Announcement
Collapse
No announcement yet.
Unconfigured Ad Widget
Collapse
Roothaa Hai Tou Mnaa Lain Ge
Collapse
X
-
-
Re: Roothaa Hai Tou Mnaa Lain Ge
Originally posted by saraah View PostASSLAMOALIKUM
k baad arz hai k.......aap sab theek tou nahi....:)...well...aap k liye ek swaal nama le kr hazir hui hun.......
- jb aap kisi se roothtay han.......tou aapko kesay manaya jata hai?
- jb koi aap se roothta hai....tou aap kesay manatay han?
- yaa kesay manana chahiye......tips bataien
- jb aap khud se roothtay han......tou khud ko kesay manatay han?
question #3 is complsury:)
Ji mein theek nahi bohat theek hoon
Let me respond to your questions now.
1.Mein Roothnay se ziada larnay ko prefer kerta hoon. I want to make everything clear, ager ghalti aglay ki he to mein usay realize kerwanay ki kooshish kerta hon aur ager wo na manay to phir larta hoon. Lekin jo loog bohat narm'o'nazuk tabiyat ke maalak hotay hein, jin pe larai ka bhi reaction ho jata he to un se roothna he bhala...kuch der baad mein automatically roothnay wali state se bahir aa jata hoon. In the meantime ager koi mana le to well and good. Lekin mein ne chand aik loog jinhon ne meri self esteem pe attack kia wo hameesha hameesha ke liye chor diye. Mein kisi ko chooti mooti aur even bari baat se nahi choorta, jub koi bohat he solid reason ho to choorta hoon aur phir usay palat ke nahi dekhta.
2.Mere liye manana koi mushkil kaam nahi. I am always confident ke mein aglay ko ba'aasani mana loon ga. Mera ghusa shadeed hota he, is liye loog rooth bhi jatay hein, but I am significantly quick in getting them back. Mere doost naraz ho jatay hein, jub mera dil kerta he to un ke ghar ja ke unhein tanzein ker ker ke mana leta hoon 372-haha Mein ne apnay best friend jo muj se milnay aaya, mera jagra ho gaya aur mein ne kaha dafa ho jaoo, wo chala gaya, aur kah ker gaya ke ub ainda nahi aaye ga, mein ne kaha dafa ho jaoo aur ainda apna chehra bhi na dikhana. Mera ghusa thanda hua aur phir thori der baad mein us ke ghar per tha, door knock kia wohi aaya. Bari aaien baein shaein kerta raha aur kehta raha ke chalay jaoo. Mein usay yehi kehta raha chal dafa ho, teri gali he jo mujay nikaal raha he :khi:kuch der baad hum phir dooston mein thay.
Isi tarah mere doost se meri narazgi hui. Koi 1 month hum nahi boolay na phone pe rabta kia. Mein ne jaan bhooj ker usay itni der aisay rakha. Wo bhi bohat naraz tha. Phir aik din mein us ke ghar gaya, us ki ammi kehti hein ke wo ouper soya hua he, mein ouper gaya usay ja ke jagaya aur kaha Nasha ker ke soota he kia :khi:Mujay lahore jana tha kisi kaam se, aur usay 10 min mein teyaar kerwaya aur saath le gaya.
Mein khud se nahi rooth'ta. Koi ghalti ho to mein us ka azala kisi na kisi tareekay se ker leta hoon:thmbup:
Comment
-
Re: Roothaa Hai Tou Mnaa Lain Ge
Originally posted by munda_sialkoty View PostTum yeh apnay paas rakho aur sawalon ke jawaab do :na:
or ankhian , naak , kaan, dil , deemagh , jigra, pheppray sab khool kay deekhoo kay main nay jawab day dia hai :hathora
Comment
-
Re: Roothaa Hai Tou Mnaa Lain Ge
Originally posted by Aanchal View PostOriginally Posted by saraah
ASSLAMOALIKUM
- jb aap kisi se roothtay han.......tou aapko kesay manaya jata hai?
main buhat jaldi maan jati houn agar koi galati karnay wala ghalati accept kar lay or pher na duhraye ... - jb koi aap se roothta hai....tou aap kesay manatay han?
main buhat kam manati houn wo bhi tab jab mujhay lagta hai kay dosray banday ko mere taraf say ghalatfehmi hoo gai ..main apni taraf say baat clear kar dtiti houn ..or dosra samjhay na samjhay us ka masla ..main nay care karti pher- yaa kesay manana chahiye......tips bataien[/color]
hmm kesay manana chaye ...:mm:
- jb aap khud se roothtay han......tou khud ko kesay manatay han?
jis baat pay rohti houn usay theek kar kay :D
question #3 is complsury:):thmbup:
Comment
- jb aap kisi se roothtay han.......tou aapko kesay manaya jata hai?
-
Re: Roothaa Hai Tou Mnaa Lain Ge
Originally posted by munda_sialkoty View Post2.Mere liye manana koi mushkil kaam nahi. I am always confident ke mein aglay ko ba'aasani mana loon ga. Mera ghusa shadeed hota he, is liye loog rooth bhi jatay hein, but I am significantly quick in getting them back. Mere doost naraz ho jatay hein, jub mera dil kerta he to un ke ghar ja ke unhein tanzein ker ker ke mana leta hoon 372-haha Mein ne apnay best friend jo muj se milnay aaya, mera jagra ho gaya aur mein ne kaha dafa ho jaoo, wo chala gaya, aur kah ker gaya ke ub ainda nahi aaye ga, mein ne kaha dafa ho jaoo aur ainda apna chehra bhi na dikhana. Mera ghusa thanda hua aur phir thori der baad mein us ke ghar per tha, door knock kia wohi aaya. Bari aaien baein shaein kerta raha aur kehta raha ke chalay jaoo. Mein usay yehi kehta raha chal dafa ho, teri gali he jo mujay nikaal raha he :khi:kuch der baad hum phir dooston mein thay.
or zabardasti koi manaye to baat to dil main reh jaye gee na .
Comment
-
Re: Roothaa Hai Tou Mnaa Lain Ge
Originally posted by munda_sialkoty View PostBohat buri baat...itni aker Allah ko pasand nahi hoti. Ager aap se munsalik loog aur un ke jazbaat waqee aap loogon ke liye maani rakhtay hein then be open hearted aur khul ke manao. Aap loogon ki Ego aap ke chahnay walon se ziada keemti nahi he :na:
munsalik logoo ko khud bhi khayal rekhna chaye hamray jazbaat ka ..ham kio humesha dosroo kay jazbaat ka khayal rekhtay rehian ....
bas aisi houn main
Comment
-
Re: Roothaa Hai Tou Mnaa Lain Ge
Originally posted by Aanchal View Postaap isay sahi samjhtay hain kay kisi ki bisti kar kay pher usay manana :mm:
or zabardasti koi manaye to baat to dil main reh jaye gee na .
Bisti is liye ki ke wo deserve kerta tha, aur mein ziada der tak diplomacy se kaam nahi le sakta, mujay jo sahi lagta he wo keh deta hoon :yy:Aakhir baad mein manana bhi to mein ne he hota he :lpop:
Meri ammi aik do baar naraz huein us baat per jis ka mujay pata bhi nahi tha, phir mein un ke galay laga aur kaha tab choron ga jub mujay moaafi dein gi, phir mein kitchen mein he un ke paoon per gaya aur kaha ke mein paoon nahi chooron ga jub tak mujay moafi nahi milay gi 372-hahaunhein khush ker ke phir unhein gift kia.
Aur jub mein koi baat dil mein nahi rakhta aur saaf suthra ho ke chal perta hoon to kisi aur ki kia jurat jo baat dil mein rakhay :na::thmbup:
Comment
-
Re: Roothaa Hai Tou Mnaa Lain Ge
Originally posted by Aanchal View Postmain har baar banday ki aik hi ghalati bardasht nahi kar sakti ...:na:
munsalik logoo ko khud bhi khayal rekhna chaye hamray jazbaat ka ..ham kio humesha dosroo kay jazbaat ka khayal rekhtay rehian ....
bas aisi houn main
Dekho, mera khyaal he ke aap apnay dooston ko, rishtay daaron ko mananay ke fun se na'aashna hein, to aap doosti aur rishtay'daari in true sense deserve he nahi kerte.
Aur simple roothna koi baat nahi, roothtay huay apnay dooston aur rishtay daaron ki koi haddi passli toor ke rootho, ta ke unhein bhi pata chalay ke tum rooth gai ho :kr::kr::thmbup:
Comment
Comment