Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

apni life k khufnaak wakiyaat share kerain

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #61
    Re: apni life k khufnaak wakiyaat share kerain

    Originally posted by zoniash View Post
    salam
    dosto AAMIR BHAI KI Behnu aur abi to cool k bhaiyonteddy
    aj hum apni life k khufnak wakiyaat share kerain gy jeb koi aysa lamha koi aya pal ya wakia jeb ap ko der laga ho kiyon ?keb?kayse?aur kis say?:)
    to shoron kerain

    seb sy pehly main batati hon
    yeh teb ki baat hain jeb main 6standard main perti the aur humri pori family summer holidays main ayubia jati the wahan hura gher hain aur bohat big house hain 8 rooms hain .aur saal main ek bar he open hota tha jeb hum jaty thay to yeh baat hain us raat ki jeb bohat tufaan aya howa tha main ami aur abu ek room main hoty thay aur baki seb apne apne room main to howa yeh k jeb tufan aya taiz hawa aur barish shoro ho gai aur light chali gai kuch dair bad humain baher lounch main kisi k chalne ki awazin ayain hum ny baqaida awazain suni k koi aya hain door open howa aur lounch main gaya wapis aya aur chala gaya abu ny bohat awazain di k kon hain pher hum candle ly ker baher aye to koi b nhe tah abu ny sare room check kiya door check kia to wo lock he tha pher seb sy poucha to seb nay kah k hum smjahin k ap hain is liya koi room sy nekla he nhe . aj tak hum souchty hain k wo kon tha kayse aya kayse gya kiyon k sare door locked thay .shuker hain us sy agaly din hum wapis pindi chaly gaye:tasali:

    Walikum Salam

    jo bhi tha yakeenan jin bhoot hi ho ga
    usy khena tha wapis ayo humay shakl dikahyo apni humkay gher may rhaty ho or karaya bhi nahi daity hum kay 2,4 kaam kar do :lpop:

    Wesay app log dubara say nahi gaye phir us gher may

    Comment


    • #62
      Re: apni life k khufnaak wakiyaat share kerain

      Originally posted by munda_sialkoty View Post
      Aabid Bhai ki behan tumhara waqeyaa sun ker mere to roongtay kharay ho gaye 372-haha

      Mere saath jo khoofnaak waqeya life mein pesh aaya, wo mein PG pe 2 baar beyaan ker chuka hoon. Ub short cut mein bataon ga.

      Chand raat ko, mein apnay bedroom pe sonay ke liye leta tha ke kisi ne mere seenay pe apnay haath rakh ke daba diya,aur phir mere baazu paker ker daba diye, mujay bed ke matress ke ander tak wo cheez le gai, 5, 7 min ki jado'jehad ke baad mein azad hua aur phir apnay room se bahir chala gaya. Phir aakhir kaar mujay sona usi room mein para

      APp ka wakiya pher ker Humary bhi rongthy khary hotay hotay rhe gaye
      sacha wakia hi hay na :mm:

      Comment


      • #63
        Re: apni life k khufnaak wakiyaat share kerain

        Originally posted by ummid View Post
        mid Aug.... se end of Aug... or us ke pehle ka pura ek saal ....me ki zindagi ka sub se zyadah painfull period raha hai.... per shuker Allah ka ke guzar gaya... and now am health and fine... :alhamd:

        Allah ka karam hay app ab Bilkul thee thaak hay :)

        Allah app ko hamesha sehat yaab hi rakhy khushio kay saath/ameen:rose

        Comment


        • #64
          Re: apni life k khufnaak wakiyaat share kerain

          Originally posted by Masood View Post
          Main aik waqeya to pehley biyaan kar chuka hoon wohi phir duhrata hoon....

          yeh bachpan ki baat hai keh ham (main, mera taya'zad, hamara aik dost aur muhalley key 2-3 doosrey larkey) ham football khail rahey they. Keh doosrey muhalley ka aik larka aaya aur hamarey saath khailney laga. Garmi theek thaak thi. Khail hi khail mein nobat larraii per aa gaii. Aur ham sab ney mil ker us becharey ki woh durgat bnaii woh durgat bnaii keh woh behosh ho geya. Aisa behosh keh uski jaan key laaley parr gaey. Ghabrahat mein ussey wohin chhorr ker ham log apney apney gharon mein jaa ker chhup gaey aur woh wahan kaii ghantey behosh parra tha. Phir achanak wahan sey woh ghaib ho geya aur khabar phail gaii keh woh mar geya hai aur police ham logon key ghar aaney wali hai. Phir jab tak ham ney ussey apni aankhon sey na dekh liya, hamein itminaan nahin tha.....

          Touba kitnay Zalim hain app MAsood bhai
          aik to mara or dosra us bichary ko wohi chor gaye
          app say bara zalim bhi ho ga koi bhala

          Comment


          • #65
            Re: apni life k khufnaak wakiyaat share kerain

            Originally posted by mano_billi View Post
            jealous nahi hon mere horror waqayat se aaho


            once upon a time mein apni nano ke ghar pe thi ... nano ka ghar baht purana sa he or 3 floors ka he .. to mein or meri cousin dono raat ke 2 baje akele middle portion me beth ke batein kar rahe the ke achanak kisi ke bhagne ki awaz ayee seerhiyon me 372-scare hum ne pehle to mazak me lya ke cousin tang kar raha he /.... phir thori der baad awaz ayee seerhiyon par se... hum dono uthe ja ke dekha seerhiyon ki light off thi uper chat ka darwaza bhee locked tha or seerhiyon par koi nahi tha ....:donno: hum aisa daray ke lights bhee off nahi kee or neeche bhaag gaye sab ke paas ...
            subah uth ke sab ko bataya kisi ne yaqeen hi nahi kiya :zuban:
            likin tab hum baaht zada dar gaye the

            Hum bhi nahi yakeen ker rahy ji bas:yy::yy:

            Comment


            • #66
              Re: apni life k khufnaak wakiyaat share kerain

              Originally posted by Sky angel View Post
              aww kon tha waisay?

              Good ques 372-haha

              Kon tha Mano :tasali:

              Comment


              • #67
                Re: apni life k khufnaak wakiyaat share kerain

                Originally posted by mano_billi View Post
                meri aik friend ka waqaya sacha sacha

                uski chachu ke business partner k sath larayi hogayi or partner ne kaha ke dekho me tumhe ab kase barbaad karta hu... un ki family par aik ke baad aik museebatein ani shuru hogayeen .. wo baht bemar hogaye unka system fail hogaya or death hogayee kuch months baad unki wife ki bhee death hogayi .. phir attic me se do choti kittens mili jin ke payt ke ander dher saray taweez the ... unho ne molvi sahab ko bulaya jadu ka torh karwaya ... ab shukr he Allah ka sab theek he likin 2 itne baray losses to hogaye :(

                Allah IS kaly JAdu say sub ko Hamesha Mhefooz rakhy /ameendua

                Comment


                • #68
                  Re: apni life k khufnaak wakiyaat share kerain

                  Originally posted by zoniash View Post
                  meri jaan loog kisi ko berbad kerny sy pehly apna anjam bhol jaty hain k kud b ek din wo berbad ho jain gay humry gher k samany wali anti kerti the jadu wager un ka aj jo haal hain bohat dokh hota hain insan ka imaan itna kamzor nhe hain k wo kud apne pak rub sy kuch mangy poray imaan k sath aur wo usy na mily aysa ho he nhe sakta han kabi kabi nhe b koi cheez milti mger pata nhe us k badlay allah ny humry liya uar kitne aschi cheezain rakhi hoti hain

                  Bilkul sahi bola app nay chanda

                  Comment


                  • #69
                    Re: apni life k khufnaak wakiyaat share kerain

                    Originally posted by Rabi View Post
                    Hum bhi nahi yakeen ker rahy ji bas:yy::yy:

                    sachi rabi sis aisa hua he humare saath

                    Comment


                    • #70
                      Re: apni life k khufnaak wakiyaat share kerain

                      Originally posted by mano_billi View Post
                      jaise exorcism of emily ross me hua tha wase hua tha kia?
                      aisa tumharay saath bhi ho sakta he
                      :thmbup:

                      Comment


                      • #71
                        Re: apni life k khufnaak wakiyaat share kerain

                        Originally posted by zoniash View Post
                        hain kia such main ya mazak ker rahian hain ap?
                        tumhari kasam, such keh raha hoon
                        :thmbup:

                        Comment


                        • #72
                          Re: apni life k khufnaak wakiyaat share kerain

                          Originally posted by MSA View Post
                          Wsalam...

                          mere sath to kabhi koi khofnak waqiya nahi hoa:(....
                          bus ik dafa me train me akela reh gaya tha:D...5 min k lie...aur to as such koi nahi howa
                          :khi:
                          :thmbup:

                          Comment


                          • #73
                            Re: apni life k khufnaak wakiyaat share kerain

                            Originally posted by saraah View Post
                            waslaam
                            hmm....kuch khas tou nae hua...kuch yaad karti hoon phir batati hoon :)



                            372-scare...yeh konsi chand raat thi 372-scare



                            sirf 5 min k liye ..5 ghantay k liyre tou rerhtay :ANYWORD10
                            yeh chand raat, matlab eid-ul-bakar se pehlay wali raat thi koi 2 saal pehlay :pagal:
                            :thmbup:

                            Comment


                            • #74
                              Re: apni life k khufnaak wakiyaat share kerain

                              Originally posted by Masood View Post
                              Woh us waqt pesh aaya jab tum ney hosh sambhalney key baad pehli baar aainah dekha 372-haha372-haha372-haha372-haha372-haha
                              itna behooda bhi koi hasta he bhala
                              :thmbup:

                              Comment


                              • #75
                                Re: apni life k khufnaak wakiyaat share kerain

                                Originally posted by Masood View Post
                                Main aik waqeya to pehley biyaan kar chuka hoon wohi phir duhrata hoon....

                                yeh bachpan ki baat hai keh ham (main, mera taya'zad, hamara aik dost aur muhalley key 2-3 doosrey larkey) ham football khail rahey they. Keh doosrey muhalley ka aik larka aaya aur hamarey saath khailney laga. Garmi theek thaak thi. Khail hi khail mein nobat larraii per aa gaii. Aur ham sab ney mil ker us becharey ki woh durgat bnaii woh durgat bnaii keh woh behosh ho geya. Aisa behosh keh uski jaan key laaley parr gaey. Ghabrahat mein ussey wohin chhorr ker ham log apney apney gharon mein jaa ker chhup gaey aur woh wahan kaii ghantey behosh parra tha. Phir achanak wahan sey woh ghaib ho geya aur khabar phail gaii keh woh mar geya hai aur police ham logon key ghar aaney wali hai. Phir jab tak ham ney ussey apni aankhon sey na dekh liya, hamein itminaan nahin tha.....
                                yaar tumhein to gooli maar deni chahiye
                                :thmbup:

                                Comment

                                Working...
                                X