Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

~*~Khabar Garm Hai Keh (Part II)~*~

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • ~*~Khabar Garm Hai Keh (Part II)~*~

    Assalamo allaikum...

    Jang Akhbar mein 2 khabrein qabil-e-ghaur hain:

    IMF ki janbi sey 84 crore 80 lakh DOLLAR ki DOOSRI qist Pakistan ko mil gaii!

    Pakistan ko 50 arb DOLLAR ki imaadi madad di jaey - Ameriki ThinkTank ki tajveez

    hmmmmmmmmmm

    Kya badla hai Pakistan mein? Dharra dharr qarzey liyey jao aur aapis mein bant lo, just imagine keh 84 crore 80 lakh DOLLAR - kitni barri raqm hai - kahan jati hain itni barri raqmein???? :mm::mm::mm::mm:

    Kahan gaii QAUM KI RELIEFE?????
    Last edited by Masood; 3 April 2009, 10:37.
    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

  • #2
    Re: ~*~Khabar Garm Hai Keh (Part II)~*~

    agar tum kesi greeb ko us ka hak nehi day sakty to jo us k pass hai wo b cheen lo

    khwaja asif ali zardari begarat

    yeh esi kam k leya bethya hai ka pata he na chalay ka mall kehaan gaya hai...samjay
    sigpic

    Comment

    • #3
      Re: ~*~Khabar Garm Hai Keh (Part II)~*~

      IMF ko bhi pata ha wo kin ke jabain bhar raha ha,

      Comment

      • #4
        Re: ~*~Khabar Garm Hai Keh (Part II)~*~

        Originally posted by nomi sialkoti View Post
        agar tum kesi greeb ko us ka hak nehi day sakty to jo us k pass hai wo b cheen lo

        khwaja asif ali zardari begarat

        yeh esi kam k leya bethya hai ka pata he na chalay ka mall kehaan gaya hai...samjay

        zardari jadogar 372-haha

        Comment

        • #5
          Re: ~*~Khabar Garm Hai Keh (Part II)~*~

          Koi masla nahi bhai hum pakistan main khush hian ..sary pakistani khushi sy reh rahy hain..
          [FONT="Arial Black"]Mr. Khalil How much Fake IDs would you make in Pegham... ?

          See you Real Face in here 372-shed

          Muhammad Khalil's Real Face [/FONT]

          Comment

          • #6
            Re: ~*~Khabar Garm Hai Keh (Part II)~*~

            Originally posted by Insaaan View Post
            Koi masla nahi bhai hum pakistan main khush hian ..sary pakistani khushi sy reh rahy hain..
            Agar yehi baat tum Pakistan mein rehney waley logon sey poochho to 100 mein 70 bandey aisey zaroor hongey jo raat sey pehley Pakistan chhorr ker kisi bahir key mulk jana pasand karein gey - apney aap ko jhootey khawab mat dikhaya karo - yehi woh zulm hai jo ham ney apni qaum per kiya hai.
            tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
            tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

            Comment

            • #7
              Re: ~*~Khabar Garm Hai Keh (Part II)~*~

              Originally posted by Insaaan View Post
              Koi masla nahi bhai hum pakistan main khush hian ..sary pakistani khushi sy reh rahy hain..
              bhaiyya koi bhi yahan khushi se nehi reh raha balke majburi se reh rahe hain log yahan .....

              jin logon ke pass resources hain woh ahista ahista yahan se nikle jaa rahe hain aur jib ghariboo ka bas nehi chalta kisi taraf bhi wohi yahan reh rahe hain

              buhat dukh hota hai apne Pakistan ke yeah halat dekh kar aur kabhi kabhi dil karta hai ke in logon ko jinho ne hamare payar mulak ke yeah halat ke hai aik line mein khara karoon aur golioon se shut kar dooo.

              laiken bhai mein yeah sab kar nehi sakta sirf soch he sakta hoon aur sochne pe kisi ka zor nehi chalta

              Comment

              • #8
                Re: ~*~Khabar Garm Hai Keh (Part II)~*~

                Originally posted by HumRaaz View Post

                Adnan Pakistan bilashuba jannat hai - magar sirf un logon key liyey jinki paas wasaiil hain - aur inki ta'adad bohat kam hai - 70 feesad aabadi qhurbat ki zindagi jii rahi hai - agar unhein aap Dollar ya Euro ki khushboo dein to woh apna eeman tak beechney per aa jatey hain - yeh halaat bohat takleef deh hain. Hamarey haan log apney aap ko dhoka dena bohat achhi tarha jantey hain...
                tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                Comment

                • #9
                  Re: ~*~Khabar Garm Hai Keh (Part II)~*~

                  Originally posted by Masood View Post

                  Bilkul bhai mein ap se ittefaq karoon ga :thmbup:

                  as u know ke 70 fesad abadi ghurbat ki zindagi jee rahe hai .. aur aise log roz roz balke har har pal marte hain .. jab in mein se koi shaam ko khali haath ghar aata hai aur bache khane ko mangein aur aise mein jaib mein aik dheela bhi na ho tu khud sochiye ke bande ka man kia kia chahta hoga ...

                  tu is surat mein bande ke man mein khayal aata hai ke agar mein bunyaadi zaroriat se mehroom hooon, mere bache bhoke so rahe hain tu mein kio dosroon ko araam se rehne dooon

                  is situation mein Choor, Dako janam laite hain aur jo koi zayada extremly feel karte hain wo suicide bomber ban jate hain

                  Comment

                  • #10
                    Re: ~*~Khabar Garm Hai Keh (Part II)~*~

                    salam
                    main aik sacha pakistani hun aur pakistan sy piar karta hun aur main yeh mulik b nahi choar sakta
                    es ke liy qurbani donga her keemat per..
                    yeh watan mera hay aur main ny hee es ko aik acha pakistan banana hay
                    na ke choar raasta talash ker ke yehan sy farar hona hay..
                    jo be hay jaisa b hay mera apna to hay...
                    lakin jo yehan reh ker b es ke gilly kerty hain aur jo choar ker jana chahtay hain beshak jain magar wo future ke aik achy pakistani kehlany ke hakdar nahi hain..
                    Wo kal kay gham-o-aish per kuch Haq nahin rakhta.
                    Jo aaj khud afroze-o-jigar soz nahin hai
                    [FONT="Arial Black"]Mr. Khalil How much Fake IDs would you make in Pegham... ?

                    See you Real Face in here 372-shed

                    Muhammad Khalil's Real Face [/FONT]

                    Comment

                    • #11

                      Ghurbat har jurm ki maan hoti hai. Ghurbat insaan ko apna aap bechney per majboor kar deti hai... magar yeh ghurbat hai jo hamesha sarmaya'daro key samney tigni ka naach nichati hai - yehi naach hamari awwam hamesha sey nachti rahi hai aur ab bhi naach rahi hai - koi tabdeeli nahin aaii halaat mein aur na aisey halaat mein aaey gi...
                      tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                      tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                      Comment

                      • #12
                        Re: ~*~Khabar Garm Hai Keh (Part II)~*~

                        Originally posted by Masood View Post
                        Adnan Pakistan bilashuba jannat hai - magar sirf un logon key liyey jinki paas wasaiil hain - aur inki ta'adad bohat kam hai - 70 feesad aabadi qhurbat ki zindagi jii rahi hai - agar unhein aap Dollar ya Euro ki khushboo dein to woh apna eeman tak beechney per aa jatey hain - yeh halaat bohat takleef deh hain. Hamarey haan log apney aap ko dhoka dena bohat achhi tarha jantey hain...
                        asal baat yeh hay k hum loag buhat hee na shukery hain...

                        aap ko wo fikra to yad hoga..

                        maangi hui janat sy dozakh ka azab acha..
                        [FONT="Arial Black"]Mr. Khalil How much Fake IDs would you make in Pegham... ?

                        See you Real Face in here 372-shed

                        Muhammad Khalil's Real Face [/FONT]

                        Comment

                        • #13
                          Re: ~*~Khabar Garm Hai Keh (Part II)~*~

                          Originally posted by Masood View Post
                          Ghurbat har jurm ki maan hoti hai. Ghurbat insaan ko apna aap bechney per majboor kar deti hai... magar yeh ghurbat hai jo hamesha sarmaya'daro key samney tigni ka naach nichati hai - yehi naach hamari awwam hamesha sey nachti rahi hai aur ab bhi naach rahi hai - koi tabdeeli nahin aaii halaat mein aur na aisey halaat mein aaey gi...
                          wo loag gurbat sy apny bachy nahi marte balky beghairti sy marty hain
                          kiun k wo apny razak ko nahi pahchante,,..jabke rizq ka wahda ALLAH ny kia hay

                          aur Iqbal farmate hain ke

                          Jo apne razzak ko na pehchane wo muhtaj e malook..
                          [FONT="Arial Black"]Mr. Khalil How much Fake IDs would you make in Pegham... ?

                          See you Real Face in here 372-shed

                          Muhammad Khalil's Real Face [/FONT]

                          Comment

                          • #14
                            Re: ~*~Khabar Garm Hai Keh (Part II)~*~

                            Originally posted by nomi sialkoti View Post
                            agar tum kesi greeb ko us ka hak nehi day sakty to jo us k pass hai wo b cheen lo

                            khwaja asif ali zardari begarat

                            yeh esi kam k leya bethya hai ka pata he na chalay ka mall kehaan gaya hai...samjay
                            :em:
                            [FONT="Arial Black"]Mr. Khalil How much Fake IDs would you make in Pegham... ?

                            See you Real Face in here 372-shed

                            Muhammad Khalil's Real Face [/FONT]

                            Comment

                            • #15
                              Re: ~*~Khabar Garm Hai Keh (Part II)~*~

                              Originally posted by Insaaan View Post
                              salam
                              main aik sacha pakistani hun aur pakistan sy piar karta hun aur main yeh mulik b nahi choar sakta
                              es ke liy qurbani donga her keemat per..
                              yeh watan mera hay aur main ny hee es ko aik acha pakistan banana hay
                              na ke choar raasta talash ker ke yehan sy farar hona hay..
                              jo be hay jaisa b hay mera apna to hay...
                              lakin jo yehan reh ker b es ke gilly kerty hain aur jo choar ker jana chahtay hain beshak jain magar wo future ke aik achy pakistani kehlany ke hakdar nahi hain..
                              Originally posted by Insaaan View Post
                              Wo kal kay gham-o-aish per kuch Haq nahin rakhta.
                              Jo aaj khud afroze-o-jigar soz nahin hai

                              Bhai mein apke jazbaat ke qadar karta hoon MashaAllah aur Pakistan ko ap jaise nujwanoo ke zarurat hai

                              aur mein aik baat clear karna chahta hoon ke mein Pakistan ka dushman nehi hoon (Nauz Billah) aur na he mein Pakistan ka bura chata hooon .

                              Balke mein Pakistan se apni jaan se bhi zayada mohabbat karta hoon.

                              is baat ka waziah saboot yeah hai ke mein tamam resources ke hote hoye bhi Pakistan se nehi gaya aur yahan aik Govt. Department mein job kar raha hoon

                              Comment

                              Working...
                              X