Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Humare Parents

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #16
    Re: Humare Parents

    Originally posted by *Kashish* View Post
    Salam friends :rose

    Humare maa baap humare liye iss dunia me sab se pyare wajood hian. Allah miya ki saab se baari nemat hain.

    Her insaan ke liye uskai waaldin uskai IDEAL hote hain:salam:

    humare waaldin... me koi na koi aisy khoobi hoti he...jo humai bohat pyari lagti hai... jo unki poori zindagi me Nazar ati he...

    aur ussi khoobi ko hum bhi apnaana chahte hain...

    mujhe apne barou ki Khoobiya jaanna bohat acha lagta he, aur meri koshish hoti he... ke mere ander bhi yeh Khoobi ajaay.

    Aaap sab se request he ke aap apne Parents ki yaa apne baarou ki koi aisi Khoobi yaha share kerain... jisko hum bhi apnaa sakain. :rose
    parents ki zaida khoobiyan to mujh main nahi ai hain :lol lekan achi baat yeh kay mere ammi ghardari main expert hain Mashallah say .cooking, saffaiyan or cheezoun ki deekh bhaal buhat achi karti hain ..wo thori si cheez main bhi cheezoun ko manage karna janti hian ...or abbu buhat chotay they kay kaam karna shuru kia tha dadi or aabu nay kafi mehnat ki hai apni zindagi main ...ham to soonay ka chamcha moun main lay kay peda hovey hain :D: un ki life ko deekha jaye to kafi sakhtayan bardashat kar kay zindagi main agay barhaye or apni life ko settle kia :rose
    اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
    اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

    Comment

    • #17
      Re: Humare Parents

      Originally posted by munda_sialkoty View Post
      Wa Alaikum Aslam,

      Topic acha he. Parents buchon ke ideal he hotay hein, lekin mere parents in true sense mere ideal hein. Us ki kuch wajoohat hein. Awal meri mom hamari maternal family mein sub se ziada perhi likhi thein, jub ke mere dad meri paternal family mein sub se ziada perhay likhay thay, mere mom dad ki competibility bohat achi thi, is liye wo sub relatives mein aik ideal jori bani. But fate didn't allow my dad to live long and he met his Lord when he was only 42 years old.

      Mere dad ki death 1997 mein hui, mein ne apni life mein apni mom aur dad mein koi larai nahi dekhi.

      Meri maan aik bohat he zumadaar maa he, Allah unhein lambi zindagi day. Unhoon ne hamari taleem'o'tarbiyat mein koi kasar nahi choori.

      Phir bhi male honay ke naatay mein apnay dad se ziada inspire hoon. Mere dad aik self-made person thay. 6th class se paiting start ki, sign boards banaye, cinema posters paint kiye, rickshaw chalaya, derzi banay, home tuitions perhaein, apni study continue ki. Passport office mein kaam kia, private jobs kein and during this period he thorougly updated himself in his studies. even wo House Building Finance ki Sialkot Branch ke Manager banay. Then he settled in England and did more progress in business. Story is long. In short my dad was a genius man. Unhoon ne apni thoori si zindagi mein bohat naam kamaya. Mein unhein follow kerne ki bohat kooshish kerta hoon
      :salam:
      ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا

      Comment

      • #18

        Originally posted by ummid View Post
        what I like most about my parent is ke they like and accept me the way I am.... :rose..... humari her ghaltiyon ko maof karna, her acche bure waqt mein humare saath khare rehna, woh hume yeh ehsaas dilate hain ke what I mean to them and to the world... I really love ma family.... :hug:
        Originally posted by Maharani View Post
        parents ki zaida khoobiyan to mujh main nahi ai hain :lol lekan achi baat yeh kay mere ammi ghardari main expert hain Mashallah say .cooking, saffaiyan or cheezoun ki deekh bhaal buhat achi karti hain ..wo thori si cheez main bhi cheezoun ko manage karna janti hian ...or abbu buhat chotay they kay kaam karna shuru kia tha dadi or aabu nay kafi mehnat ki hai apni zindagi main ...ham to soonay ka chamcha moun main lay kay peda hovey hain :D: un ki life ko deekha jaye to kafi sakhtayan bardashat kar kay zindagi main agay barhaye or apni life ko settle kia :rose

        mashallah aap tino ki batain padh ker bohat acha laga... :rose Allah tallah aapko apne parents ki ankhou ki thandak banaye :D: aur ap unki khoobiya lain. :rose

        Comment

        Working...
        X