Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Maut Ko Faqat Bahana Chahiyey

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #16
    Re: Maut Ko Faqat Bahana Chahiyey

    Originally posted by zoniash View Post
    Wayse ek baat hain masood bhai sicnce ny itne tarqi to ker li hain mger kuch bemaariyon ka aj tak ilaaj nhe nekal paye jayse mergi ka doora us ki sirf medicine he hain mager koi ilaaj nhe hain mainny ayse bohat sy bozurgo ko dekha hain aur nojawano ko b jin ko un k gher walu baher bayj daytain hain aur resaty main unhain dora perta hain aur log byhes tamsha ben k khery dekhty rahty hain humre gher k smany ek bohry baba g atay thay bickits sale kerny un ko doora perha to sari chzeain gher gai aur koi zalel insan pas sy gozer raha tha us nay us ko snabhlny ki baje us ki jaib sy koi tory sy paise he hon g wo nekal k bhag gaya jmain ekd um gai to usy dora per rah tha jeb kahri aba g gaye us ko sanbhla usy jeb kuch dair bad hosh aya to roonay lag gya k us k paise gaib aur sare bikits zameen py gerny ki waja sy toot agye kahir boaht dokh hota hain dunya ki byhisi dakh k

    Allah Tala ney har insaan ki zindagi aur maut ka pehley hi sey tayyun kar rakha hai keh kisney kitna arsa jeena hai aur kab usko maut aani hai - zindagi aur maut un chand cheezon mein sey hain jo duaoun sey bhi bhi nahin badal saktin. Yani agar ham dua karney beth jaein keh ham maut aa jaey ya na aaey to yeh dua kabhi poori nahin ho gi, baqi har shay dua sey badal jati hai.

    Duniya mein is waqt 6 arb sey ziyada aabadi hai, aur kaii arb insaan duniya sey guzar bhi chukey hain, Allah Tala ney har insaan ki zindagi khatam karney ka tareeqa bnaa rakha hai. Kisi ko beemari sey utha leta hai to kisi ko hadsey mein - alghariz yeh beemariyan bhi insaan ki maut ka bandobast hoti hain. Agar inki shifaa mil jaey to zinadagi ka khatma kaisey ho?
    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

    Comment


    • #17
      Re: Maut Ko Faqat Bahana Chahiyey

      Originally posted by mano_billi View Post
      kuch ache bhee or buray bhee.. likin aise behis logon ko dekh ke dil baht jalta he.. jin ko insano ki qadr hi nahi hoti.
      Unfortunately aisey logon ki ta'dad hamarey muashrey mein kaii gunah ziyada hai. Jis muashrey mein nafsa'nafsi urooj ki janib maayiil ho wahan aisa hota hai. Iska saboot October 2005 mein aaney waley zalziley ki soorat mein ham ney dekh liya hai....
      tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
      tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

      Comment


      • #18
        Re: Maut Ko Faqat Bahana Chahiyey

        Originally posted by Masood View Post
        Unfortunately aisey logon ki ta'dad hamarey muashrey mein kaii gunah ziyada hai. Jis muashrey mein nafsa'nafsi urooj ki janib maayiil ho wahan aisa hota hai. Iska saboot October 2005 mein aaney waley zalziley ki soorat mein ham ney dekh liya hai....

        likin zalzalay ke baad jis josh se puri qaum aik hogayi thi or kase un sab ki madad ki thi ye bhee to dekhna chahye na :mm:

        Comment


        • #19
          Re: Maut Ko Faqat Bahana Chahiyey

          Originally posted by zoniash View Post
          Wayse ek baat hain masood bhai sicnce ny itne tarqi to ker li hain mger kuch bemaariyon ka aj tak ilaaj nhe nekal paye jayse mergi ka doora us ki sirf medicine he hain mager koi ilaaj nhe hain mainny ayse bohat sy bozurgo ko dekha hain aur nojawano ko b jin ko un k gher walu baher bayj daytain hain aur resaty main unhain dora perta hain aur log byhes tamsha ben k khery dekhty rahty hain humre gher k smany ek bohry baba g atay thay bickits sale kerny un ko doora perha to sari chzeain gher gai aur koi zalel insan pas sy gozer raha tha us nay us ko snabhlny ki baje us ki jaib sy koi tory sy paise he hon g wo nekal k bhag gaya jmain ekd um gai to usy dora per rah tha jeb kahri aba g gaye us ko sanbhla usy jeb kuch dair bad hosh aya to roonay lag gya k us k paise gaib aur sare bikits zameen py gerny ki waja sy toot agye kahir boaht dokh hota hain dunya ki byhisi dakh k

          yeh padh ker bohat dukh aur afsos hua.

          Originally posted by Masood View Post
          Aap ko aik baat btata hoon...

          Qasas-ul-Anbiyaa mein likha huwa hai keh jab Nabi Kareem SAW mairaaj per tashreef ley gaey to Aap SAW ney Hazrat Izraeel sey poochha keh ussey kabhi kisi ki jaan nikaltey waqt reham bhi aaya hai? To Hazrat Izraeel jawab detey hain keh "ji Rasool-Allah, 3 insano ki jaan nikaltey waqt reham aaya tha" .... un mein aik woh maa thi jis ney darya mein aik kashti per akeley aik bachey ko janam diya aur phir hukum huwa keh us aurat ki jaan qabz kar li jaey....

          :(


          Originally posted by Masood View Post
          Allah Tala ney har insaan ki zindagi aur maut ka pehley hi sey tayyun kar rakha hai keh kisney kitna arsa jeena hai aur kab usko maut aani hai - zindagi aur maut un chand cheezon mein sey hain jo duaoun sey bhi bhi nahin badal saktin. Yani agar ham dua karney beth jaein keh ham maut aa jaey ya na aaey to yeh dua kabhi poori nahin ho gi, baqi har shay dua sey badal jati hai.

          Duniya mein is waqt 6 arb sey ziyada aabadi hai, aur kaii arb insaan duniya sey guzar bhi chukey hain, Allah Tala ney har insaan ki zindagi khatam karney ka tareeqa bnaa rakha hai. Kisi ko beemari sey utha leta hai to kisi ko hadsey mein - alghariz yeh beemariyan bhi insaan ki maut ka bandobast hoti hain. Agar inki shifaa mil jaey to zinadagi ka khatma kaisey ho?


          yeh to thik hai ke Mout ati he jab likhi hoti hai.
          Lekin mai samjhti hoon kai Duou mai bohat taqat hoti hai, allah tallah bohat bimaar insaan ko bhi shifa dete hain... naa mumkin ko mumkin ker sakte hain.
          to pihr khuda ki zaat per yaqeen rakhte huye... dua kerni chahiy.
          aur allah tallah se achi sehat wali zindagi ki dua maangna koi buri baat to nahi hai... balqe apne liye bhi aur doosrou ke liye bohat dua kerni chahiye.

          Comment


          • #20
            Re: Maut Ko Faqat Bahana Chahiyey

            sahi kaha jab mot ka waqt aa jay to bas phir jana hain..

            mairay saat bhi is hi terha ka waqiya 1996 main hoya..

            ham 4 dost Disco ja rahay hain mairi car main, aik mor say phalay mairi car aik dam say band hogai. na light na motor start ho. Raat ka waqt andhera ghoop. ALLHA ka shukar hain kay torch mairi car main hoti hain. wo jala aur motor ka bonat khol kar dekha to Bettery say + main aik chota sa tar wo nikal gaya tha..............but kaisay wo ti screw say tight tha...........kher wo laga aur sab kuch thek.................lekin jaisay hi mor par aay to two cars appas main amnay samnay say takrai hoi thi.............wo dekh kar ham sab to daar gay......... ager wo lahma ham na roktay to shaid ajj na hotay..........us waqt hamari mot nahi likhi thi ...is liyah hi yah hoya kay aik dam car rok gai..........app ka dosra walla waqiyaa read kar kay mujhay wo 1996 yaad aagaya..................
            ya Allah sab ko apney hifz-o-amaan main rakh

            Comment


            • #21
              Re: Maut Ko Faqat Bahana Chahiyey

              maut bar-haq
              zindagi KHuda ki amanat
              hadsati maut dil dehla deti hai najaney marney waley ko tauba ka waqt mila ya nai....janey Kalma parhney ka waqt mila ya nai...issi lein Hadsati maut se pahan mangney ka hukum hai
              Allah pak hum sab ke haal pe Rahem farmain aur hadsati maut se bachain..AMEEN

              Comment


              • #22
                Re: Maut Ko Faqat Bahana Chahiyey

                Originally posted by Masood View Post
                Assalamo allaikum...

                Aaj main aap sey 2 afsurdah waqeyat share karney jaa raha hoon, jo is aik guzarney waley maah mein Copenhagen mein pesh aaey hain aur jinka ta'aluq Pakistaniyon sey hai...

                Aik khatoon Pakistani Mechant ki dukaan per gaii. Wahan per usney dekha keh taza bhindiyaan aaii hain. Uska dil kiya bhindi bnaney ka. Us ney aik shopper uthaya aur us mein bhindi daalney lagi. Ussey kisi cheez ney kaat liya - magar usney is per dhiyaan na diya aur bhindiyaan ley ker ghar aa gaii...

                Kuchh der baad uskey ungli soojhni shuru ho gaii aur uskey haath ka rang change honey laga... Uska shohar ussi fori hospital ley geya jahan per doctor ney dekhtey hi kah diya keh issey zehar diya geya hai - is doran woh aurat intiqaal kar gaii...

                Police ney jab us Pakistani Merchant wali dukan per jaa ker tafteesh ki to bhindiyon waley basket mein saanp tha, jo yaqinan usi basket mein aaya tha aur us aurat ki maut ka bahana bana...


                Doosra waqeya:
                Koi aik do week pehley, meri sister ki aik dost, aik pathan larki, apni 15-sala beti aur 8-sala betey key saath aik furniture market mein kuchh furniture book karwaney gaii. Motorway per us ki garri ka engine block ho geya aur garri yak'dam ruk gaii.

                Peechhey sey aik BMW high speed sey aaii aur woh ruk na paii. Seedhi us aurat ki garii mein ja ghusi... Beti jo pichhli seat per bethi thi, uski moqa per hi garden toot janey sey death ho gaii, bhaii jo agli seat per betha tha, uski bhi moqa per death ho gaii - jabkeh maan ney hospital jaa ker dam torr diya Itna barra hadisa tha keh in ki namaz-e-janaza mein beshumar Danish log bhi mojood they...

                Kehtey hain keh jab maut aati hai to woh marney waley ko khud us jagah ley jati hai jahan per usko maut aani ho...

                Ina lillah-e-wa inna elahe rajeoon...

                Allah Tala un sab ki maghfirat karein aur hamari bhi - ameen.

                Jab bhi koi bhi qadam uthaein - samjhein yehi maut ki gharri hai

                Inalillah'e'wa'inna'lillah'e'raajeoon.

                waise moot ka koi waqt aur koi jagah mukarar nahi. Yeh kisi ko bhi kisi jagah aa jati he.

                1996 mein mere dad ka business partner jo England National tha 26 years ke baad Pakistan aaya, aur very next day Hade'marala mein swimming kerte huay doob gaya, ghoota khoor aur kashtiyoon ki madad se din raat search operation chala aur deadbody koi 11 din baad mili. Khudai kaam hein bhaiya
                :thmbup:

                Comment


                • #23
                  Re: Maut Ko Faqat Bahana Chahiyey

                  Ina lillah-e-wa inna elahe rajeoon...

                  Allah merny walo Kay hisaab kitab may asani kery or un ki magfirat kary/ameen
                  Bilkul sahi kaha Mout KAy liye bahana chahye bas :(

                  Comment


                  • #24
                    Re: Maut Ko Faqat Bahana Chahiyey

                    Inna lilahi wa inna ialihi rajioun :rose
                    " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                    Comment


                    • #25
                      Re: Maut Ko Faqat Bahana Chahiyey

                      انا للہ وانا الیہ راجعون
                      اوہ انکل جی بڈھے وارے آپکی ٹنگیں تو پہلے سے ہی قبر میں ہیں ہمین کیوں ڈراتے ہیں ابھی تو ہم نے دو تین ویاہ بھی اور کرنے ہیں
                      dua
                      ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا

                      Comment


                      • #26
                        Re: Maut Ko Faqat Bahana Chahiyey

                        Originally posted by aabi2cool View Post
                        انا للہ وانا الیہ راجعون
                        اوہ انکل جی بڈھے وارے آپکی ٹنگیں تو پہلے سے ہی قبر میں ہیں ہمین کیوں ڈراتے ہیں ابھی تو ہم نے دو تین ویاہ بھی اور کرنے ہیں
                        dua
                        sahi abbi bhai mainay to shadionline.com main register bhi karwa liyah hain..........................:ANYWORD:
                        ya Allah sab ko apney hifz-o-amaan main rakh

                        Comment


                        • #27
                          Re: Maut Ko Faqat Bahana Chahiyey

                          bulaaaaaaaaaau bhabheez ko

                          Comment


                          • #28
                            Re: Maut Ko Faqat Bahana Chahiyey

                            Originally posted by Masood View Post
                            Assalamo allaikum...


                            Kehtey hain keh jab maut aati hai to woh marney waley ko khud us jagah ley jati hai jahan per usko maut aani ho...

                            Ina lillah-e-wa inna elahe rajeoon...

                            Allah Tala un sab ki maghfirat karein aur hamari bhi - ameen.

                            Jab bhi koi bhi qadam uthaein - samjhein yehi maut ki gharri hai
                            walaikom Assalam

                            AMEEN

                            INNA LILLAH E WA INNA ILEHI RAJIOUN
                            For New Designers
                            وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

                            Comment


                            • #29
                              Re: Maut Ko Faqat Bahana Chahiyey

                              Originally posted by aabi2cool View Post
                              انا للہ وانا الیہ راجعون
                              اوہ انکل جی بڈھے وارے آپکی ٹنگیں تو پہلے سے ہی قبر میں ہیں ہمین کیوں ڈراتے ہیں ابھی تو ہم نے دو تین ویاہ بھی اور کرنے ہیں
                              dua
                              do, teen nahi.

                              Puray chaar
                              :thmbup:

                              Comment


                              • #30
                                Re: Maut Ko Faqat Bahana Chahiyey

                                Ina lillah -e-wa Inna elahe rajeeoon
                                yakinan moat takub me hoti he.....kab kahan...kese...Allah k siwa koi nahi janta...Allah marhoomin ki maghfirat farmaey or janat me jagah ata kare.ameen:dua

                                Comment

                                Working...
                                X