Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

love and arrange

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #31
    Re: love and arrange

    Walikumslaam...

    love marriage mei koi burayi nahi hai...

    agar apko koi pasand hai to ap apne parents se discuss kar sakte hain kyunke life apne guzarni haiiii aur shadhi roz roz nahi hoti...poori zindagi ka sawal hai..
    zaberdasti ki shadhi ka koi faidah nahi hai..apne sath sath doosre insaan ki zindagi kharab karne ka koi haq nahi buntaa:rose

    Comment

    • #32
      Re: love and arrange

      Originally posted by *khushi* View Post

      Ager tumharay ghar walay tumharay liye khud se koi acha sa rishta dhondh lein to is mein kia burai he? Tumharay ghar walay tumhari behtari ke liye he karein ge na jo karein ge
      :thmbup:

      Comment

      • #33
        Re: love and arrange

        Originally posted by itdevil View Post
        only farq meray lihaz say

        love marriage mein aap khud khuain mein girtay hain
        aur arrange mein kuch log aap ko dhakka detay hain
        :khi:
        :thmbup:

        Comment

        • #34
          Re: love and arrange

          Originally posted by munda_sialkoty View Post
          Ager tumharay ghar walay tumharay liye khud se koi acha sa rishta dhondh lein to is mein kia burai he? Tumharay ghar walay tumhari behtari ke liye he karein ge na jo karein ge

          meien love marriage ke haq mei baat ki hai ke uss mei koi burayi nahi agar ap apne parents ko agree kar ke kar lien to....

          Comment

          • #35
            Re: love and arrange

            Originally posted by *khushi* View Post
            meien love marriage ke haq mei baat ki hai ke uss mei koi burayi nahi agar ap apne parents ko agree kar ke kar lien to....
            waise yeh nobat he kyoon aaye? Kabi is ka soocha?

            Kia aaj kul ki larkiyoon ko itni he aag lag gai he ke wo apnay parants per trust kiye bagair khud larkay dhoondnay lag jaein
            :thmbup:

            Comment

            • #36
              Re: love and arrange

              Originally posted by munda_sialkoty View Post
              waise yeh nobat he kyoon aaye? Kabi is ka soocha?

              Kia aaj kul ki larkiyoon ko itni he aag lag gai he ke wo apnay parants per trust kiye bagair khud larkay dhoondnay lag jaein

              nahi kabhi socha nahi hai jab time ayega soch lungiii:D:

              lol.....ab pyaar kab hoajye kia pata:embarasse

              Comment

              • #37
                Re: love and arrange

                Originally posted by *khushi* View Post

                nahi kabhi socha nahi hai jab time ayega soch lungiii:D:

                lol.....ab pyaar kab hoajye kia pata:embarasse
                Larki ho ke aisi baatein kerti ho :fuming:

                Gooli maar do apnay aap ko
                :thmbup:

                Comment

                • #38
                  Re: love and arrange

                  Originally posted by munda_sialkoty View Post
                  Larki ho ke aisi baatein kerti ho :fuming:

                  Gooli maar do apnay aap ko

                  meien yehi kaha tha ke love marriage mei koi burayi nahi hai
                  agar ap karna chaien to parents ko agree kar ke kar sakte hain..
                  anyways....koi faidah nahi bolne ka:thmbup:

                  Comment

                  • #39
                    Re: love and arrange

                    hay koi ALLAH ka banda jo arangekar k meri love marage hi karwaday :embarasse
                    ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا

                    Comment

                    • #40
                      Re: love and arrange

                      Wasalaam,

                      Meri love cum arrange marriage hain, dono mein koi farq nahin hain. dono tarah ki marriage mein ek nayi zindagi naye logon ke saath hoti hain, adjustments bhi karne padhte hain. Farq sirf itna hain ki love marriage mein aap apne life partner ko thoda bahut jaante hain. Lekin yaad rakhiye haathi ke daant khaane aur dikhaane ke alag hote hain, log shaadi ke pehle kuch aur hote hain aur shaadi ke baad kuch aur..
                      :insha:Saari Duniya Main Aman Ho

                      Comment

                      • #41
                        Re: love and arrange

                        Originally posted by *khushi* View Post

                        meien yehi kaha tha ke love marriage mei koi burayi nahi hai
                        agar ap karna chaien to parents ko agree kar ke kar sakte hain..
                        anyways....koi faidah nahi bolne ka:thmbup:
                        is baar tumhein moaaf ker deta hoon, ainda love marriage ka mut soochna
                        :thmbup:

                        Comment

                        • #42
                          Re: love and arrange

                          Originally posted by aabi2cool View Post
                          hay koi ALLAH ka banda jo arangekar k meri love marage hi karwaday :embarasse
                          Yaar ub hum dono ke paas sirf aik he herba reh gaya he

                          Tu meray liye rishtay dhoond, aur mein tere liye :embarasse
                          :thmbup:

                          Comment

                          • #43
                            Re: love and arrange

                            Originally posted by astrofreak1234 View Post
                            Wasalaam,

                            Meri love cum arrange marriage hain, dono mein koi farq nahin hain. dono tarah ki marriage mein ek nayi zindagi naye logon ke saath hoti hain, adjustments bhi karne padhte hain. Farq sirf itna hain ki love marriage mein aap apne life partner ko thoda bahut jaante hain. Lekin yaad rakhiye haathi ke daant khaane aur dikhaane ke alag hote hain, log shaadi ke pehle kuch aur hote hain aur shaadi ke baad kuch aur..
                            :thmbup:
                            اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                            اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                            Comment

                            • #44
                              Re: love and arrange

                              Originally posted by munda_sialkoty View Post
                              is baar tumhein moaaf ker deta hoon, ainda love marriage ka mut soochna
                              khud to 4,4 ki fikroun main hoo or us beechari bachi ko apni pasand ki shadi say mana kar rehay hoo
                              اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                              اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                              Comment

                              • #45
                                Re: love and arrange

                                Originally posted by zoniash View Post
                                salam pgs how are u all
                                main ny souch rahi the k kiyon na is serious topic main ap seb ki opinion le jaye k love marriage aur arrange marriage main kia fark hota hain aur ap log kis k haq main hain aur kiyon hain

                                apni khubsoet kiyalaat sy main ap ko bad main nawazon ki abi ap seb share kerain apne qeemti kiyalaat thank u

                                note: is topic ka maqsed just enjoyement ya mazaq nhe hain umeed hain k muje aschy aschy serious aur logical ans milain gay .. thank u roserose:rose
                                Walekum salam !
                                Buaht acah topic hai aap ka
                                Shukr hai aaj kal ki NO-JAWAN nasal :)
                                achay topic b discuss karti hein specially larkiyan !!
                                teddy

                                Originally posted by mano_billi View Post
                                hmm wase to love marriage me koi burayi nahi ..
                                agar pucha jaye ke mein kis ko preference du gi ... to mein arrange marriage ko prefer karu gi
                                YEH TU " mukhtalif Opinons nahi !??:donno:Mano BILI ...:eye:

                                likin humare muashray me ye unacceptable he..or Islamic point of view se bhee dekhein to ye ghalat he ke aik larka or larki khulam khula ya chup chupa ke zamanay se apni mohabbat ka izhaar karein..
                                My dear ISLAM iss baat ki ijazat deyta hai k Larka , larki ko pasand karay
                                ya larki larkay kp pasand karay ....!! iss soorat mein wo deykh b saktay hein
                                aik doosray ko ..! magar oss be-hijabi se nahi jo be-hiajabi hamari soaciety ka
                                hissa hai ..!!
                                Hamein DEEN-ISLAM ki Khoobsoorti ka andaza hai hee nahi ..:yy:
                                Na hee koi khas elm ...K hamein hamar DEEN kia kia Sahoolatein
                                deyta hai ..hum sif wo kehtay hein jo CROSS kisam ka Media develop
                                karta hai nah k ...Ham QURAAN se kuch seekhtay hein !! 372-shock

                                Apke parents ne ap se zada zamana dekha hota he or apne parents ki choice pe trust karna chahye ke woh apki zindagi ka jo faisla karein ge wo sahi hoga apke haq mein... or agar shadi ke baad mushkilaat ati hein to unke lye parents ko blame nahi karna chahye .. balke ye har bande ki apni kismat hoti he :donno:
                                Parents nay be-shak zamanah deykha hota hai mein b aik Parent hoOn
                                magar mein har giz yeh nahi chahooN gee k mein apnay beytay ya beyti
                                Ki shadi ...Onn ki marzi k bina kar doon ..."" Jo parents apni marzi
                                lagoo kartay hein wo ...ANA parast hotay hein ...! parents ko yeh saochna
                                chahiya k ...Zindgee tu onn k beytay ya beyti nay guzarna hai na ..!
                                Tu oss ka mashwara kion ZAROORI nahi !!
                                Wo alag baat hai k ..KISSI larkay ya larki ka damgh Sahi kaam :khi:
                                nahi karta tu phir parents khud hee fesla le leiN ..!!

                                Hazoor-e paak SAW k pass aik larki aai k meray maan Baap meri
                                shaid mujh se poochay bina kar rahy hein ...Hazoor pak SAW nay poocha
                                kia tumhein wo larka pasnad nahi ..!! Wo larki boli ye baat nahi , magar jab islam nay
                                mujhaay ijazat dee hai k Mujh se pooch k rishta tay ho tu ..
                                phir wo aisa kion kar rahay hein .. iss per Rasool Allah SAW nay os ki
                                Hamyat farmaai ..aur Oss k haq mein fesla diya!!:salam: SubhanAllah!!

                                kisi ko bagher mangay tarasha hua heera mil jata he or kisi ko zindagi lag jati he us heere ko tarashne me :hehe:
                                Jee KISI ko heeray ki pehchan nahi na hoti tu ..iss liya agar oss ko heera mil
                                B ja-ay tu oss ki qadar nahi karta !! :donno:

                                love marriage mein parents ke pakre janay ka dar... zamanay ki baaton ka khof.. or baht si cheezein hoti hein :donno: or agar parents inkaar kar dein to ye rog puri umr saath rehta he.. or kuch larkiyo ko is nadaani ki sazaa apne typical husbands ke hathon bhugatni par jati he

                                bash itna hi kahu gi
                                :) baii seedhi se baat hai ..Shadi LOVE Based ho sakti hai ..
                                aur sath mein oss ko arrange b kar lein tu soanay pe suhaga naa!:phool:
                                Bass Sab ko samjhnay ki zaroorat hai
                                Maan Baap apnay feslay nahi thopein !:na:
                                aur bachay ..Khud Koi exterem fesla nahi lein ..>!! :na:

                                bass Phir SAT te V kheraan! :dua
                                Last edited by Gul; 29 April 2009, 00:41.

                                Comment

                                Working...
                                X