Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

PCB - a politicized body

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • PCB - a politicized body

    Aslam-o-Alaikum respected members,

    PCB ne T20 world cup ke liye mandarja zail squad ki announcement ki he:

    Younis Khan (captain), Salman Butt, Ahmed Shahzad, Misbah-ul-Haq, Kamran Akmal, Fawad Alam, Shoaib Malik, Shahid Afridi, Sohail Tanvir, Yasir Arafat, Shoaib Akhtar, Umar Gul, Mohammad Aamir, Saeed Ajmal, Shazaib Hassan.

    Kia aap nahi samajtay ke in mein se kuch players aisay hein jin ki performance pe question mark he? Ya wo T20 ke meyaar per pura nahi utartay?

    Mujay personally PCB ki is announcement pe bohat dukh hua aur mujay lag raha he ke PCB bhi completely politisized body ban chuki he. Jahan ICC ne ICL khelnay walay players ko un ke respective boards ki taraf kheelnay ki ijazat de di he, wahan PCB ne Lahore badshah ki puri ki puri team ko he nazar-andaaz ker diya. Kia world cup jesa event PCB ke is faislay ko afford ker sakta he, ke aap deserving players ko nikaal ker aisay players ko introduce kewao jin se shayad he kisi achi performance ki tawaqu ki ja sakay? Kia aap ke khyaal mein PCB aik juwa nahi kheel raha?

    Rana Naveed-ul-Hassan, Imran Nazir, Abdul Razaq, Mohammad Yousaf (and Inzi itself because he can be call back for T20 only), kia inhein nazar andaaz kerna akalmandi ka faisla he?

    Aap ki raye kia he, your serious comments are needed.

    * Kindly is thread ko 3, 4 din tak kisi aur section mein move na kia jaye.
    Attached Files
    :thmbup:

  • #2
    Re: PCB - a politicized body

    aithay v jawaab deyoo :fuming:
    :thmbup:

    Comment


    • #3
      Re: PCB - a politicized body

      Originally posted by munda_sialkoty View Post
      and Inzi itself because he can be call back for T20 only
      Wa salaam... Yesh yesh aur Saeed Anwar, Basit Ali, Ramiz Raja, Waqar Yunus aur Akram himself :p :p in sab ko wapis bulana chahiyey :D :D


      @topic:
      Yaar Pakistan mein kaun si KAL hai jo seedhi hai? Pakistani Team ko aaj tak is baat ki samajh nahin aaii keh PowerPlay kya hota hai aur kab lena chahiyey. In mein bohat sarey players aisey hain jo kisi barrey club mein bhi select na ho paein, woh Pakistan ki janib sey khail rahey hain... What has Salman Butt done??? Jitney usko mawaqey miley hain...

      I personally feel we have misused Shahid Afridi alot!
      tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
      tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

      Comment


      • #4
        Re: PCB - a politicized body

        Originally posted by Masood View Post
        Wa salaam... Yesh yesh aur Saeed Anwar, Basit Ali, Ramiz Raja, Waqar Yunus aur Akram himself :p :p in sab ko wapis bulana chahiyey :D :D


        @topic:
        Yaar Pakistan mein kaun si KAL hai jo seedhi hai? Pakistani Team ko aaj tak is baat ki samajh nahin aaii keh PowerPlay kya hota hai aur kab lena chahiyey. In mein bohat sarey players aisey hain jo kisi barrey club mein bhi select na ho paein, woh Pakistan ki janib sey khail rahey hain... What has Salman Butt done??? Jitney usko mawaqey miley hain...

        I personally feel we have misused Shahid Afridi alot!
        Yaar Inzi ki baat ko tum ne mazak mein taal diya. Lahore badshah ki taraf se us ki performance to dekhtay.

        Salman butt ke haq mein mein bhi nahi hon, instead Imran Nazir is the best choice for T20, Abdul Razaq and Rana can give a big boost in alrounder performance.

        Yeh naye larkay kia karein ge, yeh waqee club level ke player bhi nahi lagtay. Lekin PCB aisay mookay per jahan mufahmat ka raasta akhteyaar kerna chahiye, behtari ki sooch rakhni chahiye, aisa kadam kyoon uthaya, jub ke ICC ne bhi aisay players ko participate kerne ki ijazat de di he?
        :thmbup:

        Comment


        • #5
          Re: PCB - a politicized body

          mein comments doon ga lakin aaj nay phir kabhi. aur you have started a nice topic.

          Comment


          • #6
            Re: PCB - a politicized body

            Originally posted by ballay_baaz View Post
            mein comments doon ga lakin aaj nay phir kabhi. aur you have started a nice topic.
            Your valued comments will be awaited anxiously
            :thmbup:

            Comment


            • #7
              Re: PCB - a politicized body

              jo gadha hy usay utha k pcb main laga diya gaya hy to phir yehi anjaam hoga ...saray gaday aur sab k oper madari
              372-haha
              ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا

              Comment


              • #8
                Re: PCB - a politicized body

                Originally posted by aabi2cool View Post
                jo gadha hy usay utha k pcb main laga diya gaya hy to phir yehi anjaam hoga ...saray gaday aur sab k oper madari
                372-haha
                Kahin tu jhoot to nahi bool raha
                :thmbup:

                Comment


                • #9
                  Re: PCB - a politicized body

                  Originally posted by munda_sialkoty View Post
                  Aslam-o-Alaikum respected members,

                  .
                  waalikum asslam respected member
                  muje kya krna hoga yahan :ANYWORD8

                  kya me idhar jhoola jhool sakti hoon
                  شاہ حسین جیہناں سچ پچھاتا' کامل عِشق تیہناں دا جاتا

                  Comment


                  • #10
                    Re: PCB - a politicized body

                    Originally posted by aabi2cool View Post
                    jo gadha hy usay utha k pcb main laga diya gaya hy to phir yehi anjaam hoga ...saray gaday aur sab k oper madari
                    372-haha
                    suppose aap ko pcb ka chairman banaya jai tu aap kiya change pehlay lain gay?

                    Comment


                    • #11
                      Re: PCB - a politicized body

                      Walaikum Assalam

                      sorry ustaad me k khayalat kuch mukhtalif he....

                      agur app k board ne aik condition rakh di k app ko mulk k lie khelna he to ICL me nahi jana...us k bawajood bhi koi gaya...to yeh to mulk se GHADARI hoi na....abb ABDUL RAZZAK, Jacques KALLIS se to acha player nahi na...k T20 Worldcup me selection na hone pe wo reiterment ya ICL jin kur lein....

                      abb jub k ICL ka career khatre me he to yeh contract khatam kur k wapis agay....

                      yeh bat sahi he k abb ICC ne bhi permisiion de di he...to sahi he phir domestic cricket khele....perform kure...team me ajay....

                      me k to bush yahi khayalat he....baki player wo bhi pakistani he...pakistan k uniform me khele gein to i will definetely support them..

                      APART, rana naveed aik udham All'rounder bun gaya he..use team me hona chahie :D

                      Comment


                      • #12
                        Re: PCB - a politicized body

                        Originally posted by ballay_baaz View Post
                        suppose aap ko pcb ka chairman banaya jai tu aap kiya change pehlay lain gay?
                        main bhi wohi karta joi ye saray gadhay kar rahay hain asal masla hi na ahliyat ka hy jo ahel naheen wohi aaj ahel hy har shobay main 372-haha
                        ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا

                        Comment


                        • #13
                          Re: PCB - a politicized body

                          Originally posted by aabi2cool View Post
                          main bhi wohi karta joi ye saray gadhay kar rahay hain asal masla hi na ahliyat ka hy jo ahel naheen wohi aaj ahel hy har shobay main 372-haha
                          ahliyat ka faisala kon karey ga? k kon ahil hey ya na ahil?
                          pakistan mee tu her shaks khud ko her post key liye ahil samjhta hey.

                          aaj heee hamara driver uncle keh raha tha k pakistan ka mein president hota tu sub ko theek kar deta. ek driver b kahta hey ko president ki portfolio ka vo ahil hey. halanky vo hamari car do se ziyada dafa accident kar ky aya hey. jab be pocho tu kese accident hoa tu kahta hey dosray drivers aankhain band kar kay driving karte hein. 372-haha

                          Comment


                          • #14
                            Re: PCB - a politicized body

                            Originally posted by munda_sialkoty View Post
                            Yaar Inzi ki baat ko tum ne mazak mein taal diya. Lahore badshah ki taraf se us ki performance to dekhtay.
                            Come on Aamir - look ahead!

                            Whatever Inzi is doing is past!!!!

                            Hamein aaj nahin, aik saal aagey nahin balkeh 10 saal aagey ki planing ka sochna chahiyey. Mujhey mojoodah team sey shikayat hai bhi aur nahin bhi. Baat yeh hai keh ham log apni ghaltiyon sey sabaq seekhney wali qom nahin hain, iska muzahira ham ney har muamley mein kiya hai (kaash ham siyasi maidan mein hi sabaq seekh letey) anyway...

                            Team mein aik professionalism ki kami hai. Yeh log Australia aur South Africa jaisi aala paaey ki teamon key samney khiloney lagtey hain. Koi aik batsman aap ley lijiyey har match mein wohi purani ghalti kar key out hota hai, kaun hai jo apni ghaltiyon sey sabaq seekhta hai? Salman Butt almost same style mein out hota hai. Understanding na honey key braber hai in mein aur jis andaz mein run outs hotey hai afsos hota hai...

                            After all the hardwork they just through it away - aisey lagta hai jaisy abhi abhi satta khail kar aaey hon...

                            Yahan per bhi -i m afraid- aik mukamil change ki zaroorat hai - jo hamara qomi almiyah hai :)
                            tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                            tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                            Comment


                            • #15
                              Re: PCB - a politicized body

                              Originally posted by ballay_baaz View Post
                              ek driver b kahta hey ko president ki portfolio ka vo ahil h
                              Mr. kabhi kisi insaan ki salahiyat par shak na karna! Insaan Allah Tala ka nayib hai, kya khaber kaun aisa ho jo duniya ka naqsha badal dey. Har insaan key zehan mein soch palti hai - kam sey kam us bandey key zehan mein yeh to hai keh Pakistan ki kya shay kharab hai, woh khamiyon ko to shayid dekhta hai na :)
                              tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                              tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                              Comment

                              Working...
                              X