Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Aap Ki Dairy Ka Ek Warq...

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: Aap Ki Dairy Ka Ek Warq...

    Originally posted by munda_sialkoty View Post
    Hum aap ki tehreeron ke kadar'daan hein aur aap hamari yeh kadar kerti hein 372-shock
    LAI BE_QADRA NAL YAARI TE TOOT GAI TAAAAAAAAAAAARAAAAAAAAAK KUR K.......372-haha372-haha
    Last edited by MeemSheenAlif; 17 September 2008, 18:10.

    Comment


    • Re: Aap Ki Dairy Ka Ek Warq...

      Originally posted by munda_sialkoty View Post
      Hum aap ki tehreeron ke kadar'daan hein aur aap hamari yeh kadar kerti hein 372-shock
      acha g merbaani:lpop:

      Originally posted by MSA View Post
      LAI BE_QADRA NAL YAARI TE TOOT GAI TAAAAAAAAAAAARAAAAAAAAAK KUR K.......372-haha372-haha
      kis taran?:hehe:
      Gham To Likha So Likha Taqdeer ny Meri Zindagi Main

      Ye Raton Ko Der Tk Neend Na Ana Kis Gunaah Ki Saza Hai

      Comment


      • Re: Aap Ki Dairy Ka Ek Warq...

        Originally posted by lucky View Post
        acha g merbaani:lpop:



        kis taran?:hehe:
        is mein hans-nae wali kia bat he...372-scare372-scare

        Comment


        • Re: Aap Ki Dairy Ka Ek Warq...

          Originally posted by MSA View Post
          LAI BE_QADRA NAL YAARI TE TOOT GAI TAAAAAAAAAAAARAAAAAAAAAK KUR K.......372-haha372-haha
          Originally posted by lucky View Post
          acha g merbaani:lpop:



          kis taran?:hehe:
          sun lia lucky
          :thmbup:

          Comment


          • Re: Aap Ki Dairy Ka Ek Warq...

            5th from my diary

            شاہ حسین جیہناں سچ پچھاتا' کامل عِشق تیہناں دا جاتا

            Comment


            • Re: Aap Ki Dairy Ka Ek Warq...

              Originally posted by sarah gemini View Post
              5th from my diary
              bohat aala :thmbup:
              :thmbup:

              Comment


              • Re: Aap Ki Dairy Ka Ek Warq...

                Originally posted by Eshaa Chaudhry View Post
                Something from my diary taqreeban 5 saal pehlay likha tha



                Mohabbat bhi ajeeb sawaang bharti hai , dil k aangan mein paraao ki soorat kisi shaam uterty hai aur phir lakri k alaao ki terha dil ki zameen ko dehkaey rakhty hai............. Ye dehkan kabhi aisee bhi hoti hay k jis mein tamam khwaab hee jhulas jaaen , tamam khwahishein hee bikher jaen , tamam khushyan hee chinn jaen ...............................
                Kabhi ye khushyan bikherty hueey mann aangan ko aabaad kerti hai is terha se k her rang is ki khushi k rang se munawwar hota hai ,her gharee her pal is k dam se aabad hota hai , her saans k saath apnay honay ka ik jaandar ehsas dilatee huey Mohabbat, Her ik dharkan ko naey tarz naey lay per lay jatee huey Mohabbat, Kabhi aankh ka noor ban k zaat k aks mein rang bharty hueey Mohabbat .................. to kabhi bas dukh hee daan khieey jaati hai, kabhi kam maaeegi ka dukh to kabhi zindagi ka dukh , kabhi is k honay ka dukh to kabhi intezaar ka dukh .........

                Jinn mein ghir k her lamha bitanay per majboor hota hai insaan apni hee pehchan ko khud mein talashta hai her roz ik naeey tarz se chehray per hansi sajaey dil k dukhon ko sambhaalta huaa insaan...Jaanay q kaheen ye mohabbat dieey jaanay ka wasf nahin jaanti aur sirf khiraaj wasool karty hai, Aisa hee q hota hay k ek shakhs apnay pass maujood her cheez mohabbat k naam per daan kieey jaaey Apna Dil, Apna wajood, Apnay Aasab , Apni soch , Zindagi ka her lamha , Her yaad Aur apni her baat is Mohabbat k naam kar de aur phir bhi kuch na paa sakay ....Bas geeli lakri ki terha sulagta hee reh jaey dukhon ko saathi banaey......


                Baqol shayar:


                Hamein khabar hay tamam dukh hay
                Ye aas dukh hai, niraas dukh hay
                Udaasiyon ka libaas dukh hay
                Ye tashnagi jo azab ban ker theher gaeey hay
                Badan k boseeda saahilon per
                To is ka ehd-e-dawam dukh hay
                Ye shor karti hawa ka sara khiraam dukh hay

                Hamein khabar hay tamam dukh hay
                Ye tum mohabbat nibaaahatay ho
                To is mohabbat ka naam dukh hay
                Ye wasl mausam jo ik musalsal mughalta hay
                To is rafaqat ka naam dukh hay
                Aur isee wehshat numa fiza mein
                Khamosh rehna bhi ik saza hay
                Magar kisi se kalam dukh hai
                Hamein khabar hay tamam dukh hai




                Esha thats lovly......alfaz ka chunao b aap ne shayrana kiya hai....."baqol shayer"........though sad bt realistic........i appriciate u janoo..........waiting 4 ur sharings.......lov:rose
                شاہ حسین جیہناں سچ پچھاتا' کامل عِشق تیہناں دا جاتا

                Comment


                • Re: Aap Ki Dairy Ka Ek Warq...

                  Originally posted by lucky View Post
                  lo g first entry:D

                  waisy to kaafi arsa hooaa kuch nahi likha lakin jo b likha us main say kuch share krti hoon:)


                  aik pathar say dil laga bethy
                  jaany kion khud ko azma bethy
                  kitni hi nafraton k zakham mily
                  or hum hai k muskura bethy

                  in chitaanon k beech kion hum
                  kaanch ka ik nagar bna bethy
                  qurbaton main to kuch na haath aaya
                  hijr k faasly barha bethy

                  karm in ka na ho saka hum pr
                  daagh dil k saabhi dikha bethy
                  gher ki aag kia bujhti lucky
                  apni hi ungliaan jala bethy
                  lucky yar widot any exeggration........khoob likhaa hai aap ne....iss me jo aap ne tazaad bayan kiya hai hum ko bhaa gya....:)
                  شاہ حسین جیہناں سچ پچھاتا' کامل عِشق تیہناں دا جاتا

                  Comment


                  • Re: Aap Ki Dairy Ka Ek Warq...

                    Originally posted by sarah gemini View Post

                    5th from my diary


                    :thmbup::thmbup::thmbup:
                    kia aisa kurne se waqai sehat achi ho jati he???

                    Comment


                    • Re: Aap Ki Dairy Ka Ek Warq...

                      Originally posted by MSA View Post
                      :thmbup::thmbup::thmbup:
                      kia aisa kurne se waqai sehat achi ho jati he???
                      ji bilkul ..azmaaish shrt hai.meri sehat tou achi hai issi wja se....
                      شاہ حسین جیہناں سچ پچھاتا' کامل عِشق تیہناں دا جاتا

                      Comment


                      • Re: Aap Ki Dairy Ka Ek Warq...

                        Originally posted by sarah gemini View Post
                        ji bilkul ..azmaaish shrt hai.meri sehat tou achi hai issi wja se....
                        acha...meri to nahi hoti...:donno::donno:

                        Comment


                        • Re: Aap Ki Dairy Ka Ek Warq...

                          6th from my diary

                          CREON:"im the kind of man who holds his tongue when he has no facts to go on"

                          BY SOPHOCLES
                          شاہ حسین جیہناں سچ پچھاتا' کامل عِشق تیہناں دا جاتا

                          Comment


                          • Re: Aap Ki Dairy Ka Ek Warq...

                            Originally posted by sarah gemini View Post
                            ji bilkul ..azmaaish shrt hai.meri sehat tou achi hai issi wja se....
                            Lekin baaz loog, ko kuch bhi ho jaye un ki sehat ko faraq nahi perta
                            :thmbup:

                            Comment


                            • Re: Aap Ki Dairy Ka Ek Warq...

                              Originally posted by munda_sialkoty View Post
                              lekin Baaz Loog, Ko Kuch Bhi Ho Jaye Un Ki Sehat Ko Faraq Nahi Perta
                              Srrtay Rehaty Hon Ge Hr Wqt.....
                              شاہ حسین جیہناں سچ پچھاتا' کامل عِشق تیہناں دا جاتا

                              Comment


                              • Re: Aap Ki Dairy Ka Ek Warq...

                                Originally posted by sarah gemini View Post
                                Srrtay Rehaty Hon Ge Hr Wqt.....
                                Nahi ji, serte rehnay se sehat ko faraq per jata he, wo kisi ki koi bhi tension nahi lete :donno:
                                :thmbup:

                                Comment

                                Working...
                                X