Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

PCB - a politicized body

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #16
    Re: PCB - a politicized body

    Originally posted by munda_sialkoty View Post
    Aslam-o-Alaikum respected members,

    PCB ne T20 world cup ke liye mandarja zail squad ki announcement ki he:

    Younis Khan (captain), Salman Butt, Ahmed Shahzad, Misbah-ul-Haq, Kamran Akmal, Fawad Alam, Shoaib Malik, Shahid Afridi, Sohail Tanvir, Yasir Arafat, Shoaib Akhtar, Umar Gul, Mohammad Aamir, Saeed Ajmal, Shazaib Hassan.

    Kia aap nahi samajtay ke in mein se kuch players aisay hein jin ki performance pe question mark he? Ya wo T20 ke meyaar per pura nahi utartay?

    Mujay personally PCB ki is announcement pe bohat dukh hua aur mujay lag raha he ke PCB bhi completely politisized body ban chuki he. Jahan ICC ne ICL khelnay walay players ko un ke respective boards ki taraf kheelnay ki ijazat de di he, wahan PCB ne Lahore badshah ki puri ki puri team ko he nazar-andaaz ker diya. Kia world cup jesa event PCB ke is faislay ko afford ker sakta he, ke aap deserving players ko nikaal ker aisay players ko introduce kewao jin se shayad he kisi achi performance ki tawaqu ki ja sakay? Kia aap ke khyaal mein PCB aik juwa nahi kheel raha?

    Rana Naveed-ul-Hassan, Imran Nazir, Abdul Razaq, Mohammad Yousaf (and Inzi itself because he can be call back for T20 only), kia inhein nazar andaaz kerna akalmandi ka faisla he?

    Aap ki raye kia he, your serious comments are needed.

    * Kindly is thread ko 3, 4 din tak kisi aur section mein move na kia jaye.
    Walikum salam
    i thin kpCB ki barpur koshish hai ke pakistani team ka naam top list main se out ho jaey....issi lein ODIs ka result apkey samney hain pakistan 3rd ODI jaan ke hara hai saaf nazar aaraha tha aur last ODI asey jeeta hai jesey bainhaath ka khel...issi se proof hojata hia ke PCB is not interested in the game itself....unko paisa chahiye jo mil raha hai
    ab bhi jo T20 ki team hai inka bhi yehi haal hona hai...dil bhar ke haringey
    aur qoom ko rulaingey:lahoul

    Comment


    • #17
      Re: PCB - a politicized body

      Originally posted by saraah View Post
      waalikum asslam respected member
      muje kya krna hoga yahan :ANYWORD8

      kya me idhar jhoola jhool sakti hoon
      saathiyoo, isay jhoolay samaith utha ke bahir rakh do
      :thmbup:

      Comment


      • #18
        Re: PCB - a politicized body

        Originally posted by MSA View Post
        Walaikum Assalam

        sorry ustaad me k khayalat kuch mukhtalif he....

        agur app k board ne aik condition rakh di k app ko mulk k lie khelna he to ICL me nahi jana...us k bawajood bhi koi gaya...to yeh to mulk se GHADARI hoi na....abb ABDUL RAZZAK, Jacques KALLIS se to acha player nahi na...k T20 Worldcup me selection na hone pe wo reiterment ya ICL jin kur lein....

        abb jub k ICL ka career khatre me he to yeh contract khatam kur k wapis agay....

        yeh bat sahi he k abb ICC ne bhi permisiion de di he...to sahi he phir domestic cricket khele....perform kure...team me ajay....

        me k to bush yahi khayalat he....baki player wo bhi pakistani he...pakistan k uniform me khele gein to i will definetely support them..

        APART, rana naveed aik udham All'rounder bun gaya he..use team me hona chahie :D
        Dekho mere nunnay MSA, ub koi bhi kaam hota he, chahay sahi ya ghalat us ke peechay koi na koi reason to zaroor hoti he.

        Cricket Pakistan ka aik sports icon he aur top pe he. Recent years mein Cricket mein be'inthaa paisa aaya. Sachin Tendulkar jese loog sirf advertisement se karooron rupaya kama rahay hein, to aisay mein jin crickets ko performance dene ke baad bhi exposure aur paisay se door rakha jaye to yeh crickters ka istehsaal he.

        ICL ne crickets ko bounty di, achay packages diye, aur for the time being ager hamaray cricketers agar India ja ke kheelnay lagay to bhi is mein aisa kia masla ho gaya. Lahore Badshah last year winner rahi, kia us ne Pakistan ka naam rooshan nahi kia? Hamein sports ko sports samaj ker he dekhna chahiye.

        Aur jub ke puri dunia ke players ICL kheel rahay hein, Jay Suriya, Jaya wardne, Dilshan etc, in loogon ko to T20 world cup mein shamil ker liya Srilankan board ne, Pakistan ne aakhir aisay mookay pe apna zaraf kyoon nahi dikhaya?

        Aur jahan tak domestic ki performance ki baat he, Rana Naveed, Imran Nazir aur Abdul Razak, kia performance nahi dekhi in ki PCB ne, kia abi bhi inhein domestic cricket kheel ke apnay aap ko manwanay ki zaroorat he? And frankly saying Rana Naveed ul Hassan ko sahi maanon mein ICL ne he discover kia, Pakistan ne Rana Naveed ke potential ko kabi bhi sahi toor per utilize nahi kia, aur yah bhi aik almiya he.

        Aik baat mein aur kerna chahoon ga. Mein arsa last 20 years se regular cricket dekhta aa raha hoon aur mein aik aik cheez note kerta hoon. Pakistan cricket team mein kuch players aisay hein jo tez wickets pe ziada survive nahi ker saktay, jese Shahid Afridi, Imran Nazir, Kamran Akmal wagaira. Yahi players slow wickets pe bohat acha perform kerte hein. South Africa ya Australia mein matches hoon ge to in se opening kerwa di jati he, jub ke Asian wickets per jahan yeh loog opening deserve kerte hein inhein peechay phaink diya jata he. I fail to understand ke aisa kyoon?

        Kia tum samajtay ho ke fawad aalam, Ahmad Shehzad, Younis Khan, Shoaib Malik T20 ke liye bohat suitable players hein? Salman but per bhi question mark he? Aisay players jin ke potentional se pura pakistan achi tarah wakif he ke wo itni ehliyat nahi rakhtay ke T20 jese event mein Pakistan ka image bright ker sakein, aisay mein PCB aisay players ko he kyoon promote ker raha he? Once in a blue moon hitting kerne walay players ka T20 mein kia kaam?

        PCB ke is kadam se mujay shadeed dukh hua he, I feel embarassed on this situation. Kaash PCB mein bhi koi halaal ki rooti khanay wala aa jaye.
        :thmbup:

        Comment


        • #19
          Re: PCB - a politicized body

          Originally posted by Masood View Post
          Come on Aamir - look ahead!

          Whatever Inzi is doing is past!!!!

          Hamein aaj nahin, aik saal aagey nahin balkeh 10 saal aagey ki planing ka sochna chahiyey. Mujhey mojoodah team sey shikayat hai bhi aur nahin bhi. Baat yeh hai keh ham log apni ghaltiyon sey sabaq seekhney wali qom nahin hain, iska muzahira ham ney har muamley mein kiya hai (kaash ham siyasi maidan mein hi sabaq seekh letey) anyway...

          Team mein aik professionalism ki kami hai. Yeh log Australia aur South Africa jaisi aala paaey ki teamon key samney khiloney lagtey hain. Koi aik batsman aap ley lijiyey har match mein wohi purani ghalti kar key out hota hai, kaun hai jo apni ghaltiyon sey sabaq seekhta hai? Salman Butt almost same style mein out hota hai. Understanding na honey key braber hai in mein aur jis andaz mein run outs hotey hai afsos hota hai...

          After all the hardwork they just through it away - aisey lagta hai jaisy abhi abhi satta khail kar aaey hon...

          Yahan per bhi -i m afraid- aik mukamil change ki zaroorat hai - jo hamara qomi almiyah hai :)
          Inzi has proved himself to be a very suitable player for T20 format. Yeh us ki recent performance bolti he.

          10 saal aagay ki planning kerni he to Pakistan ko Domestic cricket ko improve kerna ho ga. Pakistan khud to domestic cricket ya T20 ko sahi se promote ker nahi raha, aur ager India mein hamaray players polish honay chalay jatay hein to PCB ko tarka lag jata he. Yeh to wohi baat hui ke na kheelna he aur na kheelne dena he. Na khud kamana he aur na kisi aur ko kamanay dena he :donno:

          Pakistan ki cricket khatam ho rahi he, ub Pakistan ki domestic cricket ko koi sponsers nahi mil rahay. Pakistan ko chahiye ke India ko dekhay aur is se kuch sabak hasil karay. Jo kadam india ne uthaya he ICL start ker ke, Pakistan bhi to yeh kadam uthaa sakta tha :donno: ub ICL ke matches ka charm itna ziada ho gaya he ke loog Pakistan ka international match nahi dekhtay ICL tune ker lete hein. PCB ko zamana saaz hona chahiye, naye zamanay ke mutabik apnay aap ko dhaalna chahiye. Players ki behtari ke liye kaam kerna chahiye, cricket mein paisa laana chahiye. Wo zamana gaya ke loog fame ke liye cricket kheeltay thay.

          Baki mein tumhari baaton se agree hoon, Pakistani team ki coaching sahi nahi ho rahi. Intkhab Aalam bhi conventional style ke coach saabit hua. Aik haath mein aaya hua match Pakistan ne ganwaa diya aur wo bhi apnay nerves ki waja se. Pakistani team mentaly bohat week sabit hui. Jo performance last match mein di wo pehlay bhi de ja sakti thi. Sonay pe soohaga Abdul Qadir, pata nahi koon koon se safarashi larkay dhoond ke cricket mein promote ker raha he, kahan gaya is ka tajurba. I am disappointed
          :thmbup:

          Comment


          • #20
            Re: PCB - a politicized body

            Originally posted by Ibtesam View Post
            Walikum salam
            i thin kpCB ki barpur koshish hai ke pakistani team ka naam top list main se out ho jaey....issi lein ODIs ka result apkey samney hain pakistan 3rd ODI jaan ke hara hai saaf nazar aaraha tha aur last ODI asey jeeta hai jesey bainhaath ka khel...issi se proof hojata hia ke PCB is not interested in the game itself....unko paisa chahiye jo mil raha hai
            ab bhi jo T20 ki team hai inka bhi yehi haal hona hai...dil bhar ke haringey
            aur qoom ko rulaingey:lahoul

            PCB saazish ker raha he, ye reconciliation ka raasta apnanay ki bajaye badlay lene per utar aaya he. Mohammad Yousaf jese player ko jis ne apni life Pakistan cricket ke naam ki, usay bhi is waqt PCB tough time dene pe utar aaya he. PCB apni anna parasti mein rahay ga to yeh players ziah ho jaein ge. Mohammad Asif ko dekh lo, Pakistan ka aik asset, jo ziah ho raha he:donno:
            :thmbup:

            Comment


            • #21
              Re: PCB - a politicized body

              Originally posted by munda_sialkoty View Post
              saathiyoo, isay jhoolay samaith utha ke bahir rakh do

              yani k waqai :ANYWORDgm
              شاہ حسین جیہناں سچ پچھاتا' کامل عِشق تیہناں دا جاتا

              Comment


              • #22
                Re: PCB - a politicized body

                Originally posted by munda_sialkoty View Post
                PCB saazish ker raha he, ye reconciliation ka raasta apnanay ki bajaye badlay lene per utar aaya he. Mohammad Yousaf jese player ko jis ne apni life Pakistan cricket ke naam ki, usay bhi is waqt PCB tough time dene pe utar aaya he. PCB apni anna parasti mein rahay ga to yeh players ziah ho jaein ge. Mohammad Asif ko dekh lo, Pakistan ka aik asset, jo ziah ho raha he:donno:
                yehi tu masla hai bahut se achey players hian jin ke saath na insafi ho rahi hai jinhon ne national level pe acha perform kia hai



                wesey come to think of it ICC ko bhi kuch masla hai paki team se
                jo bowler acha perform karta hai usske bowling action pe itraz hojata hai

                Comment


                • #23
                  Re: PCB - a politicized body

                  Originally posted by saraah View Post
                  yani k waqai :ANYWORDgm
                  yani ke AAAAAHOOOO
                  :thmbup:

                  Comment


                  • #24
                    Re: PCB - a politicized body

                    Originally posted by Ibtesam View Post
                    yehi tu masla hai bahut se achey players hian jin ke saath na insafi ho rahi hai jinhon ne national level pe acha perform kia hai

                    wesey come to think of it ICC ko bhi kuch masla hai paki team se
                    jo bowler acha perform karta hai usske bowling action pe itraz hojata hai
                    Actually Pakistan ki cricket governing body itni strong nahi he, jese doosray countries ki he. Yahi aik waja he ke Pakistan ke world cup ke matches India, Sri Lanka aur Bangladesh ko distribute ker diye gaye. Ijaz butt sahib baad mein keh rahay thay ke hum ICC se request karein ge ke hamaray hissay ke matches UAE mein kerwa le, but jub us ne yeh soocha ICC apna decision suna chuka tha. They are too late in their homework. Un ka faida, ziada tar India utha gaya.

                    ICC ko ager aik player se malsa he to PCB ko saaray achay players ke saath masla rehta he. Kisi player ko fine kerna ho to 3, 4 month to yeh plea sunnaay mien ziah ker dete hein, aur us ke baad 6 month 1 saal ka ban laga ker rahi sahi kasar puri ker dete hein.

                    Ager kisi player ko punishment deni he hay to at the spot he kyoon nahi de jati, aur panelty paisay ki shakal mein bhi to de ja sakti he, ta ke player kheelta rahay aur usay saza bhi mil jaye?
                    :thmbup:

                    Comment


                    • #25
                      Re: PCB - a politicized body

                      Originally posted by munda_sialkoty View Post
                      yani ke AAAAAHOOOO
                      :hhhh:
                      koi nae nikaal k dikhao bahir
                      شاہ حسین جیہناں سچ پچھاتا' کامل عِشق تیہناں دا جاتا

                      Comment


                      • #26
                        Re: PCB - a politicized body

                        Originally posted by saraah View Post
                        :hhhh:
                        koi nae nikaal k dikhao bahir
                        tumhein bahir nikalnay ki bajaye ander kerwaa doon, yeh ziada behtar nahi rahay ga kia :lol
                        :thmbup:

                        Comment


                        • #27
                          Re: PCB - a politicized body

                          Mey tau cricket hi nahi deykhti :donno:
                          " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                          Comment


                          • #28
                            Re: PCB - a politicized body

                            bohot acha aur malomati thread hai :phool:

                            bus isay post ghalat jagah kia gaya hai, is ki asal jagah khailoN kay maidan wala section hai
                            That's Enough...!!

                            Comment


                            • #29
                              Re: PCB - a politicized body

                              Originally posted by Xai View Post
                              Mey tau cricket hi nahi deykhti :donno:
                              I know chinese, you don't worry :tasali:
                              :thmbup:

                              Comment


                              • #30
                                Re: PCB - a politicized body

                                Originally posted by ScorpioN_RulzZ View Post
                                bohot acha aur malomati thread hai :phool:

                                bus isay post ghalat jagah kia gaya hai, is ki asal jagah khailoN kay maidan wala section hai
                                Tu kia comment nahi karay ga
                                :thmbup:

                                Comment

                                Working...