Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

aik sawal

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #16
    Re: aik sawal

    Originally posted by sarah gemini View Post
    jee jee issi liye tou ap ne pushto seekh li........
    ap muje na batana,muje pta hai ap ne seekhi hi nae:D:
    Aap ne to me ko Laa'jawaab ker diya 372-shock
    :thmbup:

    Comment


    • #17
      Re: aik sawal

      Walaikum Assalam
      mein ne suna he jitna pp us zaban ko apni conversation me use kurein gi utni he perfection aati jay gi...

      jaise NAEMM BUKHAri use kurta he....

      mujhay to sirf urdu aati he ..baki tooti poti english aur thori buhat punjabi ...lekin ounjabi ka assent aata he throa sa kyun k mien ne buhat suna he punjabi bolte huwe...aur me k buhat se dost yar bhi he to mein un se apni lungri punjabi bolta rehta ho...

      pushto to buhat mushkil he...mien ne koshish ki thi lekin Allah MA'af kure..itna to qari sahab halak ka istemal nahi kurwate jitna zaban ka istemal pushto me hota he...

      lekin he buri achi zaban..buhat maza ata he...
      mein seekho ga inshaAllah sari zabanien ..... multi-linguistic honae mein buhat maza he...372-haha

      Comment


      • #18
        Re: aik sawal

        :hathora bata kia janta hai to zubainon key barey main????


        Faaz....:rose

        Comment


        • #19
          Re: aik sawal

          Originally posted by munda_sialkoty View Post
          Senorita, tumhari zuban mein kahin Luknat to nahi :D:
          bilkul nahi...koi luknat nahi he

          Comment


          • #20
            Re: aik sawal

            Originally posted by senorita View Post
            bilkul nahi...koi luknat nahi he
            Phir moun khool ke dikhaoo :khi:
            :thmbup:

            Comment


            • #21
              Re: aik sawal

              Originally posted by Aanchal View Post
              us zaban main cartoons deekhoo :D
              jo loog woh zaban achi bool leytay hian un say baat cheet karoo :mm:
              tum ney urdu zaban cartoon deykhey heiN? nahi na deykhey hon gey...deykhna kisi din..... :P
              arabic key liye ye kaam ho sakta hai .... I'll search on youtube :d

              Originally posted by Eshaa Chaudhry View Post
              cartooNs :kr:
              jessay hum French cartoons dekhtay hai'N 372-shock


              @ Topic
              I think k aap zyada zyada conversation karei'N us language mein , aur books readinG karein us language mein :mm:
              lol esha .... good going...tum internet pey aeysi bohot sari french learning sites for kids sey seekh sakti ho :-) plus Quebec ki french ...french french :D sey kafi mukhtalif hai ....tau tum kaun si french seekhna chahti ho??
              Originally posted by Gul View Post
              I think Language like Arabic ya ....Persian , ya English hee ley leiN ...

              Aap Ko newspaper parhna cahiayya ..oss zubaan ka ...

              And U must have dictionary of that language ....Mushkil alfaz Note karnay
              k liaya aik Note book aur aik PEN...

              Jo B mushkil alfaz hoN onn Ko note book mein Likhein matlab deykhein
              And Oss ko din mein aik baar zaroor parheiN ...!

              and Koshish kareiN ziyada se ziyada bolnay ki ...
              issi tarah se learn kar saktay hein ...

              and secondly Showz deykhein ..oss language k .....!

              Communicate karein LogoN se ...

              and
              Hai JAzbaa JanooN tu Himmat na haar ..............Waali saoch rakhein :D:

              Tu Koi mushkil mushkil nahi ..! :insha:
              thank you Gul :-)
              Originally posted by munda_sialkoty View Post
              Wa Alaikum Aslam!

              Jo zuban pehlay se he bolni aati he wo ya to hamari koomi zubani hoti he ya maadri zuban, us zubaan ka literature perhiye, akhbaar, kutab, rasail perhiye, us zuban mein loogon se communicate keejiye to aap ko wo zubaan aap ko aa jaye gi.

              Mujay abi tak yaad he ke jub mein choota tha tub mujay pushto nahi aati thi, lekin joon joon waqat guzarta gaya, mein mature hota gya, bara hota gaya, umangoon ne joosh maara, dil mein hulchal hui, aur aaj yeh waqt he ke mujay aaj bhi pushto bilkul bhi nahi aati, kyoon ke mein ne seekhi he nai :D: maja aaya na
              Originally posted by sarah gemini View Post
              jee xenya.....oopar sb members ne jo kaha bilkul theek....ap sb k mashwron ka essence nikal lijiye............aur uss pe aml kijiye..........yani.reading.writing.listining n comunicating etc etc......bs mr.aamir ki trah ummangon ko josh mat dilana....tou sb theek rahay ga inshALLAH:)
              Right
              Originally posted by senorita View Post
              sab ne jo kaha bilkul theek kaha :thmbup:in baton par amal kar k xenya u har language seekh sakti ho:thmbup:
              wese me ne pashto seekhne ki bohat koshish ki lekin nahi aei bohat mushkil language he:embarasseme ne to likh likh kar try kia kuch kuch lafz agaey par rawani se bolna behad mushkil:embarasse
              Pashto kyun seekhney ki koshish ki? for your own pleasure?
              Originally posted by SherAli View Post
              dekhiye zaban aap kitni bhi achhi seekh leN magar jab tak ahle zaban ke saath guftugu nai karengi mushkil se baat vo aa payegi jiski taraf ap ne ishara kiya hai. men india men jab tha to men kabhi school nai gaya tha. pahli bar grade 10 men school ka munh dekha. gaaon men rahta tha magar angrezi seekhta tha abba se. jab university men aya to sari education meri english medium se hui. men apne sabhi rishtedaron ko khat angrezi men hii likhta tha. jab canada aya to mujeh laga k jaise mujhe angrezi ati hi nai. mujhe yaahn ka accent yahan ki tarze guftugu nai nai lagi. british aur american english emn bahot farq nazar aya. kahte hen k agar 10 sal kii age ho jaye to banda naya accent nahin seekh sakta. yeh challenge ban gaya mere liye. men ne baRi koshish ki aur observe karta tha k yahan ke log kese bolte hen. meri lagan or mehnat rang lai. 2-3 saal ke andar men ne apna accent indian se american kar liya aur american style emn bolne laga. ab agar men kisi ko bataun k maiN india se 10 saal pahle aayaa thaa to kisi ko yaqin nahin hota. vo kahte hen k u do not sound like an indian.

              to kahne ka matlab hai k himmate mardan madade Khuda. lagan aur himmat se sab kuchh seekhaa jaa saktaa hai :) men buddhu jab seekh gaya to koi bhi seekh sakta hai :)

              good luck :)
              Right!
              Waisey .. I love accents....IN key baghair dunya kafi pheki pheki si ho jati :D
              Originally posted by MSA View Post
              Walaikum Assalam
              mein ne suna he jitna pp us zaban ko apni conversation me use kurein gi utni he perfection aati jay gi...

              jaise NAEMM BUKHAri use kurta he....

              mujhay to sirf urdu aati he ..baki tooti poti english aur thori buhat punjabi ...lekin ounjabi ka assent aata he throa sa kyun k mien ne buhat suna he punjabi bolte huwe...aur me k buhat se dost yar bhi he to mein un se apni lungri punjabi bolta rehta ho...

              pushto to buhat mushkil he...mien ne koshish ki thi lekin Allah MA'af kure..itna to qari sahab halak ka istemal nahi kurwate jitna zaban ka istemal pushto me hota he...

              lekin he buri achi zaban..buhat maza ata he...
              mein seekho ga inshaAllah sari zabanien ..... multi-linguistic honae mein buhat maza he...372-haha
              theek theek :d
              another pashto learner :P.... Mera khayal hai arabi zaban mey sab sey ziada awazeiN halq sey nikalti haiN :P
              " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

              Comment


              • #22
                Re: aik sawal

                and once again !
                thank you all....:rose
                " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                Comment


                • #23
                  Re: aik sawal

                  Originally posted by Xenya View Post
                  Right!
                  Waisey .. I love accents....IN key baghair dunya kafi pheki pheki si ho jati

                  sorry, samjha nahiiN...Accent ka NA honaa yaa accent ka honaa achhaa lagtaa hai aapko?
                  :mm:

                  Fall view from inside my car
                  near my work place :)

                  Comment


                  • #24
                    Re: aik sawal

                    Originally posted by SherAli View Post

                    sorry, samjha nahiiN...Accent ka NA honaa yaa accent ka honaa achhaa lagtaa hai aapko?
                    :mm:
                    Accents ka hona... :d
                    " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                    Comment


                    • #25
                      Re: aik sawal

                      Originally posted by Xenya View Post
                      theek theek :d
                      another pashto learner :P.... Mera khayal hai arabi zaban mey sab sey ziada awazeiN halq sey nikalti haiN :P
                      ok:salam:

                      Comment


                      • #26
                        Re: aik sawal

                        walaikum assalam
                        bohat acha sawal hai apka...:thmbup:
                        zaban per aboor hasil karna zaroori nahi hai...apke sath strong communication skills hone chahiye thake ap apne massege ko fruitefull way main deliver kar sakain....aor apko aik acha feed back hasil ho sake....
                        kissi bhi zaban ko behtar se behtar banane ke liye apke paass strong communication skills zaroor hone chahiye...aor ye communication skill apke pass kaise ayengi? wo aise ke ap apne opposite banday ki massege ko sahi tarha se sunain, usski hedayaat ko follow karain aor ussi direction main wo kam sar anjaam de dain jo uss ne orders kiye hon phir dekhain ap ke paas strong communication skills kaise nahi ayenge.372-shed
                        Last edited by ASK Afridi; 19 September 2008, 16:27.

                        Comment


                        • #27
                          Re: aik sawal

                          Originally posted by munda_sialkoty View Post
                          Aik aurat himat'e'merdan kese ker sakti he :D:

                          tumhari advise tumharay experience pe base kerti he, is liye bohat achi he :thmbup:

                          ok to...
                          himmate aurtaaN madad e Khuda...how's that pal?

                          Fall view from inside my car
                          near my work place :)

                          Comment


                          • #28
                            Re: aik sawal

                            Originally posted by Xenya View Post
                            Accents ka hona... :d

                            accent ka hona frustrating hota hai ku k mera experience he k log agar nahin samajhte aapko to baar baar pardon me kahenge to aapko bahot bura lagega. masalan ek lafz hai Schedule ise 5-6 tareeqoN se kaha jaataa hai. yahaN bolte haiN iskai-ju-al ab agar ham isko bristish andaz men ya indian/Paki style men shayDOOL kahenge to yahan koi nai samjehga. vo kahte haiN na k live like romans live in rome magar mera kahna hai k speak like romans speak in rome hahaha. so accent is frustrating :)

                            Fall view from inside my car
                            near my work place :)

                            Comment


                            • #29
                              Re: aik sawal

                              Originally posted by SherAli View Post

                              ok to...
                              himmate aurtaaN madad e Khuda...how's that pal?
                              Hmmm auraton per jama nahi :hehe:
                              :thmbup:

                              Comment


                              • #30
                                Re: aik sawal

                                Originally posted by munda_sialkoty View Post
                                Phir moun khool ke dikhaoo :khi:
                                372-shock

                                Comment

                                Working...
                                X