Re: ghost
Har us baat par yaqeen rakhti hun jis ka tazkira Qurane-Majeed main kiya gaya hay...Jinnat bhi Makhlooq-e-Khuda hain main munkir nahi,,Jinnato'n main bhi achay aur buron ka tazkira milta hay..bhoot aur churel wujood nahi rakhtay na hi un par yaqeen rakhti hun...bouhat si baton nay is liye bhi janam liya hay k kam ilmi bouhat hay aur koi koshish bhi nahi ki jaati k agar kisi baat k mutaliq koi shak hay to us ki tehqeeq bhi mumkin hay k nahi? ya khua makha us baat ka batangar bana kar baaqi zindagi wehmon main guzari jaey? Rehman ji ki colegue ko chahiye k ilm main izafa karain un ko khud hi pata chal jaey ga k haqeeqat kiya hay? jab tak woh khud pata nahi chalaein gi yeh wehem un ka peecha karta rahay ga aur yeh misaal to ham nay suni hi hay k WEHAM KA ILAAJ TO HAKEEM LUQMAN KAY PASS BHI NAHI THA...
Originally posted by Aanchal
Comment