Announcement
Collapse
No announcement yet.
Unconfigured Ad Widget
Collapse
Ghareeb..??
Collapse
X
-
Re: Ghareeb..??
Originally posted by Qabil-e-Nafrat View PostAssalam o Alaykum PG friends
a simple and straight question and very realistic and straight answers are required ...kia ghareeb logo ko jeenay ka haq nahi ..people who are trying to survive themselves out ... roz ki mehnat mazdoori ker kay aor part times per guzara ker rahay hain aor asa life style nahi afford ker saktay jo ameer log ker rahay hian ....lakin hakeeki main hamara muaashray main asay logo say kia rawaiyaah ha ham sab bakhoobi waakif hain ...aap sab apnay ird gird aor roz marrah ko daikhtay huyee analyze ker kay bataain kay kia ghareeb ko ya middle man ko koi hak nahi ha jeeenay ka..??...plzz no philosophy required...only genuine approach will be appreciated..
thanks:rose
ustaad-e-mohterm kehtay haiN Drawing room jhoot bool sakta hai par choraha nahe...
yeh aihmaqana sawal hum he kar saktay haiN kay ghareeb ko jenay ka haq hai ya nahe, yeh drawing room maiN baithnay waloN kay chonchlay hotay haiN kay unhaiN kisi na kisi topic par apni qabliyat jhaRni hoti hai.
kisi ko jeenay ka haq daynay ya cheen'nay walay na tum kuch hotay ho na maiN, hum yahan jis ki baat kar rahay haiN usay is baat ki koi tension nahe hoti kay ameer ka life style kia hai, yeh bus humari sochaiN hoti haiN kay yeh loog kaisay survive kar laytay haiN. yahaN karachi maiN bus stops par kuch loog aisay bhi haiN jo 1 glass pani pila pila kar apna paiT paal rahay hain, yahaN aisay bhi loog haiN jo poray sheher maiN phir kar 1,1 ya 2,2 rupees ki chezaiN baichtay haiN aur jetay haiN, sub je rahay haiN sub ko mill raha hai, daynay wala sub ko day raha hai....
masla bus yah hai kay tumhari aur humari khuwahishaiN kuch ziadah hain, humaiN jitna milta hai hum us par khush nahe hotay.
masla apna bahana ghareeb ka...... kia mazaq hai....That's Enough...!!
Comment
-
Re: Ghareeb..??
Originally posted by ScorpioN_RulzZ View Postw/salam
ustaad-e-mohterm kehtay haiN Drawing room jhoot bool sakta hai par choraha nahe...
yeh aihmaqana sawal hum he kar saktay haiN kay ghareeb ko jenay ka haq hai ya nahe, yeh drawing room maiN baithnay waloN kay chonchlay hotay haiN kay unhaiN kisi na kisi topic par apni qabliyat jhaRni hoti hai.
kisi ko jeenay ka haq daynay ya cheen'nay walay na tum kuch hotay ho na maiN, hum yahan jis ki baat kar rahay haiN usay is baat ki koi tension nahe hoti kay ameer ka life style kia hai, yeh bus humari sochaiN hoti haiN kay yeh loog kaisay survive kar laytay haiN. yahaN karachi maiN bus stops par kuch loog aisay bhi haiN jo 1 glass pani pila pila kar apna paiT paal rahay hain, yahaN aisay bhi loog haiN jo poray sheher maiN phir kar 1,1 ya 2,2 rupees ki chezaiN baichtay haiN aur jetay haiN, sub je rahay haiN sub ko mill raha hai, daynay wala sub ko day raha hai....
masla bus yah hai kay tumhari aur humari khuwahishaiN kuch ziadah hain, humaiN jitna milta hai hum us par khush nahe hotay.
masla apna bahana ghareeb ka...... kia mazaq hai....
tum agar naam kay bhi pakistani ho to iss saray maslay ko apna hi masla samjho ...tum kabhi in 2 rupee kay paani ka glass pilanay walon kay peechay gaye ho ....aor yay jaann'nay ki koshish kee ha kay yay iss azeem karobar main say commission kis ko daytay hain...!!!...oh miaan kis khyaali daig per baithay konsa dakyaanoosi pulaao paka rahay ho ...hakeekat ki baat kero ...doosri baat ...jo tum nay ki "yay sab jee rahay hain" yay zahir kerta hai kay tum iss baat kay bilkul kaail nahi ho kay zindagi ki rawish basooratehal tabdeel hoti rehni chaiayee ...lakin shyaad idrak nahi tumhain iss baat ka :tasali:...tum nay bhi wasay hi response diaa jasi mujay sab say tawakoh thi ..intehaai shermindah shermindah sa ..nazrain churaatay huyee... iss main kasoor na tumhara ha aor na mera yay iss nizaam ka nasha ha jis ka jaadoo asay mawakih per ser cherh ker bolta ha aor samnay aata ha ...aor aakhri baat agar zara say bhi musalmaan ho to kam az in logo kay baaray main sochna bhi sawab ha ..umiid ha tumhara chabootra ya choraha meri inn batoon say daraaron ki aghosh nahi bana ho ga aor baat ain sahi dimaagh kay wast walay drawing room main ja puhanchi hogi :tasali:
Comment
-
Re: Ghareeb..??
[
ager is mulk main yeh haq seb ko mil jaye tio yakenen zindagi bohat asaan ho jaye g mger humra masherti set up kuch isterhan ka bana diya gaya hain k hum gareeb ko ek he nazer sy dekhty hain yeh b such hian k hum chaye koi kitna he ascha ho ek mazdorr kerny wali insan ya ouret ya lekri jo gheron main kam kerti hain mehnt kerti hain byshuk un k sath kitna he ascha ker lain per kia koi un ko apne sath a.c waly room main solaye ga/? jayse apne bachon ko solaty hain kia un ko kud khany sy pahly khna dey ga? jo k hum kud kahty hain aur bad main un ko daytain hain baat ye neh hain k kis ko kis ka haq mily ga baat yeh hain k hum aj tak us zamana jhaliyt sy nekal nhe paye classfication ki mar her jga her tabqay her counrty amin pai jati hain koi b kisi ko apne sy uper rakhny ko tiyar neh hota kiyon nhe hota kiyon k insan ki fitret hain hum chaye kitnehe aschy kiyon na bven jaye per classfication sy hum baaz nhe reh sakty its a bitter true . ek choti si example day rahi hon may b bohat sy logo ko is baat per ikhtilaf ho
ek maa b seb sy zaydfa piyar usi bachy ko kerti hain jo boaht khushhal hota hain jo walya wanda nekama bacha ho usy ma b gusa kerti hain han byshuk us ki bhalia k liya he sahe lakin ager hum gor kerina to aj kal hum yeh dekhain gy zzaror k maa b kabi kabi us bachy sy tang aajti hain jo her waqt ka rona he ay ker bytha rehta hain clasfication to yahan b agai is main ameer gareeb ka concept to baad main he ata ahin jo ameer hain us k uper b koi na koi ameer banda hota hain to wo b yeh he rona rota ho ga k mery sath he asya kiyon muje jeeny ka haq nhe
main yeh nhe kahon g humain aysa kerna chaye waysa kerna chye nhe hum kcuh nhe ker skaty kiyon k ek byhiss qoom hain hum apne mulk k gadaronk gaya awaz to nekal nhe sakty to aur kia kerain gy hum kuch nhe classfication differences thay hain aur rahain gayab aur gerdish-e- taqdeer kiya sitaye ge lota ke ishq mai naam o nishaan bethain hei
sigpic
Comment
-
Re: Ghareeb..??
Originally posted by zoniash View Post[
ager is mulk main yeh haq seb ko mil jaye tio yakenen zindagi bohat asaan ho jaye g mger humra masherti set up kuch isterhan ka bana diya gaya hain k hum gareeb ko ek he nazer sy dekhty hain yeh b such hian k hum chaye koi kitna he ascha ho ek mazdorr kerny wali insan ya ouret ya lekri jo gheron main kam kerti hain mehnt kerti hain byshuk un k sath kitna he ascha ker lain per kia koi un ko apne sath a.c waly room main solaye ga/? jayse apne bachon ko solaty hain kia un ko kud khany sy pahly khna dey ga? jo k hum kud kahty hain aur bad main un ko daytain hain baat ye neh hain k kis ko kis ka haq mily ga baat yeh hain k hum aj tak us zamana jhaliyt sy nekal nhe paye classfication ki mar her jga her tabqay her counrty amin pai jati hain koi b kisi ko apne sy uper rakhny ko tiyar neh hota kiyon nhe hota kiyon k insan ki fitret hain hum chaye kitnehe aschy kiyon na bven jaye per classfication sy hum baaz nhe reh sakty its a bitter true . ek choti si example day rahi hon may b bohat sy logo ko is baat per ikhtilaf ho
ek maa b seb sy zaydfa piyar usi bachy ko kerti hain jo boaht khushhal hota hain jo walya wanda nekama bacha ho usy ma b gusa kerti hain han byshuk us ki bhalia k liya he sahe lakin ager hum gor kerina to aj kal hum yeh dekhain gy zzaror k maa b kabi kabi us bachy sy tang aajti hain jo her waqt ka rona he ay ker bytha rehta hain clasfication to yahan b agai is main ameer gareeb ka concept to baad main he ata ahin jo ameer hain us k uper b koi na koi ameer banda hota hain to wo b yeh he rona rota ho ga k mery sath he asya kiyon muje jeeny ka haq nhe
main yeh nhe kahon g humain aysa kerna chaye waysa kerna chye nhe hum kcuh nhe ker skaty kiyon k ek byhiss qoom hain hum apne mulk k gadaronk gaya awaz to nekal nhe sakty to aur kia kerain gy hum kuch nhe classfication differences thay hain aur rahain gay
one more question ...to aapki in sab baaton say yahi zahir hua naa..yahi conclude hua na kay ham main say her shaks apnay apnay level per aik doosray say yay hak cheen'nay ma masroof ha ..am i right..?
Comment
-
شاہ حسین جیہناں سچ پچھاتا' کامل عِشق تیہناں دا جاتا
Comment
-
Re: Ghareeb..??
Originally posted by Qabil-e-Nafrat View Postvery true and realistic approach :clap:..i really appreciate your thoughts regarding the issue being pointed out ...:thmbup::rose
one more question ...to aapki in sab baaton say yahi zahir hua naa..yahi conclude hua na kay ham main say her shaks apnay apnay level per aik doosray say yay hak cheen'nay ma masroof ha ..am i right..?
well u can say lakin baat yeh k k seb itne aarm taleb ho chuky hain k kisi ko kisi ki perwah n he hain even k dekhain k humra gher hain mashALLAH bohat big hain hum ny neachy wali story rent py di hain aur un ki living hum sy bohatttttttttttttttt advance hain 2 split and one coler laga howa hain 3 cheezian chalti hain aur ups b laga howa hain hum malek makan hain mger pher b humri living ALLAH KA SHUKER HAIN K bohat he simple hain kiyon k aba aur ama ny kabi b hahd sy zayda living rekhna un ko passand nhe hain even hum log a.c main nhe sootay so sakty hain per itna arram taleb nhe banya humiain
kitna difference ajta hain hum jin ka apna gher hain un ki living nhe itne mger jin ka apna gher tak nhe un ki living dekh lain wo is cheez ko prefer nhe kerty k tora kha lain berdasht ker lain apna kud ka gher bana lain mger apni living the best rekhi hoi hain
mger ager un ko hum yh kh dain k rent bherao to yakenen wo mu soja lain gy itna kahan sy lain hum ?? kon piss raha hain middle class kis waja sy? kiyton k us ny apni life style ko simple rekha hain ? kia un ka dil nhe kerta k wo b a.c main soyain zindagi ki her araish use kerian per nhe wo aam insan hain jis ny souch samjh ker chalna hain mger yeh souch kashhhh seb main ho jo k nhe hoti
result yeh hain k ager hum seb apni livings ko tora kam ker lain gay to belive me boahtttttttttttttt sy problems hal ho jain gy na koi classfication ho g na ameeri gareebi ka roona per hum aysa kabi kerian gy nhe 372-hahaab aur gerdish-e- taqdeer kiya sitaye ge lota ke ishq mai naam o nishaan bethain hei
sigpic
Comment
-
Re: Ghareeb..??
Originally posted by Qabil-e-Nafrat View Postmiaan hoslay say aor dheeraj ...:tasali:
tum agar naam kay bhi pakistani ho to iss saray maslay ko apna hi masla samjho ...tum kabhi in 2 rupee kay paani ka glass pilanay walon kay peechay gaye ho ....aor yay jaann'nay ki koshish kee ha kay yay iss azeem karobar main say commission kis ko daytay hain...!!!...oh miaan kis khyaali daig per baithay konsa dakyaanoosi pulaao paka rahay ho ...hakeekat ki baat kero ...doosri baat ...jo tum nay ki "yay sab jee rahay hain" yay zahir kerta hai kay tum iss baat kay bilkul kaail nahi ho kay zindagi ki rawish basooratehal tabdeel hoti rehni chaiayee ...lakin shyaad idrak nahi tumhain iss baat ka :tasali:...tum nay bhi wasay hi response diaa jasi mujay sab say tawakoh thi ..intehaai shermindah shermindah sa ..nazrain churaatay huyee... iss main kasoor na tumhara ha aor na mera yay iss nizaam ka nasha ha jis ka jaadoo asay mawakih per ser cherh ker bolta ha aor samnay aata ha ...aor aakhri baat agar zara say bhi musalmaan ho to kam az in logo kay baaray main sochna bhi sawab ha ..umiid ha tumhara chabootra ya choraha meri inn batoon say daraaron ki aghosh nahi bana ho ga aor baat ain sahi dimaagh kay wast walay drawing room main ja puhanchi hogi :tasali:Originally posted by Qabil-e-Nafrat View Postrealistic and straight answers are required. plzz no philosophy required...only genuine approach will be appreciated..
wesay Mr. Pakistani...!! aap kay pakistan maiN pani ka glass 1 rs ka milta hai 2 ka nahe... aur dosri baat yeh kay woh kisi ko commission nahe daytay, yeh kaam inferadi satah par hota hai jis ka mujhay elm hai, aur Aalam-e-islaam kay aklotay Musalman sahib aap kay islam maiN pani baichna koi azeem kaam nahe hai...!!
Nizam maiN aur tum mill kar banatay haiN (shayed)....??
meri tehreer ka maqsad yeh tha kay in par rehem khanay kay bajaiy aur in kay jeenay ya marnay kay fatway hasil karnay kay bajaiy in say aur in kay azm o hoslay say kuch seekho...!!That's Enough...!!
Comment
-
Re: Ghareeb..??
Originally posted by Qabil-e-Nafrat View PostAssalam o Alaykum PG friends
a simple and straight question and very realistic and straight answers are required ...kia ghareeb logo ko jeenay ka haq nahi ..people who are trying to survive themselves out ... roz ki mehnat mazdoori ker kay aor part times per guzara ker rahay hain aor asa life style nahi afford ker saktay jo ameer log ker rahay hian ....lakin hakeeki main hamara muaashray main asay logo say kia rawaiyaah ha ham sab bakhoobi waakif hain ...aap sab apnay ird gird aor roz marrah ko daikhtay huyee analyze ker kay bataain kay kia ghareeb ko ya middle man ko koi hak nahi ha jeeenay ka..??...plzz no philosophy required...only genuine approach will be appreciated..
thanks:rose
Pehli baat to yeh keh ghareeb part time jobs nahin kartey :p agar koi do waqt ki roti khaa ker apney ghar mein sota hai, to woh ghareeb nahin, haan woh ameer ya sahib-e-zar nahin - asal ghareeb woh hai jiska koi dost nahin :)tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujheytumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey
Comment
-
Re: Ghareeb..??
Originally posted by ScorpioN_RulzZ View Postjab bardasht nahe kar saktay thay to itnay dialogue marnay ki kia zarorat the?
wesay Mr. Pakistani...!! aap kay pakistan maiN pani ka glass 1 rs ka milta hai 2 ka nahe... aur dosri baat yeh kay woh kisi ko commission nahe daytay, yeh kaam inferadi satah par hota hai jis ka mujhay elm hai, aur Aalam-e-islaam kay aklotay Musalman sahib aap kay islam maiN pani baichna koi azeem kaam nahe hai...!!
Nizam maiN aur tum mill kar banatay haiN (shayed)....??
meri tehreer ka maqsad yeh tha kay in par rehem khanay kay bajaiy aur in kay jeenay ya marnay kay fatway hasil karnay kay bajaiy in say aur in kay azm o hoslay say kuch seekho...!!
:tasali:...sirf aik shehar ki bat mat kero jee....kai jagho per to 5 rupee ka bhi milay ga apako sada paani ..
baaki jo koi samjhay ya aap bhi jo samjhain ...90% log iss azeem karobaar main kai ghundagerd garoohon kay taabih hotay hain ..if u do want to hae some adventure then put your life in lit risk and then contact me ...buhat kuch dikhaa doon ga so ...:tasali:
mera maksad bhi iss thread say yahi tha kay ham apni sorting ker kay daikhain kay at first stepo kahin ham hi ..kahin ma hi ...kahi aap hi ..iss jurm main mulawasi to nahi jis ka madawa ham kernay jarahay hain ..
wassalam ...:roseLast edited by Capt.Abdur Rehman; 5 June 2009, 05:01.
Comment
-
Re: Ghareeb..??
Originally posted by Masood View PostWa salaam
Pehli baat to yeh keh ghareeb part time jobs nahin kartey :p agar koi do waqt ki roti khaa ker apney ghar mein sota hai, to woh ghareeb nahin, haan woh ameer ya sahib-e-zar nahin - asal ghareeb woh hai jiska koi dost nahin :)
:jazak:@ Hazrat Alis (RA)'s Quote
Comment
-
Re: Ghareeb..??
Originally posted by Qabil-e-Nafrat View PostAssalam o Alaykum PG friends
a simple and straight question and very realistic and straight answers are required ...kia ghareeb logo ko jeenay ka haq nahi ..people who are trying to survive themselves out ... roz ki mehnat mazdoori ker kay aor part times per guzara ker rahay hain aor asa life style nahi afford ker saktay jo ameer log ker rahay hian ....lakin hakeeki main hamara muaashray main asay logo say kia rawaiyaah ha ham sab bakhoobi waakif hain ...aap sab apnay ird gird aor roz marrah ko daikhtay huyee analyze ker kay bataain kay kia ghareeb ko ya middle man ko koi hak nahi ha jeeenay ka..??...plzz no philosophy required...only genuine approach will be appreciated..
thanks:rose
lekin ager koi apni Khawahishou ko badhata jaye.. aur aisy arzoo kerne lage.. jo shayed na mumkin houn, to wo khud hi yeh mehsoos kerne lage ga ke ussye jeena nahi diya jaraha.
Jeene ka haq to her insaan ke pass hai.. lekin her koi iska Haq leta nahi he yaa lena nahi ataa. (in my opinion)Last edited by *Samra*; 5 June 2009, 16:54.
Comment
-
Re: Ghareeb..??
Originally posted by Qabil-e-Nafrat View Postmera maksad bhi iss thread say yahi tha kay ham apni sorting ker kay daikhain kay at first stepo kahin ham hi ..kahin ma hi ...kahi aap hi ..iss jurm main mulawasi to nahi jis ka madawa ham kernay jarahay hain ..
wassalam ...:rose
mery khayal maiN to madawa aisay he kia jasakta hai.That's Enough...!!
Comment
Comment