Re: ~Wabastagi~
Walaikum Assalaam respected Saraah jee (I guess your name is Khan :))
Jahan tak meri soch ka ta'aluq hay tou TABDEELI insaan ki behtri kay liye hoti hay, kiyonki yeh tabdeeli insaan ki fitrat KHOOB say KHOOBTAR ki talaash kay mutaabiq manzar-e-aam per aati hay, jaisay nit-nayay computer models, phone models, cars, kapRo kay design, joutoo kay designs waghaira.... insaan ki zarooriyat tou wohi hain magar unn zarooriyat ko poora karnay ka naya tareeqa waqt kay saath saath insaan apna hi laita hay..... Jaisay kay pehlay pegham naamay kabootar kay zaryeh bhaijay jaatay thay, phir post ka aghaaz hua, aur aaj kal email, facebook accounts, pegham jaisi sites waghaira waghaira aik tareeka-e-amal bann chuki hain.... tou aisi tabdeeli jo humaray mahool aur humari zarooriyat per koi manfi asar naa daalay mujhay pasand hain aur main unnhay asaani say apna laita hoon.
Haan agar tabdeeli jiss say meri mazhab ko koi nuqsaan poohanchay, jiss main meri zaat ko nuqsaan poohacnhay yaa jiss ko apnaanay say main auroon ki zaat ko nuqsaan poohanchaoo, aisi tabdeeli say main ijtinaab karta hoon.
The life is very simple and we dont have to make to too complicated by implementing so many rules on us, change can be better for your life and we should be flexible in terms of accepting the change and make our life more simple and peaceful. Kiyonki baaz auqaat insaan apni ANA main kisi musbit tabdeeli ko bhi nahin apnaanta aur apnay saath saath auroon ko bhi (joo uss kay matahat hoon, yaa uss say chotay hoon) ko aziyat ka shikaar rakhta hay. Be simple and be good, a very simple role of life, but offcourse you must protect your identity as MUSLIM aur kahin tabdeeli main uss ko naa khoo daina!!
kindly mujhay mua'af kardijye ga agar main jazbaat main beh kar kuch ziyada hi likh gaya hoon :)
Fi amaan ALLAH

Originally posted by saraah
View Post
Comment