Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Maut Ko Faqat Bahana Chahiyey

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Maut Ko Faqat Bahana Chahiyey

    Assalamo allaikum...

    Aaj main aap sey 2 afsurdah waqeyat share karney jaa raha hoon, jo is aik guzarney waley maah mein Copenhagen mein pesh aaey hain aur jinka ta'aluq Pakistaniyon sey hai...

    Aik khatoon Pakistani Mechant ki dukaan per gaii. Wahan per usney dekha keh taza bhindiyaan aaii hain. Uska dil kiya bhindi bnaney ka. Us ney aik shopper uthaya aur us mein bhindi daalney lagi. Ussey kisi cheez ney kaat liya - magar usney is per dhiyaan na diya aur bhindiyaan ley ker ghar aa gaii...

    Kuchh der baad uskey ungli soojhni shuru ho gaii aur uskey haath ka rang change honey laga... Uska shohar ussi fori hospital ley geya jahan per doctor ney dekhtey hi kah diya keh issey zehar diya geya hai - is doran woh aurat intiqaal kar gaii...

    Police ney jab us Pakistani Merchant wali dukan per jaa ker tafteesh ki to bhindiyon waley basket mein saanp tha, jo yaqinan usi basket mein aaya tha aur us aurat ki maut ka bahana bana...

    Doosra waqeya:
    Koi aik do week pehley, meri sister ki aik dost, aik pathan larki, apni 15-sala beti aur 8-sala betey key saath aik furniture market mein kuchh furniture book karwaney gaii. Motorway per us ki garri ka engine block ho geya aur garri yak'dam ruk gaii.

    Peechhey sey aik BMW high speed sey aaii aur woh ruk na paii. Seedhi us aurat ki garii mein ja ghusi... Beti jo pichhli seat per bethi thi, uski moqa per hi garden toot janey sey death ho gaii, bhaii jo agli seat per betha tha, uski bhi moqa per death ho gaii - jabkeh maan ney hospital jaa ker dam torr diya Itna barra hadisa tha keh in ki namaz-e-janaza mein beshumar Danish log bhi mojood they...

    Kehtey hain keh jab maut aati hai to woh marney waley ko khud us jagah ley jati hai jahan per usko maut aani ho...

    Ina lillah-e-wa inna elahe rajeoon...

    Allah Tala un sab ki maghfirat karein aur hamari bhi - ameen.

    Jab bhi koi bhi qadam uthaein - samjhein yehi maut ki gharri hai
    Last edited by Masood; 21 April 2009, 12:17.
    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

  • #2
    Re: Maut Ko Faqat Bahana Chahiyey

    Ina lillah-e-wa inna elahe rajeoon...

    ZINDAGI AUR ZINDAGI KI BESABATI :(
    شاہ حسین جیہناں سچ پچھاتا' کامل عِشق تیہناں دا جاتا

    Comment

    • #3
      Re: Maut Ko Faqat Bahana Chahiyey

      Originally posted by Masood View Post
      Assalamo allaikum...

      Aaj main aap sey 2 afsurdah waqeyat share karney jaa raha hoon, jo is aik guzarney waley maah mein Copenhagen mein pesh aaey hain aur jinka ta'aluq Pakistaniyon sey hai...

      Aik khatoon Pakistani Mechant ki dukaan per gaii. Wahan per usney dekha keh taza bhindiyaan aaii hain. Uska dil kiya bhindi bnaney ka. Us ney aik shopper uthaya aur us mein bhindi daalney lagi. Ussey kisi cheez ney kaat liya - magar usney is per dhiyaan na diya aur bhindiyaan ley ker ghar aa gaii...

      Kuchh der baad uskey ungli soojhni shuru ho gaii aur uskey haath ka rang change honey laga... Uska shohar ussi fori hospital ley geya jahan per doctor ney dekhtey hi kah diya keh issey zehar diya geya hai - is doran woh aurat intiqaal kar gaii...

      Police ney jab us Pakistani Merchant wali dukha per jaa ker tafteesh ki to bhindiyon waley basket mein saanp tha, jo yaqinan usi basket mein aaya tha aur us aurat ki maut ka bahana bana...

      Doosra waqeya:
      Koi aik do week pehley, meri sister ki aik dost, aik pathan larki, apni 15-sala beti aur 8-sala betey key saath aik furniture market mein kuchh furniture book karwaney gaii. Motorway per us ki garri ka engine block ho geya aur garri yak'dam ruk gaii.

      Peechhey sey aik BMW high speed sey aaii aur woh ruk na paii. Seedhi us aurat ki garii mein ja ghusi... Beti jo pichhli seat per bethi thi, uski moqa per hi garden toot janey sey death ho gaii, bhaii jo agli seat per betha tha, uski bhi moqa per death ho gaii - jabkeh maan ney hospital jaa ker dam torr diya Itna barra hadisa tha keh in ki namaz-e-janaza mein beshumar Danish log bhi mojood they...

      Kehtey hain keh jab maut aati hai to woh marney waley ko khush us jagah ley jati hai jahan per usko maut aani ho...

      Ina lillah-e-wa inna elahe rajeoon...

      Allah Tala un sab ki maghfirat karein aur hamari bhi - ameen.

      Jab bhi koi bhi qadam uthaein - samjhein yehi maut ki gharri hai

      pata nahi... mujhe bhi aisya feel hota he... koi pata nahi...kab kiya hojaye...
      dar bhi lagta hai,... aur pihr dua bhi bohat mangti hoon...ke allah tallah mujhe haadsi mout se bachain. :(

      Comment

      • #4
        Re: Maut Ko Faqat Bahana Chahiyey

        Originally posted by *Kashish* View Post
        aur pihr dua bhi bohat mangti hoon...ke allah tallah mujhe haadsi mout se bachain
        Zindagi US ki amanat hai Samra, usney issey lena hai, jis tarha woh chahta hai ley leta hai. Dua yeh karni chahiyey keh jab hbi maut aaey Eeman ki halat mein aaey - ab woh jahaz sey gir ker ho ya rail key nechey aa ker... Jis andaz mein aani hai, woh to aani hai na :)

        Originally posted by saraah View Post
        ZINDAGI AUR ZINDAGI KI BESABATI
        kii bharosa dam da aey duniya faani :)
        tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
        tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

        Comment

        • #5
          Re: Maut Ko Faqat Bahana Chahiyey

          Originally posted by Masood View Post
          Assalamo allaikum...

          Aaj main aap sey 2 afsurdah waqeyat share karney jaa raha hoon, jo is aik guzarney waley maah mein Copenhagen mein pesh aaey hain aur jinka ta'aluq Pakistaniyon sey hai...

          Aik khatoon Pakistani Mechant ki dukaan per gaii. Wahan per usney dekha keh taza bhindiyaan aaii hain. Uska dil kiya bhindi bnaney ka. Us ney aik shopper uthaya aur us mein bhindi daalney lagi. Ussey kisi cheez ney kaat liya - magar usney is per dhiyaan na diya aur bhindiyaan ley ker ghar aa gaii...

          Kuchh der baad uskey ungli soojhni shuru ho gaii aur uskey haath ka rang change honey laga... Uska shohar ussi fori hospital ley geya jahan per doctor ney dekhtey hi kah diya keh issey zehar diya geya hai - is doran woh aurat intiqaal kar gaii...

          Police ney jab us Pakistani Merchant wali dukan per jaa ker tafteesh ki to bhindiyon waley basket mein saanp tha, jo yaqinan usi basket mein aaya tha aur us aurat ki maut ka bahana bana...

          Doosra waqeya:
          Koi aik do week pehley, meri sister ki aik dost, aik pathan larki, apni 15-sala beti aur 8-sala betey key saath aik furniture market mein kuchh furniture book karwaney gaii. Motorway per us ki garri ka engine block ho geya aur garri yak'dam ruk gaii.

          Peechhey sey aik BMW high speed sey aaii aur woh ruk na paii. Seedhi us aurat ki garii mein ja ghusi... Beti jo pichhli seat per bethi thi, uski moqa per hi garden toot janey sey death ho gaii, bhaii jo agli seat per betha tha, uski bhi moqa per death ho gaii - jabkeh maan ney hospital jaa ker dam torr diya Itna barra hadisa tha keh in ki namaz-e-janaza mein beshumar Danish log bhi mojood they...

          Kehtey hain keh jab maut aati hai to woh marney waley ko khud us jagah ley jati hai jahan per usko maut aani ho...

          Ina lillah-e-wa inna elahe rajeoon...

          Allah Tala un sab ki maghfirat karein aur hamari bhi - ameen.

          Jab bhi koi bhi qadam uthaein - samjhein yehi maut ki gharri hai

          Ina lillah -e-wa Inna elahe rajeeoon ...

          maut to aik din ani he.. chahe aj ya chahe kal :) kia pata is second me ap sab ke sath hu agle second na hu :donno: maut ka waqt jo Allah ji ne set kiya he maut to usi time par ani hoti he :( bas insan ko is time ke lye har waqt tyaar rehna chahye ....

          Comment

          • #6
            Re: Maut Ko Faqat Bahana Chahiyey

            mout to berhaq hain jo dunya mian ayaa hain us nay jana he hain allah ki amanet allah ko wapsi mil jati hain haan yeh sahi hain k kabi kabi hum mouth bohat kareeb sy dakhtain hain meri zindagi main sakoon chain khushi seb cheen gai jeb mery aba g mery bazoan main byhoash howay eid k dosery din heart attack ki waja sy lakin allah ka boahttttttttt ihsaan hain k unhon ny humain is qabil smjha k apne maa baap ki aur khitmet kerian mager us din jeb aba g dard sy tarp rahy thay bol rahy thay k meray seenay ko hath met lago bohat dard hain main aba g ko doba rahi the aur ek dum byhosh ho gaye wo teb mery pore wajood main sy kisi nay jaan nekal di jaye main nay pori qoout k sath aba g ko awaz di k abu abu wo ek dum hoash main agye mager teb sy ab tak main itna der gai hon k raaton ko b uth uth ker chori chori aba g ko ja k dekhti hon k soo rahain hain saans a rahi hain ,allah paak hum seb k maa baap ko sahet day ameem aur jitne bachiyan hain un ko un k maa baap k zery saya izet k sath apne apne gheron main rukhset kerain ameen
            ab aur gerdish-e- taqdeer kiya sitaye ge lota ke ishq mai naam o nishaan bethain hei

            sigpic

            Comment

            • #7
              Re: Maut Ko Faqat Bahana Chahiyey

              Originally posted by zoniash View Post

              meli jaani :tasali: Ameeen!! Sum Ameen!! Humare maa baap ki shafayat ka saya hum sab ke saron pe salamat rahe

              Comment

              • #8
                Re: Maut Ko Faqat Bahana Chahiyey

                Originally posted by zoniash View Post
                mout to berhaq hain jo dunya mian ayaa hain us nay jana he hain allah ki amanet allah ko wapsi mil jati hain haan yeh sahi hain k kabi kabi hum mouth bohat kareeb sy dakhtain hain meri zindagi main sakoon chain khushi seb cheen gai jeb mery aba g mery bazoan main byhoash howay eid k dosery din heart attack ki waja sy lakin allah ka boahttttttttt ihsaan hain k unhon ny humain is qabil smjha k apne maa baap ki aur khitmet kerian mager us din jeb aba g dard sy tarp rahy thay bol rahy thay k meray seenay ko hath met lago bohat dard hain main aba g ko doba rahi the aur ek dum byhosh ho gaye wo teb mery pore wajood main sy kisi nay jaan nekal di jaye main nay pori qoout k sath aba g ko awaz di k abu abu wo ek dum hoash main agye mager teb sy ab tak main itna der gai hon k raaton ko b uth uth ker chori chori aba g ko ja k dekhti hon k soo rahain hain saans a rahi hain ,allah paak hum seb k maa baap ko sahet day ameem aur jitne bachiyan hain un ko un k maa baap k zery saya izet k sath apne apne gheron main rukhset kerain ameen

                Aisa hi aik hadisa hamarey sath bhi huwa tha jab ham abhi bohat hi chhotey they. Ammi Jaan ko achanak dora parra aur woh behosh ho gain, ham us waqt bachey they, zahiri baat hai cheekhna shuru kar diya. Hamarey paros mein hi aik uncle they jo doctor they woh bar'waqt pohanch gaey aur ammi aaj hamarey paas ba'sehat mojood hain..

                aisey waqeyat dil hila kar rakh detey hain...
                tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                Comment

                • #9
                  Re: Maut Ko Faqat Bahana Chahiyey

                  Originally posted by Masood View Post
                  Aisa hi aik hadisa hamarey sath bhi huwa tha jab ham abhi bohat hi chhotey they. Ammi Jaan ko achanak dora parra aur woh behosh ho gain, ham us waqt bachey they, zahiri baat hai cheekhna shuru kar diya. Hamarey paros mein hi aik uncle they jo doctor they woh bar'waqt pohanch gaey aur ammi aaj hamarey paas ba'sehat mojood hain..

                  aisey waqeyat dil hila kar rakh detey hain...

                  Allah apki ammi jee ko humesha salamat rakhein Ameen!:tasali:

                  Comment

                  • #10
                    Re: Maut Ko Faqat Bahana Chahiyey

                    Originally posted by Masood View Post

                    kii bharosa dam da aey duniya faani :)
                    شاہ حسین جیہناں سچ پچھاتا' کامل عِشق تیہناں دا جاتا

                    Comment

                    • #11
                      Re: Maut Ko Faqat Bahana Chahiyey

                      Originally posted by mano_billi View Post
                      maut ka waqt jo Allah ji ne set kiya he maut to usi time par ani hoti he
                      Aap ko aik baat btata hoon...

                      Qasas-ul-Anbiyaa mein likha huwa hai keh jab Nabi Kareem SAW mairaaj per tashreef ley gaey to Aap SAW ney Hazrat Izraeel sey poochha keh ussey kabhi kisi ki jaan nikaltey waqt reham bhi aaya hai? To Hazrat Izraeel jawab detey hain keh "ji Rasool-Allah, 3 insano ki jaan nikaltey waqt reham aaya tha" .... un mein aik woh maa thi jis ney darya mein aik kashti per akeley aik bachey ko janam diya aur phir hukum huwa keh us aurat ki jaan qabz kar li jaey....
                      tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                      tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                      Comment

                      • #12
                        Re: Maut Ko Faqat Bahana Chahiyey

                        Originally posted by mano_billi View Post
                        Allah apki ammi jee ko humesha salamat rakhein Ameen!:tasali:
                        Ameen. Magar maut ka aik din muayyun hai - sab key liyey :)
                        tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                        tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                        Comment

                        • #13
                          Re: Maut Ko Faqat Bahana Chahiyey

                          Wayse ek baat hain masood bhai sicnce ny itne tarqi to ker li hain mger kuch bemaariyon ka aj tak ilaaj nhe nekal paye jayse mergi ka doora us ki sirf medicine he hain mager koi ilaaj nhe hain mainny ayse bohat sy bozurgo ko dekha hain aur nojawano ko b jin ko un k gher walu baher bayj daytain hain aur resaty main unhain dora perta hain aur log byhes tamsha ben k khery dekhty rahty hain humre gher k smany ek bohry baba g atay thay bickits sale kerny un ko doora perha to sari chzeain gher gai aur koi zalel insan pas sy gozer raha tha us nay us ko snabhlny ki baje us ki jaib sy koi tory sy paise he hon g wo nekal k bhag gaya jmain ekd um gai to usy dora per rah tha jeb kahri aba g gaye us ko sanbhla usy jeb kuch dair bad hosh aya to roonay lag gya k us k paise gaib aur sare bikits zameen py gerny ki waja sy toot agye kahir boaht dokh hota hain dunya ki byhisi dakh k
                          ab aur gerdish-e- taqdeer kiya sitaye ge lota ke ishq mai naam o nishaan bethain hei

                          sigpic

                          Comment

                          • #14
                            Re: Maut Ko Faqat Bahana Chahiyey

                            Originally posted by Masood View Post
                            Aap ko aik baat btata hoon...

                            Qasas-ul-Anbiyaa mein likha huwa hai keh jab Nabi Kareem SAW mairaaj per tashreef ley gaey to Aap SAW ney Hazrat Izraeel sey poochha keh ussey kabhi kisi ki jaan nikaltey waqt reham bhi aaya hai? To Hazrat Izraeel jawab detey hain keh "ji Rasool-Allah, 3 insano ki jaan nikaltey waqt reham aaya tha" .... un mein aik woh maa thi jis ney darya mein aik kashti per akeley aik bachey ko janam diya aur phir hukum huwa keh us aurat ki jaan qabz kar li jaey....
                            Originally posted by Masood View Post
                            Ameen. Magar maut ka aik din muayyun hai - sab key liyey :)

                            baht hi bitter reality he likin accept karna parta he ... Allah ki amanat he Allah ko wapis karni parti he or yahi insaan ka sab se bara imtehaan hota he uski Allah se mohabbat ka... ke ap kase sabr se kaam lete hein or apne pyaaro ko Allah ko de de dete hein

                            Comment

                            • #15
                              Re: Maut Ko Faqat Bahana Chahiyey

                              Originally posted by zoniash View Post
                              Wayse ek baat hain masood bhai sicnce ny itne tarqi to ker li hain mger kuch bemaariyon ka aj tak ilaaj nhe nekal paye jayse mergi ka doora us ki sirf medicine he hain mager koi ilaaj nhe hain mainny ayse bohat sy bozurgo ko dekha hain aur nojawano ko b jin ko un k gher walu baher bayj daytain hain aur resaty main unhain dora perta hain aur log byhes tamsha ben k khery dekhty rahty hain humre gher k smany ek bohry baba g atay thay bickits sale kerny un ko doora perha to sari chzeain gher gai aur koi zalel insan pas sy gozer raha tha us nay us ko snabhlny ki baje us ki jaib sy koi tory sy paise he hon g wo nekal k bhag gaya jmain ekd um gai to usy dora per rah tha jeb kahri aba g gaye us ko sanbhla usy jeb kuch dair bad hosh aya to roonay lag gya k us k paise gaib aur sare bikits zameen py gerny ki waja sy toot agye kahir boaht dokh hota hain dunya ki byhisi dakh k

                              ye dunya he ...or dunya itself aik baht bara imtehaan he... tarah tarah ke log paye jate hein idhar .. kuch ache bhee or buray bhee.. likin aise behis logon ko dekh ke dil baht jalta he.. jin ko insano ki qadr hi nahi hoti..dil me mohabbat hi nahi hoti ... insaniyat hi nahi hoti...

                              Comment

                              Working...
                              X