Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Studying techniques

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #16
    Re: Studying techniques

    Originally posted by Qabil-e-Nafrat View Post
    hmm..meri technique to last night stand waali ha ...main akhri raat ko bus perhta hoon aor subaah paper...:p...haan yay ha kay lectures waghera loon to dhyaan say layta hoon ...aor phr perhnay ki zaroorat nahi rehti
    okay :s
    Originally posted by zoniash View Post
    pata nhe seb kayse raaton ko jag jaag k perty hain mery sy nhe perha jata raat ko raat ko main just notes he banati hon din ko perti hon :tasali:
    theek ... akser log aeysa kertey hein :-)

    Originally posted by munda_sialkoty View Post
    Wa Alaikum Aslam,

    mera study kerne ka tareeka conventional nahi tha. Din ko mein cricket khelta, snooker khelta lekin raat ko table lamp ki rooshni mein perhta tha aur late night perhnay ka aadi tha, yani jub sub soo jatay thay phir mein walkman side pe rakh ker perhai shuru kerta, aur bohat thooray waqt mein ziada syllabus cover ker leta tha. Yeh study technique bohat effective rahi. Jub studies kerte huay aap ki puri concentration aap ki studies per ho gi to acha output milay ga, ager perhai ke dooran mera dehaan idher udher jata to mein books close ker deta.

    Her subject ko mein time de ke perhta ke falan subject ko mein ne 25 minutes se ziada nahi perhna, isi liye mujay jo kuch bhi laerning kerni hoti to mein usi 25 min mein he kerta, ager wo subject itnay time pe pura na hota to mein choor deta, aur ainda ke liye soochta ke 25 min se ziada is subject ko kabi nahi perhna aur inhi 25 minutes mein he in subjects ko cover kerna he, phir dimaag bohat tezi se kaam kerta aur boht ziada kaam thoray waqt mein ho jata.

    Aur important cheez wo yeh ke mein jo bhi learning kerta usay apnay words mein he write down kerta tha, rutalization wala concept nahi tha mere ander.

    yeh thi meri kahani :lpop:
    achi kahani thi :P
    aur ab aap k kaam k liye kya tips n tricks hein
    " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

    Comment


    • #17
      Re: Studying techniques

      Originally posted by Xai View Post
      Mujhey pencil .. kaghaz k isteymal ki bohot adat hai .. aur chunkey i have visual memory tau jitna ziada mey apney course visualise ker sakti hun ker deyti hun....

      here it goes ... saal k shuru sey akhir tak ki kahani :d

      Course notes jitney teachers sey miltey hein phir lecture k dauran notes leyti hun ....

      Iss k baad Teachers' notes aur apney notes ko compile kerti hun ...

      Agli stage ati hai Exam sey pehley ki ..... Mey saarey course outline note down kerti hun matlab jitni cheezein perhi hui hoti hein un ki list .....

      Phir iss list pey her heading k neechey kuch points hotey hein .... definitions of imp. terms , examples etc etc

      FInal Revisions jab hoti hein tau phir .... aik jaisey darkhat ki branches hoti hien iss tarhan meyri her Main heading k neechey sab headings hoti hein ...

      in between cheezein tips pey yaad hoti hein

      interesting :thmbup:

      Comment


      • #18
        Re: Studying techniques

        Originally posted by saraah View Post
        waslaam

        me ne bohat techniques apply ki hain .
































        ...magar be-sood 372-haha
        to kis na kaha kay janwaroon par use karomocking1
        ya Allah sab ko apney hifz-o-amaan main rakh

        Comment


        • #19
          Re: Studying techniques

          har cheez time pa
          ya Allah sab ko apney hifz-o-amaan main rakh

          Comment


          • #20
            Re: Studying techniques

            agar aik room main sahi say parhai nhi hoo rahi to room change kar kay parhai karaian :lol
            اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
            اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

            Comment


            • #21
              Re: Studying techniques

              Originally posted by Aanchal View Post
              agar aik room main sahi say parhai nhi hoo rahi to room change kar kay parhai karaian :lol
              sma1::au000000000:
              ya Allah sab ko apney hifz-o-amaan main rakh

              Comment


              • #22
                Re: Studying techniques

                Originally posted by Xai View Post
                okay :s

                theek ... akser log aeysa kertey hein :-)


                achi kahani thi :P
                aur ab aap k kaam k liye kya tips n tricks hein
                Tumhein yeh kahani lagti he, yeh to meri purani zindagi ki daastan he

                Kaam ke liye tips yeh ke kaam ziada ho ya kum, her rooz ka kaam her rooz, yani aaj ka kaam kul per nahi. Bohat satisfaction milti he aur banda bohat si tension se door rehta he
                :thmbup:

                Comment


                • #23
                  Re: Studying techniques

                  Originally posted by D@y W@lk3r View Post
                  har cheez time pa

                  Originally posted by Aanchal View Post
                  agar aik room main sahi say parhai nhi hoo rahi to room change kar kay parhai karaian :lol
                  lol

                  good :P

                  Originally posted by munda_sialkoty View Post
                  Tumhein yeh kahani lagti he, yeh to meri purani zindagi ki daastan he

                  Kaam ke liye tips yeh ke kaam ziada ho ya kum, her rooz ka kaam her rooz, yani aaj ka kaam kul per nahi. Bohat satisfaction milti he aur banda bohat si tension se door rehta he
                  Right :thmbup:
                  " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                  Comment


                  • #24
                    Re: Studying techniques

                    Originally posted by Xai View Post
                    Right :thmbup:
                    Chinese muj se lambi baat bhi kia karo
                    :thmbup:

                    Comment


                    • #25
                      Re: Studying techniques

                      Originally posted by Xai View Post
                      Mujhey pencil .. kaghaz k isteymal ki bohot adat hai .. aur chunkey i have visual memory tau jitna ziada mey apney course visualise ker sakti hun ker deyti hun....

                      here it goes ... saal k shuru sey akhir tak ki kahani :d

                      Course notes jitney teachers sey miltey hein phir lecture k dauran notes leyti hun ....

                      Iss k baad Teachers' notes aur apney notes ko compile kerti hun ...

                      Agli stage ati hai Exam sey pehley ki ..... Mey saarey course outline note down kerti hun matlab jitni cheezein perhi hui hoti hein un ki list .....

                      Phir iss list pey her heading k neechey kuch points hotey hein .... definitions of imp. terms , examples etc etc

                      FInal Revisions jab hoti hein tau phir .... aik jaisey darkhat ki branches hoti hien iss tarhan meyri her Main heading k neechey sub headings hoti hein ...

                      in between cheezein tips pey yaad hoti hein

                      same here... :D

                      me bhi kaafi pencil or paper use karti ho.. color pencil or pen or markr... sub kuch.... apni khud ki dimgrms banati ho.. answers dhyaan mein rakhne ke liye... ya rhyme karti ho sentenes ko ager koi or tareeqe se woh dimgah mein jaa hi na rahe ho tu... :D.. abrivation bhi use karti ho kabhi kabhi...

                      and yups... I and my frnd... hum group study karte hain... :D...

                      Comment


                      • #26
                        Re: Studying techniques

                        Originally posted by Xai View Post
                        Salam!!

                        Aap logoN ki perhai ki kya techniques hein? Aur jo kaam kertey hein, wo aik acha kaam kerney ki techniques btayein ....

                        shoot it...
                        Walaikum Assalam...

                        mer dictionary se official perhai ka lafz ajj kal kuch dim ho gaya he
                        is lie ajj kal ki techniques to me nahi batanae wala....

                        graduation se pehle me kuch hud tuk perne wala huwa kurta tha...proper notes bana...2'3 teachers ka mixture bana na...us me quotations bharna....math's ki khoob sari practise kurna...bulleted form me points likhan...sentence me break kur k yaad kurna....visualise kurna notes ko....aur mujhay 10'th me urdu likhne se zyada asaan english likhna lagta tha..to me urdu ka khulasa roman me likha kurta tha....us waqt tuk me chating se AASHNA nahi tha:D....

                        kher yeh he meri raam kahani
                        thorri nai thori purani:D

                        Comment

                        Working...
                        X