tum teaching nae krna chahti tou phir bED ka faida?

        aur wese bhi jo aur itni jagha taang aarrayi hui hai uss me perfection hasil karo.... unhi pe concentrate karo.
        شاہ حسین جیہناں سچ پچھاتا' کامل عِشق تیہناں دا جاتا

        Comment

        • #5
          Re: ek masherwa chaye

          Originally posted by saraah View Post
          waalikum asslam

          yar tum ne kaha thaa tum teaching nae krna chahti tou phir bED ka faida?

          aur wese bhi jo aur itni jagha taang aarrayi hui hai uss me perfection hasil karo.... unhi pe concentrate karo.

          yar me ny to soucha tha k main numl university sy language course ker lon g mager pata hin itna mehnga kerwa rahy hain 10 thousand hun ina paisa main kithon ly ker awaan 372-shed abi yeh irada post pone ker diya to kiayl aya hain k b.ED KER LOn kiyon k ader kuda na kuwasta koi job na mili tay teaching he ker lon g na koi b ilam bykaar to nhe hota na yar :tasali:
          ab aur gerdish-e- taqdeer kiya sitaye ge lota ke ishq mai naam o nishaan bethain hei

          sigpic

          Comment

          • #6
            Re: ek masherwa chaye

            Originally posted by zoniash View Post
            b.ED KER LOn kiyon k ader kuda na kuwasta koi job na mili tay teaching he ker lon g na koi b ilam bykaar to nhe hota na yar
            LOl... "focus" karo girl... yar teaching sirf job ke liye nahi karte...
            anywayz... B.ed jubhi karo jub tum focused ho apne career ko le ker.. like tumhe teacher hi banna hai ya prof. coz ager aap ko teacher banna hai tu not neccesary aap B.ed karo... MA ke baad aap NET (National Elegibility Test) or SLET (State Level Eligibility Test) exam de ker bhi teaching ko as a profession apna sakte hain...
            baaki aap dekh lo kya karna hai... good luck for everything you do... :rose

            Comment

            • #7
              Re: ek masherwa chaye

              Originally posted by ummid View Post

              ary yeh nhe kaha k teaching just job k liya he kerni hain lain me ko samjhn he arhi k kia keraon ab main aur M.A KIYE HOWAY TO ME KO 2 SAAL HO GAYE HAIN MESLA YEH HAIN TEACHING K LIYA JAO TO WO SIMPLE M.A KO NHE BELKY US K SATH B.ED YA M.ED WALON KI ZAYDA PREFER KERTY HAIN
              ab aur gerdish-e- taqdeer kiya sitaye ge lota ke ishq mai naam o nishaan bethain hei

              sigpic

              Comment

              • #8
                Re: ek masherwa chaye

                Originally posted by zoniash View Post
                ary yeh nhe kaha k teaching just job k liya he kerni hain lain me ko samjhn he arhi k kia keraon ab main aur M.A KIYE HOWAY TO ME KO 2 SAAL HO GAYE HAIN MESLA YEH HAIN TEACHING K LIYA JAO TO WO SIMPLE M.A KO NHE BELKY US K SATH B.ED YA M.ED WALON KI ZAYDA PREFER KERTY HAIN

                thats what I am saying na girl.. ke aap NET ya SLET ke exam mein appear hojao... in exams se aap eligable hojaate ho lecturership ke... aap ko B.ed ya M.ed nahi karna parta... waise aap ne Master kis field mein kiya hai?

                Comment

                • #9
                  Re: ek masherwa chaye

                  [quote=ummid;1107736]
                  thats what I am saying na girl.. ke aap NET ya SLET ke exam mein appear hojao... in exams se aap eligable hojaate ho lecturership ke... aap ko B.ed ya M.ed nahi karna parta... waise aap ne Master kis field mein kiya hai?[/quote

                  political science main

                  ascha to ap me ko NET KI SARI DETAIL BATA SEKTI HAIN?
                  ab aur gerdish-e- taqdeer kiya sitaye ge lota ke ishq mai naam o nishaan bethain hei

                  sigpic

                  Comment

                  • #10
                    Re: ek masherwa chaye

                    Mene B.ed kiya hua hai
                    aap bhi ker len ager aap ko future mein teacher ban,na hai to
                    kion k ye sirf teachers k liye hai B.Ed meanz Beachlor of Education
                    sigpic

                    Comment

                    • #11
                      Re: ek masherwa chaye

                      Originally posted by zoniash View Post
                      salam pegham g aj sari antiyon k dermiyan apna ek masoomana thread laga rahi hon kiyon k abi abi me ko me k bhai nybola hain k thread lagao to main laga diya per yeh ek bohat he sanjeeeda thread hain me life ka swal hain to me ko desian k me k ama ny kaha hain me B.ED ker lon to ap logo ka kia kiyal hain ker lon sahe hain ya neh aur jinho ny b.ed kai how ahain wo me ko zera yaha aker detail desain .zayda nhe bolti main :embarasse
                      Walaikum Assalam...

                      U ne to PMS k exams die he na372-scare
                      to mulk ki khidmat kurein....teacher bunne se kia faida....jub nizam hi kharab he to student kaise achay niklein ge....teacher to buhat se log bun jate he...PMS itne nahi

                      Comment

                      • #12
                        Re: ek masherwa chaye

                        Originally posted by MSA View Post
                        Walaikum Assalam...

                        U ne to PMS k exams die he na372-scare
                        to mulk ki khidmat kurein....teacher bunne se kia faida....jub nizam hi kharab he to student kaise achay niklein ge....teacher to buhat se log bun jate he...PMS itne nahi

                        aada pms ka result to ek saal bad ata hain teb tak main kia keron g waliyan khany sy bahter koi na koi kam ker lon na
                        ab aur gerdish-e- taqdeer kiya sitaye ge lota ke ishq mai naam o nishaan bethain hei

                        sigpic

                        Comment

                        • #13
                          Re: ek masherwa chaye

                          Originally posted by zoniash View Post
                          aada pms ka result to ek saal bad ata hain teb tak main kia keron g waliyan khany sy bahter koi na koi kam ker lon na
                          1 saal bad ata he result ...u CSS ki tyari kur lein....ya phir BED hi kur lein....waisi govt school me teaching se behter he u uni me teaching kur lein

                          Comment

                          • #14
                            Re: ek masherwa chaye

                            Originally posted by zoniash View Post
                            salam pegham g aj sari antiyon k dermiyan apna ek masoomana thread laga rahi hon kiyon k abi abi me ko me k bhai nybola hain k thread lagao to main laga diya per yeh ek bohat he sanjeeeda thread hain me life ka swal hain to me ko desian k me k ama ny kaha hain me B.ED ker lon to ap logo ka kia kiyal hain ker lon sahe hain ya neh aur jinho ny b.ed kai how ahain wo me ko zera yaha aker detail desain .zayda nhe bolti main

                            Wa salaam aap ney auntiyon sey poochha hai na to phir wohi aap ko dein gi - sanu kii

                            -

                            -

                            -

                            -

                            -

                            -

                            chalo kujh dass hi detey hain aap bhi kya yaad karein gi keh kis sakhi bhaii sey pala parra tha kabhi :p - mashwra aur woh bhi mufto muft :p

                            Dekho bacha...

                            Is baat ka sab sey barra amal dakhal aap ki aaindah aaney wali zindagi sey hai. Aik zindagi aap ki yeh hai jo aap key apney waldein key haan basar ho rahi hai - in ka kaam hai keh aap ki behtar taleem-o-tarbyiat karein - lekin jab baat taleem ki aati hai to kuchh batein zehn mein rakhni zaroori hai...

                            Jaisa keh ilm kyun hasil kiya jaa raha hai? Kya is sey aap ney apni professional life shuru karni hai? Kya aap is liyey ilm hasil karna chahtey hain keh aap aik achhey insaan ban sakein aur muashrey ki oonch neech ko samajh sakein? Ya phir ilm mehaz is liyey hasil kiya jaa raha hai keh yeh bas aisa hai - sabhi kartey hain ham bhi karein gey - yani aik farz samajh ker??? Ya phir aap khud kuchh seekh ker doosron ko sikhana chahtey hain?? waghera....

                            Aap ko yeh bhi zehan mein rakhna hai keh hamarey haan aik riwaaj hai keh bachiyon ki taleem mukamil hotey hi unki shadi ka socha jata hai... main aap key ghar key halaat nahin janta - nahin janta keh aap ki walidah kahan tak soch rahi hain, yeh bhi shayid maloom nahin keh aap ki nisbat kahan ho...

                            mumkin hai keh aap ki nisbat jahan ho, woh log larkiyon ki job key haq mein na hon, magar unhein is baat sey gharz ho keh larki parhi likhi hai..

                            Ab parha likha hona bohat sari baton per mushtamil hai - sirf degrees ley leney sey insaan parha likha nahin ban jata... balkeh shaoor waqt key saath aata hai aur uskey liyey insaniyat ka muta'lea zaroori hai. Iskey liye koi zaroori nahin keh aap barri barri degrees hi hasil karein...

                            Aap ki walidah ney jo mashwra diya hai, woh yaqinan is liyey achha hai keh woh aap ka mustaqbil kisi aisey shoabey mein dekh rahi hain jiska ta'aluq ilm waghera sey ho. Taleem ka shoaba bohat moatbar hai - jo log issey profession nahin samajhtey woh ghalti par hain - ilm seekhna aur sikhana dono sey profession key zimrey mein aatey hain aur ilm sikhaney per ujrat lena koi mayoob baat nahin...

                            Darj-e-bala baton ko zehn mein rakh ker pehley aap apney aap sey aur phir apni walidah mohtarma sey apney mustaqbil ka tayyun kijiyey keh aap aaindah 10 saal, 20 saal ya jab bhi aap azdawagi zindagi mein aaein, kahan hongi, ya ho sakti hain - iska us taleemi line per bohat gehra asar hai jo aap chunein gi :)
                            tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                            tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                            Comment

                            • #15
                              Re: ek masherwa chaye

                              zono hor kina parhna aye :lahoul

                              Comment

                              Working...
                              X